Poetry / 0

Shahida Malik

Tarash Kar Mere Bazu Uraan Chor Gaya

Tarash kar mere bazu uraan chor gaya,
hawa ke paas wo barhana makan chor gaya,
rifaqaton ka meri usko dhayan kitna tha,
zameen le li magar asman chor gaya,
ajeeb shakhs tha barish ka rang daikh ke bhi,
khulay dareechay pe ik phool daan chor gaya,
jo badalon se bhi mujhko chupa ke rakhta tha,
barhi hai dhoop to be saaibaan chor gaya,
aaqab ko thi gharaz fakhta pakarne se,
jo gir gai to yunhi neem jaan chor gaya,
na jaane kon sa asaib dil main basta hai,
k jo bhi thehra wo akhir makaan chor gaya,

· 1 Like · Mar 23, 2015 at 11:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Usaman Khan

Kabhi Panion Ko Ujaalna,

kabhi panion ko ujaalna,

kabhi barf rut ko uchaalna,

kabhi badalon ki rida liye

usay kohsaron pe daalna,

kabhi dhanpna usay dhund main

kabhi manzaron se nikaalna,

hai ajeeb sa mera masghala,

ke hamesha chahatain paalna,

kabhi daikhna usay khwab main,

kabhi ratjagon ke azaab main,

kabhi hurf hurf bikhair kar

usay jama karna kitaab main,

kabhi mosamon se nikaal kar

usay lana apne hisaab main,

hai ajeeb sa mera mashghala,

ke hamesha rehna sarab main,

· 1 Like · Mar 23, 2015 at 04:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Yousuf Ahmed

Usko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai

usko mera halka sa ehsaas to hai

be dard sahi wo meri humraaz to hai

wo aaye na aaye mere paas lekin

shiddat se mujhe uska intezar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi

mere dil me us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang

barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai.

· 1 Like · Mar 22, 2015 at 22:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Waqas Moti

Koi To Mujhse Pyaar Kare

Bahut dard saha hai maine,aansuwon se nahaata hun ab tak
Kaash koi mujhe samjhe,meri tadapti ROOH ka didaar kare
Kitna khud ko tadpaaun,dard-e-dil kitna bardaasht karun
Main tut chukka hun ALAM,ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare


Chaaha tha maine kabhi kisi ko tut kar EHSAAS
Nighal chuki waqt ki aandhiyan unko, unhen koi QABR se bedaar kare
Khud ka janaaza kab tak dhoun,ROOH ko kab tak bechain karun
Bardaasht nahin hota ye dard ab mujhse,ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare


Khatm huye wo phool saare,jinhen apne haathon se seencha tha kabhi
Na chubhoyen mujhe,AAH na dard den,in kaanton ko koi to khabardaar kare
Ungliyan saari khoon aalod huyin, UFF pair bhi lahu lahan hue
Koi to in pe merham rakkhe, ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare


Pyaar ko mujhse pyaar nahin,GHAM kembakht hai JONK bani
Khushiyan saari ab chhin chuki hain,dard mera isteqbaal kare
Aansun mere hain zekhm ko dhote,lahu mere ab merham bane
Khatm na ho jaayen ye bhi ab, ya KHUDA koi to mujhse pyaar kare

· 1 Like · Mar 22, 2015 at 16:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Noor Bukhari

Ham Safar Ban Ke Ham Saath Hai.n Aaj Bhii

ham safar ban ke ham saath hai.n aaj bhii
phir bhii hai ye safar ajanabii ajanabii


raah bhii ajanabii morr bhii ajanabii
jaayen ham kidhar ajanabii ajanabii



zindagii ho gai hai sulagtaa safar
duur tak aa rahaa hai dhuaa.N saa nazar


jaane kis morr par kho gai har Khushii
dekey dard-e-jigar ajanabii ajanabii



hamane chun chun ke tinkey banaayaa thaa jo
aashiyaa.N hasarato.n se sajaayaa thaa jo


hai chaman me.n vahii aashiyaa.N aaj bhii
lag rahaa hai magar ajanabii ajanabii



kisako maaluum thaa din ye bhii aaye.nge
mausamo.n kii tarah dil bhii badal jaaye.nge


din huaa ajanabii raat bhii ajanabii
har gharii har pehar ajanabii ajanabii

· 1 Like · Mar 21, 2015 at 20:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Anmol Rubab

Na Raastaa Na Koi Dagar Hai Yahaa.n

na raastaa na koi Dagar hai yahaa
magar sab kii qismat safar hai yahaa

sunaai na degii dilon kii sadaa
dimaagon mein vo shor-o-shar hai yahaa

havaao kii ungalii pakaD kar chalo
vasilaa ik yahii motabar hai yahaa


na is shahar-e-behis ko seharaa kaho
suno ik hamaaraa bhii ghar hai yahaa

palak bhii jhapakate ho "Makhmoor" kyuu
tamaashaa bahut muKhtasar hai yahaa

· 2 Like · Mar 21, 2015 at 14:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Abdul Basit

Na Nibha Sake To Pyar

“ Na Nibha sake to Pyar

Kyu karte hain Log

Na Nibha sake to Vaada,

Kyu karte hain log

Bar bar Vaada Tod ke

zubban ki Tauhin karte hain Log

Bar bar Pyar ko Rusvaa kar

Muhobbat ki Numaish karte hain log

· 1 Like · Mar 21, 2015 at 08:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Zafar Ali Khan

Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho

Mujhe Kyon Doori Ka Ehsaas Dila Rahi Ho,
Kyon Dour Jaa Rahi Ho, Kyon Muskura Rahi Ho,
Kya Khush Ho Tum Bhi Ya Meri Tarah Aansoon Baha Rahi Ho,

Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon Main Bhi,
Par Lagta Hai Ke Tum Bhi Meri Tarah Kuch Chupa Rahi Ho,
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chhod Ke Ja Rahi Ho,
Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho,

Aajaana Jaldi Se, Ke Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin,
Hume To Tum Udaas Karke Jaa Rahi Ho,
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mein Tadpa Rahi Ho.

· 2 Like · Mar 21, 2015 at 02:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Bushra Shah

Mohabat K Yeh Hasin Pal Kuch Pal K Liye Hote Hein

Jab koi pyar karne wala kuch palo ke liye aapse batein na kare
Na jane bin bataye kitne sawal ho jate hein dil mein khade
phir bhi dil mein pyar hota hai bhara nafrat ke liye na hoti koi jagah
Bus guzaris hoti hein unse de jai apne hone ka ehsas pore din mein kisi bhi jagah
Na jane mohabat kya chiz hoti hein samaj na saka koi is sare jahah mein
Muskurahat ko apni sans banakar yaado mein jeena sikh jate hein apne zindagi mein
Agar ek pal ke liye batein ho jati hein to dar yeh raheta hein kab hogi unse baat
Waqt kyo nahi tham jata kambaqt raab ne kyo nahi banaye pyar mein ayse jasbaat
Uski awaz sunkar dil ko milti hein rahat usse bara sukun aur kuch nahi is jahah mein
Mohabat ke yeh hasin pal kuch pal ke liye hote hein raab chiz lete hein pyar karne walo sein
Sochte hein kyo pyar karne walo ke zindagi dard se bhari itni lambi hoti hein
Yeh guzaris hein raab se kisi ke na ho to kaam se kaam mere zindagi ho choti hein

· 1 Like · Mar 20, 2015 at 20:03
Category: 0
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS