Poetry / 0

Ghazal

MILTI HAI NAZAR ROZ HI GO BAAT NAHI HOTI HAI
YANI MILTE TU HAIN MAGAR MULAQAAT NAHI HOTI HAI

SADA GAM HI HOTE HAIN IS ISHQ ME JAANAA
HAR ASHIQ PE HUSN KI ILTAFAT NAHI HOTI HAI

DUSHMAN TU HAI DUSHMAN ZARAR DEGA HI
DOSTO KI CHALOO SI KOI GHAT NAHI HOTI HAI

DEEDAR NA HO JO UNKA TABIYAAT NAHI SAMNBHALTI
AFAT HAI YE BADI IS SE BADH KARA AFAAT NAHI HOTI

BANTO TUM NAFEES AHMED YUNHI PYAR KA NAZARANA
THOFA NAHI KUCH AAYESA AIYSI KOI SAOGAAT NAHI HOTI

written by

Nafees Ahmed Khan Nafees

· 1 Like · Apr 09, 2015 at 02:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Dil Bujh Gaya Jab Gamoo Se

TERI CHAHT DIL KE ANDAR HAI BASI
CHAH KAR BHI TUJHE HUM BHULA NAHI SAKTE

KHAWAHISHEIN UBHARTI HAI BOHAT TUJHE PAANE KI
YE RAAZ AISA HAI TUJH KO BHI HUM BATA NAHI SAKTE

TERE BADAN KI BHEENI BEENI KHUSHBOO NE
MADMAST TU KIYA HAI PER HOSH HUM GANWA NAHI SAKTE

HAI MASHQ E SITAM HUM PER AZRAH E KARAM JAARI
DAAG AISAY MILE HAI DIL KO JIN KO HUM CHHUPA NAHI SAKTE

DIL BUJH GAYA JAB GAMOO SE NAFEES TERA
YE PHOOL KU MERI DASTARS MEIN AA NAHI SAKTE

Written By
Nafees Ahmed Khan Nafees

· 1 Like · Apr 08, 2015 at 20:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Close To My Heart

AB KE TU CHAHTOO KA YE MAUSAM BURA NA THA
PER IS SE PAHLE WO BHI TU ULJHA HUA NA THA
KAISA AAZAB THA KI BICHADNE K RASM ME
JO MUD KE DEKHTA THA WO PATHAR HUA NA THA

KOI MUJHE MERA BHARPUR SARAPA LADE
MERE BAZU MERI AANKHE MERA CHEHRA LADE
KUCH NAHI CHAHIYE TUJH SE MUJHE AE UMAR E RAWAN
MERA BACHPAN MERE JUGNU MERI GUDIYA LADE

USKI KHUSHI AAZIZ THI KUCH US SE PYAAR THA
APNI ANA KO TOD KE JHUKNA PADA MUJHE
WO JIS KI YAAD KHUN KI GARDISH KE SAATH THI
KITNI AZEEYATOO SE BHULANA PADA MUJHE

· 1 Like · Apr 08, 2015 at 14:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ye Taiyre Dil Mayal E Parwaz Nahi Hai

YE TAIYRE DIL MAYAL E PARWAZ NAHI HAI
ANJAM NA MANGOO ABHI AAGAZ NAHI HAI

SUMSAM E MUHABAT NE BHI WO AAB GANWAI
AAYE JAZBE DIL TUJH ME BHI AIJAZ NAHI HAI

DIL HAI KI MERA DIL HI MAI RAH JATA HI GHUT KE
HUMRAZ NAHI HAI KOI DAMSAAZ NAHI HAI

AYE JAN E GAZAL IS TARAH MIZRAB NA MAROO
TUTE HUE DIL ME KOI AWAAZ NAHI HAI

US KHAK SHUDA BASTI SE IKHLAS NA MANGOO
AAYE SHAHR WAHA SAADI E SHIRAAZ NAHI HAI

{SHAHAR BANO SHAHAR}

· 1 Like · Apr 08, 2015 at 08:04
Category: 0
 
Poetry / 0

saaqiiyaa chhor na khaalii mere paimaane ko

saaqiiyaa chhor na khaalii mere paimaane ko
itanii hii de de ke ho jaye qasam khaane ko

saaqii ye ahad-e-shikan is me.n bigarnaa kaisaa
koii paimaan ko torey koii paimaane ko

kuchh to ho jaatii hai kam sifat-e-taubaa_shikanii
pii ke ham to.D diyaa karate hai.n paimaane ko

jitne muu.Nh utanii hii baaten hain barhay kyuN na junooN
sab ne diivaanaa banaa rakhaa hai diivaane ko

· 1 Like · Apr 08, 2015 at 02:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Manzil Manzil Sath Raheen Ge ( Pak Old )

Kitni bar mile hain lekin

Aaj bhi yun lagta hay k jase

Mile hoon pahli baar

Manzil manzil sath raheen ge

Pyaar ki in raahoon main

Yeh duniya lakh bane diwaar

Aankhon main hay teri surat

Har dharkan pe khaab hay tera

Sansoon main hay teri khushbo

Mere laboon par naam hay tera

Tuj ko pa kar dil main basa kar

Mil gaya muj ko karrar

Khila hay khushiyon ka gulzaar

Dil main mere sathi tu ne

Apne pyaar k geet sajaye

Tu ne aa kar mere lab par

Shokh hansi k phool khilaye

Meri nigaheen har pal chaheen

Tera haseen dedaar k

Tuj bin jina hay bekaar

· 2 Like · Apr 07, 2015 at 18:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Sanam Baloch

Tarapna Chor Do Gay

ager tum chahty ho k main tum se baat keron
to phir ye tay hay k aaj se tum ruthna chor do gay

ager main hua khafa to janta hon main
manaon gay nahi bolna chor do gay

tum bhi ho mohabbat main khila hua ek phool
janta hon juda hua tum se to tum mehkna chor do gay

kab se meri yaad main tum jage hoy ho
guzron ga tab tumhari gali se jab tum jagna chor do gay

waqt aagaya hay tum se rukhsat hone ka Sanam
waada keroo k tum tarpna chor do gay.......!

· 1 Like · Apr 05, 2015 at 23:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Alisha Khan

Mohabbat Ki Qasam Wo Aisa Nahin Tha

Mohabbat ki qasam wo aisa nahin tha

Wo apna tha magar lagta nahin tha

Najanay kion nah aya mujh say milnay

Zamanay say tu wo drta nahin tha

Tabassum ki buri adat thi us ko

Wo mujh ko dekh kr tu hansta nahin tha

Meray Dil main hai ab tak us ki ulfat

Wo mera tha, Meray jaisa nahin tha

· 1 Like · Apr 05, 2015 at 15:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Asiah Rahi

Dil Ko Aadat Hai Zakhm Khanay Ki

Dil ko aadat hai zakhm khanay ki
Aakhon ko aadat hai gham chupanay ki
Par ye bhi sach hai keh
Hum ji sakte hai aapke bagair bhi
Hume jarurat nahi kisi bahane ki

· 2 Like · Apr 05, 2015 at 09:04
Category: 0
 
So True
Posted by Mohammad Afzal
Posted on : Nov 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS