Sad
Poetry / Sad
Tamanna Le K Ulfat Ki Mere Aangan Main Wo Aaya
Tamanna le k ulfat ki mere aangan main wo aaya
MOHABBAT Rog hai Dil ka Usay yeh meine samjhaya
Kaha us ne Mohabbat kar shareek-e-Gham bana MUJH ko
Karonga Main Zamanay ki khushi se Aashna TUM ko
Hua Majboor main yaro kiya Iqraar ulfat ka
Laga di JAAN ki bazi samajh kar khel Qismat ka
Hui Maloom phir Uski haqeeqat yeh Zamanay se
Usay taskeen milti hai Kisi ka DIL dukhane se...!
MOHABBAT Rog hai Dil ka Usay yeh meine samjhaya
Kaha us ne Mohabbat kar shareek-e-Gham bana MUJH ko
Karonga Main Zamanay ki khushi se Aashna TUM ko
Hua Majboor main yaro kiya Iqraar ulfat ka
Laga di JAAN ki bazi samajh kar khel Qismat ka
Hui Maloom phir Uski haqeeqat yeh Zamanay se
Usay taskeen milti hai Kisi ka DIL dukhane se...!
·
2 Like ·
Sep 20, 2017 at 19:09
Category: sad
Poetry / Sad
Kaha Tha Naa
Kaha tha naa...!!
Meri khamoshi ko...
Tum koi maani nahi daina...
Judai ki sabhi baatein...
Meri ankhon main parh laina...
Meri es muskurahat main...
Agar mehsoos kar pao...
Tu...
Meray aansoon ki tum...
Nami mehsoos kar laina...
Kaheen jo reh gayi hai...
Woh kami mehsoos kar laina...
...
Meri sochein...
Meray alfaz ka jab roop laiti hain...
Tumhara aks banta hai...
Meri neendon main jab jab...
Ratjago kay deep jaltay hain...
Tumhara zikr chalta hai...
Tumhari yaad maazi kay dareechay khol daiti hai...
Tumhari shabnami aahat yeh mujh say bol daiti hai...
Kaha tha naa...!!
Hamaray darmiyan yeh faaslay...
Qismat main likhein hain...
Aur es qismat kay likhay ko...
Badal tum bhi nahi sakti...
Badal main bhi nahi sakta...
Magar...
Mushkil yehi hai...
Hijr kay pur paich raston par...
Sambhal tum bhi nahi sakti...
Sambhal main bhi nahi sakta...
Tou behtar hai kay...
Ham ek dosray ki yaad kay hamrah ho jayen...
Kay ab kay es mohabbat say...
Nikl tum bhi nahi sakti...
Nikl main bhi nahi sakta...
Suno Jaana...!!
...
Tumhari shabnami aahat...
Meray andar dharakte hai...
Magar...
...
Jab khamoshi say tum koi maani nahi laiti...
Tou yeh dil rooth jata hai...
Meray andar kaheen par kuch...
Achaanak toot Jata hai...!!
Meri khamoshi ko...
Tum koi maani nahi daina...
Judai ki sabhi baatein...
Meri ankhon main parh laina...
Meri es muskurahat main...
Agar mehsoos kar pao...
Tu...
Meray aansoon ki tum...
Nami mehsoos kar laina...
Kaheen jo reh gayi hai...
Woh kami mehsoos kar laina...
...
Meri sochein...
Meray alfaz ka jab roop laiti hain...
Tumhara aks banta hai...
Meri neendon main jab jab...
Ratjago kay deep jaltay hain...
Tumhara zikr chalta hai...
Tumhari yaad maazi kay dareechay khol daiti hai...
Tumhari shabnami aahat yeh mujh say bol daiti hai...
Kaha tha naa...!!
Hamaray darmiyan yeh faaslay...
Qismat main likhein hain...
Aur es qismat kay likhay ko...
Badal tum bhi nahi sakti...
Badal main bhi nahi sakta...
Magar...
Mushkil yehi hai...
Hijr kay pur paich raston par...
Sambhal tum bhi nahi sakti...
Sambhal main bhi nahi sakta...
Tou behtar hai kay...
Ham ek dosray ki yaad kay hamrah ho jayen...
Kay ab kay es mohabbat say...
Nikl tum bhi nahi sakti...
Nikl main bhi nahi sakta...
Suno Jaana...!!
...
Tumhari shabnami aahat...
Meray andar dharakte hai...
Magar...
...
Jab khamoshi say tum koi maani nahi laiti...
Tou yeh dil rooth jata hai...
Meray andar kaheen par kuch...
Achaanak toot Jata hai...!!
·
2 Like ·
Sep 20, 2017 at 13:09
Category: sad
Poetry / Sad
Main Aadhay Tirchay Khayal Sochon
Main aadhay tirchay khayal sochon...
Kay be irada kitaab likhon...
Koi shanasa ghazal trashon...
Kay ajnabi intasab likhon...
Ganwa do ek umar kay zamanay...
Kay ek ek pal ka hisaab likhon...
Meri tabiyat par munhasir hai...!!
Kay jis tarha ka bhi nisaab likhon...
Yeh meray apnay mizaj par hai...
AZAAB sochon, sawaab likhon...
Taveel tar hai safar, tumhay kya...??
Main ji raha hon magar, tumhay kya...??
Tumhay kya kay tum tou kab say...
Meray iraday ganwa chukay ho...
Jala kay saaray huroof apnay...
Meri duaen bujha chukay ho...
Suna hai sab kuch bhula chukay ho...
Tu ab meray dil pay yeh jabr kaisa...??
Yeh dil tou hadd say guzar chuka hai...
Guzar chuka hai magar tumhay kya...??
Khizaan ka mausam thehr chuka hai...
Thehr chuka hai magar tumhay kya...??
Tumhay kya kay es khizaan main...
Main Jis tarhe kay bhi khowab likhon...!!
Kay be irada kitaab likhon...
Koi shanasa ghazal trashon...
Kay ajnabi intasab likhon...
Ganwa do ek umar kay zamanay...
Kay ek ek pal ka hisaab likhon...
Meri tabiyat par munhasir hai...!!
Kay jis tarha ka bhi nisaab likhon...
Yeh meray apnay mizaj par hai...
AZAAB sochon, sawaab likhon...
Taveel tar hai safar, tumhay kya...??
Main ji raha hon magar, tumhay kya...??
Tumhay kya kay tum tou kab say...
Meray iraday ganwa chukay ho...
Jala kay saaray huroof apnay...
Meri duaen bujha chukay ho...
Suna hai sab kuch bhula chukay ho...
Tu ab meray dil pay yeh jabr kaisa...??
Yeh dil tou hadd say guzar chuka hai...
Guzar chuka hai magar tumhay kya...??
Khizaan ka mausam thehr chuka hai...
Thehr chuka hai magar tumhay kya...??
Tumhay kya kay es khizaan main...
Main Jis tarhe kay bhi khowab likhon...!!
·
1 Like ·
Sep 20, 2017 at 07:09
Category: sad
Poetry / Sad
Suno Jana
Suno jana..!
humeiN jab sey mila hey ye sandesa..
Ab Judaai hey
humaari aankh k aansoo
taRaptay dil ki noha gari karti ye dhaRkan
Bikharti saans ka resham
merey haathoN ki ye larzish
Meri baatoN ka toota pan
merey hontoN ki neeli chup
ragoN meiN barf banta ye lahu mera
meri bikhri huwi neendoN ki kul poonji
adhooray khawaab sab merey
(tumhaarey lams ki khaahish)
tamanaoN k tootey Aainey saarey
merey kamrey meiN bikhrey heiN
mujhey har pal adhoori mout detey heiN…..
magar………
meiN kitni be-bass hooN
k kuch bhi kar nahi sakti
bicharney sey zara pehley
mukamal mar nahi sakti...!
humeiN jab sey mila hey ye sandesa..
Ab Judaai hey
humaari aankh k aansoo
taRaptay dil ki noha gari karti ye dhaRkan
Bikharti saans ka resham
merey haathoN ki ye larzish
Meri baatoN ka toota pan
merey hontoN ki neeli chup
ragoN meiN barf banta ye lahu mera
meri bikhri huwi neendoN ki kul poonji
adhooray khawaab sab merey
(tumhaarey lams ki khaahish)
tamanaoN k tootey Aainey saarey
merey kamrey meiN bikhrey heiN
mujhey har pal adhoori mout detey heiN…..
magar………
meiN kitni be-bass hooN
k kuch bhi kar nahi sakti
bicharney sey zara pehley
mukamal mar nahi sakti...!
·
1 Like ·
Sep 20, 2017 at 00:09
Category: sad
Poetry / Sad
Wo Kehta Hai
Wo Kehta Hai!
Usay Phoolon Ki Chahat Hai
...
Magar Jab Phool Khilte Hain
Wo Un Ko Torr Deta Hai,
Wo Kehta Hai!
Usay Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai
Magar Jab Barish Hoti Hai
Wo Kamre Mein Afsurda
Ho Kar Baith Jata Hai,
Wo Kehta Hai
Hawaayen Ishq Hain Us Ka
Hawaa Lekin Chalay Jab To?
Wo Khirki Band Rakhta Hai,
Mujhe Ab Darr Sa Lagta Hai
Wo Jab Bhi Mujhse Kehta Hai!
Usay Mujh Se Mohabat hai...!
Usay Phoolon Ki Chahat Hai
...
Magar Jab Phool Khilte Hain
Wo Un Ko Torr Deta Hai,
Wo Kehta Hai!
Usay Barish Ka Mosam Acha Lagta Hai
Magar Jab Barish Hoti Hai
Wo Kamre Mein Afsurda
Ho Kar Baith Jata Hai,
Wo Kehta Hai
Hawaayen Ishq Hain Us Ka
Hawaa Lekin Chalay Jab To?
Wo Khirki Band Rakhta Hai,
Mujhe Ab Darr Sa Lagta Hai
Wo Jab Bhi Mujhse Kehta Hai!
Usay Mujh Se Mohabat hai...!
·
1 Like ·
Sep 19, 2017 at 12:09
Category: sad
Poetry / Sad
Us Ne Door Rehnay Ka Mashwara Bhi Likha Hai
us ne door rehnay ka mashwara bhi likha hai
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai
shukria bhi likha hai dil se yad karnay ka
dil se dil ka hai kitna faasla bhi likha hai
kya usay likhain Mohsin kya usay kahain Mohsin
jis ne kar ke be jan phir jaan bhi likha hai...!
sath hi muhabbat ka wasta bhi likha hai
us ne ye bhi likha hai mere ghar nahin ana
saaf saaf lafzon main rasta bhi likha hai
kuch haroof likhay hain zabt ki naseehat main
kuch haroof main us ne hosla bhi likha hai
shukria bhi likha hai dil se yad karnay ka
dil se dil ka hai kitna faasla bhi likha hai
kya usay likhain Mohsin kya usay kahain Mohsin
jis ne kar ke be jan phir jaan bhi likha hai...!
·
1 Like ·
Sep 19, 2017 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Bohat Masroof Rehte Ho
Bohat masroof rehte ho
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
·
1 Like ·
Sep 19, 2017 at 00:09
Category: sad
Poetry / Sad
Bohat Masroof Rehte Ho
Bohat masroof rehte ho
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
Sehar se shaam hone tak
Koi lamha nahin milta
Koi be naam si fursat
Kabhi bethe hue tanha
Kahin jo shaam ho jaye
To meri iltija hai yeh
Koi lamha chura lena
Jo mere Naam Ho Jaye.....!!!
·
1 Like ·
Sep 18, 2017 at 18:09
Category: sad
Poetry / Sad
Mujhe Ab Darr Nahi Lagta
Mujhe ab darr nahi lagta
kisi k door jane se
Taluq Tot jane se
kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se
kisi ko bhol jane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ko choar dene se
kisi k choar jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Akele muskrane se
kabhi ansoo bhane se
Na es sare zmane se
Haqeeqat se fasane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ki na rasai se
Kisi ki paarsai se
Kisi ki bewafai se
Kisi dukh intehai se
Mujhe ab darr nahi lagta
Na to es paar rehne se
Na to us paar rehne se
Na apni zindgani se
Na ik din mout aane se
Mujhe Ab Darr Nahi Lagta...!
kisi k door jane se
Taluq Tot jane se
kisi k maan jane se
kisi k roth jane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ko azmane se
kisi k azmane se
kisi ko yad rakhne se
kisi ko bhol jane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ko choar dene se
kisi k choar jane se
Na shama ko jalane se
Na shama ko bujhane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Akele muskrane se
kabhi ansoo bhane se
Na es sare zmane se
Haqeeqat se fasane se
Mujhe ab darr nahi lagta
Kisi ki na rasai se
Kisi ki paarsai se
Kisi ki bewafai se
Kisi dukh intehai se
Mujhe ab darr nahi lagta
Na to es paar rehne se
Na to us paar rehne se
Na apni zindgani se
Na ik din mout aane se
Mujhe Ab Darr Nahi Lagta...!
·
1 Like ·
Sep 17, 2017 at 10:09
Category: sad
Sponored Video