Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kaha Tha Na

· 1 Like · Feb 22, 2015 at 15:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Kab Mile Ghair Ki Panahon Se

· 1 Like · Feb 22, 2015 at 08:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Baith Kar Footpath Per

· 1 Like · Feb 22, 2015 at 02:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Haath Hathon Mein

· 1 Like · Feb 21, 2015 at 18:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Dooriyan

· 1 Like · Feb 21, 2015 at 12:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Badal Gayi Hai Yeh Zindagi

· 1 Like · Feb 21, 2015 at 04:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Aur Kuch Nahi Badla

· 1 Like · Feb 20, 2015 at 22:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Abhi Ek Aas Baqi Hai

· 1 Like · Feb 20, 2015 at 16:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Aaj Sara Din

· 1 Like · Feb 20, 2015 at 10:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Aaj Phir Shaam Dhale

· 1 Like · Feb 20, 2015 at 04:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Aag Hain Amal Mere

· 0 Like · Feb 19, 2015 at 22:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Aadatain

· 1 Like · Feb 19, 2015 at 16:02
Category: 0
 
Poetry / 0

Ali

Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharaab Aaye

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rug-e-Khuu me.n phir charaaGaa ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gaii tere Gam kii saradaarii
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

· 1 Like · Dec 03, 2014 at 13:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Ali

Ab Vahii Harf E Junuu.n Sab Kii Zubaa.n Thahrii Hai

ab vahii harf-e-junuu.N sab kii zubaa.N Thahrii hai
jo bhii chal nikalii hai vo baat kahaa.N Thahrii hai

aaj tak shaiKh ke ikaraam me.n jo shay thii haraam
ab vahii dushman-e-dii.n raahat-e-jaa.N Thahrii hai

hai Khabar garm ke phirtaa hai gurezaa.N naaseh
guftaguu aaj sar-e-kuu-e-butaa.N Thahrii hai

hai vahii aariz-e-lailaa vahii shiirian kaa dahan
nigaah-e-shauq gharii bhar ko yahaa.N Thahrii hai

vasl kii shab thii to kis darjaa sabak guzrii hai
hijr kii shab hai to kyaa saKht garaa.N guzarii hai

bikharii ek baar to haath aa_ii kab mauj-e-shamiim
dil se nikalii hai to kab lab pe fuGaa.N Thahrii hai

dast-e-sayyaad bhii aajiz hai kaf-e-gulchii.n bhii
buu-e-gul Thahrii na bulbul kii zabaa.N Thahrii hai

aate aate yuu.N hii dam bhar ko rukii hogii bahaar
jaate jaate yuu.N hii pal bhar ko Khizaa.N Thahrii hai

ham ne jo tarz-e-fuGaa.N kii hai qafas me.n ijaad
"Faiz" gulashan me.n vo tarz-e-bayaa.N Thahrii hai

· 1 Like · Dec 03, 2014 at 07:12
Category: 0
 
Poetry / 0

Muzammil Shahzad

Sargoshi

· 1 Like · Nov 04, 2014 at 20:11
Category: 0
 
Poetry / 0

Mansoor

Usay Kehna

Usay Kehna

Us per khushi sajti hai buhut,

Usay kehna muskraya karey,

Uski ankh num si achhi nahi lagti,

Usay kehna ghum mujhe de jaya karay,

Ye zindagi buhut taveel safar hai,

Usay kehna tanhai se kinara karey,

Zindagi uski hmain piyari hai buht,

Usy kehna kisi ko jaan se piyara na karay

· 1 Like · Nov 04, 2014 at 05:11
Category: 0
 
Poetry / 0

Sager

Dasht

Dasht mein pyas bujhaty howay mar jaty hein
Hum parinday hein jaty howay mar jaty hein.

Hum hein sookhy howay talaab pe baithty howay HANS
Jo taaluq ko nibhaty howay mar jaty hein.

Un k bhi qatal ka ilzaam hamary sar hai
Jo humein zeher pilaty howay mar jaty hein.

Yeh muhabbat ki kahani nahien marti lakin !
Log kirdaar nibhaty howay mar jaty hein.

Hum hein wo tooti hue kashtiyoun waly FARAZ
Jo kinaron ko milaty howay mar jaty hein.....

· 1 Like · Nov 04, 2014 at 01:11
Category: 0
 
Poetry / 0

Muhammad Asghar

Pakeeza Mohabat

WO KEHTI HAI,KYON DARD BHRI NAZMEIN SUNAATE HO
APNE SAATH MUJE RULAATE HO,KYON BAAZ NA Aatay HO
TUJE BHOOLNA CHAHTI HOON MAGR BOOL NA PAATI HOON
MUJE HAR PAL TERI YAAD AATI HAI DIL KO JLATI HAI
KAISE KAAHON TUMEIN KITNA MEIN CHAHATI HOON?
ZAMANE KAY DAR SE KUCH KEH NA PAATI HOON
TUJAY MEIN PYAR KARTI HOON ANJAAM SE DARTI HOON
MERE ZEHN PE CHHAAYE HO TUM KIS DUNIYA SE AAYE HO
MERE DIN RAAT MEIN TUM HO HAR BAAT MEIN TUM HO
JI CHAATA HAI TUJE APNA BANA LOON
APNE DIL KI DAHDKNOO MEIN BASAA LOON
TERI YAAD MERE DIL SE JAA NHE SAKTI
MEIN JEETE JI TUJE PAA NHE SAKTI
DIL SE MAJBOOR HO KAR PHONE UTHAATI HOON
DARTE HUEY TERA NUMBER MILLATI HOON
PHIR SOCHTI HOON SHIKWAY SHIKAYETEIN KARON GI
DIL DUKHAANE WAALI BAATEIN KARO GI
MUJE FAQT SIRF ITNA HE KEHNA HAI
MARTE DUM TAK TERE DIL MEIN REHNA HAI
PAKEEZA MOHABAT KA TAMASHAA NA BANAAON GI
MEIN SDAA KAY LIYE TUMEIN BHOOOL JAAON GI

· 1 Like · Nov 02, 2014 at 09:11
Category: 0
 
Poetry / 0

Woh...

· 1 Like · Oct 23, 2014 at 06:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Na Mukamil

Main b na mukamil huun tu b na mukamil hy,
Tery paas kashti hy
Mery paas sahil hy
Tery paas rasta hy
Mery paas manzil hy
Tery paas shama hy
Mery paas mehfil hy
Tery paas seena hy
Mery paas dil hy
Main b na mukamil huun tu b na mukamil hy

· 4 Like · Oct 18, 2014 at 19:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Kabi A Kar Tu Dekho

teree bin jee rahein hain kasy kabi aa kar to dekho
yun hi guzar rahi hai zindagi apni kabi aa kar to dekho,

teeri yaadoon kay sahare guzarta hai din apna
sisak sisak kay katti hai rat kabi aa kar to dekho,

jab to pass tha to dil urta tha asmanoo main
ab to kadmoon taleey zamee bhi nahi kabi aa kar to dekho,

jab to sat tha to mosam thay mehrban muj par
khamosh ho gaye mere manazer kabi aa kar to dekho,

tera nasheman hai samander ki gehraeoon main
humeen milta nahi koi sehra bi kabi aa kar to dekho,

na tum ko batana aya na zamaney se jatana aya
ye kasi hai mere wafa kabi aa kar to dekho,

kia anjam hoa mohabbat ka kabi aa kar to dekho
tujey fursat nahi dunya k jhameelon se
or hum ho gaye apni zat main gum,

muger kasy hoti hai muhabbat lazawal
mere dil main jhank kar to dekho.........

· 1 Like · Oct 17, 2014 at 23:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ik Pal Ka Saath Dedo

jan!
bas
ik pal ka saath dedo
wo chahtein wo mohabbatien
meare naam kardo
mujhse meari
saari khushyan
saare ehsasat
saari mohabbatein
saari chahtein lelo
bas!
apna saath ik pal ke ley dedo
meare labon ki muskorahatein
meari saari piyari baatein
meari dharkany
un mein jagta ehsas
saarey khowab lelo
bas!
mujhe apne bohat se palon mein se
ik pal dedo
meara chaand
wo sitaaron bhara asmaan
subha ki pehli kiran
barish ke baad ki dhoop
sahil ki wo geeli reat
barish ki rim jhim
sab lelo
aur tumse kiya kahon
jan!
mujhse meari zindagi lelo
bas
mujhe ik pal ka saath dedo

· 1 Like · Oct 16, 2014 at 03:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Karen Hum Laakh Chahen Koshishen Lekin

KAREN HUM LAAKH CHAHEN KOSHISHEN LEKIN

MOHABBAT HO HI JATI HAI

HAMARI ZINDGI JO RASTA HAI EK

HAMEN IS RAAH PER CHALTE HOYE

YE MIL HI JATI HAI

MOHABBAT TALKH HOTI HAI

MAGAR HER HAAL MAIN HUM KO

MOHABBAT KI SABHI IN TALKHIOUN KO JHELNA HO GA

MOHABBAT JIS KO HOTI HAI

YE KHOD US KO HUNER APNA SIKHATI HAI

NAHIN AISA K YE KOI HAWA KA EK JHONKA HAI

K JO DEEWAR SE TAKRAYE

AUR WAPIS CHALA JAYEE

YA PHIR AANCHAL KO CHHO KER HI GUZAR JAYEE

MOHABBAT JIS KISI K NAAM HOTI HAI

HAMESHA PHIR USI K NAAM REHTI HAI

NAHIN PHIR CHORTI DAMAN

AZAL SE ABAD TAK SAATH REHTI HAI

NIBHANA PERTA HAI IS KO

YE HUM PER FARZ HOTI HAI

CHUKANA PERTA HAI IS KO

YE HUM PER QARZ HOTI HAI

KAREN HUM LAAKH CHAHE KOSHISHEN LEKIN

NIGAHEN JIS QADAR CHAHE HUM JHUKA KER CHALEN

PHIR B KABHI QADMON KI AAHAT PER

KABHI IK MUSKURAHAT PER

NAZAR TO UTH HI JATI HAI

MOHABBAT HO HI JATI HAI

· 1 Like · Oct 15, 2014 at 21:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Piyar

Aa jane se bag mein pareshan hy titli
ik ghulab ko dhundhte hain jis ki parestar hy titli

sadyaoon se musaftoon main dedar ko tarsee hy
palkoon ky jharookon mein hr dam dua go hy titli

yaka yak andeyoon main kho gaye
zaroon mein but rahi hy kitni bezarar hy titli

hr maseha rait ki door lye huwe hy
thaam k door bhi uljhan ka shikar hy titli

khud ki talashi huwe pagdandi main qaid hy
zalim hathon se "phuuur" se urr jane ko beqarar hy

titli

· 1 Like · Oct 15, 2014 at 15:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Kashish...........

Ek Baar Keh Do

Mana ke khamosh rehna hai yakeen apne pyaar per..
Ek baar bol ker mre sapno ko aakar to do
Tumhari najro ki khamoshi ko her pal maine samjha hai..
Chale aayenge sab chod ker ek baar aawaz to do..
Us ek aawaz ke intejaar mein ktta hai her pal bebus..
Is intejaar ko ek pyaari si mulakat to do..
Tumne chaha hai hume , ... tumhari inayat hai hum per..
Rab se bhi nahi jitni umeede hai is rishtey per..
Is khoobsurat pyaar ki "kashish" ke ehsaas ke aagaaj ko..
Ek taumr saath ka anjaam to do...
Aur ab chale aaye teri ek umeed per sab chod ker..
Aage badh ker hume tham to lo.........

· 2 Like · Oct 15, 2014 at 03:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Shumaila Sadaf

Mujhe Yaad Karna

meri yaaden tujhe satayen tu mujhe yaad karna
agar meri baaten tujhe yaad aayen tu mujhe yaad karna

woh beetay zamane tujh ko yaad aayen agar
na aankh se ansoo aayen tu mujhe yaad karna

kaainaat k nazaare jab karne lagu tau
koi sitara tot jaaye tu mujhe yaad karna

agar meri mohobbat ki daastan bhool jao tum
jab kuch yaad na aaye tu mujhe yaad karna tum

koi udaas kar k tujh ko tanha chod jaaye
agar woh lout kar na aaye tu mujhe yaad karna

saare waade apne chod kar,mohobbat ka daaman chod kar
woh agar tujhe bhool jaye tu mujhe yaad karna


· 1 Like · Oct 13, 2014 at 17:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Shumaila Sadaf

Barish

AB K BARAS KESI HOGAI BARISH
ZAKHM SARE MERE BHIGO GAI BARISH

NANNI BONDON SE PAIR MERE JALE
MERI AANKHEN BHIGO GAI BARISH

KOUN JANE DUAEN KIS NE KEIN
KIN ZABANON SE HOGAI BARISH

MAZE SUB LOOT RAHAY THAY SAWAN K
MERI YAADON MEIN GUZAR GAI BARISH

DAAL KAR MIL RAHAY THAY CHEHRE PE NAQAAB
SUB K CHEHRE HI DHOH GAI BARISH

SUB K GHAR TU UNCHAY TEELAY PAR THAY
EK FARI KA HI GHAR DABO GAI BARISH

· 1 Like · Oct 13, 2014 at 14:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Tabeer K Bgair

Ham kiu mily hein taqder k bgair
kia faida hy khawab ka tabeer k bgair,

tery bgair ghar mera sona hy iss tarha
jese koi fraim ho tasveer k bgair,

yun kijiey k saada waraq choom lijiey
Auto graaf dijiyey tahreer k bgair,

dastak diye bgair chaly ayein ranj-o-gam
darwaza-e-hayat hy zanjeer k bgair,

ab to zuban zuban per hain gumnamiyan meri
mashhoor ho geya hun main tashheer k bgair,

main chahta huun phir se mujy qaid kijiye
paon mery udas hain zanjeer k bgair,

Noor!khayal-o-khawab ki duniya b thi ajeeb
kia kia mahal bana liye tameer k bgair,

· 1 Like · Oct 12, 2014 at 11:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Kuch Alfaz Thay Itne

Kuch alfaz thay itne talkh se
kuch hum se itni khataa huvi
pal bhar ko jo tum rukk jate
yoon baat adhoori na rehti
mehsoos jo tum ne kar li thi
woh baat yahan tak aa pohnchi
mazi ke dhundley saaye main
ik aks dekha karte hain
phir apne haathon ki rekha main
tumhi ko dhoonda karte hain
saawan ki pehli barish main
jab yaad tumhein main karta hoon
main aksar ashk bahata hoon
woh ashk bhi uss barish main
yoon ghul mill se jaate hain
main ashk phir dhoonda karta hoon
woh pani main mill jate hain
kiya tum bhi aise hi aksar
haan yaad mujhe bhi karte ho
kiya tum bhi aise hi aksar
haan yaad mujhe bhi karte ho

· 1 Like · Oct 12, 2014 at 05:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Komal Javed

Sakoon

kucch is thra caha hay hum nay tum ko sakoon nhe milta aub hum ko
ksay jeeyia krtay hain log wafa k begher
bss hum toou dhundtay haiin sarre rahon me tum ko
shyaid k kbhee mil jay wo hameeaain
icci asss pay dhundtay haiin hurr galii tum ko k wo dikh jay touu mil jay sakoon hum ko

· 1 Like · Oct 12, 2014 at 00:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Vickey

Kuch Bate Bhuli Hui

Kuch bate bhuli hui,

kuch pal beetey hue,

Har galti ka aik naya bahana,

Or phir sbki nzar me aana,

EXam ki puri raat jagna,

phir bhi sawal dekh k sar khujlana,

Mauka mile to class bunk karna,

phir dosto ke sath coffee pine jaana,

Uski ek jhalak dakhne roj college jana,

or Dekhte dekhte Attendance bhool jana,

Har pal ek naya sapna,

Aaj jo tute phir bhi hai apna,

Ye college k din

In lamho me jindgi ji bhar k jee lo,

Yad karke in palon ko phir

Jindgi bhar muskrana.. !!

· 2 Like · Oct 09, 2014 at 17:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Lafzoon Ki Justajoo

Lafzoon ki justajoo mein
sab kuch ghanwa deya,

main chal deya wo tarz-e-ada
dhondhta raha,

muj ko kise ne rab se liya mang or wo
Sajdy mein gir k Harf-e-dua mangta raha,

· 1 Like · Oct 09, 2014 at 13:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Titli

Aa janey se bag mein pareshan hy titli
ik ghulab ko dhundhti hy jis ki parestar hy titli

sadiyon se musaftoon main dedar ko tarsee hy
palkoon ky jharookon mein hr dam dua go hy titli

yaka yak andeyoon main kho gaye
zaroon mein but rahi hy kitni bezarar hy titli

hr maseha rait ki door lye huwe hy
thaam k door bhi uljhan ka shikar hy titli

khud ki talashi huwi pagdandi main qaid hy
zalim hathon se "phuuur" se urr jane ko beqarar hy titli



· 1 Like · Oct 09, 2014 at 09:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Paas Hamary Aa Jana

jab panche sary urr jaein
hr simt andera cha jaye

jab ghuzre batein yad ayein
aur bitey lamhy tarpaye

mat tanha tanha ghabrana
tum paas hamare aa jana

jab koi din mein sham karay
ya lab ki hansee badnam karay

jab wehshat dil ka nam karay
ya ankh mein nend haram karay

mat tanha tanha ghabrana
tum paas hamary aa jana

dil pret hamari duhraey
ya reet purani yad aye

jab milne ko b dil chahe
aur pyar bhra na dil paey

mat tanha tanha ghabrana
tum pass hamary aa jana

· 1 Like · Oct 09, 2014 at 04:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Kiu Nahe Ate

mere man mandar mein rehty ho
meri duaoon mein kiu nhi ate

jab pukaren tumhein ham hi
kehte ho phir ham tumhare kehne pr nhi ate

mar jain ghy seh na sakein ghy andaz-e-tugafal tumhara
muhtat ho itne k khaboon mein b hamare nhi ate

husan waly hein nazaqat hy ham mein b
par tumhary jese bey tuky naz nakhry hamein nhi ate

maan lein gey tumhari baat k marte kiu nhi ho
shikwa ho ga purana tum hamari qabar pr b nhi ate

· 2 Like · Oct 07, 2014 at 19:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Dareche

Barsoon se band dil darechoon mein
har ahat ko tery qadmoon ki chap samjne lagy

huwa kuch yuun hadisa zindagi k sath
bojhal palkoon k sab sapny adhury lagne lagy

dekha jo ghagmagate tery lafzoon k tabasum ko
zamane k samne khud ko arzaan samjne lagy

jab tak na jana apni hasti ka ghuman tha buhat
ashna jo ban gaye zindagi ka bhoj dharti pey lagne lagy

· 1 Like · Oct 07, 2014 at 13:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Chupky Chupky

khud ko chupa kr b ayan hote rahy chupky chupky
taskeen-e- ruh k lye mehrbanoo ko zuban mil gayi chupky chupky

dhuwa esa utha k shehar k shehar taba ho gaye
pr ham gohar e maqsad samaitte rahy chupky chupky

gam-e-zindagi se nikala to khabar ye huwi
nusoo mein base raten churane lagy thy chupky chupky

taana zan tha tabasum bakherta hr moti
wafa k motion ki mala bikheir gaye chupky chupky

gulastan-e kantoon ki hukmarani mein hath lahoo luhan huwe
sehra-e-jazbat jane kab samandar ho gaye chupky chupky

khalish kasak ban kr muskarai b to kese
ab to sans ki dori chut rahi hy chupky chupky

· 1 Like · Oct 07, 2014 at 09:10
Category: 0
 
Poetry / 0

Ghazal Noor

Adhuri

churiyoon k bgair kalayan adhuri si hein
tery naam likhi to buhat tahrirein sab adhuri si hein

taqdeer k likhy pr ghaour kia to mehsoos huwa
rang-e-hina k bgair hatheliyan adhuri si hein

khwab to wohi hein jahan numa qafiloon jesy
pr inki sab taberien adhuri si hein

tut kr ghirtey b nhi shakhon se kuch phool
be bo sy hein khashboein inki adhuri si hein

chehkarein parindoon ki mehkar hamari pehli si nhi
muskrahtein abhi b hamari kuch adhuri si hein

muntazir iqrar e-qaid mein abhi b hy
zanjeroon k bgair pairoon ki rawaniyan adhuri si hein

· 1 Like · Oct 07, 2014 at 02:10
Category: 0
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS