Poetry / 0

Dukh Dena To Shayad Uski Fitrat Mein Shamil Hai

Dukh Dena To Shayad Uski Fitrat Mein Shamil Hai
Maira Ye Zarf Hai Ke Usey Sajdon Mein Bhi Dua Doon

Meri Rooh Tak To Uske Hisaar Mein Hai
Main Is Say Badh Kar Usey Aur Kya Doon?

Woh Shakhs Ke Qadam Qadam Per Karta Rahe Munafqat
Magar Main Chahon Ke Usey Umer Bhar Ki Wafa Doon

Mairi Khushiyon Ki Qaatil Bhi Wohi Hai Lekin
Dil Nahi Manta Ke Usey Koi Saza Doon

Dhadakti Hai Dil Ban Kar Seney Mein Woh
Tum Hi Kaho Kaise Main Usko Bhula Doon

Faaslon Ne Bhatka Diya Hai Woh Aise To Na Thee
Maire Qareeb Kabhi Aaye To Mohabbat Ki Pukar Bana Doon !!

· 1 Like · Mar 26, 2015 at 04:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Yaad Har Pal Teri Aaye

Yaad har pal teri aaye
Mere sapno ko sajaye
Raato ki neendein uraaye
Tere pyar me dil ye gaaye

Jab bi tu nazre churaye
Roake hum aansoo bahaye
Har khushi dil me samaye
Jab bi tum mere paas aaye

Raath bar so na paye
Saath hum thujko hi paye
Ek pal ke liye na jaye
Tere bin jiyaa na jaye

Har gali saath hoon tumhare
Aae tu aaye bahar aaye
Ek ho apna nazar aaye
Ab yehi duaa hamari

· 1 Like · Mar 25, 2015 at 22:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Rehte Hain Saath Saath

Rehte hain saath saath main aur meri tanhai
Karte hain raaz ki baat main aur meri tanhai

Din to guzar hi jata hai logon ki bheed main
Karte hain basar raat main or meri tanhai

Saanson ka kya bharosa kab chor jaye saath
Lekin rahenge saath main aur meri tanhai

Aaye na tumhe yaad kabhi bhool kar bhi hum
Karte hain tumhe yaad main aur meri tanhai

Aa ke paas kyun door ho gaye hum se
Karte hain teri talash main aur meri tanhai

Tum ko rakhenge saath zeenat bana kay ghar ki
Reh jain phir na tanha main aur meri tanhai

· 1 Like · Mar 25, 2015 at 15:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Kyun Lagta Hai

Kyun lagta hai k tum mere pass baithi ho
jab k hamare beech meelon ki doori hai

kyun mera dil akele mein tumse baat karta hai
jab k door talak tanhai phaili hai

kyun tera chehra khuli aankhon mein dikhta hai
jab k tum yahan nahi ho

kyun lagta hai k tum bahut door ho
jab k tum dil ke bahut kareeb ho

kyun lagta hai k tum yahan nahi ho
jab k dil mein tum hi tum ho.

· 1 Like · Mar 25, 2015 at 09:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Har Sher Har Nazam Mein

Chaha hai maine bahut shiddat se tumko,
Main tumhe bahut shiddat se yaad aaunga,


Yun sakoon se tum kabhi bhi so na sakogi,
Banke Dil ki kasak raat bhar jagaoonga,


Abke baras sawan Dil mein aag lagayega,
Bhigogi tum jab bhi baarish mein main yaad aaunga,


Har sher har nazam mein nazar aayengi meri baatein,
Padhoge jab bhi koi shayari main yaad aaunga..!!!

· 2 Like · Mar 25, 2015 at 03:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Ashraf Shahid

Ek Chup

jhulas raha hai badan
karb ki dhoop ki tamazat say

ghul raha hai sarapa
hijar ke aansun ki nimi say

pandra ke udas chaand ne
bakhsh di hai chandi mere balun ko

dimak ki tarhan chaat raha hai
dard-e-zindagi mujhe andar say

ek chup ka sannata hai
jo wajud par jamid hai

kuch kirchian hain jazbun ki
jo chubh rahi hain pairon main

tanhaii ka sakit moosam hai
roh par jo barsun say tari hai

aur raat ki rida ohDreh hoye
subk ro hawaa gungunaa rahi hai

· 1 Like · Mar 24, 2015 at 21:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Mohammad Yaseen

Usay Dekha

Meri zindagi tu firaaq hai,
Wo azal se dil main makeen sahi.

Wo nigaah e shauq se door hain,
Rag e jaan se laakh qareeb sahi.

Hume jaan deni hai ek din,
Wo kisi tarah wo kahe sahi.

Hume aap khinchiye daar par,
Jo nahi koi to hume sahi.

Sar e toor ho sar e hashar ho,
Hame intezaar qabool hai.

Wo kabhi milein, wo kahin mile,
Wo kabhi sahi, wo kahin sahi.

Na ho un pe jo mera bass nahi,
Ke ye aashqi hai hawas nahi.

Main unhi ka tha, main unhi ka hoon,
Wo mere nahi, to nahi sahi.

Mujhe baithne ki jagah mile,
Meri aarzoo ka bharam rahe.

Teri anjuman mein agar nahi,
Teri anjuman ke qareeb sahi.

Tera dur to humko na mil saka,
Teri rahguzar ki zameen sahi.

Hume sajda karne se kaam hai,
Jo wahan nahi to yahi sahi.

Meri zindagi ka naseeb hai,
Nahi door mujhse qareeb hai.

Mujhe uska ghum to naseeb hai,
Wo agar nahi to nahi sahi.

Jo ho faisla wo sunaiye,
Usse hashar par na uthaiye.

Jo kare ge aap sitam wahan,
Wo abhi sahi,wo yahi sahi.

Ushe dekhne ki jo lo lagi,
To qateel dekh hi lenge hum.

Wo hazaar aankh se door ho,
Wo hazaar pardah nashin sahi.

· 1 Like · Mar 24, 2015 at 14:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Nasir Alam

Chehray Pe Meray

Chehray Pe Meray Zulf Ko Phelao Kisi Din
Kiya Rooz Garajtay ho Baras Jao Kisi Din

Raazon Ki Tarha Utro Mere Dil me Kisi Shub
Dastuk pe Meray Haath ki Khul Jao Kisi Din

Payrron Ki Tarha Husn ki Barish me Nahalo
Baadal ki Tarha Jhoom Kay ghar Aao Kisi Din

Khushbo ki Tarha Guzro Maray Dil ki Gali se
Phoolon ki Tarha Mujh pe Bikhar Jao Kisi Din

Phir Haath Ki Kheyraat Milay Band Quba Ko
Phir Lutf Shub-E-Wasl ko Dohraao Kisi Din

Guzren jo Meray Ghar se tuo Ruk Jaen Sitaray
Kuch Is tarha Meri Raat ko Chumkao Kisi Din

Main Apni Har Ek Saans Usi Raat ko Day Don
Sar Rakh k Meray Seenay pe Soo Jao kisi Din

· 1 Like · Mar 24, 2015 at 08:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Nasir Alam

Kar Liya Hai Faisla Kehna Usy

Kar liya hai faisla kehna usy,

Ab na hoga rabta kehna usy,

jis pe hum chalte rahe hain sath sath

kho gaya wo rasta kehna usy,

teri yaadain dil se rukhsat ho gain,

Ho chuka ye saaneha kehna usy,

Ab na dekhe ga tumhara rasta,

dil ko samjha chuka kehna usy,

chain se sone na dega gham tuje,

raat bhar ab jagna kehna usy,

Ashna ban k na milna raah me,

dosti ik khuwab tha kehna usy,

mur k peechey dekhte hum bhi nahi,

soch kar moo phairna kehna usy...

· 1 Like · Mar 23, 2015 at 20:03
Category: 0
 
Baat Samajh Agai?
Posted by ebrahim ali ali
Posted on : Dec 08, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS