Poetry / Sad

Mujhe Aawaaz Do

mujhe aawaaz do
Hawa k sath kuch pagham bhaijho
saahilon say mera pocho
ya kisi siski ko apni chahato
ka saaz do
Yaheen hoon main yaheen
main lot aaun ga
mujhe aawaaz do...!

· 1 Like · Oct 12, 2017 at 05:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aaj Roothay Hue Saajan Ko Bohat Yaad Kia

Aaj roothay hue saajan ko bohat yaad kia
Apne ujRe hue gulshan ko bohat yaad kia

Jab kabhi gardish-e-taqdeer ne ghaira hai hamein
Gaisu-e-yaar ki uljhan ko bohat yaad kia

Jis k maathe pe naee subh ka jhoomar hoga
Ham ne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kia

Aaj TooTe hue sapnoN ki bohat yaad aaee
Aaj beete hue saawan ko bohat yaad kia

Ham sar-e-tor bhi mayoos-e-tajali hi rahe
Us dar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kia

Mutmain ho hi gaye daam o qafas mein Saghar
Ham aseeroN ne nasheman ko bohat yaad kia...!

· 1 Like · Oct 11, 2017 at 23:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Armano Ki Duniya Ke Anmol Se Sapne

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha


Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se mera rukh morr gaya tha


Din ki tanhayi ka gham, raaton ki udasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha


Aey kash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe choar gaya tha...!

· 1 Like · Oct 10, 2017 at 22:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bhool Jaain To Aaj Behtar Hay

Bhool jaain to aaj behtar hay
Silsilay qurb k judai kay
Bujh chuki khwahishon ki qindelain
Lut chukay shehr aashnai kay

Raigaan sanaton say kya lena
Zakhm ho, phool ho, sitaray ho
Mosamoon ka hisaab kya rakhna
Jis nay jaisay bhi din guzaray ho

Zindagi say shikayatain kaisi
Ab naheen hain agar gilay thay kabhi
Bhool jaain ke jo hooa so hooa
Bhool jaain ke hum milay thay kabhi

Aksar auqat chahnay per bhi
Faslon main kami naheen hoti
Baaz auqat janay walon ki
Wapsi say khushi naheen hoti...!

· 2 Like · Oct 10, 2017 at 03:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Na Koi Khawab Na Koi Saheli Thi

Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jhaili thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gay usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi...!

· 1 Like · Oct 09, 2017 at 08:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bun Jaon Agar Tum Sa Tumhain Kaisa Lagay Ga

Bun jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga
Her pal rahon mein yadoon mein kaisa lagay ga?

Dartey ho jo tum narazgi say meri
ho jaon agar tum say khafa kaisa lagay ga?

Tum pyar mein khud ko ho mitanay pay raazi
Ban jay agar pyar saza kaisa lagay ga ?

Khud se bhi ziyadah ho yaqeen tum ko agar kisi per
Woh shakhs hi dey jayai dagha kaisa lagay ga?

Tum mehfil ka dia ban ker chalo phir
Tanhai milay tum ko sila kaisa lagay ga...?

· 1 Like · Oct 09, 2017 at 02:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhain Ab Bhool Hi Jayain Tou Acha Hai

Tumhain ab bhool hi jayain tou acha hai,
Yeh faslay aur bhi barh jayain tou acha hai,
Tumhari chahatain hum ko nahin hasil,
To ab ghair hi bun jayain tou acha hai,

Hamari to umer guzri hai teri chahat main,
Tu es aag main na jalay to acha hai,
Barsoon se thi Dua k tu meray sath ho,
Kehta hon k ab saamnay na ayai tou acha hai,

Rehta tha teri mohabbat ka saya hamaray sath,
Ab to apni parchai bhi sath na ayai tou acha hai,
Raiza Raiza ho chuki hai roooh meri,
Ke badan say ab nikal hi jayen to acha hai...!

· 1 Like · Oct 08, 2017 at 14:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Baat Chali Teri Aankhon Say Ja Pohnchi Paimanay Tuk

baat chali teri aankhon say ja pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj mujhey maikhanay tuk

ishq ki batain ghum ki batain, dunya walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun gaya parwanay tuk

ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayem rakhna, tum meray mar jaanay tuk

itna hi kehna hay tum say, mumkin ho to aa jaana,
aa he gay tou rukna ho ga, aankhon k pathranay tuk...!

· 2 Like · Oct 08, 2017 at 02:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamanay Laya

Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamanay Laya
Door Jaaney Ke Nit Naye Bahanay Laya

Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viranay Laya

Gunaah Ke Darr Say Bara Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laya

Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lutanay Laya

Jiss Ke Pyar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi Woh Shama Bujhanay Laya

Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sirhanay Mairey Sajanay Laya

Pehley Hi Chahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjayi Naye ilzam Lagane Laya...!

· 1 Like · Oct 07, 2017 at 13:10
Category: sad
 
agar mai parhna shuru kar don
Posted by Hafiz Usman
Posted on : Nov 07, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS