Poetry / 0

Bewafa Sangdil

Tera kisi peh aye dil
Tera koy dukhaye dil
Tu bhi kaleja thaam kar
Muj se kahe k haye dil
Tera bhi dil KHUDA kare
Mere liye ho bekaraar
Tu bhi tarap tarap uthe
Aisi chale hawa e dil
Neend na aye raat bhar
Bhatkey idar udhar nazar
Chain ki ho duaa magar
Chain kaheen na paye dil
Tere bhi dil main dard ho
Tera bhi chaira zard ho
Meri tara na mil sake
Tuj ko kaheen dawaye dil

· 1 Like · Mar 29, 2015 at 19:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Sana Ali

To Ye Hy K Sari Dunya Veeran C Lgti Hay

Uske na hone se kuch b nhi badla

Ye suraj b waha se nikalta hai

Aasman pe taare b chamakte hain

Or chaand ki chandni b hoti hai

Hawa b chalti hai

Darya b behte hain

Phool b khilte hain

In mein khushbu b hoti hai

*LEKIN*

Na jane Q uske na hone se hr cheez adhori C lgti he

Hr subha,
Sham C lgti he.

Hr muskan udaas C lgti he,

Hr mehfil anjaan C lgti he,

Hr dharkan
be jan C lgti he,

SUCH
To ye hy k sari dunya VEERAN C lgti hay.

· 2 Like · Mar 28, 2015 at 17:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Hammad Yousuf

Wo Khuda Tha Mera

Wo khuda tha mera

Ab imaan hai

Chali gai chhod k

Dil ab udaas hai

Bewafa nhi kahunga apne sanam ko

Kyuki ishq karna uska mujh pr ehsaan hai

· 1 Like · Mar 28, 2015 at 11:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Is Ishq Se Bada

is ishq se bada gunaah bhala kya hai
har dil mein yaaro jo ye gull khila kya hai

kuch nishaan reh jaate hain sab kuch jal kar
phir bhi aashiq kehte hain k jala kya hai

rotey hain aashiq galti par apni
phir is duniya begaani se inhe gila kya hai

sab jaankar anjaan bane rehte hain ye dilwaale
is badnaam mohabbat se inhe mila kya hai

majbur hokar aaj puch raha hai sabse
ye toot kar bikharne ka silsila kya hai

· 1 Like · Mar 28, 2015 at 03:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Teri Baahon Main Marne Ka Maja Kuch Aur Hai

hasratein puri karne ka maja kuch aur hai
teri baahon mein marne ka maja kuch aur hai

peekar to madhosh sab hote hain aksar
teri aankhon se peene ka maja kuch aur hai

manjil to paa leta yun to akela main bhi
par tere sath hone ka maja kuch aur hai

hanste to sab hain mehfilon mein humdum
par rotey huye muskuraane ka maja kuch aur hai

har aarju dil ki aaj ufaan par hai yun to
par kuch baatein chhupaane ka maja kuch aur hai

jo likh kar tu hamesha bhool jata hai
kabhi kabhi wo gajal gungunaane ka maja kuch aur hai

· 1 Like · Mar 27, 2015 at 21:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Jeene Ki Aadat Ho Gai

Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeene Ki Aadat Ho gai

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Ho gai

Tere Waade Peh Kiya Bharosa Humne
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Ho gai

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Ho gai

Kaafile Nikal Gaye Hume Chod Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Ho gai

Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karne Ki Aadat Ho gai

· 1 Like · Mar 27, 2015 at 13:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Jeena Mera Tere Liye


Jeena Mera Tere Liye Tu Nahi Pass To Kya Hua
Khushboo Teri Harpal Rahe Saanson Mein Meri Sada


Mein Nahi Janti Meri Manzil Kahaan Yun Hi Chalti Rahun Mein Agar
Yeh Hey Kaisa Saher Chalun Tou Safar Tera Ehsaas Hi Tou Rahega Magar


Samjhegi Na Yeh Dunya Kabhi Tere Hi Dam Sey Hey Meri Khushi
Kehte Hain Log Jise Diwangi Jane Woh Kia Hoti Hey Bekhudi


Kitni Adhoori Thi Tujhbin Tou Mein Tum Sey Mili Tou Mila Mujhko Chain
Mil Hi Gaye Hain Ab Tou Sanam Dunya Karegi Ab Kya Sitam

· 1 Like · Mar 27, 2015 at 06:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Main To Pehle Hi

zindagi ki talash me main pata nahi kahan se kahan aa gaya,
sari khusiyon ko piche choor kar gamon ke bich aa gaya..


chahta tha pyaar ka daman pakadkar jeena,
par wo bhi apna daman chura kar tanha kar gaya..


main bhi chahta tha zindagi bhar muskrana,
par halaat ne hansi main bhi rona sikha diya..


main to zindagi bhar wafa karte karte thak gaya,
phir bhi duniya ki nazron main bewaffa kehlaya gaya..


jin sanson ke sahare kat rahi thi zindagi,
ab to wo bhi band hokar maut ka paigam suna geya..


ab tak to zindagi ji thi unka naam lete hue,
ab icha hai ki maut bhi unka naam lete hue aa jaye..


mai to phle hi sab kuch luta chuka tha,
ek jaan hi bachi thi wo bhi unki jholi main daal gaya..

· 1 Like · Mar 27, 2015 at 00:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Jagah Di Thi

Bewafa Ko Ham Ne Is Dil Men Jagah Di Thi
Khawabon Ki Dunia Apni Us Sey Hi Saja Di Thi



Chaha Tha Us Ko Ham Ne Khud Se Bhi Bahot Badh Kar
Us Chahat Mein Ham Ne Ye Hasti Hi Mita Di Thi



Malom Nahi Tha Ham Ko Wo Bewafa Bhi Hoga
Us Per Bharosa Karke Khud KO Hi Saza Di Thi



Socha Tha Sath Mill Kay Katen Ge Zindagi Ko
Us Ne To Aik Pal Main Har Bat Bhula Di Thi



Kaisa Sitam Hey Dekho Wo Kab Sey Juda Hai Mujh Sey
Apni Zindagi Jis Ka Saya Sa Bana Di Thi



Kiya Tha Us Per Bharosa Kyun Hud Sey Badh Kar
Us Ki Jafa Ne Dil Mein Ek Halchal Si Macha Di Thi

· 1 Like · Mar 26, 2015 at 18:03
Category: 0
 
Timatar Khao
Posted by sadaf zeeshan
Posted on : Apr 23, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS