Poetry / Sad

Titliyan Jugnoo Sabhi Hongay Magar Dekhay Ga Kaun

Titliyan jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun

Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan
hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun

jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay
jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun

bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko
ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga kaun...!

· 1 Like · Sep 23, 2017 at 16:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Un Kahi K Lehje Me

Un kahi k lehje me.
Kya nahi kaha Hum ne.
un suni k parde me.
Kya nahi suna tum ne.
Raaz jo nahi khulta,
Jaante hain Hum dono.
Dooriyon se darrna kya.
Aah sard bharna kya.
Aysi rut Bhi aaye gi.
Jab K shakh-e-farda par.
Misl-e-gul khilen gay Hum.
Aik din milen gay Hum...

· 1 Like · Sep 22, 2017 at 20:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Benaam Musafir Hoon

Benaam musafir hoon,

be naam safar mera,

Kis rah nikl jaon,

kuch keh nahi sakta..

Be naam meri manzil hy.

be naam thikana hy.

kis dar pr main ruk jaon,

kuch keh nahi sakta.

es paar to roshan hy sara mera rasta,

Us paar andhera ho,

Kuch keh nahi sakta.

Tinkay ki tarah main bhi beh jaon samandar mein,

mil jaiy ga kinara,

kuch keh nahi sakta..

Mil jaiy gi tabeer mery khowaboon ki aik din,

Ya khawab Bikhar jaen,

Kuch keh nahi sakta...

· 1 Like · Sep 22, 2017 at 14:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aankhain Khuab Dekhti Hain

Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka

Aankhain khuab dekhti hain

Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka...

· 1 Like · Sep 22, 2017 at 08:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno Tum Laut Aao Na

Suno Tum laut aao na.
Wo dekho chand nikla hai.
Hamari muntazir ankhein,
Duain maangti ankhein.
Tumhein sochti ankhein,
Tumhein dhondti ankhein,
Tumhein wapis bulati hain,
Ye Dil jab bhi Dharakta hai.
Tumhara naam layta hai.
Ye aansu jab bhi behtay hain.
Tumharay Dukh main behtay hain.
K barish jab bhi hoti hai.
Tumhein yaad kartay hain.
Khushi koi jo aaye bhi.
Tumharay bin adhuri hai.
Suno tum laut aao na.
wo dekho chand nikla ha...

· 1 Like · Sep 22, 2017 at 02:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bheer Men Chaaron Taraf Chehrey Anjaaney Miley

Bheer men chaaron taraf chehrey anjaaney miley
Merey apney aaj mujh sey ban k baigane miley

Tha bharosa doston par itna k mujh sey na pooch
Jin k haathon men thay pathar log pehchanay miley

Ban k marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko
Jesey jesey waqt beeta zakham puraney miley

Kis k aagay rotay or sunatay apni dastaan
Basti thi ujri hui sunsaan thikanay miley

Ab na maangen gey Illahi zindagi ki bhek hum
Ishq men shamma ke yeh kehtey huey parwanay miley

Dil diya tha naaz sey jis jis ney apni jaan ko
Chund tootay dil k tukray unko nazranay miley

Maazi ki yaad men sab doobay huey thay es qadar
Khawab terey shehar k sab log deewaney miley...!

· 1 Like · Sep 21, 2017 at 19:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tum Ne To Ibadat Ka Tamasha Bana Diya

Safar-E-Wafa Ki Raah Mein Manzil Jafa Ki Thi,
Kaghaz Ka Ghar Bana K Bhi Khawahish Hawa Ki Thi

Thi Jugnuon K Shehr Mein Taron Se Dushmani,
Mashooq Chand Tha Aur Tamanna Subha Ki Thi

Tum Ne To Ibadat Ka Tamasha Bana Diya,
Chahat Namaz Ki Thi Per Aadat Qaza Ki Thi,

Maine To Zindagi Ko Tere Naam Likha Tha,
Shayad Mgr Kuch Aur Hi Marzi Khuda Ki Thi,

Dard He Dena Tha To Pehle Bata Detay,
Hum Ko Bhi Azal Se He Tamana Saza Ki Thi...!!!

· 3 Like · Sep 21, 2017 at 13:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Badal Saka Na Judai K Gham Utha Kar Bhi

Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main dhokay main hi raha tujh say door ja kar bhi

Main sakht jaan tha es qurb say b bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath say ganwa kar bhi

Khuda kare tujhe doori hi raas ajaye
Tu kya kare ga bhala ab yahan par aa kar bhi

Abhi tu mere bikharne ka khail baqi hai
Main khush nahi hoon abhi apna ghar lota kar bhi

Abhi tu us ne koi bhi faisla na kiya
Wo chup hai mujhko har tarha say aazma kar bhi

Wo aur log the jin ka ajaz haal howa
Hume tu kuch na mila apna ap mita kar bhi

Khula ye bhaid k tanhaiyan hi qismat hain
Ek umar dekh liya mehfilein saja kar bhi

Ghazal kehne pay bhi sochoon ka bojh kam na howa
Sakoon na mill saka ahwal-e-dil suna kar bhi

Ruka na zulm mere rakh banne par bhi Riyaz
Hawa ki khoj tu wahi hai mujhe jala kar bhi...!

· 1 Like · Sep 21, 2017 at 07:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tum Bhi Aao Na Mujhey Had Sa Guzarta Daikho

tum bhi aao na mujhey had sa guzarta daikho
apni ankhon sa aik ajnabi pe marta daikho

me aise hi tanhai me nhi roya kerti
aao mare angan ko baharon main ujarta daikho

kis qadar pyar se hawaon ne chua tha jissay
aao us phool ko baharon main bikharta daikho

yun na samjho gay mare shiddat-e-jazbat ko
meri raton ko bas tanhai main guzarta daikho...!

· 1 Like · Sep 21, 2017 at 01:09
Category: sad
 
Amazing art.
Posted by ureeda tehreem
Posted on : Dec 03, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS