Poetry / Sad

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey

Baaton baaton mian bicharney ka ishara karkey
Khud bhi roya woh buhat ham se kinara karkey

Sochta rehta hoon tanhai main anjam-e-khuloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobara karkey

Jagmaga di hain terey shehrer ki galiyan main ne
Apney askhon ko palkon pe sitara karkey

Dekh laitay hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuch roz tere saath guzara karkey

Aik hi sheher main rehna hai magar milna nahi
Dekhtey hain yeh aziyat bhi gawara karkey...!

· 1 Like · Sep 27, 2017 at 14:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne

Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya es tarhan saath nibhaya hai kisi ne

Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun khail k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil es tarah say aaj jalaya hai kisi ne,

Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
es tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne...!

· 1 Like · Sep 27, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aik Dia Dil Main Jalana Bhi

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad karna bhi usey rooz, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat us ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi karna,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm karna bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadam, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi dain...!

· 1 Like · Sep 27, 2017 at 02:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kitni Mushkil Se Kati Kal Ki Meri Raat Na Pooch

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney churaya hai mujh se haath na pooch

es tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch...!

· 1 Like · Sep 26, 2017 at 20:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aaj Jo Tanha Hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath Thay to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Rothti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thaama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga...!

· 1 Like · Sep 26, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kismat Ney Kar Diya Jo Mayasir Utha Liya

Kismat ney kar diya jo mayasir utha liya
Pathar utha liya kabhi Gohar utha liya

Paimana e jaam meena o sagar utha liya
Sakhi ney jo dey diya sar par utha liya

Woh aadmi farishta hai jis ney Qadam Qadam
Ghairoon ka ghaam bhi apna samjh kar utha liya

Kia Karbala Key Zalimoon ki laye koi misaal
Manga jo pani bachoon ney Nashtar utha liya

Mujh say guraiz karney lagey mere hum safar
Main ney Qadam jo rah mein behtar utha liya

Ehbaab mujh say es liye naraz hain Qamar
Kiun us ney mujh ko apney barabar utha liya...!

· 1 Like · Sep 24, 2017 at 23:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zara Sahil Pe Aa Kar Wo Jo Thora Muskura Zara Sahil Pe Aa Kar Wo Jo Thora Muskura Deta

Zara sahil pe aa kar wo jo thora muskura deta

Bhanwar ghabra k khud mujh ko kinaray pr lga deta

Wo na ata magar itna to keh deta main Aaon ga

Sitaray, chand, Sara Aasman Raah me bicha deta

Khabar hoti agar ye jaal hai Qismat ki sazish ka

Lakirain apne hathon ki main usi lamhe mita daita

Shajar hota to Tera naam Patton par likh likh kar

Tmharay shehar ki janib hawaon me Urra deta...!

· 1 Like · Sep 24, 2017 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi

Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Sitamgar Ko Fursat Kab Thi

Hum Thy Mohabbat Mein Lut Jane Ke Qaayil
Hamari Khatir Kisi Ko Chornay Ki Us Mein Himmat Kab Thi

Wo Tu Waqt Guzarnay Ke Liye Karta Tha Pyar Ki Baatain
Warna Meri Khatir Us Ke Dil Mein Chahat Kab Thi

Bohut Roka Phir Bhi Nikl Aaye Kambakht Aansu
Warna Bazm-e-Yaar Mein Ansu Bahanay Ki Ijazat Kab Thi...!

· 1 Like · Sep 24, 2017 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mujh Ko Ruswa Sar E Mehfil

MUJH KO RUSWA SAR E MEHFIL

TO NA KERWAYA KARE

KAASH ANSOO MERI

ANKHON MAI HI REH

JAAYA KARE

AI HAWA MAINE TO BAS

USKA PATA POOCHHA THAA

AB KAHAANI TO NA

HAR BAAT KI BAN

JAAYA KAREY...!

· 1 Like · Sep 23, 2017 at 22:09
Category: sad
 
The Pee Analyser
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jul 02, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS