Poetry / Sad

Mohabbat Hamsafar Meri

Wohi Be Simt Sa Rasta, Mohabbat Hamsafar Meri
Sarabon Ka Wohi Dhoka, Mohabbat Hamsafar Meri

Ghubaar-e-Raah Bhi Kuch Duur Tak He Sath Chalta Hai
Wohi Ek Main, Wohi Tanha Mohabbat Hamsafar Meri

Ye Lamhon Ki Nahi Hai Ye To Sadyon Ki Musaafat Hai
Kisi Ki Yaad Ka Sehra Mohabbat Hamsafar Meri

Koi Kashti Nahi Hai Jo Humain Uss Paar Le Jaye
Bhanwar, Biphra Hua Darya, Mohabbat Hamsafar Meri

Wohi Her Waqt Sochon Per Kisi Ki Yaad Ka Pehra
Wohi Din Raat Ka Jalna Mohabbat Hamsafar Meri

Yahan Had-e-Nazar Tak Bus Andheray He Andheray Hain
Na Wo Jugno, Na Wo Taara, Mohabbat Hamsafar Meri...!

· 1 Like · Sep 13, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yeh Hua Ke Mar Gaye

Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Yeh Hua Ke Mar Gaye
Terey Bhi Din Guzar Gaye Merey Bhi Din Guzar Gaye

Terey Liay Chaley Thay Hum Terey liye Theher Gaye
Tuu Ney Kaha To Jee Uthay Tuu Ney Kaha To Mar Gaye

Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Men Terey Wisaal K Jitney Thay Zakhm Bhar Gaye

Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka
Sehra Umad Umad Parray Darya Biphar Biphar Gaye

Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay
Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye

Raah Men Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen
Tuu Bhi Na Apney Ghar Gaya Hum Bhi Na Apney Ghar Gaye

Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sar Nigo
Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye

Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya
Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye

Barish-e-Wasal Wo Hui Saraa Ghubaar Dhul Gaya
Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye

Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay
Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye .. !

· 2 Like · Sep 12, 2017 at 18:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shayad Hum Bhi Azad Ho Jate

Aj dil ka dukh kisi ki zuban par tha.
Ansoo us k nikalne ko betab the.
Hum se raha na gaya hum ne bat badal de.
Hum un ashkon ko dekhna na chahte the.
Jab bhari hoi ankhen itna dukh de rahi thin.
To wo ansoo ki larian hum ko toor daltin.
Magr ab dukh hota he us lamhe ko yad kar k.
Kash!
Hum us k dil ki bat sun lete.
Pehle us ka dil bhaari tha.
Ab hamara dil bechen hay.
Kash!
Wo larian toot jatin.
Shayad hum bhi azad ho jate...!

· 1 Like · Sep 12, 2017 at 06:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muqaddar Jeet Jata Hai

Bohat koshish kare lakin
Musafir aa nahin sakta
Koi phir rok laita hai,
Usey wapis palatnay se,
Faqat mur kar hi taknay se,
Or us ka muntazir lamha,
Kai sadiyon, kai janmon se,
Us ka muntazir lamha,
Bilaakhir beet jata hai,
Muqaddar jeet jata hai....!

· 1 Like · Sep 12, 2017 at 00:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yeh Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai

Yeh thaka thaka sa jo chand hai
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jagnay ki saza mili,
Yeh jo chand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chand hai,yeh jawaab hai,
Kisi es tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh thaka thaka sa jo chand hai,
Kabhi ban parray tou yeh es sey pooch k daikhna
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga dia?
Issay rog kis ney laga dia...?

· 1 Like · Sep 11, 2017 at 18:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bicharnay Aur Judai Main

Bicharnay aur judai main
zara sa fark hota hai
Juda ho kar kisi se phir
kabi koi nahi milta

Bichar jain to milnay ka
koi imkaan rehta hay
Juda ho kar kisi ki yaad
dil main reh nahi sakti
bichar jain to dil main ik
diya jalta hi rehta hay

Juda ho kar kisi ka pyaar
dil main reh nahi sakta
bichar jain to dil main bus
usi ka pyar rehta hay

To phir aay hum sukhan meray
tu mera faisla sun lay
mughe tum se bicharna hay
Juda tum se nahi hona ...!

· 1 Like · Sep 11, 2017 at 11:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yeh Dard Mit Gaya Tu Phir

Yeh dard mit gaya tu phir?
Yeh zakhm sil gaya to phir?
Bichar kar sochta hon mein
Woh phir say mil gaya tu phir?
Mein titlion k shehar mein
Rahon tu mujh ko fikar hai
Woh phool jo khila nahin
Woh phool khil gaya tu phir?
Tujhay bhi kuch nahi mila
Mujhay bhi kuch nahi mila
Tamam umar k liye
Yeh dard mil gaya tu phir...?

· 1 Like · Sep 11, 2017 at 05:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kisi Walli K Mazar Par Jab

Bahaar Rut me ujaar Rasty,
Takka kro gy to Ro parro ge
Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro parro gy
Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch es trha se
K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro parro gy
Main janta hon meri muhabbt,
Ujaar dy gi tumhe bhi aise
K chand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro parro gy
Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe satayein gi meri ankhen
Kisi Walli k mazar par jab
Dua karo gy to Ro parro gy...!

· 1 Like · Sep 10, 2017 at 22:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Haath Kis Ka Tha Wo Jaam Kis Ka Tha

Kal shaam teray ghar qayam kis ka tha?

Na tha koi musafir to ehtmam kis ka tha?

Likh likh choomti rahi jis ko raat bhar ankhain tumhari?

Humen bhi batao wo naam kis ka tha?

Jis ko sun k ro parray ehle-e-mehfil?

Itna bheegta hua anjam kis ka tha?

Humen pe k hosh na raha saqi?

Wo haath kis ka tha wo jaam kis ka tha ?

· 1 Like · Sep 10, 2017 at 15:09
Category: sad
 
Ayushmann's O Heeriye - Full Song
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Aug 19, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS