Poetry / Sad

Usaman Khan

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay

Hamaray Bas Mein Agar Apne Faislay Hotay
Tou Hum Kubhi Ke Gharon Ko Palat Gaye Hotay
Qareeb Reh Ke Sulaghnay Se Kitna Behtar Tha
Kisi Muqaam Per Hum Tum Bicharr Gaye Hotay
Kubhi Toryat Ko Ham Muthion Mein Bhar Letay
Kubhi Hawaaon Se Apne Mukaalmay Hotay
Hamaray Naam Pe Koi Charaagh Tou Jalta
Kisi Zabaan Pe Hamaray Bhi Tazkaray Hotay
Ham Apna Koi Alag Raasta Bana Letay
Hamaray Dil Ne Agar Hoslay Kye Hotay.

· 16 Like · Apr 03, 2018 at 10:04
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Hoga Ye Tay Howa Tha

muhabbaton mein har ek lamha wisal hoga ye tay howa tha
bichar ke bhi ek dosrey ka khayal hoga ye tay howa tha

wohi howa na badaltey muosam mein tum ne ham ko bhula dia hey
koi bhi rut ho na chahaton ko zawal hoga ye tay howa tha

ye kia ke sansain ukhar gai hain safar ke aghaz se hi yaro
koi bhi thak kar na rastey mein nidhal hoga ye tay howa tha

juda hoe hain tu kia huwa phir yehi to dastoor-e-zindagi hey
judaiyon mein na qurbaton ka malal hoga ye tay howa tha

chalo ke Faizan kashtiyon ko jala dain gumnam sahilon per
ke ab yahan se na wapsi ka sawal hoga ye tay howa tha...!

· 14 Like · Sep 08, 2017 at 17:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kashif Yaqoob

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Mere Hathon Main Apne Naam Ki Lakeer Dekhna
Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain TereMere Hathon Main
Apne Naam Ki Lakeer Dekhna

Meri Ankhon Main Apne Husn Ki Tasveer Dekhna
Kya They Or Kya Bna Dia Teri Ulfat Ne

Kese Ban Gaye Hain Tere Pyar Mein Faqeer Dekhna
Boht Naaz Hy Na Tujy Apni Husn ki Dolat Per Dost
Mere Paas B Hy Zakhmon Ki Jageer Dekhna

Mere Ho Or Mere Hi Raho Ge Hamesha
Rang Laaye Gi Sachey Pyar Ki Taseer Dekhna

Bohat Zulm Sahey Hain Teri Judai K Ham Ne ""
Sada Ek Jesi Nhi Rehti Taqdeer Dekhna

· 6 Like · Mar 09, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Raaz E Ulfat Chhupaa Ke Dekh Liyaa

raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa

aur kyaa dekhane ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa

wo mere hoke bhii mere na hue
unako apanaa banaa ke dekh liyaa

aaj unaki nazar mein kuchh hamane
sabaki nazaren bachaa ke dekh liyaa

'Faiz', taqmiil-e-Gam bhii ho na sakii
ishq ko aazamaa ke dekh liyaa

· 5 Like · Dec 31, 2014 at 10:12
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saeed Sarwar

Chaal Haar Ke Dekh.

· 5 Like · Jun 12, 2018 at 18:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohammad Afzal

Tars Jao Ge Hamara Labon Se Sun Ne Ko Ik Ik Lafz

tars jao ge hamara labon se sun ne ko ik ik lafz
pyaar ki baat to kya ham shikhayat bhi na karenge

· 5 Like · Oct 27, 2018 at 10:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bichar Jaon Ga

Itna toota hon k chonay se bikher jaon ga.,


Ab agar aur azmao gay to mar jaon ga.,


Phool reh jain gay faqat guldanoon ki nazar.,


Main to khushbo hoon hawaoon main bikher jaon ga.,


Eik aarzi musafar hon main teri kashti main.,


Tu jahan mujh se kahe ga main uter jaon ga.,


Hath pakro gay to saya ban k sath rahon ga.,


Hath choro gy to hamesha k liye bicher jaon ga..,

· 4 Like · Jan 16, 2015 at 11:01
Category: sad
 
Poetry / Sad

Adeel Baig

Bari Mishikl Say Eik Kamrah

Bari Mishikl Say Eik Kamrah
Jahan Koi Na Ho Rahta.
Nagar Say Paar Milta Hay
Bohat Baikar Milta Hay
To Phir Do Teen Hum Jaisay
Mila Laitay Hain Sub Paisay
Aur AApas Main Yeh Khtay Hain
K Mil Jul ker He Rahtay Hain
Koi Khana Banaye Ga
Koi Jharoo Lagaye Ga
Koi Dhoaye Ga Sub Kapray
To Reh Lain gey Baray Sukh Say

· 4 Like · Nov 09, 2018 at 03:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Adeel Baig

Jo Ghar Say Door Hotay Hain

Jo Ghar Say Door Hotay Hain
Bohat Majboor Hotay Hain
Kabhi Baghoon Main Sotay Hian
Kabhe Chhup Chhup Kay ROTAY Hain
Gharon Ko Yaad Kartay Hain
To Phir Feryaad Kartay Hain
Magar Jo Be Sahara Hoon
Gharon say Be Kinarah Hon
Inhain Gher Kon Daita Hay
Yeh Khatra Kon Laita Hay.

· 4 Like · Nov 08, 2018 at 21:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hafeez Ur Rehman

Mousam Ki Khusboo Mein

mousam ki khushbo mein aksar gham ki khushbo mill jati hai
aamoon kay baagh mein kaisay sawan sawan barsa aanso

apnay bachpan ka qissa hai aik tasveer banayi uss nay
mehandi wallay haath rachay thay, beech hathailee tapka ansoo

aik gaoon mein do barattain shaid dulha badal gaya
mairi ankh mein taira ansoo tairi ankh mein maira aanso

pas say daikho jugnoo ansoo, door say daikho taara ansoo
mein pholon ke saij pay baitha adhi raat ka tunha ansoo

mairi in ankhoon mein aksar gham kay dono pehlo daikhay
thehar gaya tu pathar ansoo, beh nikla tu darya ansoo

payaar ajeeb talvar hai jis pay hum dono kay naam likhay hain
tehni tehni kaliyaan ansoo, pathar jharna ansoo

· 4 Like · Jun 03, 2021 at 17:06
Category: sad
 
eik shakhs ki marte waqt wasihat.
Posted by aftab ahmed
Posted on : Mar 20, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS