Poetry / Sad

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha,
Sre Bazm Raat Ye Kya Hua

Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi
Mujhe Ranj Hai Ye Bara Hua

Meri Zindagi Ke Charagh Ka
Ye Andaaz Koi Nayaa Nahin

Kabhi Roshni, Kabhi Teergi,
Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua

Mujhe Raaste Mein Pada Hua
Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila

Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua

Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye,
Mere Saamne Se Abhi Abhi

Ye Mere Sheher Hi Ke Log The
Mere Ghar Se Ghar Mila Hua

Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi,
To Shikasta Haal Meri Tarah

Kahin Raaston Ka Lutaa Hua
Kahin Manzilon Ka Thaka Hua....!

· 1 Like · Aug 06, 2017 at 06:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tamam Shab Yunhi Daikhen Gi Soy E Dar Ankhain

tamam shab yunhi daikhen gi soy-e-dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr bhar ankhain

tuloo-e-subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht-e-shab mein sitaron ki humsafar ankhain

sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain

shumar uski sakhavat ka kia karain k wo shakhs
chiraag baantta phirta hai chean kar ankhain

wo paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher gaye to hoe phir se darbadar ankhain

abi kahan tuje pehchanney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain bekhaber ankhain

main apney ashk bachaa longa kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain...!

· 1 Like · Aug 06, 2017 at 00:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jab Joban Tera Dhal Jaye

Jab Joban Tera Dhal Jaye
Jab Pyar Ki Umr Niakl Jaye
Jab ChHor DeY Tujh Ko Husn Tera
Jab Chehra Pur Ho JhuriYon SeY
Jab Zulf KAY Kham Na Baqi Hun
Jab Rangat Na ho GaAlon Mein
Jab Chandni Utray BAalon MeN
Jab AAnkh Ki Masti Toot Chukay
Jab Hont Bhi Surkhi Kho Jaayen
Jab chhor Dein Tujh Ko Sub Sathi
Jab Koi Na Tujh Ko Apnaye
Tab.!
Meray Pas Chali Aana
Basti Ki Sooni Galiyon Men
Ek Betha Ho Ga Deewana
Jo Pyar Ka Pathar Hai
Jo Tujh Ko Sona Ker De ga.!
Teray Joban Ko Wo Kya Jaanay?
Teri Umar Se Us Ka Kaya Matlab?
Teray Jism Sey Us Ka Kaya Rishta?
Jisay Kehtay Ho Tum Harjayi
Hai Teray Naam Ka wo Shedayi..

· 2 Like · Aug 05, 2017 at 17:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhara Lehja Badal Raha Hai

Wohi hai dharti,
Falak wohi hai
Yeh dil samunder,
Bhanwer sey naina
Yaqeen he wohi hai,
Gumaan wohi hai
Yeh chand or kehkashan
Wohi hai
Tumhari surat,
Tumhari murat
Tumhari baatein
Wohi hain !

Lekin ...

Buhat dinon sey
Yun lag raha hai ..
Samaton mein uter key ..
Suraj pighal raha hai ..

Tumhara Lehja Badal Raha Hai!!

· 1 Like · Aug 05, 2017 at 11:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Nain To Saawan Bantay Hain

jab pyaar ki rut badal jaaye
aur mohabbat rog main dhal jaaye
phir nain to saawan bantay hain
jab dil ka nazuk sheesha chupkey sey
seeney key ander toot jaaye
aur is ki kirchiyan saarey wajood ko
dheerey dheerey ghayal karain
phir nain to saawan bantay hain
jab shehr-e-tamanna main
hum dil ka dard chupayen
gali gali nagar nagar
ik teri khoj main bhatkain aur
phir tu bhi hamain na mil paaye
phir nain to saawan bantay hain
jab hamaarey dehshat zada kamray main
teri yaadon ka ik hujoom ho
saans lainey main bhi dushwari ho
sirf maat hi maat hamaari ho
neend bhi rukhsat ho
aur khuwab bhi kho jaayen
phir nain to saawan bantay hain...!

· 1 Like · Aug 05, 2017 at 05:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Bhi Badlay Hain Sirf Hindsay

lamha lamha zawaal ho ga
dard sehna muhaal ho ga

loat aatay hain janay walay
khaam tera khayal ho ga

ab kay toota hai maan aisay
phir na jesay bahaal ho ga

ab bhi badlay hain sirf hindsay
pehlay jesa hi saal ho ga

haal-e-dil mat kisi say kehna
baad men phir malaal ho ga

mar hi jaayen gay hijr men hum
jee liya to kamaal ho ga

aaj furqat hai ik haqeeqat
roz-e-mehshar wisaal ho ga....!

· 1 Like · Aug 04, 2017 at 15:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kuch Khwab The Meri Ankhon Mei

Kuch khwab the meri ankhon mein
Tujhe pa lene ki chahat thi
Chand lafzoon mein hi kehta hu
Mujhe tum se bahut mohabbat thi
Per tum kya jano chahat ko
Tumhe ho jati to poochta mai
Dil jab jab toot ke rota hai
Kya dard tumhe bhi hota hai
Ye khwaab haqeeqat ho jaye
Kisi apne jaise sang dil se

Tujhe kash mohabbat ho jaye...!

· 3 Like · Aug 04, 2017 at 09:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Chalo Ke Apni Subha Ko Jaga Kay Aatay Hain

andheri raat thikanay laga kay aatay hain
chalo ke apni subha ko jaga kay aatay hain

sabhi jo maan rahay hain,bohat andhera hai
chiragh jorr ke suraj bana ke aatay hain

yeh raat rooz jo hum say khiraaj mangay hai
hazaar sir ka charhawa,charha kay aatay hain

nhi hai kuch bhi bachaa ab juz yeh zanjerain
utho yeh maal o mata bhi,luta kay aatay hain...!

· 1 Like · Aug 04, 2017 at 03:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mujh Se Wada Karo Mujhe Rulao Ge Nahi

Mujh Se Wada Karo Mujhe Rulao Ge Nahi
Halaat Jo Bhi Ho Mujhe Bhulao Ge Nahi

Chhupa Ke Apni Ankhon Mien Rakho Ge Mujhe
Dunia Mien Kisi Or Ko Dikhao Gay Nahi

Mere Lafaz Mere Dil Ki Tahrerain Hain
Qasam Uthao Ke Inko Jalao Ge Nahi

Mujhe Yeh Yaqeen Dilao Ke Mujhe Yaad Rakho Ge
Meri Yadoon Ko Apnay Dil Se Mitao Ge Nahi...!

· 2 Like · Aug 03, 2017 at 15:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aise Bhi Mohabbat Ki Saza Deti Hai Dunia

Aise bhi mohabbat ki saza deti hai dunia
mar jaye tu jenay ki dua deti hai dunia

hum kon say momeen thay jo ilzam na sehtay
pather ko bhagwan bana deti hai dunia

ye zakham mohabbat ka hai dikhnana na kisi ko
La kar saray bazar saja deti hai dunia

Qismat per karo naz na itna bhi faqeero
haton ki lakeeron ko mita deti hai dunia

marne ke liye majboor tu karti hai ye lekin
Jeenay kay tareeqay bhi sekha deti hai dunia...!

· 1 Like · Aug 03, 2017 at 09:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajnabi Kehta Hai Ashna Jo Tha Bohat

Ajnabi kehta hai ashna jo tha bohat
meri har baat ka razdar tha bohat

Yunhi aik roz roo padey dekh kar chehra uska
muskrahaton pe apni guroor jisey tha bohat

Main usay sanwar to deta kisi suljhan ki tarah
meray hath pe magar muhabat ka lahoo tha bohat

Mehaktey hoe gulab sa hai wo
per khushboon se gurezaan mai tha bohat

Usay shikwa hai meri jafaon ka
magan mai muhabaton me tha bohat

Nazar churaie thi jis pal tum ne jana
mai moutabr teri nigahoon me tha bohat

Chalo soo jain oorh kar mati ki chadar Qais
ke teri dunia me bewoqaut main tha bohat....!

· 1 Like · Aug 03, 2017 at 02:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aahat Pe Us Ki Chounk Sa Jata Hoon

Aahat Pe Us Ki Chounk Sa Jata Hoon
Na Chahatay Hoe Bhi Us Ko Bhool Jana Chahata Hoon

Na Janay Kyun Us Ki Yaadon Main Gum Ho Jata Hoon
Main Us Ki Yaadon Say Bhi Nikal Jana Chahata Hoon

Main Nay Us Ki Mohabbat Ka Khaya Hay Dhoka
Ab Main Mohabbat Kay es Dhokay Say Nikel Jana Chahata Hoon

Wo Jo Chehray Pay Dale Bethay Hain Parda Masoomiyat Ka
Us Kay Chehray Say Wo Parda Uthana Chahata Hoon

Husan Parasti Nay Kiya Hay Ham Ko Barbaad
Husan Paraston Ko Ye Baat Samjhana Chahata Hoon

Ye Aag Hay es Say Mat Khailo Jal Jao Gaye
Mager Main Wo Parwana Hoon Jo Jal Jana Chahata Hoon

Zindagi Nay Jis Tarah Jhinjoora Hay Meri Zindagi Ko
Main Ab Us Zindagi Say Nikel Jana Chahata Hoon

Or Jab Kabhi Main Hota Hoon Tanha
Tu Dil Khool Kar Rona Chahata Hoon

Pyaar Mohabbat Koun Karta Hay Yaha Per Kise Ko
Main Ye Paigaam Aam Karna Chahata Hoon...!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 20:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hum Pagal Chand Ko Panay Chalay Thay

HUM PAGAL CHAND KO PANAY CHALAY THAY
HAMAIN KYA KHABAR THI KHUD KO RULANAY CHALAY THAY
AB TAU DAMAN MAI BUS YAADIEN HI PARRI HAIN
BAWAFA HO KAR BHI BEWAFA KEHELWANAY CHALAY THAY
HAMAIN THUKRA KAR ROTA TAU WO BHI HOGA
JIS SAY HUM SACHI MUHABBAT NIBHANAY CHALAY THAY
AB JO KHUWAB TOOTAY HAIN TAU YE EHSAAS HUWA
HUM SAMANDER KINARAY MEHAL BANANAY CHALAY THAY,
DIL DUKHAYA HE TUM NAY PER SADA KHUSH RAHO
HUM TERI RAAHOUN MAI PHOOL BICHENAY CHALAY THAY...!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 13:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aik Saaya Mera Masiihaa Tha

Aik saaya mera masiihaa tha
Kaun jaane wo kaun tha kya tha

Wo faqat sehan tak hii aatii thii
MaiN bhi hujray se kam nikalta tha

Tujh ko bhula nahiiN wo shaKhs ke jo
Teri baaNhoN meiN bhii akela tha

Jaan leva thiN KhahisheN varna
Vasl se intizaar acha tha

Baat to dil shikan hai par yaro
Aqal sachi thi, ishq Jhoota tha

Apne mayaar tak na pohNcha maiN
Mujhko Khud par baRa bharosa tha

Jism ki saafgoi ke baa vasf
Ruuh ne kitna jhoot bola tha....!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 07:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Na The Bahaar E Chaman Ham Magar Ye Sunte Hain

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagi kam hai

qareeb o duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudi kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

urooj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunooz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagi kam hai

na saath deNgii ye dam toRti hoi shamain
naye chiraaGh jalao ke roshnii kam hai....!

· 1 Like · Aug 02, 2017 at 01:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Musafir To Bichertay Hein

Musafir to bichertay hein,rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hai

tumhi ko chahtey hein,tumhi say pyaar kartey hein
yehi barsoun say aadat hai aur aadat kab badalti hai

tumhein jo yaad rakha hai yehi apni ibaadat hai
jo pathar pay likhi jaye, ibaarat kab badalti hai

kalli ka phool banna aur bikhar jaana muqadar hai
yehi qanoon-e-fitrat hai aur fitrat kab badalti hai

jo dil pay naqash kar jaye aur aankon mein simat aye
alaamat hai ye chahat ki aur chahat kab badalti hai

ussey chaha,ussey pooja,yehi toqeer hai apni
hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hai....!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 18:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jeewan Kay Un Sab Barson Men

Jeewan kay un sab barsoN men
Jo ke
Tum bin beet chukay hain !
Kya khoya or kya paya hay ?
Jab yeh sochoon jan-e-jana!
To ehsaas yeh hota hay
Tum ko paa kar
Mein nay sari duniya pa lee

Jeevan kay sab barson mein
Jo ke
Tum bin beet chukay hein !
Un men saansain baar theen mujh par
Un mein ishq khazeena kab tha ?
Un mein jeena?
Jeena kab thaa !!!!!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 12:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Begair Mere Tujhe Chain Aa Nahein Sakta

Begair mere tujhe chain aa nahein sakta
Mera jawab kahein se tu la nahein sakta

Hazaar parde bhi Daalo agar banawat k
Dilon ki baat ko chehra chupa nahein sakta

Bana diya hai zamaane ne dil ko patthar ka
Sataaye koi bhi mujh ko rula nahein sakta

Haseen taaj mehal ka banaane wala bhi
Dilon k TooTe gharonday bana nahein sakta ...!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 06:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tujhe Khaber Hai

Bicharnay Wale....!
Tujhe Khaber Hai?
K Tare Jaanay se Mera Jeevan
Hazaar KhanooN main Batt Gaya Hai!
Tujhay Khabar Hai Bicharnay Waalay!
K Mairi Khushiyan hee Kho Gai Hain
Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya HooN
Wajood Maira Tu Iss Safar Main
Yeh Daikh ZakhmooN se Att Gaya Hai
Main Sochta HooN!
Mager Yeh Sochain,
Kyun Aik Nuqtay Pe Jamm Gai Hain,
Mujhay Yeh Mehsoos Ho raha Hai!
K Jaisay Saansain Hee Tham Gai Hain
Mujhay Bta De Bicharnay Waalay!
K Khud ko Kaisay Sambhalna Hai
Hijar K Raston Pe Chaltay Chaltay!
Yeh Mairay PaaoN Laho main Tar Hain
Yaqeen Ker Lay Main Thak Gaya HooN
Bicharnay Waalay! Tujhay Khabar Hai
Main Kab ka Khud Se Bichar Chukka HooN...!

· 1 Like · Aug 01, 2017 at 00:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Meri Be Bassi Bhi Kamaal Hai

in raastoN par chala kabhi
merey saath ban ke woh hum-safar
jissey samjhaa shareek-e-reh-guzar
sar-e-raah wuh kisi morr par
badley gaa manzil thii kyaa khabar

mujhey fasiloon ki fikar nahi
merey robaru merey khaab heiN
wuh jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be nishaaN se heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN

ab uss ke aur merey darmiyaaN
haail anaa ke mizaaj heiN

ussey phir se milney ki chah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kahaaN kon tera hai muntazir?
merey dil ka mujhsey sawaal hai?…

meri chahton ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wohi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khushi kabhii
wo ab baais-e-malaal hai

meri be bassi bhi kamaal hai
nahi uss se milney ki justujoo
na hi wapsi ka khayaal hai…!

· 1 Like · Jul 31, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajub Din The Mohabbat K

Ajub din the mohabbat k
Ajub mousam the chahat k
Kabhi ger yaad aa jayen
Tou palkon per sitare jhilmilate hain
Kisi ki yaad mein raaton ko
Aksar jaagna mamool tha apna
Kabhi ger neend aa jati tou hum yeh sochne lagte
Abhi to Woh humare waaste roya nahin ho ga
Abhi soya nahin ho ga
Abhi hum bhi nahin rotay
Abhi hum bhi nahin sotay
So phir hum jaagte the aur Usko yaad kerte the
Aikele beth ker veeran dil abaad kerte the
Humare samne taaron k jhurmat mein
Akela chaand hota tha
Ju Us k husn k agay bohat hi maand hota tha
Falak per raqs kerte un'ginat roshan sitaron ko
Ju hum tarteeb dete the
Tou US ka naam banta tha
Hum aglay roz jab milte tou
Guzri raat ki bekali ka ziker kerte the
Her ik qissa sunate the
Kahan kis waqt
Kis tarah se dil dharka batate the
Main jab kehta k
JANAN..!! AAJ TOU MAIN RAAT KO IK PAL NAHIN SOYA
Tou woh khamosh rehti thi
Mager us ki neend mein doobi hoyi 2 jheel si ankhain
Achanak bol uthti theen
Main jab us ko batata tha k
Main ne raat ko roshan sitaron mein
TUMHARA NAAM DEKHA HAY
Tou woh kehti' tum jhoot kehte ho
Sitare main ne dekhe the
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajub masoom lerki thi,mujhe kehti thi
Lagta hay k ab apne sitare
Mil hi jayen gaye
Mager usko kya khaber thi
Kinare mil nahin sakte
Mohabbat ki Kahani me
Mohabbat kerne walon k
Sitare mil nahin sakte....!!!!

· 1 Like · Jul 31, 2017 at 12:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Nazar Uthne Hi Waali Thi Kisi Ki Jaanib

Leke Maazi Ko Jo Haal Aaya To Dil Kaanp Gaya
Jab Kabhi Unaka Khayal Aaya To Dil Kaanp Gaya

Aisa Tora Tha Mohabbat Main Kisi Ne Dil Ko
Jab Kisi Shishe Main Baal Aaya To Dil Kaanp Gaya

Sar Bulandi Pe To Maghroor The Ham Bhi Lekin
Charhtay Suraj Pe Zawaal Aaya To Dil Kaanp Gaya

Nazar Uthne Hi Waali Thi Kisi Ki Jaanib
Apni Beti Ka Khayaal Aaya To Dil Kaanp Gaya...!

· 2 Like · Jul 31, 2017 at 05:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Azaab E Hijar Barha Loon Agar Ijazat Ho

azaab-e-hijar barha loon agar ijazat ho
ik aur zakhm kha loon agar ijazat ho

tumharay aaraz o lab ki judai kay din hain
mein jaam munh say laga loon agar ijazat ho

tumhara husn tumharay khayal ka chehra
shabahatoon me chhupa loon agar ijazat ho

tumhi say hai meray her khowab-e-shoq ka rishta
ik aur khowab kama loon agar ijazat ho

thaka diya hai tumharay firaaq nay mujhay
kahin mein khud ko gira loon agar ijazat ho...!

· 1 Like · Jul 30, 2017 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Ay Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai..!

· 2 Like · Jul 30, 2017 at 17:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hum To Saya Tera Ban Jayen Agar Tu Chahe

Hum to saya tera ban jayen agar tu chahe,
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahe,

Tu jo chahe to sar-e-aam karen ehd-e-wafa,
Yun hi duniya se guzar jayen agar tu chahe,

Tujhse milne main to jaanaan teri ruswai hai,
Hum teri yaad se mil aayen agar tu chahe,

Tu jo keh de to pukaaren sar-e-bazar tujhey,
Ajnabi ban k guzar jayen agar tu chahe,

Zindagi kr len agar teri ijazat jo miley,
Teri chaukhat pe hi mar jayen agar tu chahe....!

· 1 Like · Jul 30, 2017 at 05:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Jo Dawaydaar Hai Shehar Mein Ke

Wo Jo DawayDaar hAi Shehar Mein Ke Sabhi Ka Nabz Shanaas hOon
Kabhii Aa Kay mUjh Say tO POochta Ke Mein Kis Kay Gham Mein Udaas hOOn

Yeh Meri Kitaab-e-Hayaat hAi Isey Dil Kii Aankh Say Parh Zara
Main Warq Warq Teray Samney Teray rOoBarOo Teray Pass hOon

Yeh Teri Umeed Ko Kya hUa Kabhi tu Nay GhOr Nahi Kia ?
Kisi Shaam tu Nay Kaha tO Tha Teri Saans hOon Teri Aass hOon

Yeh Jo Shehar-e-Fun Mein Qayem hAi So Teray Tafail Hii Naam hAi
Meray Shair kyu Na Gudaaz hOn Ke Teray LabOn Ki Mithaas hOon

Yeh Teri jUdaii Ka Gham Nahii Ke Yeh SilSiley tO hAin Roz Kay
Teri Zaat es Ka Sabab Nahi Kaii Din Say yOon Hii Udaas hOon

Kisi Aur Aankh Say Dekh Kar mUjhey Aisey Waisey Laqab Na Dey
Tera Aitbaar hOon Jaan-e-Man Na Gumaan hOon Na Qayas hOon...!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab K Mohabtoon Main Yeh Moajzay Huwey

Ab k mohabtoon main yeh moajzay huwey,
Ham khud ko sochtey hain tujhe sochtey huwey..

Ek baar tujh ko socha sar-e-sham or phir,
Ek or raat beet gai jagtey hoe..

Ham manzil adm k andheroon main kho gaye,
jab se alag tumare mere raastey hogaye.

Jab agey ki nabz thame to pata chala,
Kitne baras guzar gaey tujh se mile huway.

Maine kaha ke duniya main koi naheen mera,
Us ne kaha ke aaj se ham aap k hogaye...!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 17:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yeh Ada E Khud Farebi Toh Mizaaj Hai Humaara

Yeh ada-e-khud farebi toh mizaaj hai humaara
Na kareeb tha kinaara na kareeb hai kinaara

Na khatta hai doston ki na qasoor hai tumhaara
Mujhe raah-e-dosti mei meri saadgi ney maara

Gham-e-zindagi ko mai nay kia hai bakhushi gawara
Na kisi say iltija ki na kabhi tumhein pukaara

Mujhe tum nay yaad rakha yeh karam bhi kam nahi hai
Sar-e-rah mujh ko pucha yeh khuloos hai tumhaara

Na kabhi zaban khuli hai na kabhi zaban khulay gi
Jo shikast hai muqaddar toh shikast bhi gawaara

Kabhi hum bhi chahtay thay k milain humain saharay
Magar ab yeh darr rahay kahin koi dey na dey sahara....!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kitnay Wo Itmenaan Se Thukra Gaya Mujhay

kitnay wo itmenaan se thukra gaya mujhay
aansoo bana ke aankh se tapka gaya mujhay

kaise ye rehbari thi ye kaisa fareb tha
munzil dikha ke raah se bhatka gaya mujhay

khamosh nigahon se kahani suna gaya
lafzon ke hair phair mein atka gaya mujhay

mujhko bhi bachpanay ka ek mazaq samajh kar
chhoti si ek hansi mein hee ura gaya mujhay

do din mein us kay dil se muhabbat utar gayee
aur do hi din mein yaad se mitaa gaya mujhay...!

· 1 Like · Jul 29, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hum Bhi Daanista Teri Chaal Men Aa Jatey Hain

SaAz o awaaz khaad o khaal men aa jatey hain,
Saans leta hoon to sur tal men aa jatey hain

Jang aur ishq men Haaray huay logon ki tarha,
Hum ghanimat k kisi maal men aa jatay hain

Zindagi khawab or khawab kee Qeemat lenay,
Jin ko aana ho kisi haal men aa jatey hain

Tu bhi saada hai kabhi chaal bdalta he nahi,
Hum bhi daanista teri chaal men aa jatey hain

Sham dhalte he kisi gosha-e-veerani men,
Hum parindon ki tarha jaal men aa jatey hain...!

· 1 Like · Jul 28, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kab Tak Kisi Kay Sog Me

KAB TAK KISI KAY SOG ME ROYE Ge BAITH KAR
HUM KHUD KO KITNI BAR YE SAMJHA KAY RO PAREY
KHUSHIAN HAMARAY PAAS KAHAN MUSTAQIL RAHIN
BAHER KABHI HANSAY BHI TAU GHAR AA KAY RO PAREY
BAY AITBAAR WAQT PE JHUNGULA KAY RO PAREY
KHO KAR KABHI USSAY TAU KABHI PAA KAY RO PAREY....!

· 1 Like · Jul 28, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aey Taiz Hawa Koi Khabar Us Kay Junoon Ki

gumsum hua aawaz ka darya tha jo ik shakhs
pather bhi nahi ab wo sitara tha jo ik shakhs

shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
chehron ko barey ghor say perhta tha jo ik shakhs

sehra ki tarah dair say piyasa tha woh shayed
baadal ki tarah toot k barsa tha jo ik shakhs

aey taiz hawa koi khabar us kay junoon ki!!
tanha safar-e-shoq peh nikla tha jo ik shakhs

ab aakhri satroon main kaheen naam hai us ka
ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shakhs

haathon main chupaye huye phirta hai kai zakham
sheeshay kay khilonon say behalta tha jo ik shakhs

mur mur kay usay dekhna chahain meri aankhain
kuch door mujhay chornay aaya tha jo ik shakhs

ab us nay bhi apna liye dunya kay qareenay
saaye ki rafaqat say bhi darta tha jo ik shakhs

her zehan main kuch naqsh-e-wafa choar gaya hai
kehnay ko bharay shehar main tanha tha jo ik shakhs

munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin
aksar mujhay khat khoon say likhta tha jo ik shakhs....!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 20:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yah Baazi Bhi Jug Jeet Gia

Wo Ratain Musam Sarma Ki
Wo Batain Musam Sarma Ki

Wo Teray Sath He Sab Kuch Tha
Wo Sarma Bhi Ab Beet Gia

Wo Darr Darr Kay Jab Miltay Thay
Wo Mil Mil Kay Jab Dartay Thay

Wo Milnay Ke Qasmain Kha Kha Kar
Ham Jeetay Thay Ham Martay Thay

Ab Yaad Dilaye Koon Tumhay
Yah Saal Bhi Akhir Beet Gia

Na Tum Aayay Na Khat Koee Likha
Pura Kia Na Wada Koee

Or Apna Bhi Koee Dosh Nahi
Yah Baazi Bhi Jug Jeet Gia

Wo Sard Hawaen Ab Bhi Hain
Rangeen Fizaen Ab Bhi Hain

Main Ab Bhi Udhar Ko Jata Hoon
Or Dil Apna Sulgata Hoon

Jab Tum Nahi Hotay Sath Meray
Hotay Hain Khale Hath Meray

Pur Shoor Sadaen Puchti Hein
Wo Sard Hawaen Puchti Hein

Wo Kaha Gia Sathi Tera
Kia Pher Yah Zamana Jeet Gia....!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Agar Usko Rula Main Doon

Agar usko rula main doon
Umr bhar k liye bhula main duun

Raahon main chhor k us ko
Hijar say us ko mila main duun

Usay mujrim bana kar ek din
Koi dard, ik saza main doon

Usay naey zakhm de kar
Us k dard ki na dwa main doon

Aisa karna to kabhi mumkin nahi
To acha hai usay ab ganwa main doon...!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kyu Hum Peh Uthayen Sang E Malamat Ki Faselain

Ghazlon mein tere ishq ka charcha na karen gay
Hum tujh ko yuon sar-e-aam ruswa na karen gay

Kyu hum peh uthayen sang-e-malamat ki faselain
Behtar hai tere shehar mein hum aaya na karen gay

Yeh chand yeh taary yeh haseen raat ka aalam
Mansoob tere naam se kya kya na karen gay

Wiraan hoe qasar-e-tamana ke dareechy
Aabaad kabhi pyar ki ab duniya na karen gay

Har cheez ki bohtat mein nuqsaan bohat hai
Shiddat se kisi shakhs ko chaha na karen gay...!

· 1 Like · Jul 27, 2017 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Tujhy Dekhun To Mohabat Nahi Hoti Mujhko

Ab tujhy dekhun to mohabat nahi hoti mujhko
zakham khultay hain to aziyat nahi hoti mujh ko

itna badla hun tery sheher ka pani pi kar
jhoot bolun to nidamat nahi hoti mujh ko

ab koi aae chala jae main khush rehta hun
ab kisi shakhs ki adat nahi hoti mujh ko

itna masroof hun jeenay ki hawas main Shahid
tujhay yad karnay ki fursat ni hoti mujh ko....!

· 2 Like · Jul 26, 2017 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam

Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam

Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam

Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam

Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam

Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam

Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

· 1 Like · Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aankhon Mein Chaand Ashk Hamari Jo Aaye Hain

Aankhon mein chaand ashk hamari jo aaye hain
Duniya ne kaisay kaisay fasane banaye hain

Sahraon mein bhi phool khilatay rahe hain hum
Tum ne to gulsitan mein bhi kaante ugaye hain

Kooche se tere aaye to ahsas yeh hua
Hum apni zindgi to wahin chor aaye hain

Tum ho ke doston se bhi tark-e-taluq
Hum ne to dushmanon se bhi rishte nibhaye hain

Daulat nahin sukun humein chahiye saba
Hum shahr choar gaon ko phir laut aaye hain...!

· 1 Like · Jul 26, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koofa E Shab Nay Jo Tabeer Ki Had Jaari Ki

koofa-e-shab nay jo tabeer ki had jaari ki,
mein nay jalty hoy khuabon ki azadaari ki,

wqt nay uskey muqaddar mein likhi tarike,
jinsay charhty hoy soraj ki tarafdaari ki,

dil dharaknay pay khush tha soo dharkta hi gaya,
lamha-e-deed ki aankhon nay nigah daari ki,

her taaq-e-chasm pay khuaboon key diye bujh say gay,
kuch aesi hawa chali sheher mein bedari ki,

sukh ka kirdar nibhany k liy umer tmam,
mein nay rooti hoi aankho'n say adakari ki,

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shaam E Afsurda

Yun to her rang ka mausam,
Mera waqif hai magar,
Shaam-e-Afsurda
Mujhay...
Kuch alag he jaanti hai....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna Hai Woh Shehar Me Aaya Hai

Suna hai woh shehar me aaya hai
Suna hai woh sath wafa laaya hai
Suna hai woh phool sung apnay chund murjhaaye laaya hai
Suna hai woh askh bhari muskrahtain bhi laaya hai
Uss say kaho
Yahan koi kharidar nahi
Yahan koi beqarar nahi
Yahan koi sogwar nahi
Uss say kaho
Loat jaaye
Ke
Yeh shehar-e-khamosh hai
Yahan sub baasi khamosh hain
Yahan koi dard nahi koi chubhan nahi
Yahan bus meethi neend sotay hain
Teray chahnay waley
Ab nahi rotey hain....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabat Bhi Teri Thi

Muhabat bhi teri thi
wo nafrat bhe teri thi
wo apnanay or thukranay ki ada bhi teri thi
main apni wafa ka insaf kis sy mangta
wo shehr bhe tera tha wo adalat bhe teri thi....!

· 1 Like · Jul 25, 2017 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Naghma Ban kar
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Ban kar

Chand Nikla Hai Teri Aankh Kay Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Ban kar

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Ban kar

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Shairon Ki Tarah
Mere Honton Pay Machalta Hai To Naghma Ban kar

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Ruuh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Ban kar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aa Kay Kabhi Dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Ban kar

Dhuup Men Kho Gaya Vo Haath Churra Kar Kahin
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Ban kar...!

· 1 Like · Jul 24, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yad E Khuda Ko Dil Se Bhulaya Na Kijiye

Yad e Khuda ko dil se bhulaya na kijiye
Har dar pe apne sar ko jhukaya na kijiye

Lut jayegi ghamon ki ye daulat bhi dosto
Siney k dagh sabko dikhaya na kijiye

Be pardagi tumhari khataa ki hai murtakib
Ilzam aashiqon pe lagaya na kijiye

Jo dusron k wastey wajhe malal ho
Aisi khushi kabhi bhi manaya na kijiye

Ghar aap k parhosi ka tareek hai to phir
Qandeel apne ghar mai sajaya na kijiye

Kutch bhi na hath aayega ruswai k siwa
Dukh dard apne dil ka dikhaya na kijiye

MAI JANTA HOON YE HAI WAFA KI MUNAFIQAT
YOON MUSKURA K MUJHKO MANAYA NA KIJIYE...!

· 1 Like · Jul 24, 2017 at 15:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saja Saktay Thay Yadoon Kay Kai Chehray Kai Pekar

Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayan rakha hai
Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai

Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar
Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai

Humen shoq-e-azziyat hai wagarna es zamanay main
Teri yaden bhulanay ko bohat saamaan rakha hai

Teri jholi main laa dalen gay qarzay es muhabat kay
Kay hum shoreda sar hain, kab koi ehsaan rakha hai

Tumhen ye maanna hoga kay hum ne apnay lab see kar
sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai

Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai
Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai....!

· 2 Like · Jul 24, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Uss Pal Bhi Dil Pay Teri Tamanna Jarri Rahi

uss pal bhi dil pay teri tamanna jarri rahi
jab shehar mei har aik ko apni parri rahi

guzray hazaron qafilay raah-e-qubool se
ik aarzoo kaheen pe akeli khari rahi

warna to bhool bhaal chukay hotay ab talak
woh to teray khayal ki taqat barri rahi

jany woh mojza tha mohabbat thi ya junoon
sadiyon nazar sukoot-e-nazar se larti rahi...!

· 1 Like · Jul 24, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Roz Pathar Ki Himayat Mein Ghazal Likhtay Hein

Roz taaron ki numaaish men khalal parta hay
Chand pagal hay andheray men nikal parta hay

Ek deewana musafir hay meri aankhon men
Waqt bay waqt thehar jata hay, chal parta hay

Apni tabeer k chakar men mera jaagta khawab
Roz suraj ki tarah ghar say nikal parta hay

Roz pathar ki himayat mein ghazal likhtay hein
Roz sheeshon say koi kaam nikal parta hay

Uski yaad aai hay saanso zara aahista chalo
Dharkanon say bhi ibadat me khalal parta hay....!

· 1 Like · Jul 23, 2017 at 20:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kehta Hi Raha Tujhse Ke Piyary Nahi Achay

kehta hi raha tujhse ke piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se to abaad hai yeh shehar-e-muhabbat
kehte ho jinhain dard k maaray nahi achay

es shehar mein tera bhi koi jurm to hoga
ilzaam meri zaat pe saaray nahi achay

aise to parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai keh mosam k ishaaray nahi achay

· 1 Like · Jul 23, 2017 at 13:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay

Ab Thak Say Gaye Hain Hum Wafa Kartay Kartay
Woh Haaray Nahi Hain Jafa Kartay Kartay

Hum Tang Aa Gaye Hain Unhain Manaa Manaa Kar
Woh Thakay Nahi Hain Khafa Kartay Kartay

Uthaye Jo Hath Dua Kay Liye Tu Ruk Giya
Ek Arsa Ho Giya Hai Khataa Kartay Kartay...!

· 2 Like · Jul 23, 2017 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi

Suno! Yeh Aankhon Main Udaasi Kesi
Yeh Honton Pay Muskaan Kesi

Tanha Akeli Kaha Ghum Ho Tum
Kin Udasiyon Ko Dil Mai Basai Hoi Ho Tum

Lagta Hay Yon Kuch Kho Gaya Hain
Jisey Yoon Dhoond Rahi Ho Tum

Is Ghum Ko Bhula Do Tum
In Tanhiyoun Ko Rafa Ker Do Tum

Yaad Kero Apnay KHUDA Ko Tum
Yaqeen Aur Aitamaad Rekho Usi Per Tum

Muradain Pori Karnay Wala Hay Bas Ak Wohi
Khushyan Or Muskurahatain Mang Lo Usi Say Tum

Aao Mera Haath Thaam Lo Tum
Tanhaii Ko Chorr Ker Zindagi Ko Apna Lo Tum

· 1 Like · Jul 23, 2017 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ishq Mein Behta Hai Jo Darya Ba Darya, Kon Hai

ishq mein behta hai jo darya ba darya, kon hai
ham bhi dekhein, dard k sehara mein aisa kon hai

aik lamha hi guzar jaaye kaheen tairay baghair
dil ko samjhaya to hai, lekin samjhta kon hai

meri be aawaaz tanhaai bataye kiya mujhe
shehar mein hai jis ki khaatir shor barpaa, kon hai

sar pe yeh jaltay huwe suraj ko andaazaa nahi
bay talab es dasht mein ghar se nikalta kon hai

kho gayee hai waqt ki lehron mein sachai to kiya
waqt hi khud faisla kerta hai, sacha kon hai

aik se es shehar mein hain aashna na aashna
kiya bataain tujh ko meri jaan ke kaisa kon hai

din ka suraj kiya uthaye ga meri raaton ka gham
aur phir khalid kisi ka bojh uthaata kon hai

· 1 Like · Jul 22, 2017 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Khatam Apni Chahatoon Ka Silsila Kesay Hua

khatam apni chahatoon ka silsila kesay hua
tuu to mujh men jazb tha mujh say juda kesay hua

woh jo teray aur meray darmayan aik baat thi
aao sochen shehar us say aashna kesay hua
chubh gaeen seenay men tooti khowishon ki kirchiyan
kya likhoon dil tootnay ka haadsa kesay hua

woh jo rag jaan tha kabhi,milta hai rukh phair kar
sochta hoon es qadr woh bewafa kesay hua...!

· 1 Like · Jul 22, 2017 at 13:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ye Saaneha Bhi Mhbt K Sanehaat Mein Tha

ye saaneha bhi mhbt k sanehaat mein tha,
jo dastras mein nahi tha wo mumkinat mein tha,

tumhary baad chaman mein na koi phool khila,
khizan ka aks chaman k baat baat mein tha..,

mera junon hi wahan gham ka tarjuman thera,
shanasa kon mera koey iltefaat mein thaa.....,

hamary qatl ka saaman thy wo lab o aariz,
shareek aankh ka kajal bhi waardaat mein tha,

mein aaino'n ko sajanay ki baat kia karta,
k pathro'n ko sajana lawazmaat mein tha,

talash jiski rhi NAAZ umer bhr mujhko,
chupa howa wo kahin meri apni zaat mein tha

· 1 Like · Jul 22, 2017 at 06:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Main Apni Raton Ki Fursaton Me

Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana,
Agar Kisi Din Main Apny Ansu Jo Le K Aaon To Maan Jana,

Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha So es Ko Tum Ne Hi Toor DaLa,
Shikasta DiL Ki Jo Kirchiyon Ko Sameat Laon To Maan Jana,

Tu Khush Nhi Hai Meri BaQa Per To Sirf Itna Bata,
Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe Muskuraon To Maan Jana,

Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr To Sirf Aik Baar Azma Le,
Jo Haar Jaon To LouT Jana,Jo Jeet Jaon To Maan Jana

· 1 Like · Jul 22, 2017 at 00:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bahaaron Ka Haseen Mosam Kahin Say Sath Lana Tum

khizaoon ki udasi hai,jo ab tak dil pay chhai hai
bahaaron ka haseen mosam kahin say sath lana tum

yeh maana aur bhi tum ko jahaan men hain bohat say gham
magar duniya kay mailon men hamen na bhool jana tum

meray ashaar hain jitnay hain tumharay naam karta hoon
ghazal meri suno jab bhi ghazal men doob jana tum

agar tum say kabhi koi,meray baaray men poochay to
faqt itni si khawahish hai,mujhay apna batana tum

koi jab alvidai mosamon ka zikar cheray to
nami aankhon men mat rakhna hamesha muskarana tum...!

· 2 Like · Jul 21, 2017 at 12:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jisey Aks Aks Ganwa Dia

Jisey aks aks Ganwa dia

kabhi roobaroo thi merey liye

Jisey naqsh naqsh bujha dia

kabhi chaar soo thi merey liye

wo Jo had-e-hawa sey bhi door hai

kabhi koo bako thi merey liye

wo Jo tapish hai moj-e-saraab ki

kabhi aab joo thi merey liye

Jisey AAP likhta hun khat mai ab

kabhi sirf TU thi merey liye....!

· 2 Like · Jul 21, 2017 at 06:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Aksar Bhool Jati Hai

Wo Aksar Bhool Jati Hai

Kabhi Khwaabon Key Jungle Mein

Kabhi Yaadon Kii Daldal Mein

Kisi Din Taiz Baarish Mein

Kabhi Darya Key Dhaaray Par

Kabhi Sehra Kinaarey Par

Wo Mera Naam Likhti Hai

Kabhii Likh Kar Mitati Hai

Kabhi Likhney Sey Pehley Hii

Mita Kar Hasnay Lagtii Hai

Kisi Din Shaam Sey Pehley

Mitaana Bhool Jati Ha

To Saari Raat Roti Hai ......

· 2 Like · Jul 21, 2017 at 00:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aaj Barson Kay Bad Dekha Hai

aaj barson kay bad dekha hai,

ab bhi aankhon ka rang gehra hai,

aur mathay ki sanwali si lakeer,

dil main kitnay diye jalati hai,

teri qaamat kay saaye ki khushboo,

guftgo main bahaar ka mausam,

be sabab aitbaar ka mausam,

kyun mujhay saaray dhang yaad rahay,

kitni hairaan ho gayi khud per,

main tujhay aaj tak nahiin bhooli,

pichlay mousam ki yaad baaqi hai.....

· 1 Like · Jul 20, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tum Say Pehlay Bhi Muhabbat To Mujhay Thi Lekin

tum say pehlay bhi muhabbat to mujhay thi lekin
aisi muunh zor na thi
jo meri rooh men tehleel hui jati hai
daurti hai jo meray jism men lahu bun kar
din ba din chheen rahi hai jo mujhay khud mujh say
din ba din sonp rahi hai jo mujhay bus tum ko
dekhnay deti nhi aur kisi simt mujhay
sochnay deti nhi aur koi baat mujhay
dharkanen aik he tasbeeh kiay jati hain
dil ki haalat yeh meri jaan kisi taur na thi
tum say pehlay bhi muhabbat to mujhay thi lekin
aisi muunh zor na thi

Jab ban gaya aasman, samander
Saahil pay buss aik shab guzari

Es baar na bach sakay gi shayad
Chahat ko laga hai zakham kaari

· 2 Like · Jul 20, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Lo Tum Jeetay Haaray Ham…

Lo tum Jeetay , Haaray ham…
Laikin AB itraoo Kam…

Khair Tumharay Dewanay ki…
Aik Mohabbat, Lakhon gham…

Seedhi Sachi Batain hain,..
Ziada hon, ya hon kam…

Ab ye Bojh nahe uthTa..
Wapis Lay lo apnay Gham..

Ham bhi Majnu Jaise hain..
Shouk Ziyada, Himmat kam..

Barsay to do AnSou thay..
Tarsay to Sehra they ham..

qasoor tha Mairay dil ka bhi…
Ab koi to ho ga na Marham….

· 1 Like · Jul 19, 2017 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Udaasion Ka Sabab Ju Likhna

udaasion ka sabab ju likhna tu yeh bhi likhna
k chand jaisa chehra,shahaabi ankhain badal gayi hain

woh lamhe ju teri raahoon main,tere anay k muntazir thay
woh thak k sayon main dhal gaye hain

woh teri yaadain khayal tera,woh teri batain,sawal tera,
woh tujh se mere tammam rishtey ujar gaye hain bikher gaye hain

kapkapate hontoon per larkharati dua k suraj,pighal gaye hain
tammam sapne jall gaye hain,pal pal tarapti shaamain badal gayi hain,

tanhayioun main machalti hoi raatain jal gayi hain
pyar k jalte hoye chiraagh bujh gaye hain

· 1 Like · Jul 19, 2017 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Uter Gaya

Us ne kaha ke ishq ka nasha uter gaya
main ne kaha ke husun bhee tum sey muker gaya

us ne kaha ke tujh ko dilani hain choriyan
main ne kaha ke ab wo zamana guzar gaya

us ne kaha ke kia hoa kajal kee dhaar see
main ne kaha ke ankh sey durya guzar gaya

us ne kaha ke ye tere chiryoun sey dostee
main ne kaha keh dil mera duniya sey bhur gaya

us ne kaha ke kia mila sub sey bigaar ke
main ne kaha ke waqt tu acha guzar gaya

us ne kaha ke khawab main anay ka waqt do
main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya

us ne kaha ke woh teray soraj ka kia bunna
main ne kaha ke woh meray dil main uter gaya

us ne kaha ke woh nahein dey ga tumhara sath
main ne kaha ke woh chalo wada tu ker gaya

akhir ko tung aa key kahee us ne itnee baat
woh tum kahan gayen wo zamana kidher gaya

· 2 Like · Jul 19, 2017 at 09:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay

Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Sharmatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Raakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat He Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay

· 2 Like · Jul 19, 2017 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Taq Wohi Khuvaab Hain Wohi Mein

Ab taq wohi khuvaab hain wohi mein
wohi mairay gulaab hain, wohi mein

yeh jisam kay jaan ki tashnagi hai
wohi taaza saraab hain wohi mein

zindah hon abhi tou maat kaisi ? ?
wohi jaan kay azaab hain, wohi mein

kehti hai zabaan khamoshion ki
wohi dard kay baab hain wohi mein

parhte huay jin ko Umar guzri
wohi chehray kitaab hain wohi mein

likhte huay jin ko jaan jaye
wohi harf nisaab hain wohi mein

wohi ranjishen apnay doston say
wohi dil kay hisaab hain wohi mein

atay hain magar nahi baraste
wohi tashna baadal hain wohi mein

aankhon mein wohi sitaara ankhain
wohi dil mein gulaab hain wohi mein

duniya kay sawal. .. aur duniya
wohi mairay jawaab hain. .. wohi mein ! !

· 1 Like · Jul 18, 2017 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aarzuon Kay Darakhton Say

Aarzuon kay darakhton say
Jo panchi urr gaye thay kabhi
Thay wohi ronaq e jahan o dil
Jo basay thay es nagar mei kabhi

Kisee shaam ya kisee seher
Unhein koi dhoondh laye agar
Tau batana guzri rutoon ka haal
Dikhana unhein soonay nagar

zard ruton mein dilon ka haal
Betaabiyon say poochna...
Jo poochna ho koi sawaal
Khamoshiyon say poochna......

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ijunoon

Palkon Pe Ruki Boond Bhi Rone Ko Bohat Hai

palkon pe ruki boond bhi rone ko bohat hai
ik ashk bhi daaman ke bhigonay ko bohat hai

yeh waqea hai dil main mere teri muhabbat
hone ko bohat kam hai, na hone ko bohat hai

phir kya usi tareekh ko dohraao ge qaatil
naizay pe mera sar hee pironay ko bohat hai

kis tarah se baatin pe chaRhi mail utarain?
jo zakhm badan per hai wo dhonay ko bohat hai

ab saamna tughyani-e-darya ka hai mohsin
ik leher bhi kashti ke dubone ko buhat hai

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tujh Pe Ger Meri Nazar Nahi Jati

tujh pe ger meri nazar nahi jati
jaan jati hey per nahi jati

dar o diwaar sun ke rotey hain
aah tum tak magar nahi jaati

jaan le wo zubaan nazroon ki
dua meri asar nahi laati

sochta hoo ke tumse keh do ga
baat lab tak magar nahi aati

jo bhi jata hey lot aata hey
tu kio phir lot ker nahi aati

bas ik rab hey mera ke jiske dar per
koi faryad rad nahi jaati

kitna pagal hey dil ye kehta hey
yaad isko ab teri nahi aati.

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Usney Phool Bhaijey Hain

USney phool bhaijey hain
phir meri ayadat ko

aik aik pati main,
un labon ki narmi hay

un jameel hathon ki
khushgawar hidat hay

un lateef sanson ki
dilnawaz khushboo hay

dil main phool khiltey hain
rooh main chiragaan hay

zindgi moutar hay
phir bhee dil ye kehta ha

baat kuch bana leta
waqt ke khazaney se
aik pal chura leta

KAASH WO KHUD AA JATA!!!

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna Hoga Bohat Tum Ne

Suna Hoga
Bohat Tum Ne,
Kahin Ankhon
Ki Rim Jhim Ka,
Kahin Palkon Ki
Shabnam Ka,
Parha Hoga
Bohat Tum Ne
Kahin Lehjay Ki
Barish Ka,
Kahin Sagar K
Ansoo Ka..
Magar Tum Ne
Kabhi Humdum..
Kahin Dekhey?
Kahin Parhey?
KISI TEHREER K AANSO ?
Mujhey Teri Judai Ne..
Yahi Meraj
Bakhshi Hai..
K Main Jo
Lafz Likhta Hon..
Woh Sarey
LAFZ ROTEY HAIN.
K Main Jo
Harf Bunta Hon,
Woh Sarey
BATAIN KARTE HAIN.
Mere Sang
es Judai Mein,
MERE
ALFAZ MARTAY HAIN….!!!!

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wafaon Ki Zanjeer Say Azad Kiya

Main nay tumhen!

apni MOHABBAT k seher

wafaon ki zanjeer say

azad kiya

KHUDARA...!

yeh mat pochna ke

main nay khud ko

tumhari qaid say

azad kiya ya nahi ?

yaqeen jano

main un qaidyoun main say hoon

jo khulay darwazey dekh kar bhi faraar nahi hotay...!

· 2 Like · Jul 15, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhari Yaad Ka Mousam

TUMHARI YAAD KA MOUSAM

JO HER AIK DUKH SAY GEHRA HAI

NAJANAY KITNI MUDDAT SAY HAMARAY MANN MEI THEHRA HAI

MAGAR!

TUM NAY NHI JANA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA

TUMHARAY PYAR KA MOUSAM

JO HER MOUSAM SAY PYARA THA

MERAY IN BEKARAAN LAMHON KA WAHID SAHARA THA

MAGAR!

TUM NAY NHI SAMJHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA

TUMHARAY BAAD KA MOUSAM

IK KAALI GHAAT JESA HAI

NA JEETI HO NA HAARI HO,IK AISI MAAT JESA HAI

MAGAR!

TUM NAY NHI DEKHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA.....

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hd E Farda Samajh Kar Bandho

kaha nahi tha ?

ke ehd-e-farda samajh kar bandho,

nibha sako ge ?

mujhe samay ki tamazaton se bacha sako ge?

bht kaha tha,

shabahatoon main behal na jana,

mujhe gira kar sambhal na jana,

badalti rut main badal na jana,

boht kaha tha,

kaha nahi tha...?

sambhal gaye na...!

wohi hua na...!

badal gaye na...!

· 1 Like · Jul 14, 2017 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhara Dard Kai Kaam Lay Gaya Muj Say

Kabhi safar to kabi sham lay gaya muj say
tumhara dard kai kaam lay gaya muj say

mujey khabar na ho aur zamana jatay hoa
nazar bachaa kay tera naam lay gaya muj say

usay ziada zaroorat thi ghar basanay ki
wo aa k mere dar o baam lay gaya muj say

bhala kahan koi juz us kay milnay wala tha
bus ek jurat-e- nakaam lay gaya muj say

bus ek lamhay kay such jhot kay aiwz Farhat
tamam umar ka ilzaam lay gaya muj say

· 1 Like · Jul 13, 2017 at 19:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sooch Kay Wasee Samandar Main

Sooch Kay Wasee Samandar Main

Ihsas Ki Kishti Main Baith Kar

Mujhay Us Paar Jana Hai

Jaha Meri Janat Hai

Lekin

Tughyani Say Darr Lagta Hai

Us Tughyani Say Jis Main

Meri Kishti Kahin Gum ho Jati Hai

Aur Shayed Main Bhi.

· 2 Like · Jul 12, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai

Jab Tanhayi Raqs Karti Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana

Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai

· 1 Like · Jul 12, 2017 at 12:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jeenay Ka Zehar

Kab mein ne yeh kaha
Tairay bin main jee loon ga
Haan kaha tha to bus itna
Yeh zehar bhi pee loon ga
Aur jana
Tum to jaanti ho na
Jo jeenay ka zehar piya kartay hain
Woh bhala kab jiya kartay hain

· 1 Like · Jul 11, 2017 at 22:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wo Janti Thi Ke Wafa Ka Ajar Nahi Hota

Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Milan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Bichay hain kanch judaii ke be'shumar magar
Burhana pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tum Mujh Ko Guria Kehtay Ho

Tum mujh ko guria kehtay ho
theek he kehtay ho
khailnay walay sab hathon ko
mein guria he lgty hon
jo pehna do, mujh peh sajay ga
mera koi rang nahi
jis bachay kay hath thaama do
meri kise say jung nahi
sochti jaagti ankhain meri
jab chahay benaye lay lau
kook bharo aur baten suno
ya meri goyaye lay lau
maang bharo, sindoor lagao
pyar karo, aankhon mein Basao
aur phir jab dil bhar jaye
dil say utha kay taq peh rakh do
tum mujh ko guria kehtay ho
theek he kehtay ho

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zakhm E Tanhai Mein Khushbu E Hina Kis Ki Thi

ZaKhm-E-Tanhai mein khushbu-e-Hina kis ki thi
Saya Deewar pr mera tha sada kis ki thi

Uss ki raftar sy lipti rahien Aankhein meri
Uss ny murr kr bhi na dekha wafa kis ki thi

Ansoon sy hi bhar gaya daaman mera
Hath to main ny uthaye thy Dua kis ki thi

Meri aankhon ki zuban koi samjhta kesy
Zindagi itni dukhi mery siwa kis ki thi

Aag sy dosti uss ki thi jala ghar mera
Dey gaya kis ko saza aur khataa kis ki thi.

· 1 Like · Jul 10, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aahat Pay Us Ki Chounk Sa Jata Hoon

Aahat Pay Us Ki Chounk Sa Jata Hoon
Na Chahatay Hoe Bhi Us Ko Bhool Jana Chahata Hoon

Na Janay Kyun Us Ki Yaadon Main Gum Ho Jata Hoon
Main Us Ki Yaadon Say Bhi Nikal Jana Chahata Hoon

Main Nay Us Ki Mohabbat Ka Khaya Hay Dhoka
Ab Main Mohabbat Kay es Dhokay Say Nikal Jana Chahata Hoon

Wo Jo Chehray Pay Dalay Bethay Hain Parda Masoomiyat Ka
Us Kay Chehray Say Wo Parda Uthana Chahata Hoon

Husan Parasti Nay Kiya Hay Ham Ko Barbaad
Husan Paraston Ko Ye Baat Samjhana Chahata Hoon

Ye Aag Hay es Say Mat Khailo Jal Jao Gaye
Mager Main Wo Parwana Hoon Jo Jal Jana Chahata Hoon

Zindagi Nay Jis Tarah Jhinjoora Hay Meri Zindagi Ko
Main Ab Us Zindagi Say Nikal Jana Chahata Hoon

Or Jab Kabhi Main Hota Hoon Tanha
Tu Dil Khool Kar Rona Chahata Hoon

Pyaar Mohabbat Koun Karta Hay Yaha Per Kise Ko
Main Ye Paigaam Aam Karna Chahata Hoon

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 17:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Teray Paas Aane Ko Ji Chahta Hai

teray paas aane ko ji chahta hai
naye zakhm khanay ko ji chahta hai

idhar aaye shayad vo mauj-e-tarannum
Ghazal gungunane ko ji chahta hai

zamana mera aazmaya hua hai
tujhe azmane ko ji chahta hai

vohi bat reh reh k yaad aa rehi hai
jise bhul jaane ko ji chahta hai

laboon par mere khilta hai tabassum
jab aansu bahaane ko ji chahta hai

kai martaba dil pe bijli giri hai
magar muskurane ko ji chahta hai

takalluf na kar aaj barq-e-tajali
nasheman jalaane ko ji chahta hai

ruKh-e-zindagi se naqab ulaT kar
haqiqat dikhane ko ji chahta hai

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab To Tabeer Ki Hasrat Hi Nahi Hai Mujh Ko

Mit gaya hun mujh ko mita rehnay do
Meray jazbat k sholon ko bujha rehnay do

Dard sehnay ki ho gai hai ab aadat mujh ko
Meray rastay hoe zakhmon ko haraa rehnay do

Ab to tabeer ki hasrat hi nahi hai mujh ko
Meri ankhon mein mera khawab chupa rehnay do

Muskurahat pe mera haq he nahe hai yaaro
Meray honton say tabassum ko khafa rehnay do

Dil jo toota hai to ankhein na chalak jayen
Aaj ankhon ko in ashkon say bhara rehnay do... .

· 1 Like · Jul 07, 2017 at 05:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna He Aaj Kal Woh Pareshan Rehti Hay

Suna he aaj kal woh pareshan rehti hay
us se kehna befikar hm bhi nahi hain

suna he woh gum sum rehti hay
us se kehna hosh me hm bhi nahi hain

suna he woh raaton ko jaaga karti hay
us se kehna sote hm bhi nahi hn

suna he woh chuup chuup k roti hay
us se kehna hanste hm bhi nahi hain

suna he woh mujhe bohat yaad karti hay
us se kehna bhoole hum bhi nahi hain

suna he us ne wafa ka daawa kiya hay
us se kehna bewafa hum bhi nahi hain...

· 1 Like · Jul 06, 2017 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno !

Suno !
hum tott jayen gaay kay doori sah nahi payen gaay
judaie maar daaley gi
suno !
ya ankhain boujhal hain
inhay kis tarah bhulaayen
suno !
hum so na payen gaay
kabhi khush ho na payen gaay
judaie maar daaley gi
suno !
ya dil tumhara hai
na tum ban ab guzaraa hai
suno !
kuch waqt do hum ko
bana lein dost es gham ko
hamein maloom hai aakhir
judaie maar daaley gi !

· 1 Like · Jul 05, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaane Ke Liye Aa

ranjish hi sahi dil hi dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-e-duniya hi nibhanay ke liye aa
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa
kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi mehroom
ay raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa
ab tak dil-e-Khush feham ko tujh se hain umeedain
ye aakhri shammen bhi bujhaane ke liye aa
maana ki muhabbat ka chupana hai muhabbat
chup ke se kisi roz jatane ke liye aa
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aisay hi kisi roz na jaane ke liye aa

· 1 Like · Jul 05, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhabbat Choar Di Hum

abi jo laut k phir tum humare dar pe aye ho
ye tum se keh diya kis ne k...
tum bin reh nahi sakte?
ye dukh hum seh nahi sakte?
agar tum janna chaho k
aisa kyun kiya hum ne?
ye dukh kyun seh liya hum ne?
to sun lo ghaur se jana
porani ehd-e-rafta ki
riwayat toOr di hum ne
MUHABBAT CHOAR DI HUM

· 1 Like · Jul 04, 2017 at 20:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Ek Cigrate Jala Raha Hoon

phir ek cigrate jala raha hoon
phir ek teeli bujha raha hoon
teri nazar me ye mashghala hai
me to us ka wada bhula raha hoon.
samjhna mat isko meri aadat
ye dhuan jo me urra raha hoon
ye teri yadoon k silsilay hain
me teri yaadain jala raha hoon.

main to aaj itna behek chuka hoon
k gham k qissay suna raha hoon
agar tumhain bhi gham hai to paas aoo
me pee raha hoon pila raha hoon.

hain meri ankhain to aaj purnam
magar me sub ko hansa raha hoon
tumhe kya matlab hamaray gham se pagli
me to yun hi tumko suna raha hoon.

agar bura laga to maaf karna
me dil k qissay suna raha hoon.
phir ek cigrate jala raha hoon
phir ek teeli bujha raha hoon

· 1 Like · Jul 04, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tanhaai Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Don

mere baad kidhar jay gii tanhaai
main jo maraa to mar jay gii tanhaai

main jab ro ro ke dariya ban jaon gaa
us din paar utar jaay gi tanhaai

tanhaai ko ghar se rukhsat kar to don
socho kis ke ghar jaay gi tanhaai

virana hon abadi se aya hun
daikhe gi to Darr jaay gi tanhaai

yun aao ke paaon ki bhi aavaaz na ho
shor hoa to mar jaay gi tanhaai

· 1 Like · Jul 03, 2017 at 18:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ajeeb Hijar Parasti Thi Us Ki Fitrat Mai

Ajeeb hijar parasti thi us ki fitrat mai
Shajar k tutay pattay talash karta tha

tamam raat wo parday hata k chand k sath
Jo kho gaye wo lamhe talash karta tha

Duaen karta tha ujray hue mazaron per
Barray ajeeb saharay talash karta tha

Mujhay to aj btaya hai badlon ne faraz
Wo lot aanay k rastay talash karta tha.

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Woh Pyar K Jazbay Ko Gunah Likh Raha Tha

WOH PANI KI LEHRON PE KIYA LIKH RAHA THA?
KHUDA JANAY HARF-E-DUA LIKH RAHA THA

LIKHAY THAY JISNAY WAFA K MAIENAY ADHURAY
WOH SHAKHS PYAR KI INTEHA LIKH RAHA THA

ZARA USKI AANKH EK AANSU NA NIKLA
WO JIS WAQT LAFZ-E-SAZA LIKH RAHA THA

MOHABBAT MEIN NAFRAT MILI THI USAY
WOH HAR SHAKHS KO BEWAFA LIKH RAHA THA

ES QADAR ZAMANAY WALON NAY USAY SATAYA
WOH PYAR K JAZBAY KO GUNAH LIKH RAHA THA

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 11:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Manzil Mil Gai Mujh Ko

Chalo hum MAAN laitay hain
Tumhain hum KHO chukay lakin
Tumhari YAAD ab tAk hmain BAYTAB rkhti he
Hmari SAANS ab tak b Tumhari AAS rkhti he
Mgr ab ye bhi SUNTY hain Tumhari raah ROSHAN hay
Tumhain MIL jay ga koi Mgr AFSOS...
Hum JAISA...
Agr PAO kahin tum to
Mjhy do harf likh dena
K
MANZIL mil gai mujh ko...

· 1 Like · Jul 02, 2017 at 04:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Farz Karo

Farz karo ham ahl-e-wafa hon, farz karo deewaane hon,

Farz karo yeh dono baatain jhooti hon, afsane hon

Farz karo yeh nain tumhare, sach much ke mekhane hon,

Farz karo tumhen khush karne ke dhoondhe ham ne bahane hon

Farz karo yeh jog be jog ka, dhong hi ham ne rachaya ho

Farz karo bas yahi haqeeqat, baqi sab kuch maaya ho

Farz karo yeh rog ho jhoota, jhooti preet hamari ho,

Farz karo es preet ke rog mai saans bhi ham pe bhari ho.

· 1 Like · Jun 30, 2017 at 12:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ik Shakhs Paas Reh Ke Bhi Samjha Nahi Mujhay

Ik Shakhs Paas Reh Ke Bhi Samjha Nahi Mujhay
es Baat Ka Malal He Shikwa Nahi Mujhay

Mein Os Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisy Doon
Os Ne To Ibtada Se Hi Chaha Nahi Mujhay

Kya Kya Umeedein Baandh ke Aya Tha Samnay
Os Ne To Aankh Bhar k Bhi Dekha Nahin Mujhay

Pathar Samajh K Paon Ki Thokar Liya
Afsoos Teri Ankh Ne Parkha Nahi Mujhay

Kab Taherna Tha Mujhko Hasan Aj Os K Pass
Acha Howa K Os Ne Bhi Roka Nahi Mujhay

· 1 Like · Jun 30, 2017 at 00:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhari Yadoon Ke Zakhm

Tumhari yadoon ke zakhm
Jab bharne lagte hein
Kisi bahane se tumhein
Yaad karne lagte hein
Bhoolne ki koshish jaari hai lekin
Yaad karne ke bahane milne lagte hein
Dosti, mohabbat be matlab hi sahi
Zindagi mei n iski kami mehsoos karne lagte hein
Zindagi udaasi ka doosra naam sahi
Khushiyon ki raah hum aaj bhi taktay hein
Tum ne waada to nahin kiya
Mujhse milne ka
Hum phir bhi ek aas kyon dil mein rakhte hein
Kisi bahane se tumhein
Yaad karne lagte hein

· 1 Like · Jun 29, 2017 at 05:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abhi Wo Sham Thehri Hay

ABHI WO SHAM THEHRI HAY
JIS SHAM K HATHON MAAT HOI

ABHI WO MAAT GHRI HAY
WO DARWAZY PR LIKHY HOWY
KUCH LAFZ ABHI TK BAAKI HAIN
UN LAFZON PR ZANGERAIN HAIN
KUCH ANKAHI C BATON KI
MEHVE TAMASHA TASVERAIN HAIN
WO ROOG LAGA JO JEEWAN KO
WO ROOG ABHI TK BAKI HE
KUCH RUH KI GEHRAIYOUN ME
WO SOOG ABHI TK BAKI HAY..

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 20:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Phir Se Mausam Bahaaron Ka Aane Ko Hai

phir se mausam bahaaron ka aane ko hai
phir se rangeen zamana badal jayega
ab ke bazm charaGhoon sajaa lenge ham
ye bhi araman dil ka nikel jayega

aap kar de jo mujh pe nigaah-e-karam
meri ulfat ka reh jayega kuch bharam
ye fasana to mera rahegaa yahin
sirf unvan us ka badal jayega

pheeki pheeki si kyu sham-e-maiKhana hai
lutf-e-saaqii bhi kam Khali paimana hai
apni nazaron se hi kuch pila dijiye
rang mahafil ka Khud hi badal jaayegaa

mere mitne ka un ko zara Gham nahi
zulf bhi un ki ai dost barham nahi
apne hone na hone se hota hai kya
kaam duniyaa kaa yuu hi to chal jayegaa

aap ne dil jo Zahid ka tora to kya
aap ne us ki duniyaa ko chora to kya
aap itane to aaKhir pareshaan na hon
vo sambhalte sambhalte sambhal jayega

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 14:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ijunoon

Jo Dil Ne Kahi Lab Pe Kahaan Aai Hai Dekho

jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahafil-e-yara me bhi tanhai hai dekho

phuulon se havaa bhi kabhi ghabrai hai dekho
Ghunchoon se bhi shabanam kabhi katraai hai dekho

ab zauq-e-talab vajah-e-junoon Thair gayaa hai
or arz-e-vafaa baais-e-rusvaai hai dekho

Gam apne hi ashkoon ka Kharidar hoa hai
dil apni hi halat ka tamashai hai dekho

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 07:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai

Khamoshi Khud apni sadaa ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi gounj raha ho aisa bhi ho sakta hai

mera mazi mujh se bichhar kar kya jaane kis haal me hai
meri tarah wo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai

sahara sahara kab tak main Dhondoun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sahara ho aisa bhi ho sakta hai

ahl tuufaan soch rahe hain saahil Dooba jata hai
Khud un ka dil Doob raha ho aisa bhi ho sakta hai

· 1 Like · Jun 27, 2017 at 01:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Munsifon Saliibon Par Faisale Nahi Hote

munsifon saliibon par faisale nahi hote
besabab baghavat ke sanihay nahi hote

jhooth or sadaaqat ki jang to azal se hai
phir bhi sach pe jiine ke hausale nahi hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paayenge
kyu ke es zamaane me moajezay nahi hote

jo bhi the gile shikave duur kar ke jana tha
kam se kam bichernay par dil bure nahi hote

chaand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
ham se us ki yaadon me rat jage nahi hote

· 1 Like · Jun 26, 2017 at 19:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yeh Kis Kay Sog Me Shorida Haal Phirta Hoon

yeh kaun doob gaya aur ubhar gaya mujh main
yeh kaun saaye ki soorat guzar gaya mujh main

yeh kis kay sog me shorida haal phirta hoon
woh kon shakhs tha aisa keh mar gaya mujh main

ajab hawa e baharaan nay chara saazi ki
woh zakhm jis ko na bharna tha bhar gaya mujh main

woh aadmi keh jo pathar tha jee raha hai abhi
jo aaina tha woh bikhar gayaa mujh main

misaal kya ke woh jab bhi kareeb say guzara
to youn laga ke koi raqs kar gaya mujh main

woh sath tha to ajab dhuup chanoo rehti thi
bas ab to ek hi mausam thehar gaya mujh main

· 1 Like · Jun 24, 2017 at 21:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Jamay Gi Kaisay Bisaat E Yaraan Ke Sheesha O Jaam Bujh Gaye Hain

jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha o jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaran ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain

wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh e rukh na shaam e wada
kiran koi arzoo ki laao ke sub dar o baam bujh gaye hain

buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaey hain

qareeb aa ay mah e shab e gham, nazar pay khulta nahin kuch es dum
ke dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain

bahar ab a kr kaya karay ge ke jin say thi jashn rang o naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

· 1 Like · Jun 24, 2017 at 15:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main

Ab to Aa ja Guzar gaya hun main
Log kehtay hain mar gya hun main

Tum se Milta tha Sirf Ujra hua
Dekh kitna sanwar gaya hun main

Khaar Chuntay umar Tamaam hui
Aaj pholon se bhar gaya hun main

Tu to aa k Wada wafa kar ja
Apne wade se phir gya hun mai

Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti
Qaid shairon mein Kar gaya hun main

Muthiyaan khaak se bharay Dunia
Lehad mein utar gaya hun main


Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main ....

· 1 Like · Jun 24, 2017 at 08:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Haath Hum Hi Phela Na Sakay

sab ko dil kay daagh dikhaye ik tujhi ko dikha na sakay

tera daaman door nahin tha,haath hum hi phela na sakay

tu ay dost kahan lay aaya chehra yeh khursheed jamal

seenay main abaad karain gay,aankhon main to sama na sakay

na tujh say kuch hum ko nisbat,na tujh ko kuch hum say kaam

hum ko yeh maloom tha laikin dil ko yeh samjha na sakay

ab tujh say kis munh say keh dain saat samander paar na ja

paich ki ik deewar bhi hum to phalang na paye dhaa na sakay

mann papi ki ujri khaiti sookhi ki sookhi hi rahi

gargay baadal,bondain do barsa na sakay

· 1 Like · Jun 23, 2017 at 19:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ab Tu Kisi Aur Say Pyaar Kar Ley

Yeh weham nahi to kya hay, yeh gumaaN nahi to kya hay
yeh jo dil say utth raha hay, yeh dhuwaaN nahi to kya hay

tujhey kis dard ka rishta meray dar pay kheanch laaya
tujhey kis nay keh diya tha meray paas har daawa hay

teray kisi dukh ka chaaraa meray haath meiN nahi hay
meiN to khud bekaraaN hooN merey paas kya dharaa hay

abhi bastiyaaN yaheeN heiN, tu loat jaa yaheeN say
meray sath sath na chal tu, ye bohat burra juwa hay

tujhay kya khabar ay hamdam ke teri aarzu ke badlay
meray dil pay jo laga tha, ab tak wo zakhm haraa hay

par gila nahi hay tujh say, meray khaloos meiN hi kami hay
meiN ney jisay bhi dil say chaaha, usay laga ke wo khuda hay

meiN koi waqiya nahi hooN, mujhey es tarha na socho
meri daastaaN ko chorro, bhala es meiN kya maza hay

tu laot kay aa gayaa hay, par mera dil to bujh chuka hay
ab tu kisi aur say pyaar kar ley, bas yehi teri sazaa hay

· 1 Like · Jun 23, 2017 at 13:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aakhir Waqt To Saaray Hi Guzar Jate Hain

Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain

main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain

dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain

umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
aakhir waqt to saaray hi guzar jate hain

ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain

· 1 Like · Jun 23, 2017 at 07:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Paamaal Ho Gay Teray Dar Pr Parray Hoe

Paamaal Ho Gay Teray dar Pr Parray Hoe
Jaisay Shajar Se Toot K Pattay Giray Huay

Naqadri e Zmana Humein Maloom Hai Magar
Yaaron Se Phir Fazool K Shikway Gilay Huay

Mehroomiyon K Bojh Se Gardan Jhuki Hui
Nakamiyon Ki Gard Se Chehray Attay Huay

Shayad Tumhein Khabar Ho Btao Wo Qafilay
Thehray Kahan Thy Be Sar o Saaman Chalay Huay

Janay Kidhar Chalay Gaey Saray Wo Humsafar
Hum Rahguzar Mein Reh Gaey Tanha Kharay Huay....

· 1 Like · Jun 22, 2017 at 18:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dhoop Main Chhaaon, Andheray Main Diya Ho Jana

Dhoop main chhaaon, andheray main diya ho jana
Kitna mushkil hai kisi dukh ki dawa ho jana

Main kisi lamha-e-maqbool main maangoon ga tumhain
Tum bhi us lamhay masroof-e-dua ho jana

Aisa lagta hai taaluq nahi toota tujh say
Zakhm-e-dil ka teray dekhay say hara ho jana

Kabhi jub dhoop ki shiddat nay safar rok diya
Yaad aaya teray gaisoo ka ghata ho jana

ab koo-e-malamat say guzarna hai mujhay
Tum kisi morr per chaho to juda ho jana

· 1 Like · Jun 21, 2017 at 22:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Teri Jabeen Pe Likha Tha Ke To Bhula De Ga

Teri Jabeen Pe Likha Tha Ke To Bhula De Ga
So Main Bhi Bhanp Gaya Tha Ke To Bhula De Ga

Har Ek Shaks Se Larta Raha Main Tere Liye
Har Ek Ne Mujhse Kaha Tha Ke To Bhula De Ga

Ye Teri Aankon Pe Halkay Se Par Gaye Kaise
Mujhy To, To Ne Kaha Tha Ke To Bhula De Ga

Nikaal Laya Hay Ilzaam Phir Purane To
Ye Hum Ne Te Bhi Kiya Tha Ke To Bhula De Ga

Kuch es Liye Bhi Ke Til Tha Teri Ankhon Main
Mujhy To Tab Bhi Pata Tha To Bhula De Ga

· 1 Like · Jun 21, 2017 at 15:06
Category: sad
 
Which colour?
Posted by samreen qaisar
Posted on : Dec 13, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS