Poetry / Sad

Pal Bhar Mein Tamam Umer Ki Sochein Badal Jati Hain

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin raahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar saatain badal jati hain

sochti hoon jane kaisay keh paoon gi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain

chahe Manzil Dushwar ho or Duur bhi
humsafer us jaisa ho to musaftain badal jati hain

yun to Raat ka aalam haseen hota hai, madhosh bhi
magar chand dekhoon to meri ratein badal jati hain

mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi aadatain badal jati hain...!

· 1 Like · Sep 30, 2017 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Rehne Do Wapsi Kay Liye Raasta Khula

Toota jo aake lab pe, tera naam hi to hai
Dil mein bas aik khuahish-e-nakaam hi to hai
Pehla qadam hi aakhri hai, uth sake agar
Manzil yaqeen-e-ishq ki aik gaam hi to hai
Rehne do wapsi kay liye raasta khula
Woh bad nahi hai, aik zara badnaam hi to hai
Sabit karega kia koi ham par jafa ka jurm
Aik roz dhul hi jaayega ilzaam hi to hai...!

· 1 Like · Sep 30, 2017 at 04:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Agar Tum Mujh Ko Mil Jatay

Agar Tum Mujh ko Mil Jatay
bohat mumkin tha
mere paon se zeest k
kantay nikl jatay
bohat mumkin tha
meri raah k pathar pighal jatay
jo dewarain mere rastay mein
hayel theen
mere agay se hat jati
bohat mumkin tha
angaroon bhari es zindagani mein
tumharay paon k ujlay kanwal khiltay
rafaqat ki sunheri jheel mein
dono k aks zoofishan hiltay
bus ek khafa-e-musal sal ki fiza rehti
hmari rooh khoob hum
se khafa rehti
yeh subh kuch aeen mumkin tha
aggar tum mujh ko mil jatay...!

· 1 Like · Sep 29, 2017 at 21:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Ziker Na Kerna

Dukh Dard Ke Maron Se Mera Ziker Na Kerna
Ghar Jao To Yaroon Se Mera Ziker Na Kerna
WO Zabt na Ker Payen Gay Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaron Se Mera Ziker Na Kerna
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se
Dekho Kabhi Kantoon Se Mera Ziker Na Kerna
Shyad Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayen
Ab Chand Sitaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Meri Kahani Ko Ghalat Rang Na De Dain
Afsana Nigaron Se Mera Ziker Na Kerna
Shayad Wo Mere Haal Pe Be Saakhta Ro Dain
es Baar Un ke samnay mera zikar na karna...!

· 2 Like · Sep 29, 2017 at 15:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ay Mere Hamnasheen Chal Kaheen Aur Chal

Ay mere hamnasheen chal kaheen aur chal,
es chaman mein ab apna guzara nahin.

baat hoti gulon tak to seh lete hum,
ab to kaaton pe bhi haq hamara nahin.

jab gulistan ko khoon ki zarorat padi
sab se pehle hamari hee gardan kati,
phir bhi kehte hain humse ye ahle chaman
ye hamara chaman hai tumhara nahin.

aaj aaye ho aur kal chale jaoge
yeh muhabbat ko meri gawara nahin,

umr bhar kaa sahara bano to bano
chaar din kaa sahara sahara nahin

Ay mere hamnasheen chal kaheen aur chal...!

· 1 Like · Sep 29, 2017 at 03:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Pyas Vo Dil Ki Bujhane Kabhi Aya Bhi Nahi

pyas vo dil ki bujhane kabhi aya bhi nahi
kaisa baadal hai jiska koi saya bhi nahi

roz ata hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaya bhi nahi

sun liya kaisay Khuda jaane zamane bhar ne
vo fasana jo kabhi hamane sunaya bhi nahi

tum to shaayar ho Qateel aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahi...!

· 1 Like · Sep 28, 2017 at 14:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Karray Hain Hijar K Lamhaat

Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena

Hawa-e-Mousam-e-Gham Uss k Shehar Jaye To
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena...!

· 1 Like · Sep 28, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kaha Tha Tum Say

Kaha tha tum say…mera intezaar na karna
dunya chahey jo kahey tum aitebar na karna

Aisa ho chuka hai kayee baar pehlay bhi
ab ki baar tum koi bhi sawal na karna

Din raat kat rahey hein ab to ussi k khyal mein
wo lamhein wo ratein,unko yaad baar baar na karna

Zindagi tanha hi sahi..kat rahi hai ab tak
kis nay keh diya tha mohabbat ka izhaar na karna...!

· 2 Like · Sep 28, 2017 at 02:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saath Chalne Main Jo Maza Hota

Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota

Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota

Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota

Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota

Hum ulajhtay nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota

Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota...!

· 1 Like · Sep 27, 2017 at 20:09
Category: sad
 
Mai Paida Kaise Hua?
Posted by noor bukhari
Posted on : Sep 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS