Sad
Poetry / Sad
Bohat Masroof Rehte Ho
Bohat masroof rehte ho
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
·
2 Like ·
Aug 30, 2017 at 02:08
Category: sad
Poetry / Sad
Saazish
kaha us ne ke shaakhon se,
judaa phoolon ko karne ki,
hawaaon ki jo saazish hai ,
usay achchi nahi lagti.
faqat ik pal ko ji chaaha,
usay itna to keh doon aaj,
mohabbat phool ki in pattiyon se barrh ke naazuk thi,
jise qadmon tale tum ne
kabhi ka rond daala hai....!

1 Like ·
Aug 29, 2017 at 19:08
Category: sad
Poetry / Sad
Lambay Safar Ki Oat Mein Pal Bhar Nahi Ruka
Lambay safar ki oat mein pal bhar nahi ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka
Phir aa gaya aik naya sal dosto...
es baar bi kisi say december nahin ruka
Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka
Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay paas aa kay jo pathar nahin ruka
Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k bhi lashkar nahi ruka
Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka...!

Aug 29, 2017 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhar Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qarennay Terey
Kisey Maloom Nahi Baraan Mahenay Terey
January,Feburary,Aur March Main Parray gi Sardi
Aur April,May,June Me Hogi Garmi
Tu Naya Hai To Dikha Subha Nayee,Shaam Nayi
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee!!
Aur Bhi Besabab Detey Hain kyu Log Mubarakbadain!!
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki karvi Yaadein!
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki!!
Faiz Ney Likhi Hey Ye Nazam Niralay Dhang Ki...!

Aug 29, 2017 at 06:08
Category: sad
Poetry / Sad
Bohat Hi Yaad Aatay Ho
Zara
thehro...
" chalay jana"
Mujhe kch
tm sy kehna
hai"
zayada
waqt nhi
lu ga"
Zara si
baat krni
hai"
Na dukh
apnay sunanay
hain"
Na koi
faryad krni
hai"
Na ye
maloom krna
hai"
K ab
halaat kesay
hain"
Tumhare hamsafar
thay jo"
Tumhare
sath kesay
hain"
Na ye
maloom krna
hai"
Teray
din raat kesay
hain"
Mujhe bas
itna kahna
hai"
Mujhe tum
YAAD aatay
ho"
Bohat hi YAAD aatay ho...!
thehro...
" chalay jana"
Mujhe kch
tm sy kehna
hai"
zayada
waqt nhi
lu ga"
Zara si
baat krni
hai"
Na dukh
apnay sunanay
hain"
Na koi
faryad krni
hai"
Na ye
maloom krna
hai"
K ab
halaat kesay
hain"
Tumhare hamsafar
thay jo"
Tumhare
sath kesay
hain"
Na ye
maloom krna
hai"
Teray
din raat kesay
hain"
Mujhe bas
itna kahna
hai"
Mujhe tum
YAAD aatay
ho"
Bohat hi YAAD aatay ho...!
·
2 Like ·
Aug 29, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Sad
December Abb K Aao Tou
December abb k aao tou,
tum uss shehar e tamanna ki khabar lana.,
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hai.,
Jahan titlee k rangon se fizayen muskarati hain.,
Wahan har taraf khushboo wafa ki he
Aur usko jo bhi pooron se,
Nazar se choo gya pal bhr,
Mehak uthaa!
December abb ka aao tou
tum uss shehar e tamanna ki khabar lana
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k istaaray hain
Jahan dil woh samandar hai jiske kai kinaray hain!
December hum se naa poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hai
Muhabbat barf jaisee hai yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dubo ker hum
Sunehray khowab buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena go nahi mumkin
Magar phir bhi!
December abb k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lana...!!

Aug 28, 2017 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Kai Dinon Say Ik Awaz Mujh Main Gonji Nahi
kai dinon say ik awaz mujh main gonji nahi
kai dinon say koi mujh main ratjaga na huwa
kai dinon say samaat ki rehguzaron per
na koi chand he utra na koi phool khila
kai dinon say yeh aankhien hain neend say bojhal
kai dinoN say badan chAandni mEN jalta hai
kai dinoN say yeH din mujh mEn Aa kay dhalta hai
kai dinoN say kisi waswasay ki zadd men hoon
kai dinon say ajab wehshaton ki hadd men hoon
kai dinon say khayaalon kay taaq-e- hijran per
kisi kay naam ka rakha diya jalta hoon
dil-e-afsurda ko chupkay say gudgudata hoon
kai dinon say yehi kaar-e-ishq jari hai
kai dinon say ajab dil ko beqarari hai...!

Aug 28, 2017 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Suno! Mai Thak Gia Hoon
Suno!
mai thak gia hoon
meri palkoon per ab tak kuch adhooray khawab jaltay hain
meri neendon main teray wasl ka resham ulajhta hai
meray aanso meray chehray pe teray gham ko likhtay hain
meray andar kaii sadiyoon k sanatoon ka daira hai
magar mai thak gia hoon
aur mai ne khamoshi ki goad me sar rakh diya hai
main baloon mai tumharay hijer ki naram ungliyaan mehsoos kerta hoon
meri palkon pe ab jaltay khawab hain raakh ki soorat
tumharay wasl ka resham bhi ab neendain nahi bunta
maire aankhon main jaisay tehray mosam ka basaira hai
mujhay ander k sanatoon main gehrii neend aaii hai
sunoo....! us yaad se keh do
Mujhe Kuch Dair Soonay De...!

Aug 28, 2017 at 06:08
Category: sad
Poetry / Sad
Phir Es Kinaarey Pe Loutoon Ga Kab Khuda Janey
kaha yeh dard ney ik baar phir ubhartay hoye
k thora waqt to lagta hai zakhm bhartey hoye
phir es kinaarey pe loutoon ga kab KHUDA janey
mein sochta raha darya ko paar kartey hoye
hamein yeh teri udaasi bhali nahiN lagti
sukoot-e-shab sey kaha jugnuon ney dartey hoye
mein bujh sa jata hoon manzar yeh jab bhi dekhta hoon
kisi nashaib mein ik saaye ko utartay hoye
meri ragon mein bhi utrey hain kuch khizan mausam
mujhey bahaar ney dekha nahin bikhertay hoye
mein be niyaz hi guzra tha,shaad,raahon sey
uboor ho gayeiN kuchh manzilein guzertay hoye...!

Aug 28, 2017 at 00:08
Category: sad
Sponored Video