Joined
Poetry / 0
Hafiz Usman
Bhool Gaya Hoon Muskurana Koi Mujhe Hansaye Zara
jasbaton ko mere koi doondh ke lao zara,
bhool gaya hoon muskurana koi mujhe hansaye zara,
chhuney se bhi kisike ehsaas nahi hota,
koi mere dil ki dhadkano ko hath lagaye zara,
ruk gai hain meri saanse raah mein hi kahin,
meri zindagi ke liye koi unke ghar ka rasta unko dikhaye zara,
shayad marne ke baad hi usse mil paoon mein,
kaho maut ke farishton se aakar meri rooh ko le jaaye zara.

·
1 Like ·
Mar 20, 2015 at 13:03
Category: 0
Poetry / 0
Ebrahim Ali Ali
Kya Kya Na Karenge
Duniya mein tere ishq ka charcha na karenge,
Mar jayenge lekin tujhe ruswa na karenge.
Qurban karenge kabhi dil, jaan kabhi sadqe,
Tum apna bana logi to kya kya na karenge.
Gustakh nigaahon se agar tumko gila hai,
Hum door se bhi ab tumhe dekha na karenge.

Mar 20, 2015 at 07:03
Category: 0
Poetry / 0
Magroor Hi Sahi Mujhe Achcha Bahut Laga,
Ajnabi To Tha Magar Apna Bahut Laga,
Sehra Mein Jo Jee Raha Tha Dirya Dili Ke Saath,
Dekha Jo Gor Se To Woh Pyasa Bahut Laga,
Wo JisKe Dam kadam Se Thin Basti Ki Ronnakein,
Basti Ujad Gayi To Akela Bahut Laga,
Lipta Hua Kehar Mein Khizan Ka Chaand,
Maile Libas Mein Bhi Woh Pyara bahut Laga,
Resham Pehan Ke Bhi Meri kimat Na Barh Saki,
Khaddar Bhi Uske Jism Par Mehnga Bahut Laga,
Jab Aaine Pe Meri Saans Jum Gayi,
MujhKo Khud Apna Aaks Bhi Dhundla Bahut Laga.
Sehar Saeed
Magroor Hi Sahi

3 Like ·
Mar 20, 2015 at 01:03
Category: 0
Poetry / 0
Samreen Qaisar
Idhar Le Ke Aa Gaya
Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,
Ta umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,
Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,
"Faakir" sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya.

Mar 19, 2015 at 18:03
Category: 0
Poetry / 0
Hafiz Mehran
Main Tujhe Bhool Kar Bhi Bhoolu To Kaise
Main tujhe bhool kar bhi bhoolu to kaise,
Tu to meri yaadon mein hai,
Teri tasveer meri aankho mein hai,
Ab main kisi or ko dekhoon bhi kaise,
To to mere khawaabo mein hai,
kisi or ko sochu kaise,
Tu aasma ke us paar hai,
Main tere paoon ki dehliz tak pahuchoon kaise.

Mar 19, 2015 at 12:03
Category: 0
Poetry / 0
Minu Malik
Samjha Ke Abhi Gaye Hain Dost
Sochoon To Wo Saath Chal Raha Hai
Dekhoon To Nazar Badal Raha Hai,
Kyun Baat Zubaan Se Keh Kar,
Koi DIL Aaj Bhi Haath Mal Raha Hai,
Raaton Ke Safar Mein Weham Sa Hai,
Ye Main Hoon Ke Chaand Chal Raha Hai,
Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hain,
Aur Tu Bhi Kahi Behal Raha Hai,
Samjha Ke Abhi Gaye Hain dost,
Aur DIL Hai Ke Phir Machal Raha Hai,
Phele Si Wo Roshni Nahi,
Ab Kya DARD ka Chaand Dhal Raha Hai
Dekhoon To Nazar Badal Raha Hai,
Kyun Baat Zubaan Se Keh Kar,
Koi DIL Aaj Bhi Haath Mal Raha Hai,
Raaton Ke Safar Mein Weham Sa Hai,
Ye Main Hoon Ke Chaand Chal Raha Hai,
Hum Bhi Tere Baad Jee Rahe Hain,
Aur Tu Bhi Kahi Behal Raha Hai,
Samjha Ke Abhi Gaye Hain dost,
Aur DIL Hai Ke Phir Machal Raha Hai,
Phele Si Wo Roshni Nahi,
Ab Kya DARD ka Chaand Dhal Raha Hai
·
1 Like ·
Mar 19, 2015 at 06:03
Category: 0
Poetry / 0
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum Mujhko Achi Lagti Ho,
Kuch Chanchal Si, Kuch Chup Chup Si,
Kuch Pagal Pagal Lagti Ho,
Hai Chahne Waale Aur Buhut Par,
Tum Mein Hai Ek Baat Bahut..
Tum Apni Apni Lagti Ho,
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum Mujhko Achi lagti ho,
Yeh Baat Baat Pe Kho Jaana,
Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana,
Yeh Kis Uljhan Mein Rehti Ho.?
Kya Baat Hai HumSe Keh Daalo,
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum MujhKo Achi Lagti Ho.
Maria Waheed
Tum Mujhko Achi Lagti Ho
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum Mujhko Achi Lagti Ho,
Kuch Chanchal Si, Kuch Chup Chup Si,
Kuch Pagal Pagal Lagti Ho,
Hai Chahne Waale Aur Buhut Par,
Tum Mein Hai Ek Baat Bahut..
Tum Apni Apni Lagti Ho,
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum Mujhko Achi lagti ho,
Yeh Baat Baat Pe Kho Jaana,
Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana,
Yeh Kis Uljhan Mein Rehti Ho.?
Kya Baat Hai HumSe Keh Daalo,
Ek Baat Kahoon Agar Sunti Ho ?
Tum MujhKo Achi Lagti Ho.
·
1 Like ·
Mar 19, 2015 at 00:03
Category: 0
Poetry / 0
Naila Ahmed
Tum,mein Aur Mohabat
TUM SAY MANZIL KA NAHE
RISHTA SAFAR KA HAI MERA
YE ZARORI TU NAHE
K SATH CHLA B JAYE
TUM SAY MILA B JAYE
ISHAQ DEDAAR KA
MOHTAJ NAHE HOTA
IK AHSAAS KA RISHTA HAI
YE KHUSHBOO KI TRHA
DEKHNY CHHONAY SAY AARI
KISE JADU KI TRHA
SIRF AWAAZ HE KAFI HAI
MOHABAT K LEY
AUR SAB KUCH AZAFI HAI
MOHABAT K LEY
<><>AYUSHA<><
·
1 Like ·
Mar 17, 2015 at 23:03
Category: 0
Poetry / 0
Abdul Rahman
Khawab (pak Old)
Khawab ki tarha bikhar jane
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
·
1 Like ·
Mar 17, 2015 at 17:03
Category: 0
Sponored Video