Poetry / 0

Afza Altaf

Khubsoorati Ye Hoti Hai

Khubsoorat hain woh lub
Jo pyari batein kartey hain

Khubsoorat hai woh muskurahat
Jo doosron ke chehron per bhi muskan saja de

Khubsoorat hai woh dil
Jo kisi ke dard ko samjhey
Jo kisi ke dard mein tadpey

Khubsoorat hain woh jazbat
Jo kisi ka ehsaas karein

Khubsoorat hai woh ehsaas
Jo kisi ke dard me dawa baney

Khubsoorat hain woh batein
Jo kisi ka dil na dukhaein

Khubsoorat hain woh ansoo
Jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaen

Khubsoorat hain woh hath
Jo kisi ko mushkil waqat mein thaam lein

Khubsoorat hain woh kadam
Jo kisi ki madad ke liye aagey badhein !!!!!

Khubsoorat hai woh soch
Jo kisi ke liye acha sochey

Khubsoorat hai woh insan
Jis ko khuda ne ye
Khubsoorati ada ki.

Or woh khusnaseeb hai,
Jinhe aap jaise khubsoorat DOST miley


· 1 Like · Mar 11, 2015 at 22:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Imran Rashid Malik

Barsaat Kee Bheegee Raaton Men

Barsaat kee bheegee raaton men, jab yaad kiseekee aatee hai
Armaan bhare is dil ko wo, meethi see kasak de jaati hai


Jab door gagan men ye bijlee, yoon chamak chamak ke naach uthe
Sapnon se jagaakar ye meree, neendon ko udaa le jaati hai

Ghan ghan garjen dham dham barsen, ye baadal kaale kaale bhee
Barish kee ye boonden dekho, kyaa bal khaake lahraatee hain

Ye raat bhee kaT hee jaayegee, wo subah nayee phir aayegee
Ye sochke hee is gulshan men, phoolon kee mahak chhaa jaati hai

· 1 Like · Mar 11, 2015 at 16:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Kamran Ullah Khan

Yun Hi Umeed Dilatay Hain Zamanay Walay

Yun hi Umeed dilatay hain zamanay walay
kab palatetay hain bhala chhor ke janay walay

Tu kabhi daikh jhulastay hue sehra main darakht
kese jaltay hain wafaon ko nibhanay walay

Un se ati hai tere lams ki khushbu ab tak
khat nikalay hue baitha hon puranay walay

aa kabhi daikh zara un ki shabon main akar
kitna rotay hain zamany ko hansaney walay

kuch to ankhon ki zubani bhi kahay jatay hain
raaz hotay nahen sab munh se batanay walay

aaj na chaand na taara hai na jugnu koi
raabtay khatam hue un se milanay walay......

· 1 Like · Mar 11, 2015 at 10:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Haya Jalal

Dilse

Dost manga tha khuda se par sab bewafa mile
Izhaar karke zindagi me sabse bas intezaar mile
Phoolon se sajaya kisiko dilme to bas kaante mile
Ab maangne se darte hain kahin naya zakhm na mile

Dil toota hai magar apni yaade chod gaye
Kasam hamse karake khud vaade toor gaye
Lagta hai dar raat se kahin unkay sapne na aajayen
Dil ke zakhm ke upar naya chot na lag jaye

· 1 Like · Mar 11, 2015 at 03:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Abdul Sattar

Ghame E Dil

Roney Se Ghum-E-Dil Ka guzara Nahi Hota
Har Shakhs Dil Ka Sahara Nahi hotta
Us Roz Lagta Hey k Bekaar Jiye Hum
Jiss Roz Ziker tumhara Nahi Hotta
Taron Se Kaho K Timtimana Chor Dey
Chaand Se Kaho K JaghMagana chor Dey
Ager App aa Nahi Sakty tu Koi Bat Nahi
Apni Yadon Se Kaho K Wo Satana Chor Dey

Chot Kha Kar Bhi Zakham chopaya Hum ney
Zaher Kha Kar Bhi Mon Na Banaya Hum ney
Najaney Aaj tum Kiun itney Yad Aey
k Naam Likh Likh Ka Mitaya Hum ney
Pholon Ki Mahek Ko Churaya Nahi Jaata
Soraj Ki Kirnon Ko chopaya Nahi Jaata
Kittni Bhi Ho Dostiyaan Dil Mein Mager
App Jesy Doston Ko bholaya nahi Jaata

· 1 Like · Mar 10, 2015 at 14:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Amina Noor

Kaha... Us Ne..

kaha usne bharoosa dil pe itna nahi karte .
kaha me ne mohabbat me kabi socha nahi karte


kaha us ne khush rang duniya k nazaray hain.
kaha me ne jab tum ho paas,hum kuch dekha nahi karte

kaha us ne main tum se door hon lekin tumhare paas hon
kaha main ne sapno se dil ko behlaya nahi karte.


kaha us ne tumhari chahat tumhe ruswa kar de gi.
kaha main ne shorat se ghabraya nahi karte

kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao.
kaha main ne dewano ko samjaya nahi karte

· 1 Like · Mar 10, 2015 at 07:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Mooria Ul Ain

Lafz

LAFZ
Karrwey Hotey Hain
Meetthey Hotey Hain
Sachey Hotey Hain
Jhootey Hotey Hain
Zahreeley Hotey Hain
Nasheeley Hotey Hain
Jaadoo Kar Detey Hain
Pagal Kar Detey Hain
Kateley Hotey Hain
Nokeley Hotey Hain
Kahin Matam Kar Detey Hain
Kahin Khushiyan Bhar Detey Hain
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai
Sara Khail Hi Lafzon Ka Hai ....!

· 1 Like · Mar 10, 2015 at 01:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Uzma Shaheen

Jise Tum Dost Kaha Karte Thay

Jise Tum Dost Kaha Karte thay
Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey thay
Din mai so baar Mera Naam lya kartey thay
Aaj kya Baat hai Q Mujh se Khafa bethey ho
Kya kisi aur ko Dost bana bethey ho?
Faasle itne to Pehley na hua kartey thay
Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey thay
Tum agar Bhool gaye to koi Baat nahi
Zakhm to pehley b is Dil per laga kartey thay
Mai wohi hoon jise Tum Dost kaha kartey thay
Din mai so baar Mera Naam lya kartey thay

· 4 Like · Mar 09, 2015 at 19:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Uzma Shaheen

Wo Kehta Hai

Wo kehta hai,

batao bay sabab kyu rooth jaate ho?

Me kehta hon zara mujh ko manao,

acha lagta hai..!!

Woh kehta hai,

mera dil tum se aakhir kion bharta nahi?

Me kehta hu, muhabat ki koi hadh nahi hoti....

Wo kehta hy, btao me tumhe kyu bha gaya?

Me kehta hu, meri jaan hadsay to ho hi jate hain

Wo kehta hy, achanak me tumhe younhi rula dun to?

Me kehta hun, muje dar hy k tum b bheeg jao gay....!!

· 2 Like · Mar 09, 2015 at 13:03
Category: 0
 
Ameen
Posted by sana dimple
Posted on : Aug 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS