Sad
Poetry / Sad
Siine Mai Beqaraar Hain Murdaa Muhabbaten
ye soch kar k terii jabeen parr na bal parray
bas duur hii se dekh liyaa aur chal parray
dil mai phir ik kasak sii uThii muddato'n ke baad
ik umr ke ruke huwe aaNsuu nikal parray
siine mai beqaraar hain murdaa muhabbaten
mumkin hai ye charaaG kabhii Khud hii jal parray
ay dil tujhe badalti hoi rut se kyaa milaa
poudoon me phool aur na daraKhton mai phal parray
ab kis ke intazaar main jagain tamaam shab
vo saath ho to niind mai kaisay Khalaal parray
Shehzad dil ko zabt kaa yara nahi rahaa
niklaa jo maahataab samandar uchhal parray...!

·
1 Like ·
Aug 27, 2017 at 16:08
Category: sad
Poetry / Sad
Aik Ummeed Ki Surat Mai Mila Hai Koii
zindagi aa, teray armaan badal kar daikhain
dil mai thhehra huwa mehmaan badl kar daikhain
aik ummeed ki surat mai mila hai koii
khaak ho janay ka imkaan badal kar daikhain
jiss ne bakhsha hamain pinddar, shanasaai ka
aaj hamm apni wo pehchan badal kar daikhain
meri aankhain bhi naye rung talab karti hain
ghar ka saara sar o saaman badal kar daikhain
wo jo harr baat ko halaat pe rakkh deta he
apnay andar ka wo insaan badal kar daikhain
meri dua to qabool hoti nahi hai ROOMI
mann k mandir ka hi bhaghwan badal kar daikhain...!

Aug 27, 2017 at 10:08
Category: sad
Poetry / Sad
Meri Aankhon Mein Umand Aya Hai Dariya Dil Ka
Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gya ho na kinaara dil ka
Bas mohabbat se rivayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka
Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharka dil ka
Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na hoa mujh se khasaara dil ka
Meri payaab tamanain batati hain mujhay
Sookh jay ga kuch roz me dariyaa dil ka
Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or hi ho jaata hai lehjaa dil ka
Kiyoon na ay dost abhi tark a mohabbat kar lein
es se pehlay ke badal jay iraada dil ka
Fikr-e-duniya mein mere dil ko bhulanay walay
Teri duniya se zyada hai asaasa dil ka
Ishq kaattay ga abhi or chahtain SAGHAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka...!

Aug 27, 2017 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Yahi Huaa K Hawaa Le Gayi Uraa K Mujhe
Yahi huaa k hawaa le gayi uraa k mujhe
Tujhe to kuch na mila khaak mein milaa k mujhe
Bas ek goonj hai jo saath-saath chaltii hai
Kahaan ye choar gaye faasale sadaa k mujhe
Chiraagh thaa to kisi taaq hi mein bujha rehta
Yeh kya kia k havaale kiyaa, hawaa ke mujhe
Ho ek adaa to usay naam doon tamanna kaa
Hazaar rang hain es shola e hina k mujhe
Buland shaakh se uljha thaa chand pichle pehar
Guzar gayaa hai koi Khwaab sa dikhaa k mujhe
Hazaar baar khula zehan baadbaan ki tarah
Naqash-e-paa na mile umr-e-baad paa k mujhe
Main apni mauj mein dooba huaa jazeera hoon
Utar gayaa hai samandar buland pa k mughe...!

Aug 26, 2017 at 14:08
Category: sad
Poetry / Sad
Dhoop Aur Chhaon Ke Nazare Thay
Dhoop aur chhaon ke nazare thay
Dil ki daulat jahan pe harray thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Meri aankhon mai phailte huye rang
Kal talak aapko bhi pyare thay
Hai gharonda mera to mitti ka
Teri raahon mai chand tarey thay
Chhoo liya tha gulon ko chahat se
Jal gaye haath wo sharare thay...!
Dil ki daulat jahan pe harray thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Bewafaai ka ab gilaa kaisaa
Aap pehle bhi kab hamare thay
Meri aankhon mai phailte huye rang
Kal talak aapko bhi pyare thay
Hai gharonda mera to mitti ka
Teri raahon mai chand tarey thay
Chhoo liya tha gulon ko chahat se
Jal gaye haath wo sharare thay...!
·
1 Like ·
Aug 26, 2017 at 02:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mujh Se Bicher K Mujh Ko Rula Ker Udaas Tha
Mujh se bicher k mujh ko rula ker udaas tha,
Meri tarah wo khud ko jala ker udaas tha,
Aisay ajeeb dard k pehre thay chaar soo,
Ab k wo mere shehar main aa ker udaas tha,
Mujh ko bhi us ki yaad satati rahi bohat,
Wo Bhi diyaar-e-ghair main ja ker udaas tha,
Mere ilawa bhi hai koi us ka shaher main,
Itni see baat mujh ko bata ker udaas tha,
Us ko udaas ker gayi beete dinon ki yaad,
Guzri rafaqaton ko ganwa ker udaas tha...!!!

Aug 25, 2017 at 19:08
Category: sad
Poetry / Sad
Baat Thi Mohabbat Ki
Baat thi Mohabbat ki,
Umer Bhar ki Chahat ki,
Bheer main zamane ki,
Sath Sath Chalna Tha,
Imtehan Bhi Aney Thy,
Zindagi k Sab He Pal,
Sath Hi Bitane Thy,
Jane Us Ne Kia Socha,
Aik Pal Main Hi Us Ne Baat Khatam kar Dali,
Zindagi Jo Puri Thi,
Wo Adhuri Kar Dali,
Kon Us ko Samjhaye,
Mohabatoon k Mausam Bhi,
Roz To Nahi Atey,
Zindagi Main Apnon ko,
Choar To Nahi Jatey...!

Aug 25, 2017 at 13:08

Aug 25, 2017 at 07:08
Category: sad
Poetry / Sad
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai,
Unko Khona Bhi Mushkil Hai Unko Pana Bhi Mushkil Hai...
zara Si Baat Pe Aankhe Bhigokar Baith Jate Hain,
Unko To Apne DIL Ka Haal Batana Bhi Mushkil Hai...
Udasi Unke Chehre Par Gawara Bhi Nahi,
Uski Khatir Sitare Toor kar Lana Bhi Mushkil Hai...
Yaha Logon Ne Khud Par Itne Parde Daal Rakhe Hain,
Kis Ke DIL Me Kya Hai Nazar Aana Bhi Mushkil Hai...
Maana Ki Khwab Me Mulakat Hogi Unse Magar,
Unke Bina Neend Aa Pana Bhi Mushkil Hai...!

Aug 25, 2017 at 00:08
Category: sad
Sponored Video