Poetry / Sad

Wo Kehti Thi !

ye jo tum lafz likhte ho
ye jo tum harf buntay ho
youn he benaam jazboon ko
haseen ik rang dete ho
teh-e-hai dil main chupi batein
jisse tum youn sunate ho
yeh kiss k naam karte ho?
bhala woh koun hai janaa?
jo youn neendain churati hai?
rug o jan main utarti hai
tumhare dil main basti hai
bhala wo husn ka paikar
zara humko bhi dikhao
bhala wo koun hai humdam...?
bhala wo koun hai humdam...?


MAIN SUN KAR SABHI YE BATEIN
bohat dhere se hansta tha
ussay bechain karta tha
main usko youn satata tha
main kehta tha.......

main bataoon ga
jab uska waqt aaye ga
abhi kuch dair baki hai


WO KEHTI THI
mujhe ye khauf hai janaa...
kahin tum dair na kardo!

MUJHE YE MAAN THA KHUD PER
k behte waqt ka dhara
main uss muthi main bhar loon ga

MAGAR SHAYAD!
ussay janay ki jaldi thi
k iqrar-e-wafa k din
wo chanchal shokh si larki
aur uske jhilmilate nain
manno matti main ja soye.......


MAIN USKO DHOONDHTA HOON AB
main khud ko rulata hoon ab
assay kaisay bataoon sab
k main jo lafz likhta tha
k main jo harf bunta tha
ussi k naam karta tha

MAIN KAISE KAHON YE AB

k haan janaa..!
tumhain jo khauf lahaq tha
wo to ho giya mujhse
meri khali hai muthi ab
haan maine dair kar di hai
bohat he dair kar di hai...!

· 1 Like · Sep 07, 2017 at 04:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen

Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Tamam teri hikayaten hain
Ye tazkare tere lutf ke hain
Ye shair teri shikayaten hain
Main sab teri nazar kar raha hun
Ye un zamanon ki sa’aten hain
Jo zindagi ke naiy safar main
Tujhe kissi waqt yaad aain
To aik ik harf ji uthay ga
Pehn ke anfas ki qabain
Udas tanhaoyon ke lamhon
Main naach uthen gi ye apsaraain
Mujhe tere dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye manta hun
Hazar gham the jo zindagi ki
Talash main the ye janta hun
Mujhe khabar thi ke tere aanchal main
Dard ki rait chantta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Ye zakham gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai
Ye dard moj-e-saba huwa hai
Ye aag dil ki sada bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay,ye sukh ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo tera shaair tera mughanni
Wo jis ki baten ajeeb si theen
Wo jis ke andaz khusarwana the
Aur adaain ajeed si theen
Wo jis ki jeene ki khahishen bhi
Khud us ke naseeb si theen
Na pooch us ka keh wo dewana..
Bohat dinon ka ujar chuka hai
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se lar chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai...!

· 1 Like · Sep 06, 2017 at 21:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Raqs Me Jugnu, Duaon Ka Safar

Raqs me jugnu, duaon ka safar
Neem shab ki khamoshi or chasham-e-tar

Phir teri yadon ki qandelain jali
Jagmaga utha mera phir khwab ghar

Har taraf hen barzakhoon k munh khule
Zindagi he ya koi andhi qabar

Din dhale ye kanpti chiryon ka shor
Kat gira hoga koi borha shajar

Min bhatakti rooh hon or chaar soo
Rat, tanhai, hawa, anjan nagar....!

· 1 Like · Sep 06, 2017 at 02:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabbat Heer Aur Ranjha Tak Hi To Mahdood Nahi

Teri baat mukammal thi na meri baat adhuri thi
ye takmeel adhore pan ki payar main buhat zarori thi

to ne yon mehsoos kiya he warna dil main kuch bhi na tha
bas ik teri chahat thi or wo bhi ghair shaori thi

payar k deep jalaye rakhna apni apni rahon par
teri bhi majbori thi or maire bhi majbori thi

mere samne beth k jaise us ne nazar andaaz kiya
kon kahe ga apne dil ki us k dil se doori thi

muhabbat heer aur ranjha tak hi to mahdood nahi
na mare kano main bali na us k haath main chorri thi...!

· 1 Like · Sep 05, 2017 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Woh Abar Meray Dasht E Tamana Mai Utarta

woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta
ay kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta

kirnoon ki dhanak ourh kay ek rooz achanak
woh mujh se bichar kar meri dunia mai utarta

ek aks meray dil ke darechay mein dharakta
ek khwab meri ankh k sehra mein utarta

be noor na rahti shab-e-hijraan ki hatheli
woh jan-e-dua dasht-e-tamana mai utarta

woh chand kisi mehal ke khowaboon ka muqadar
kyon meray bujhay ghar ki tamana mai utarta

Javaid kisi shab meray khowaboon ka musafir
ankhoon se nikal kar dil-e-tanha mai utarta...!

· 1 Like · Sep 05, 2017 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zakham Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Par

Zakham muskurate hen ab bhi teri aahat par
Dard bhool jate hen ab bhi teri aahat par

Shabnami sitaron par phool khilne lagte hen
Chand muskurate hen ab bhi teri aahat par

Umar kaat di lakin bachpana nhi jata
Hum diye jalate hen ab bhi teri aahat par

Teri yad aye to neend jati rehti he
Hum khushi manate hen ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par chand muskurata hay
Khwab gungunate hen ab bhi teri aahat par

Tere hijar min hum par ik azab taari hay
Chonk chonk jate hen ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par aas lout aati hay
Ashk hum bahate hen ab bhi teri aahat par...!

· 1 Like · Sep 05, 2017 at 04:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kab Kaun Kisi Ka Hota Hai

Kab kaun kisi ka hota hai
Sub jhootey rishtey naate hain…

Sub dil rakhney ki batein hain
Sub asal roop chhupate hain…

Ikhlaq se khali log yahan
Lafzon ke teer chalate hain…

bahaar nigahon ko dikha kar
Phir saari umar rulate hain…

Who jis NE diye hain ashk humein
AB us ko bhool hi jaate hain...!

· 1 Like · Sep 04, 2017 at 22:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Karb Chehray Say Maah O Saal Ko Dhoya Jaaey

Karb chehray say maah o saal ko dhoya jaaey
Aaj fursat say kahin baith k roya jaaey,

Phir ksi nazm ki tamheed uthai jaaey
Phir ksi jism ko lafzon me samoya jaae,

Kuch to ho raat ki sarhad me utarnay ki saza
Garm suraj ko samandar me daboya jaaey

Itni jaldi to badaltay nhi hon gay chehray
Gard aalod hain aaino ko dhoya jaaey...!

· 2 Like · Sep 04, 2017 at 15:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Safar Main Ab Ke Hawa Ko Bhi Hamsafar Na Karoon

Talab ko ajar na doon, fikar-e-rahguzar na karoon!
Safar main ab ke hawa ko bhi hamsafar na karoon

Ubhartay doobtay sooraj se torr loon rishta
Main sham orh ke so jaon aur sahar na karoon

Ab is se barh ke bhala kya ho ehtiyat-e-wafa
Main tere sheher se guzroon, tujhe khaber na karoon!

Ye meray dard ki daulat, meri maata-e-firaaq
In ansuon ki wazahat main umer bhar na kroon!

Ujaar shab ki khalish ban ke main kho jaoon
Main chandni ki terha khud ko darbadar na karoon!

Wo aik pal ko dikhai to de kaheen Mohsin
Main jan gunwa ke bhi us pal ko mukhtasir na karoon...!

· 1 Like · Sep 04, 2017 at 09:09
Category: sad
 
jo shakhs naseehat maan le
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 14, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS