Poetry / 0

Samreen Anjum

Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha

Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha
Wo mera hai par usne meri taraf nahi dekha
Zindagi se mila to hoon magar kuch is tarah
Mene uski usne meri taraf nahi dekha

Usko dekha tha ik baar badi sanjeedgi se
Us se behtar koi doosra nahi dekha
Wo mera ishq hai yaa ibaadat hai meri
Us se jyaada to khuda ki taraf nahi dekha

· 2 Like · Mar 17, 2015 at 11:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Amnah Khan

Sar Jo Mahafuuz Ho.n Unake, To Ridaa Bhii Maa.nge.n

sar jo mahafuuz ho.n unake, to ridaa bhii maa.Nge.n
haath uThaane kii sakat ho to duaa bhii maa.Nge.n
abhii zaKhmo.n kii numaaish kaa hai i.nsaan kaa vajuud
jism ko jism banaale.n to qaabaa bhii maa.Nge.n
maut se bhii koii umiid nahii.n hai "Meraj"
ham jo zi.ndaa ho.n to marne kii duaa bhii maa.Nge.n

"Meraj Faizabadi"

· 1 Like · Mar 17, 2015 at 05:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Naila Ahmed

Kya Farq Parta Hai

Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
us shaks ki yaadon mein
chahe rotey raho lekin
Tumhare aisa karney se
Usey kya farq parta hai......

· 1 Like · Mar 16, 2015 at 23:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Dawood Ali

Dil To Kaheta Hai Zamane Se Chupalon Tujh Ko

Dil to kaheta hai zamane se chupalon tujh ko
Dil ki dhadkan ki tarah dil me basalon tujh ko

Koi ahsas judai ka na rahne paye
Is tarah khud me meri jaan samalon tujh ko

To jo ruthe kabhi mujh se mere dil ke malik
Sari duniya se khafa ho ke manalon tujh ko

Jabhbhi dekhon tere chahre peh udasi ka saman
Yehi chahon ke kisi tarah hansalon tujh ko




· 1 Like · Mar 16, 2015 at 17:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Imran Khan

Mohabbat Dilo Ko Awara Bana Deti Hai

mohabbat dilo ko awara bana deti hai,
gardish mein rehne wala sitara bana deti hai
yeh apni hud mein rahe to thik
warna kisiko veer to kisiko zaara bana deti hai...


· 1 Like · Mar 15, 2015 at 19:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Farooq Ahmed

Mirza Ghalib Shayari


ek ek qatare kaa mujhe denaa pa.Daa hisaab
Khuun-e-jigar vadii_at-e-mishagaan-e-yaar thaa
ab mai.n huu.N aur maatam-e-yak shahar-e-aarazuu
to.Daa jo tuu ne aa_iinaa timasaal daar thaa
galiyo.n me.n merii naash ko khe.nche phiro ki mai.n
jaa.N daad-e-havaa-e-sar-e-rahaguzaar thaa
mauj-e-saraab-e-dasht-e-vafaa kaa na puchh haal
har zarraa misl-e-jauhar-e-teG aabadaar thaa
kam jaanate the ham bhii Gam-e-ishq ko par ab
dekhaa to kam hue pa Gam-e-rozagaar thaa

· 1 Like · Mar 15, 2015 at 06:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Jiya Daniyal

Dariya Na Mauja Kai Reti Ne Puchhe

Dariya na mauja kai Reti ne puchhe,
Tane bhinjavu gamshe k kem???
Em puchhine thai nahi Prem...

chahva ne chumva ma ghatna no bhed nathi...
ek no paryay thai biju...
Aankho no aavkaro vanchi levano,
bhale hontho thi bole k khiju...

Chahe te naam... tene daido tame re Bhai...
Ante to hem nu hem.....
Em puchhi ne thai nahi Prem....

Dariya na mauja ....

dagle ne pagle jo puchhya karo to pachhi,
Kayam na rehsho pravasi...
Man muki morsho to malse Mukam enu....
sarnamu sami Agashee...

man gamto mogro malse vatavso ...
vadha ni vaad jem jem........
Em puchhi ne thai nahi Prem....

· 1 Like · Mar 15, 2015 at 00:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Eshwa Khan

Aaj K Baad

Ab na rahenge tere seher me hum aaj k baad
ab na likhenge koi ghazal hum aaj k baad

liya ye faisla humne badi jaddojehad k baad
piyenge ab bhi roj, na girenge kabhi hum aaj k baad

tumne tora yakeen mera wafa k naam pe
karenge ab na bharosa kisi pe hum aaj k baad

mujhe chhora andhere me khataa teri ye mujh pe hai
saza teri khataa ki khud ko na denge hum aaj k baad

· 1 Like · Mar 12, 2015 at 10:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Javed Ashraf

Mohabbat E Ghum

Phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko

Dukh to yeh hai k zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko

Aab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko

Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko

Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki aandhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko

Kaisay bhoolega tere saath guzare lamhay Ashiqe
Yad aata raha julfon ka hi saya mujhko.....

· 1 Like · Mar 12, 2015 at 04:03
Category: 0
 
Sadia Ghaffar
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 29, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS