Poetry / Sad

Kyoon Sataate Ho Mujhe Kitna Yaad Aate Ho

rooth jaate ho tum bas rooth jaate ho

kyoon sataate ho mujhe kitna yaad aate ho

jaante ho mujhe passand nahi

gair ko raaz kyun batate ho

husn ki be wafai saari

ishq ke naam kyon lagate ho

be niazi ki had bhi hai koi ?

kaisay katra ke guzar jaate ho

kyon satate ho mujh kitna yaad aate ho...!

· 1 Like · Oct 07, 2017 at 06:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Buht Pehly Kabhi Sunna Tha

Buht Pehly Kabhi Sunna Tha
Muhabat Majboor O Be Bass Hoti Hai
Diloon Ko Jalati Hai
Jaan Ley Lati Hai
Judai Ka Mosam Aye To
Dil Ki Dherkan Lay Lati Hai
Abb Aa gya Yaqeen Es Baat Per
Muhabat Buht Kuch Deti Hai
To
Sabb Kuch Chean Bhi Lete Hai
Jabb Jabb Yeh Dard Daite Hai
Jabb Jabb Yeh Jaan Lete Hai
Tab wo Sunna Hua Jumla Yaad Ane Lagta Hai
Muhabat Majboor O Be Bass Hoti Hai
Jaan Baqi Na Rahe To
Rooh Ko Be Chain Rakhti He
Muhabat Majboor Hoti he
Be Bas Hoti Hai
Be Ikhtiar Hoti Hai...!

· 1 Like · Oct 06, 2017 at 16:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Meri Khamoshi Ko Woh Meri Khataa Kehta Hai

meri khamoshi ko woh meri khataa kehta hai

kitna nadaan hai wafaoon ko jafa kehta hai

woh ke anjaan e mohabbat hai usay kiya kahiye

dil ke rone ko wo dharkan ki sada kehta hai

mai usay kitna bhi chahoon per nahi us pe asar

meri diwaangi ko apna huner kehta hai

yaan to awaaz uthaane ki saza maut hi hai

tum bhi maano wohi jo hakim-e-waqt kehta hai

bus woh aaghaaz e mohabat ke chaand lamhe hain yaad

jin ko woh larakpan ki khataa kehta hai...!

· 1 Like · Oct 05, 2017 at 15:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kuch Khud Bhi They Afsurda Sey

kuch khud bhi they afsurda sey,

kuch tum bhi hum sey rooth gaye,

kuch khud hi zakhm key aadi thay,

kuch sheeshay haath sey choat gaye,

kuch khud bhi they hassaas bohat,

kuch tum ko sach sey nafrat thi,

kuch hum sey na boley jhoot gaye,

kuch logon ne uksaya tumhain,

kuch apny muqaddar phoot gaye,

kuch khud itney mohtaat na thay,

kuch log bhi hum ko loot gaye,

kuch talkh haqiqetain theen,

k khowaab hi saarey toot gaye...!

· 1 Like · Oct 04, 2017 at 21:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Main Jal Raha Tha Barsoon Sey

Ik Diya Hoon

Taiz Hawaon Key Jhonkon Sey,

Bus Bujh Gaya Hoon

Main Jal raha Tha Barsoon Sey,

Roshan Raha Tha sadion Sey

Ab Bujh Gaya Hoon

Haan Main Ik Diya Hoon

Jalta Tha To Roshni Thi,

Andhairoon Mai Ghir Gaya Hoon

Main Bujh Gaya Hoon

Main Ik Diya Hoon

Mujh Sey Wabasta lamhoon Ney,

Moo Mujhsey Morr Liya Hey

Merey Andhairoon Ko

Merey Sang Akaila ChoAr Diya Hey

Bus Abb Aandhiyoun Ka Intizar Hey,

Mera Abb Rahna Bekaar Hey

Main ab Bujh Gaya Hoon

Haan Main Ik Diya Hoon...!

· 1 Like · Oct 04, 2017 at 14:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aey Sarab Hasraton Ke Zara Baat Suntey Jaana

Aey Sarab Hasraton Ke Zara Baat Suntey Jaana
Jo Choor Choor Ho Pehley Usey Aur Kya Satana!

Ye Taqdeer Ki Hein Chaalein Ke Badli Hui Hey Bazi
Jo Mera Charagar Tha Mein Usi Ka Hoon Nishana

Wo Lamha Jab Sey Mein Ney Teri Ulfat Ka Jaam Khoya
Chatkha Huwa Hey Tab Sey Sochon Ka Har Pemana

Abhi Tamheed Hi Suni Thi Ke Bilak Ke Ro Parri Wo
Jo Mein Kehney Ja Raha Tha Wo Tha Asal Fasaana,

Honton Pe Kuch Nahi Hey, Aansu Bhari Hein Aankhein
Lagta Hey Aaj Us Ney Seekha Hey Naya Bahaana

Jo Aag Tu Ney Di Hey Mein Usi Mein Jal Raha Hoon
Mujhey Door Hi Sey Takna Merey Paas Ab Na Aana

Ye Udasiyon Ki Raatein Chalo Andherey Mein Hi Kaatein
Jo Chiraagh Bujh Chukey Hein Ab Kya Unhey Jalaana

Ye Dhanak Mohabbaton Ki Merey Paas Ab Na Laao
Jo Rang Bigar Gay Hein Unhey Phir Sey Kya Sajaana

Ye Berukhi Ke Nashtar To Mein Kab Sey Seh Raha Hoon
Es Baar Tum Milo To Koi Zakhm Naya Lagana...!

· 1 Like · Oct 04, 2017 at 09:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aey Sarab Hasraton Ke Zara Baat Suntey Jaana

Aey Sarab Hasraton Ke Zara Baat Suntey Jaana
Jo Choor Choor Ho Pehley Usey Aur Kya Satana!

Ye Taqdeer Ki Hein Chaalein Ke Badli Hui Hey Bazi
Jo Mera Charagar Tha Mein Usi Ka Hoon Nishana

Wo Lamha Jab Sey Mein Ney Teri Ulfat Ka Jaam Khoya
Chatkha Huwa Hey Tab Sey Sochon Ka Har Pemana

Abhi Tamheed Hi Suni Thi Ke Bilak Ke Ro Parri Wo
Jo Mein Kehney Ja Raha Tha Wo Tha Asal Fasaana,

Honton Pe Kuch Nahi Hey, Aansu Bhari Hein Aankhein
Lagta Hey Aaj Us Ney Seekha Hey Naya Bahaana

Jo Aag Tu Ney Di Hey Mein Usi Mein Jal Raha Hoon
Mujhey Door Hi Sey Takna Merey Paas Ab Na Aana

Ye Udasiyon Ki Raatein Chalo Andherey Mein Hi Kaatein
Jo Chiraagh Bujh Chukey Hein Ab Kya Unhey Jalaana

Ye Dhanak Mohabbaton Ki Merey Paas Ab Na Laao
Jo Rang Bigar Gay Hein Unhey Phir Sey Kya Sajaana

Ye Berukhi Ke Nashtar To Mein Kab Sey Seh Raha Hoon
Es Baar Tum Milo To Koi Zakhm Naya Lagana...!

· 1 Like · Oct 04, 2017 at 02:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno Larki

suno larki …
meri maano
abhi tum ishq mat karna
abhi guriya sey khelo tum
tumhaari umer hi kya hey
faqat sola baras ki ho
abhi masoom bachi ho
nahin maaloom abhi tumko
ke jab ye ishq hota hey
to insaan kitna rota hey
sitaaray toot jatay hain
saharay chhoot jatay hain
abhi tum ne nahin dekha
k jab saathi bichartay hain
to kitna dard hota hey
ke har furqat k mosam main
hazaro gham ubhartay hain
hazaro zakhm khultay hain

suno larki …
meri maano
parhai par tawajo do
kitaabon main gulab ko
kabhi bhoolay se mat rakhna
kitaabain jab bhi kholo gi
ye kaanton ki tarah
dil main chubhen ge khoon bahayen ge
tumhain pehron satayen ge
kisi ko khat nahin likhna
likhai pakri jaati hey
bari ruswayi hoti hoti hey
kisi ko phone mat karna .

Suno lerki …
meri maano
ABHI TUM MOHABBAT MAT KERNA...!

· 2 Like · Oct 03, 2017 at 20:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajeeb Tarha Sy Socha Hai Zindagi K Liye

ajeeb tarha sy socha hai zindagi k liye
key zakham zakham mai khilta hon main her khushi k liye

woh mujhko chorr gaya to mujhey yaqeen aaya
koi bhi shakhs zarori nahin kisi k liye

sawaal ye hey k usney kabhi nahin poocha
key aap sochty kesey hain shairi merey liye

usey khabar hey ke us ka koi nahin apna
aik aashnai bhi kafi hey ajnabi k liye

khataa kisi ki ho lekin saza kisi ko miley
ye baat jabr ney chorri hey her sadi k liye

ye saadgi thi meri ya k chahat thi
key mainey khud ko paish kiya dil lagi k liye...!

· 1 Like · Oct 03, 2017 at 13:10
Category: sad
 
Beautiful View of Makkah
Posted by Muzammil Shahzad
Posted on : Oct 28, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS