Poetry / Sad

Yehi Wada Lia Tha Na

Yehi wada lia tha na
Hamesha khush hi rehna hai
Lo dekho! dekh lo aa k
Meri ankho ko dekho tum
Ye kitni shokh lagti hain
Mere honton ko dekho tum
Hamesha muskurate hain
Koi bhi ghum agar aya
Usay hans kr saha mein ne
Mere chehray ko dekho tum
Hemesha pur'sakun ho ga
Kia tha mein ne jo tum se
Wo wada kr dia pura
Mgr ik baat hai pyare
Kabhi jo waqt mil jaye
To meri shayari perhna
Tumhe mehsoos to ho ga
Kahin talkhi bhara lehja
Kahin pe sard sa lehja
Kahin pe drd ki jheelein
Kahin lehjay ki karhwahat
SUNO!
Mein khush to hun lekin
Mera her lafz rota hai...!

· 1 Like · Aug 09, 2017 at 22:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Har Haqeeqat Majaaz Ho Jaaye

Har haqeeqat majaaz ho jaaye
Kafiroon ki namaaz ho jaaye

Minnat-e-charasaaz kaun kare
Dard jab jaan nawaaz ho jaaye

Ishq dil me rahe to ruswa ho
Lab pe aaye to raaz ho jaaye

Lutf ka intezaar karta hoon
Jorr taa hadd-e-naaz ho jaaye

Umr be sood kat rahi hai Faiz
Kaash afshaa-e-raaz ho jaaye....!

· 1 Like · Aug 09, 2017 at 16:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera Kion Bujh Gaya Awargi

Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera kion bujh gaya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia huwa awargi

Kal shab mujhe Be shakal see awaz ne chonka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi

ik tu ke sadiyoon se mere humrah bhi humraaz bhi
Ik mein ke tere naam se na Ashna Awargi

Yeah durd ki tanhaiyan yeah dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi

Ik ajnabi jhonkay ne jab poocha mere ghum ka sabab
Sehra ki tapti rait per mein ne likha awargi

Kal raat tanha chaand ko dekha tha mein ne Khawab mein
Mohsin Mujhe raas aye gi shayad sada awargi...!

· 1 Like · Aug 08, 2017 at 22:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mohabbat naam hai mera

Kabhi veeran raaston par

Koi anjaan si dastak

Agar tum ko sunai de

Sada ki shakal main aa kar kahay

Mohabbat naam hai mera

Palat kar dekhna mat tum

Keh es kaar-e-Mohabbat main

Aziyat hi aziyat hai...!

· 1 Like · Aug 08, 2017 at 15:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Zard Rang

Zard rang

dukh denay wala hota hay

jesay dubta suraj!

jesay pat jharh ki rut!

jesay khizan raseeda barg!

jesay pyasi rait!

jesay taiz dhoop!

jesay bohat purana kaghaz!

mujh sey door janey walay

tumhari mohabbat bhi zard rang ki ho gayi hey....!

· 1 Like · Aug 08, 2017 at 09:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kai Barson Se Aisa Ha

Kai barson se aisa hai
K ek weeraan rasta
Jo barson se
Humare beech hayal hai
Anna k khoon mein lipti
Wo ek janib khari hai or
Anna k khoon mein lipta
Ussi weeraan raste k kinare
doosri janib na janay kitne barson se
Akela main khara hun ...!

· 1 Like · Aug 08, 2017 at 03:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Koi Umeed Bar Nahi Ati

Koi Umeed Bar Nahi Ati
Koi Soorat Nazar Nahi Ati
Moat Ka Aik Din muqarar Hai
Neend Kyun Raat Bhar Nahi Ati
Agay Ati Thi Hal-e-Dil Pe Hansee
Ab Kisi Baat Per Nahi Ati
Hai Kuch Aisee Hai Baat Jo Chup Hoon
Warna Kiya Baat Kerni Nahi Ati


Daag-e-dil gar Nazar Nahin Aata
Boo bhi ae Chaaraagar Nahin Aati
Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Ati
Martay Hein Arzoo Mein Marnay Ki
Moat Ati Hai Per Nahi Ati
Kaba Kis Moun say Jao Gay Ghalib
Sharam Tum Ko Magar Nahi Ati....!

· 1 Like · Aug 07, 2017 at 20:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Chupaye Dil Mein Gamon Ka Jahan Baithey Hain

chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain
tumhari bazm mein hum bezuban baithey hain

yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai k raahon ko chhaan baithey hain

ab aur gardish-e-taqdir kya sataye gi
luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain

hai maikadon ki baharon se dosti Saghar
baraye had e yaqin o guman baithey hain...!

· 1 Like · Aug 07, 2017 at 14:08
Category: sad
 
Poetry / Sad

Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai

Teri Ummid Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Din ko Shab Se Hai,

Kisi ka Dard Hoa Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-bechain Beqabo,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bharke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher HumKalam Kab Se Hai...!

· 1 Like · Aug 07, 2017 at 08:08
Category: sad
 
Jassi Sidhu - Naa Rukiyeh
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Nov 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS