Poetry / 0

Usay Mujh Se Muhabat Hai

Boht muddat se aisa hai,

K wo khamosh rehta hai,

Koi gehra hai ghum shayd,

Jisay chup chap sehta hai,

Yunhi chaltey huay tanha,

Koi ghamgeen sa naghma,

wo aksar gungunata hai,

Doran-e-guftagu yunhi,

Milen nazron se jb nazren,

To baten bhool jata hai,

Kisi gum sum si halat main,

Ya phir barish k mausam main,

Fakat itna hi kehta hai,

Udasi bewaja si hai,

Bohat bojhal tabiyat hai,

Bhala sach kyun nahi kehta,

USAY mujh se MUHABAT hai...!

· 1 Like · Apr 02, 2015 at 12:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Bohat Khamosh Reh Ker Jo Sadain Mujko Daita Tha

Bohat khamosh reh ker jo sadaain mujko daita tha,

Baray sundar say jazbon ki wafain mujko daita tha,

Kabhi jo dard ki aatish sulganay mujko lagti thi,

Wo apne sath ki mehekti hawain mujko deta tha,

Usay main ne ajnabi samjha magar har mor par,

Wo Apne naam ki sari duaien mujko deta tha...

· 1 Like · Apr 02, 2015 at 06:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Nadeem Moti

Hasna Mana Hai

Dil ki baat dil mein mat rakhna,
Jo pasand ho usse ILU kehna.
Agar wo ghusay mein aa jaaey to darna mat ,
Raakhi nikaalna aur kehna pyari behna milti rehna...

School Mein Ishq Ka Naya Mahool Tyar Ho Gaya,
Class Ki Teacher Ko Papu Se Pyar Ho Gaya.
Iss Baat Se Sari Class Ka Dil Udas Ho Gaya,
Sari Class Fail, Aur..... Papu Pass Ho Gaya....

Aapke dil me basjayenge SMS ki tarah.,.,
Dil me bajenge RING TONE ki tarah.,.,
Dosti kum nahi hongi BALANCE ki tarah.,.,
Sirf aap busy na rehna NETWORK ki tarah.....
UNKI GALI SE MERA JANAZA NIKLA WO NA NIKLE JINKE LIYE JANAZA NIKLA, UNKA GHAR AAYA TO MERE DOST SITI BAJANE LAGE,
RAKHKE MERA JANAZA KAMINE USKO PATANE LAGE....
Tere gam me tadap kar mar jayenge,
Mar gaye to tera naam lejayenge...
Rishwat de ke tujhe bhi bulaenge,
Tum upar aaoge to saath baith ke Kurkure khaenge....
Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum,
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum.
Doob kar jis me marr jaoo vo River ho tum,
Mere jeevan mein ab to forever ho tum
Arz kiya hai!!!...Itne kamjor hue teri judai se...
Gaur farmaiye...Itne kamjor hue teri judai se...
Ki chinti bhi ab kheech le jaati hai charpai se....
palkon pe apni bithaya hai tumhe,
Badi duao ke baad paaya hai tumhe,
Aasani se nahi mile ho tum
National zuological Park se churaya hai tumhe....!!!
kabhi kehte the dost hamare ke jaan bhi maango to hazir hai ,
Aaj apni bivi ko jaan kehte hai,Aur maango to inkaar karte hain...
Naari ke chakkar mein bhool na jaana yaari,
Jab laat maaregi naari to yaad aayegi hamari...
Purush bachao samiti ki taraf se Janhit mein jaari....
Aaj kuch gahbraye se lagte ho,
Thand mein kampkapaye se lagte ho...
Nikhar kar aayi hai surat aapki,
Lagata hain Bahut dino baad nahaye se lagte ho...
PATTE GIR SAKTE HAIN PED NAHI,
SURAJ DOOB SAKTA HAIN ASMAAN NAHI,
DHARTI SOOKH SAKTHI HAI DARIYA NAHI,
DUNIYA SUDHAR SAKTI HAI PAR AAP NAHI....
Batoun mein jiski rawani nahi hai,
Usay kabhi Jillat uthani nahi hai,
Yeh chehray par jo tu dekhta hai,
Woh powder hai nada(Pure) Jawani nahi hai....
College ki galion mein ajjeb khel hota hai,
Class ke bahane dilo ka khel hota hai,
Nitis ki jagah luvmail hota hai, Isliye to Pappu har saal fail hota hai...
Mein Tumhare Liye Sab Kuch Karta..
Magar Mujhe Kaam Tha......
Mein Tumhare Liye Doob Ke Marta...
Magar Mujhe Zukham Tha !
Gunghat Mein Tujhe Dekha To Deewanna Hua,
Sangeet Ka Taraana Hua, Shamaa Ka Parwana Hua,
Masti Ka mastaana Hua,
Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua...
Suraj se achha Tara koi nahi,
Jaisa hai Rishta humaraa dusraa koi nahi!
Chahe saari duniyaa me dhund lo;
Mere jaisa Pyaraa, aur Tere jaisa Aawaraa aur koi nahi!!
Bhagwan ke naam pe 1 patni dede...
Apni nahi toh dusre ki dede...
Bhagwan tujhe 1 kay badle3 dega
Anurag ki tarah Prerna kay saath Aparna aur komolika free dega...
Baithe tere khayalon mein,
Kore kagaz pe likh dala tera naam...
Tasvir bhi utaar dali,Aur likha yeh paigam...
Zinda ya Murda pakdnewale ko 5000/- inaam...
Macchar ne jo kata... dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni... dil be sukoon tha.
Pakada to chod diya yeh soch kar ki....
Sale ki ragon main apna hi khoon tha...
Khuda kare tujhe har jagah se satkar mile,
Mujh se bhi acche yaar milen.
Rakhi ko teri girlfriend tujhe rakhi bandhe,
Aur tujhe zindagi bhar us se behan ka pyar mile...
Aapke hi charche har gali mein hain,
Har ladki ke dil mein aapke liye pyar hai.
Ye koi chamtkar nahi,Time hi aisa hai...
kyonki kuch hi dino me RAKHI ka tyohaar hai...
har khushi ko teri taraf moor doo.
Tery liye chand taare tak toor doo.
khushiyo k darwazey tere liye khol doo..
Itna kaafi hai ya do char or jhoot bole doon....
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jhom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Bhiga main phir bhee teri yaad ayi,
Ab nahin raha jata, CHATRI LAUTA DE BHAI...
Ek ladki thi dewani si.
Mob lekar chalti thi, nazre jhukake,
Mob mein kuch karti thi. Jab bhi milti thi mujhse,
Yehi pucha<

· 1 Like · Apr 02, 2015 at 00:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sakeena Hussain

Tamaam Shehar Ko Apny Khilaaf Krlyty

tamaam shehar ko apny khilaaf krlyty..,
hm usky jurm ka bhi aietaraaf krlyty..,

wo aik baar to khta mjhy MHBBT
riwayaato sy bhi hm inharaaf krlyty..,

wo aik baar bhi hm sy mila nahi vrna..,
hm usky DIL ko bhi uskay khilaaf krlyty.....

· 1 Like · Apr 01, 2015 at 17:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Mere Mehboob Ki Jo Mujh Par Nazar Ho Jaye

Mere Mehboob ki jo mujh par nazar Ho Jaye
Zindagi chain say meri bhi basar ho jaye

Sabkey hothon say tabassum ki shu’ayen niklein
Uskey aaney Ki Jo Mehfil Mei Khabar Ho Jaye

Hanstey Hanstey Wo mila ley jo Nigahen mujh say
Hasraton ka meri shaadab shajar ho jaye

Rukh pay aanchal jo giraye tau andherey chaayen
Rukh say aanchal jo uthayein tau seher ho jaye

Aashiyan dil mei wo jo bana le aakar Sana
Phir tau jannat say bhi pyaara yeh nagar ho jaaye

Wo Ghazal pad kar mulakaat ko aayein ghar par
Merey ash’aar mei Itna Tau asar Ho Jaaye

· 1 Like · Mar 31, 2015 at 02:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Sehar Saeed

Aaj Halki Halki Barish Hai

AAJ HALKI HALKI BARISH HAI

AUR SARD HAWA KA RAKS BHI HAI..

AAJ PHOOL BHI NIKHRE NIKHRE HAIN

AUR UN MEIN TERA AKS BHI HAI..

AAJ BAaDAL KaALeY GEHRY HAIN

AUR CHAaND PER LAKHON PEHRaY HAIN..

KUCH TUKRaY TUMHARI YADOON KE

BARI DAIR SE DIL MEIN TEHREY HAIN..

AAJ YADEIN ULJHI ULJHI HAIN

AUR AB TAK YE NA SULJHI HAIN..

AAJ YAAD BOHAT TUM AATEY HO

SUCH.. MUJHE YAAD BOHAT TUM AATEY HO

· 1 Like · Mar 30, 2015 at 20:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Wafa Chaudhry

Tamaam Shehar Ko Apny Khilaaf Kar Letay

tamaam shehar ko apny khilaaf kar letay
hm usky jurm ka bhi aietaraaf kar letay

wo aik baar to kehta mujhe MoHaBBaT
riwayaato sy bhi hm inharaaf kar letay

wo aik baar bhi hm sy mila nahi vrna..,
hm usky DIL ko bhi us k khilaaf kar letay

· 2 Like · Mar 30, 2015 at 14:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Mujhay Aap Kiyun Na Samajh Sake

Mujhay apne zabt peh naaz tha,sar-e-bazm raat yeh kia huwa
Meri ankh kaise chalak gai, mujhay gham hay yeh bura hua

Meri zindagi ke cheragh ka, ye mezaj kuch naya nahin
Abhi roshni abhi teergi, na jala hua na bujha hua

Mujhay jo bhi dushman -e-jaan mila, woh pukhta kaar jafa mila
Na kisi ki zarb ghalt parri, na kisi ka waar khataa hua

Mujhay raastay main parra hua, aik ajnabi ka khat milla
Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansoon se mita hua

Mujhay humsafer bhi mila koi,sitem zareef meri tarah
Kai manzilon ka thakka hua, kahin raaston ka luta hua

Mujhay is ka koi bhi haq nahin, ke main shareek-e-bazm- e-khaloos hoon
Na meray pass koi niqab hai, na kuch asteen main chupa huwa

Yeh jo sar jhuka ke guzar gaye, meray samnay se abhi abhi
Meray apnay shehar ke log thay, meray ghar se ghar tha mila huwa

Mujhay ap kiyun na samajh sake ye khud apnay dil se poochiye
Meri zindagi ki kitab ka warq warq hai khula hua......... .

· 2 Like · Mar 30, 2015 at 07:03
Category: 0
 
Poetry / 0

Nadeem Moti

Ghungheryalay Baalon Wali Aik Lerki

Ghungheryalay baalon wali aik lerki
Titliyon sai khailnay wali aik lerki
Azaad thi dunya kai chaman mai
urti phirti thi hawaaon kai sath
Kabhi jungalon ki hawaaon jaisi
Tou kabhi badlon ki ghataon jaisi
Kabhi dhoop jaisi tou kabhi chaon jaisi
Kabhi Khushboo_on kai sath raqs kerti
Tou kabhi raton mai chand ko apnay
mathay ka noor bana ker
Apni paishani per CHAAND chamkaya kerti
Vo masoomana adaaon sai ser shaar
Lamhoon ki taiz hawaoon per
khushboo ka geet gaya kerti
Hawaa_ain uskay geeton ko
sangeet diya kerti theen
Phoolon ki nerm patt_tiyon ki taliyon kai sung
Vo apnay raishmi baal phaila_ey
neelay gagun kai talay madhosh hawaon mai magun,
ho ker raqs kerti urti phira kerti thi
kai! Rutt badli, Hawa ruk gaee, Orr Raqs THAM gaya!
Uskay maathay ka chand chamakna bhool gaya
Or vo berfeelay mousmoon ki zad mai kho ker
Apni saari sadaa_en kho baithee
Phool murjha ker sookh gai
Ghungeryalay baalon vali vo aik lerki
Apni baichain rooh ko liyai
Apni zakhum khorda titli kai saath
Iss pur aazar dunya kai chamun mai
Akaili reh gai, uskay khuwab bikhray
or adaa_ain kaheen kho gaeen
sapney, tootay or nazrain
Thundi burf ki ma_nind munjamid ho gaeen.

· 1 Like · Mar 30, 2015 at 01:03
Category: 0
 
Lady Taxi Driver in Pakistan
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 31, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS