Poetry / Sad

Ab Tak Wohi Khwaab Hain Wohi Mein

Ab tak wohi KHwaab hain wohi mein
Wohi mere gulaab hain wohi mein

Ye jism ke jaaN ki tashnagi hai
Wohi taaza saraab hain wohi mein

Zinda hun abhi to maat kaise ??
Wohi jaaN ke azaab hain wohi mein

Kehti hai zubaaN KHamoshiyon ki
Wohi dard ke baab hain wohi mein

PaRhte huay jin ko umar guzri
Wohi chehrey kitaab hain wohi mein

Likhte huay jin ko jaan jaey
Wohi harf-e-nisaab hain wohi mein

Wohi gillay apne dostoN se
Wohi dil ke hisaab hain wohi mein

Aate hain magar nahin baraste
Wohi tishna badal hain wohi mein

Aankhon mein wohi sitaara aankhen
Wohi dil mein gulaab hain wohi mein

Duniya ke sawaal aur duniya
Wohi mere jawaab hain wohi mein...!

· 1 Like · Sep 04, 2017 at 03:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Habs E Jaan Aisa Tha Phir Shiddat E Gham Ko Tarsay

Habs-e-jaan aisa tha phir shiddat-e-gham ko tarsay
Be hissi woh thi k deeda e num ko tarsay

Tujh se bichre tou koi raah na manzil koi
Aise bhatkay k tere naqsh-e-qadam ko tarsay

Zakhm aise the jin ka koi dermaan na hua
Umer bher hum tou tere dast-e-karam ko tarsay

Paas reh ker tha jinhain zakhm-e-taghaful ka gila
Tujh se bichray tou tere zulm-o-sitam ko tarsay...!

· 1 Like · Sep 03, 2017 at 21:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wada E Hoor Pe Behlaye Hoe Log Hain Hum

Wada-e-hoor pe behlaye hoe Log hain hum
Khak Bolen ge k dafnaye hoe loag hain hum,

Youn Har ik Zulm pee Dam seedhay khare hen
Jese deewar main chunwaye hoe log hain hum,

Us ki har baat pe LABBAIK kyn na kaheen
Zar ki zangeeron pe bulwaye hoe log hain hum,

Jiss kaa jee chayee wo ungli pe nachaa leta he
Jaise bazar se mangwaye hoe log hain hum,

Hansi aye ge bhi to hanste hoe darr lagta he
Zindagi youn teray Zakhmaye hoe log hen hum

Asmaan apna, Zameen apni Na sans apni to phir
Janay kiss baat pe itray hoe log hain hum

Jis tarhan chahe bana lay humain ay wakt
Dard ki Anch par pighlaye hoe log hain hum...!

· 1 Like · Sep 03, 2017 at 15:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mujh Se Bichhar K Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha

Mujh Se Bichhar K Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha
Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha,

Aise Ajeeb Dard K Pehrey Thay Chaar Su
Ab K Woh Mere Shehar Mein Aa Kar Udaas Tha,

Mujh Ko Bhi Us Ki Yaad Stati Rahi Bohat
Wo Bhi Diyar-E-Ghair Mein Ja Kar Udaas Tha,

Mere ilawa Bhi Hai Koi Us Ka Shehr Mein
Itni Si Baat Mujh Ko Bata Kar Udaas Tha,

Aitabar Us Ko Udaas Kar Gayi Beety Dinon Ki Yaad
Guzri Rafaqton Ko Ganwa Kar Udaas Tha...!

· 1 Like · Sep 03, 2017 at 09:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Chalti Phirti Lashon Ko Gila Hai Mjse

Mainay kab Dard ki zakhmon se shikayat ki hai...

Haan mera jurm hai ke mainay mohabat ki hai...

Chalti phirti lashon ko gila hai mjse...

Shehar main rehkar mainay jeenay ki jasarat ki hai...

Aj pehchana nahi jata chehra uska..

Ik umer mere dil pe jis ne hukomat ki hai....

Aj phir dekha hai usay mehfil me pathar ban k..

Mainay ankhoo se nahi dil se baghawat ki hai...

Usko bhool janay ki ghalti bhi ho nahi Sakti.

Toot kar ki hai tu sirf mohabbat ki he...!

· 1 Like · Sep 03, 2017 at 03:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ana Peh Chot Parey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay

Ana Peh Chot Parey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??
Dhuwaan Sa Dil Say Uthey Bhi To Kaun Dekhta Hay..??

Ujaar Ghar Kay Kisi Be sadaa Darechay Mein..!!
Koi Chiragh Jalay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??

Hajoom-e-Shaher Say hatt kar, Hadood-e-Shaher Kay Bad..!!
Woh Muskara Kar Milay Bhi To Kaun Dekhta Hay..??

Jis Aankh Mein Koi Chehra Na Koi Aks-e-Talab...!!
Woh Aankh Jal Kay Bujhey Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??

Hajoom-e-Dard Mein Kia Muskurana K Yahan ..!!
Khizaan Mein Phool Khilay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??

Milay Baghair Jo Mujse Bichar Gaya Mohsin..!!
Woh Raastay Mein Rukay Bhi Toa Kaun Dekhta Hay..??

· 1 Like · Sep 02, 2017 at 21:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hai Aur Kya Jisay Dekhien Teray Jamaal Key Bad

hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key bad
tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key bad
jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key bad
tumharey meray taaluq pey youn khizaan chaye
kabhi urooj nahi hai jisay zawaal key bad
main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jholi mein es kamaal key bad
wo ab kii baar milla es qadar takaluf sey
k kuch bhii na pooch paya main us sey haal key bad...!

· 2 Like · Sep 02, 2017 at 14:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai

Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhar Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qarennay Terey
Kisey Maloom Nahi Baraan Mahenay Terey
January,Feburary,Aur March Main Parray gi Sardi
Aur April,May,June Me Hogi Garmi
Tu Naya Hai To Dikha Subha Nayee,Shaam Nayi
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee!!
Aur Bhi Besabab Detey Hain kyu Log Mubarakbadain!!
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki karvi Yaadein!
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki!!
Faiz Ney Likhi Hey Ye Nazam Niralay Dhang Ki...!

· 1 Like · Sep 02, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zara Tham Tham K Barsa Kar

Zara Tham Tham k Barsa kar,
Abhi Itna na Rotha kar
Abi to door hai Manzil,
Abhi khud ko na Tanha kar.
Teri Ankhain Samandar hain,
Samandar ko na Sehra kar.
Mera Dil Doob jata hai,
Mujhy aisay na Daikha kar.
Hawa mujh se kahe Pagal,
Na yun raston main baitha kar.
Wo eik din Chor jaye ga,
Usay itna na Chaha kar...!

· 1 Like · Sep 02, 2017 at 02:09
Category: sad
 
This is going to be real challenge.
Posted by maryam rauf
Posted on : Feb 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS