Poetry / Sad

Meri Beyrukhi Ka Tha

mein uss kii khamoshi ka sabab jaan na saka
such to yahi hey mein ussey
pahchaan naa saka
buss ab judaii key beqarar lamhoon me
jub bhi mein ussey yaad karta hoon
to uss kii yaad
zakham zakham ban kar
merey wajood koo kaatti rahtii hey
mein laho lahoo ban kar
key judaii key samey
mein ney uss kii khamoshi to mahsoos kar lii thii magar
mein uss kii jal thal aankhoon ko daikh nahi paaya thaa
jahaan sirf gilla hii gilla tha
shikwa hii shikwa thaa
aur yeh shikwa aur gilla
meri beyrukhi ka tha...!

· 1 Like · Sep 01, 2017 at 20:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Maana Har Baar Me Naakam E Wafa Tha Lekin

Jeene ki koi khub soorat wajah ho ye zaruri to nahi
Meri har baat Ana ho ye jaruri to nahi...
Maana har baar me Naakam-e-wafa tha lekin
galati meri hi har dafa ho ye zaruri to nahi...
Me jo yu door ho gaya hu tujhse...
Terii Jaanib hi hawaa ho ye zaruri to nahi...
Tanha hai chand suraj bhi to Aasmano pe
Tanha Rahna bhi sazaa ho ye jaruri to nahi...!

· 1 Like · Sep 01, 2017 at 07:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koi Mujhko Mera Bharpoor Saraapa La Dey

Koi mujhko mera bharpoor saraapa la dey
Mere baazoo meri aankhen mera chehra la dey

Aisa dariya jo kisi aur samandar mai girey
es se behter hai ke mujhko mera sehra la dey

Kuchh nahee chahiye tujh se meri ay umr-e-rawan
Mera bachpan mere jugnoo meri gudia laa dey

Jiski aankhen mujhe ander se bhi padh sakti hon
Koi chehra to mere sheher mai aisa la dey

Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
Ai Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey...!

· 1 Like · Sep 01, 2017 at 01:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajab Hawa E Baharaan Nay Chara Saazi Ki

ye kaun doob gya aur ubhar gaya mujh main
ye kaun saye ki soorat guzar gaya mujh main

ye kis kay sog mai shorida haal phirta hon
woh kon shakhs tha aisa kay mar gaya mujh main

ajab hawa-e-baharaan nay chara saazi ki
woh zakhm jis ko na bharna tha bhar gaya mujh main

woh admi kay jo pathar tha jee raha hai abhi
jo ainna tha woh bikhar gayaa mujh main

misaal kya kay woh jab bhi kareeb say guzara
vo youn laga kay koi raqs kar gaya mujh main

woh sath tha to ajab dhuup chaoun rehti thi
bas ab to ek hi mausam tehar gaya mujh main....!

· 1 Like · Aug 31, 2017 at 19:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ek Lamhe Ke Liye Ye Moujza Dekha Gaya

Ek lamhe ke liye ye moujza dekha gaya
pathroN ke shahr mein ek aaina dekha gaya

Girne wala to bulandi chhu gaya aakaash kee
jo sambhal kar chal raha tha, Rengta dekha gaya

Aakhir uski kamsini dam todti dekhi gayi
subah jab wo aaine ko choomta dekha gaya

shahr ke har shakhs ko tha apne gum hone ka darr
har koi saaye ke pechay bhaagta dekha gaya

Aaina khanay mein kal us shakhs ko korray pade
jo hawa mutthi mein lekar ghoomta dekha gaya...!

· 1 Like · Aug 31, 2017 at 13:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Woh Humsafar Tha Magar Us Say Ham Nawahi Na Thi

woh humsafar tha magar us say ham nawahi na thi
ke dhoop chaoun ka aalam raha,judaai na thi

na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab-e-firaq kabhi hum nay youn ganwayi na thi

mohabbatoN ka safar es tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi

adawataiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi

bichartay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi

kabhi yeh haal k donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay k ashanie na thi

ajeeb hoti hay rah-e-sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi....!

· 2 Like · Aug 31, 2017 at 06:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Auron Ko Khat Likhta Ho Ga

DUKH KI LEHAR NAY Chera HO GA,

YAAD NAY KANKAR PHeNKA HO GA,

AAJ TO MERA DIL KEHTA HAI,

TU eS WAQT AKELA HO GA,

MERAY CHOOMAY HUAY HAATHON SAY,

AURON KO KHAT LIKHTA HO GA,

BHEEG CHALEEN AB RAAT KI PALKEN,

TU AB THAK KAR SOYA HO GA,

RAIL KI GEHRI SEETI SUN KAR,

RAAT KA JUNGLE GONJA HO GA,

SHEHAR K KHALI STATION PAR,

KOI MUSAFIR UTRA HO GA,

YAADON KI JALTI SHABNAM SAY,

PHOOL SA MUKHRA DHOYA HO GA,

MOTI JESI SHAKAL BANA KAR,

AIENAY KO TAKTA HO GA,

SHAAM HUI AB TU BHI SHAYAD,

APNAY GHAR KO LAUTA HO GA,

NEELI DHUNDLI KHAMOSHI MEI,

TAARON KI DHUN SUNTA HO GA,

MERA SATHI SHAM KA TARA,

TUJH SAY AANKH MILATA HO GA,

SHAM K CHALTAY HAATH NAY TUJH KO,

MERA SALAM TO BHEJA HO GA,

MEIN TO AAJ BOHAT ROYA HOON,

TU BHI SHAYAD ROYA HO GA,

NASIR TERA MEAT PURANA,

TUJH KO YAAD TO AATA HO GA....!

· 1 Like · Aug 31, 2017 at 00:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Diyar E Ulfat Mei Ajnabi Ko Safar Hai Dar Pesh Zulmaton Ka

TUM AISA KARNA KOI JUGNU KOI SITARA SANBHAAL RAKHNA,

MERAY ANDHERON KI FIKR CHHORO BUS APNAY GHAR KA KHAYAL RAKHNA

DIYAR-E-ULFAT MEI AJNABI KO SAFAR HAI DAR PESH ZULMATON KA,

KAHIN WO RAAHON MEI KHO NA JAAEY ZRA DAREECHAY UJAAL RAKHNA,

WO RAAH O RASM HE NHI TO PHIR YEH ASASAY KIS KAAM K TUMHARAY,

IDHAR SAY GUZRA KABHI TO LAY LOON GA TUM MERAY KHAT NIKAAL RAKHNA,

BICHARNAY WALAY NAY WAQT-E-RUKHSAT KUCH eS NAZAR SAY PALaT K DEKHA,

K JESAY WO KEH RAHA HO TUM APNAY GHAR KA KHAYAL RAKHNA...!

· 1 Like · Aug 30, 2017 at 14:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Nahi Baikar Ikk Pal Bhi Guzari Zindagi Hamm Nay

saharay torh kar saray, saharay dhoondhne niklay
qadam rakkh kar bhanwar mai ham kinaray dhoondhne niklay

nahi baikar ikk pal bhi guzari zindagi hamm nay
kisi k naam say apnay sitaray dhoondhne niklay

hamaray houslon ne hi nibhaai umr bhar ham say
milay hain haadsay hamko, nazaray dhoondhne niklay

bhala kaisay na hota harr qadam par saamna unn ka
hamain jab chaar soo dushman hamaray dhoondhne niklay

sila apni wafaon ka mila hamko magar aisay
gaye jab chhorh kar dunya to pyaray dhoondhne niklay

nahi KHURSHEED dunya mai koi bhi aik ham jaisa
bhula kar faiday saray khasaray dhoondhne niklay...!

· 1 Like · Aug 30, 2017 at 08:08
Category: sad
 
jab saanb zinda ho to chontia khata hai
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 08, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS