Poetry / 0

Simran Chaudhry

Dedicated To Teachers

EILM KI ROSHNI SE JINHONE
CHAMKAYA HAI ZINDAGI KO,
TALEEM KE PHOOL SE JINHONE
MEHKAYA HAI ZINDAGI KO,
HUMEIN AAJ BHI TALAB HAI
UNSE KUCH HAASIL KARNE KI,
JINHONE JEENE KA SAHI
MAKSAD BATAYA HAI ZINDAGI KO!

WO HAMESHA KALAM AUR KITAB KE
BALBUTE PE HUMEIN PARAKHTE RAHENGE,
JINHONE KHUD BADHI SHIDDAT SE
KABHI AZMAYA Hai ZINDAGI KO!!

YE WO EILM KI NAKKASHI KE HEIN
BEHTAREEN AALIM TARAASH,
JINHONE HEERE KI TARAH
KHOOBSURTI SE TARASHA HAI ZINDAGI KO!!

YE WO KHUDA KI DI HUI
REHMAT HEI UN LOGO PER,
JINHONE KITAAB AUR BAATI SE HI
MUKAMMIL SANWARA HE ZINDAGI KO!!

EK UMR BEET GAI
EESI JUSTUJU ME "SHAISTA",
K ZINDAGI NE INHEIN NAHI,
INHONE KHUD CHALNA SIKHAYA HAI ZINDAGI KO!!

.UMEED HAI K PASAND AAYEGA,
KHUSH RAHIEGA AUR APNA KHYAAL RAKHIEGA.



· 5 Like · Mar 09, 2015 at 07:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Abdulla Bhatti

Naeend Bhari Hai Aankhon Mei Aur Intezar Karti Hon

Naeend bhari hai aankhon mei aur intezar karti hon
Dekh meri nazaron mei tujhe kitna pyar karti hon


Tum na raho paas mere to koi shikayat nahi
Mai dost hijjer ki sahi ,wassil pe itebar karti hon


Mai ro paron teri yaad mei jab choddaween ki raat ho
Mai ek bar ji thi jab, ab bar bar marti hon


Hassas kitni hon mai kisi ko kuch khaber nahi,
Mai zindagi k khel mei ek adhora kirdar hon


Tum door se bolao ge mai bohat paas aa jaon gi,
Tum had pe kharey rehna, mai had paar kar jaon gi,


Zindagi tere aane se, wo to na lout k aaye ga
Mai pher b tere aane ka intezar karti hon

· 1 Like · Mar 09, 2015 at 01:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Samra Mushtaq

Pyar Ke Jazbaat

Pyar ke Jazbaat humne ashko mai baha diye.
Jab se larkiyon ne dil par nashtar chala diye.
dil ke saath khelna inki fitrat ban gai.
Pal mai shola to pal mai shabnam ban gai.


Hum ji rahe the tanha khush thi yeh zindgi.
Ab tab se dard hai jab se ki ye ashiqi.
Ek bewafa ke pyar mai hum aise kho gaye.
Apno ko bhula ke hum phir uske ho gaye


Kuch lamhe saath guzre phir usne bhula diya.
gair ka daman thaam ke use apna bana liya.
Aise mod pe hume apne hi aaye yaad.
dunia ki nazro mai hum kuch bhi nahi hai aaj


koi bhi in zalimo par na karna wishwas.
har bewafa tak puhancha do "sagar" ki yeh baat


· 1 Like · Mar 08, 2015 at 18:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Kinza Hussain

Aaj Kal Ki Larkiyan Mobile Khoob Chalati Hain

Aaj kal ki larkiyan Mobile khoob Chalati hain
Seedhe sadey larkon ko baaton mai phansati hain
Jane kitne larkon ko miss call karti rahti hain
Jab call wapas aaye to baat bhi khoob karti hain
Aisi jhooti larkiyon pe na karo aitbaar
Yeh to ek dhoka hai na samjho isko pyar
Ek se Recharge karwati hain doosre ko phone lagati hain
Teesrey ko hai bolti hain aur chauthey ko phansati hain
itni iltiza hai tumse aie dosto
Inke jhootey pyar ko apne dil se nikaal do
warna yeh larkiya kar dengi barbaad
Arif ki yeh sachhai har pal aayegi yaad.


· 1 Like · Mar 08, 2015 at 12:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kuch Likhon Ga

· 1 Like · Feb 25, 2015 at 07:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Tumhara Khayal Rakha Hai

· 1 Like · Feb 25, 2015 at 01:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kuch Dair Pehle Neend Se

· 1 Like · Feb 24, 2015 at 18:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kisi Ki Yaad Ki Parchaiyun Mein

· 1 Like · Feb 24, 2015 at 12:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kahin Aisa Kabhi Daikha Nahi Hai

· 1 Like · Feb 24, 2015 at 05:02
Category: 0
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS