Poetry / Sad

Her Saal January

Her saal january
humain kuch sapnay dikhati hai
jis ko poora kernay main
december aa pohanchta hai
zindagi aur akheer bi mano
umer kay january aur december hain
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai
aur umer ka december aan pohanchta hai
aur saal ki terha
saans bi khutum ho jati hai...!

· 1 Like · Aug 15, 2017 at 04:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Haan Yehi December Hai

Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.....!

· 1 Like · Aug 14, 2017 at 22:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koi Jugnu Koi Tara Kahin Se Dhond Kar Lao

Mohabbat ki tabiyat mein agarcha gham nahin hota
Magar hadsa judai ka ghamon se kam nahin hota

Koi jugnu koi tara kahin se dhond kar lao
Gharon ko phoonk dene se andhera kam nahin hota

Mohabbat karne wala tou hamesha sath rehta hain
Mohabbat mein judai ka koi mausam nahin hota

Mujhe chor kar khud bhi sari umar tum tarpey ho
Koi aesi saza dete tumhe tou gham nahin hota

Zameen walo se yeh keh kar dhal geya sooraj
Ujala baant dene se ujala kam nahin hota....!

· 1 Like · Aug 14, 2017 at 16:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kon Weraan Makano Ki Khabar Rakhta Hai

Shab-e-hijraan ki Aziyat ki khabar kis ko hai
Meri gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai

Kis ko Ahsass meri shidat-e-jazbaat ka hai
Meri halaat meri wehshat ki khabar kis ko hai

Kon weraan makano ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai

Main nay chup chap muhabbat k sitam jhailay hain
Meri es darja sharafat ki khabar kis ko hai

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay..
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hain.....!

· 1 Like · Aug 14, 2017 at 10:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dekhna Hai Woh Mujh Par Meharabaan Kitana Hai

Dekhna hai woh mujh par meharabaan kitana hai
asaliyat kahaaN tak hai aur gumaan kitana hai

kya panaah deti hai or yeh zamiin mujh ko
aur abhii meray sar par aasamaan kitanaa hai

kuch Khabar nahin aatii kis ravish par hai tuufaaN
aur kTa phaTaa baaqii baadbaan kitana hai

toor phoor karti hain roz Khowishain dil me
tang in makeeno seY yeH makaan kitanaa hai

harf-e-aarazu sun kar janchnay lagaa
es men baat kitnii hai aur bayaan kitana hai

phir udaas kar de gi sarsari jhalak us ki
bhuul kar yeh dil us ko shadman kitana hai...!

· 1 Like · Aug 14, 2017 at 04:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Kisi Aur K Aangan Me Ha Chaaon Ki Tarha

karri dhoop me jaltey hue paon ki tarha..
wo kisi aur k aangan me ha chaaon ki tarha

wo to waqif ha mere jazbon ki sacchai se
phir kyu khamoosh ha pathar k khudaon ki tarha

main to khooshbu ki tarha sath raha hon us k
wo bhatakti rahi bechain hawaon ki tarha

hum jo barbaad hue thy hm jo badnaam hue
wo to masoom rahi apni aadaon ki tarha

gham to ye ha k hame koi khushi raas na aai
zindigi kaat rahey hain ham sazaon ki tarha....!

· 1 Like · Aug 13, 2017 at 21:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Woh Be Wafa Tha To Phir Itna Meharban Kyun Tha

Ajeeb Khauf Musallat Tha Kal Haweli Par

Hawa Chiragh Jalati Rahi Hatheli Par

Sunay Ga Kon Magar Ehtajaj Khushbu Ka

Ke Saanp Zehar Ugalta Raha Chambeli Par

Shab-e-Firaaq Meri Aankh Ko Thakan Sey Bachaa

Ke Neend Waar Na Kar Dey Teri Saheli Par

Woh Be Wafa Tha To Phir Itna Meharban Kyun Tha

Bichar K Uss Sey Main Sochun Issi Paheli Par

Jala Na Ghar Ka Andhera Chiragh Sey MoHsiN

Sitam Na Kar Yun Meri Jaan !Apnay Baili Par....!

· 1 Like · Aug 13, 2017 at 15:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Anjaani Raah Tanha Safar De Aya Mujhay

Anjaani Raah tanha safar de aya mujhay
Pathar ka shehar sheshay ka ghar day gaya mujhay..

Woh bhi mujh he ko sochta rEhta hay Raat bhar
Us k nagar ka chaand Khabar de gaya mujhay..

Us Shakhs ki muhabatain kitni shadeEd thin
Khud mit gaya or Apni nazar de gaya mujhay..

Woh Qafilay ko chorr k tanha he chal dia
Or jaatay huey Rakht-e-Safar de gaya mujhay...

janay wo bewafa tha ya majboOr tha
zindagi guzarnay ka hunar de gaya mujhay...!

· 1 Like · Aug 13, 2017 at 09:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shabe Furkat Hai Har Shamma Bujha Do

shabe furkat hai har shamma bujha do
mere apno mujhe jeene ki saja do

main to bismil hua hun apno se
mujhko aake fir daad-e-jafa do

khwab me aake kyun sargoshi karte ho
tnha hun mujhe to khulkar sada do

shola-e-gham me bah gayi meri manzil
main dhundhta hun uska kuchh to pata do....!

· 1 Like · Aug 13, 2017 at 03:08
Category: sad
 
'Ghalib Danger' Motion Poster
Posted by Video Ads
Posted on : Jun 30, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS