Poetry / Sad

Ye Udasiyon K Mosam

Inhi khushgumaniyoun me
kahin jaan se b na jao
wo jo chaara gar nahi hy
usy zakhm kyu dikhao

ye udasiyon k mosam
kahin raye gaan na jaain
ksi zakhm ko kuraido
ksi dard ko jagao

wo kahaniyaan adhori
jo na ho sakain gi pori
unhain main b kyu sunaon
unhain tum b kyu sunao?

mere humsafar purany
main ab bhi muntazir ho
tumhain sath chorna hy
to abhi se choar jao

ye judaiyon k rasty
bari dor tak gye hain
jo gya wo phir na loota
meri baat maan jao

ksi bewafa ki khatir
ye junon Faraz kab tak
jo tumhain bhula chuka hy
usy tum b bhool jao......!!!

· 1 Like · Aug 21, 2017 at 11:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jo Bhi Kehna Hay Kaho Phir Ankaha Reh Jaay Ga

jo bhi kehna hay kaho phir ankaha reh jaay ga,
qurbaton k darmyan bhi faasla reh jaay ga.....,

wo guzar jaay ga in rastoon say misl e baad e saba,
or tou in rehguzaaron me khara reh jaay ga....

band kanon say sunay ga tou khanakti guftugu
bheegi aankhon say usy bus daikhta reh jaay ga..

chean lay gi subh ik aahat ka jhoota khuab bhi
aankh ki soni gali me rat jaga reh jaay gaa,,

titlian hijrat karein gi mosamon k sath sath,
or shehr e gul me aashob e hawa reh jaay ga

baadlon say aag barsy gi fiza e shehr per,
naqsh mit jaein gay ik naqsh e fana reh jay ga...!

· 1 Like · Aug 21, 2017 at 05:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ham Kyu Ye Kahen Koi Hamara Nahi Hota

Ham kyu ye kahen koi hamara nahi hota
moujon k liye koi kinara nahi hota

dil toot bhi jaye to mohabbat nahi mitti
es raah me lut kar b khasara nahi hota

sarmaya e shab hote hen you to sabhi taray
har tara magar subho ka tara nahi hota

sonay ki tarazoo me mera dard na tolo
imdad se gherat ka guzara nahi hota

kuch log saja lete hen aankhon pe aur aankhen
jo pyar se dekhey wahi pyara nahi hota

tum b to Muzaffar ki kisi baat pe bolo
shayar ka hi lafzon pe ijara nahi hota...!

· 1 Like · Aug 20, 2017 at 16:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Raastay, Manzilain, Justaju Aur Main

raastay, manzilaiN, justaju aur maiN
ham nafas, ik teri aarzu aur maiN

koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru, aur maiN

jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su, aur maiN

khwaab ki titliyaN jab urain aankh se
reh gai khwahish-e-rang-o-bu, aur maiN

raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja, teri guftagu, aur maiN

aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath meiN qismatoN ka lahu, aur maiN

sochti hooN kahaN jaooN, kis se kahooN
shehr dushman, Faza bhi raqeeb, aur maiN

daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN, teri aarzu, aur maiN

raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere ehsas ki aabru, aur maiN

mere saahir, bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su, aur maiN

kaash aisa ho, saahil kinaray kabhi
aur koi na ho, sirf tu, aur maiN...!

· 1 Like · Aug 20, 2017 at 10:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zara Thehro!

zara thehro!
k suraj ko to jane do
parindon ko to urne do
zara to shaam dhalne do
abhi to aasman ka rang nikhre ga
abhi khusboo bhi bikhre gi
abhi mausam bhi badle ga
abhi to chaand nikle ga
abhi manzar badalne mein zara si dair baaqi hai
abhi dil ko sanbhalne mein zara si dair baaqi hai
chale jana!
abhi do chaar pal, do chaar sadiyan saath rehne do
zara to shaam dhalne do
thehar jao....!

· 1 Like · Aug 19, 2017 at 21:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tujhpe Ae Waqt Ehsaan Kiye Jaate Hain

Zindgi kuch bhi nahin phir bhi jiye jaate hain
Tujhpe Ae waqt ehsaan kiye jaate hain.

Kuch to halaat ne mujrim hamain tehraya hai
Auar kuch aap bhi ilzaam diye jaate hain.

Chean li waqt ne ulfat ke ghamon ki doulat
Khaali daaman hai wahi saath liye jaate hain.

Zindgi kya hai koi jaane kafan hai Faaqir
Umra ke haathon hum jisko siye jaaate hain...!

· 1 Like · Aug 19, 2017 at 15:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shareek E Gham Hua Jo Mere Chot Khanay K Bad

shareek-e-Gham Hua Jo Mere Chot Khanay K Bad
Kho Diya Maine Usko Panay K Bad

Mujhe Naaz Raha Faqat Us Amal Par Sada
Usne Mujhe Apna Maana Azmanay K Bad

Suna Hai Tarap Raha Hai Woh Meri Wafa K Liye
Shayad Pachta Raha Hai Mujhe Thukranay K Bad

Aaj Yun Sar-e-Rah usay Nazar Ja Mili MOHSIN
Woh Ro Diya Mujhse Nazar Milanay K Bad

Kis Kis KO Doon Yeh Ilzaam Bewafai Ka
Har Koi Chor Gaya Mujhe Apnanay K Bad...!

· 2 Like · Aug 19, 2017 at 02:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tu Nay Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Kay Bad

TU NAY DEKHA HAI KABHI EK NAZAR SHAAM KAY BAD
KITNAY CHUP CHAAP SAY LAGTAY HAIN SHAJAR SHAAM KAY BAD

ITNAY CHUP CHAAP KAY RASTAY BHI RAHAIN GAY LA ILM
CHOR JAIN GAY KISI ROZ NAGAR SHAAM KAY BAD

MAI NAY AISAY HI GUNAAH TERI JUDAAI MAI KIYE
JAISE TOOFAAN MAI KOI CHOR DE GHAR SHAAM KAY BAD

SHAAM SAY PEHLAY WO MAST APNI URANOON MAI RAHA
JIS KAY HAATH MAI THAY TOOTAY HUWAY PAR SHAAM KAY BAD

RAAT BEETI TAU GINNAY AABLAY AUR SOCHA
KAUN THA BAES AGHAAZ-E-SAFAR SHAAM KAY BAD

TU HAI SOORAJ,TUJHAY MALOUM KAHAN RAAT KA DUKH
TU KISI ROZ MERAY GHAR MAI UTTAR SHAAM KAY BAD....!

· 1 Like · Aug 18, 2017 at 20:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Khwaab Posh Aankhon Main

Khwaab Posh Aankhon Main
Aansuon Ka Bhar Jana

Hasraton Ke Sahil Per
Titliyon Ka Mar Jaana

Habs Ki Hawaon Main
Khushbuon Ka Darr Jana
Dil Ke Garm Sehra Main
Hashr Hi Barpa Hona
Dard La Dawa Hona
Kya Boht Zarori Hai
Ab Tera Juda Hona...?

· 1 Like · Aug 18, 2017 at 14:08
Category: sad
 
Pakistan Victory
Posted by kashif mali
Posted on : Sep 06, 2014

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS