Poetry / Sad

Ye Dil Bhulata Nahe Hai Mohabbatain Uski

Ye Dil Bhulata Nahe Hai Mohabbatain Uski
Padi Howi Theen Mujhe Kitni Aadatain Uski

Ye Mera Saara Safar Oski Khushbuu Mein Kta
Mujhe Tou Raah Dikhati Theen Chahatain Uski

Ghiri Howi Hun Mein Chehron Ki Bheer Mein Laikin
Kaheen Nazar Nahee Aati Shabahatain Uski

Mein Dard Se Ronay Lagi Hun Tou Aisa Lagta Hai
Ke Chhaon Jaisi Theen Mujh Par Rafaqatain Uski

Ye Kis Gali Mein Ye Kis Sheher Mein Nikl Aaye
Kahan Pe Reh Gayein Loogon Sadaqatain Uski?

Mein Baarishon Mein Juda Ho Gayi Hun Os Se Magar
Ye Mera Dil, Meri Saansain Amanatain Uski...!

· 1 Like · Nov 01, 2017 at 10:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai

Rukta Bhi Nahi Theek Se Chalta Bhi Nahi Hai
Ye Dil Ke Tere Baad Sambhalta Bhi Nahi Hai

Ye Sheher Kisi Aina Kirdaar Badan Par
ilzam Lagate Howe Darta Bhi Nahi Hai

Ik Umar Se Hum es Ki Tamanna Mai Hain Be Khowab
Wo Chand Jo Aangan Main Utrta Bhi Nahi Hai

Phir Dil Mein Teri Yaad Ke Manzar Hain
Aisay Mein Koi Dekhnay Waala Bhi Nahi Hai

es Umar Ke Sehra Main Teri Yaad Ka Baadal
Tlta Bhi Nahi Aur Barasta Bhi Nahi Hai

Hamraah Bhi khwaahish Se Nahi Rehta Hamare
Aur Baam-e-Rafaaqat Se Utarta Bhi Nahi Hai...!

· 1 Like · Nov 01, 2017 at 04:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay

Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay

Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat
Ik Pal Sarshari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay

Mein Ne Saari Khushboain aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay

Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee
Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay

Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai
aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay...!

· 1 Like · Oct 31, 2017 at 22:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hamesha Dair Kar Deta Hun Main

hamesha dair kar deta hun main

zaruri bat kahni ho
koi wada nibhana ho
usay awaz deni ho
usay wapas bulana ho
hamesha dair kar deta hun main

madad karni ho uski
yar ki dharas bandhana ho
bahut dairina raston par
kisi se milne jana ho
hamesha dair kar deta hun main

badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhool jana ho
hamesha dair kar deta hun main

kisi ko maut se pahle
kisi gam se bachna ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja k ye batana ho

hamesha dair kar deta hun main...!

· 1 Like · Oct 31, 2017 at 16:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhare Khat Main Naya Ek Salam Kis Ka Tha

Tumhare khat main naya ek salam kis ka tha
na tha raqeeb to akhir wo naam kis ka tha

Wo qatl kar ke har kisi se puchte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha

Wafa karenge nibhayenge baat manein ge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha

Raha na dil main wo be-dard aur dard raha
muqeem kaun hua hai maqam kis ka tha

Na pooch pach thi kisi ki na aao bhagat
tumhari bazm main kal ehtamam kis ka tha

Guzar gaya wo zamana kahen to kis se kahen
khayal mere dil ko subah o sham kis ka tha

Har ek se kahte hain kya Daagh bewafa nikla
ye puche in se koi wo ghulam kis ka tha...!

· 2 Like · Oct 31, 2017 at 10:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese

Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,

Zehen chhalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne roye kese...!

· 1 Like · Oct 31, 2017 at 04:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas E Aabroo Na Karoon

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon

Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kabhi Rafu Na Karoon

Ghayour Hun Ke Ijara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ru Baruu Na Karoon

Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon...!

· 1 Like · Oct 30, 2017 at 22:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aik Mohabat Aur Wo Bhi Nakam Mohabat

Pani ankh main bhar k laya ja sakta hai
ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

aik mohabat aur wo bhi nakam mohabat
lekin es se kaam chalaya ja sakta hai

Dil par pani penay ati hain umeeden
es chashmay main zeher milaya ja sakta hai

mujh benam se pughtay hain Farhad o Majnoo
ishq main kitna naam kamaya ja sakta hai

phatta purana khwab hai mera phir bhi Tabish
es main apna aap chupaya ja sakta hai...!

· 1 Like · Oct 30, 2017 at 15:10
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya

Dil DhaRakne Ka Sabab Yaad Aaya
Wo Teri Yaad Thi Ab Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost
TU Musibat Main Ajab Yaad Aaya

Din Guzra Tha Bari Mushkil Se
Phir Tera Waada-e-Shab Yaad Aaya

Tera Bhula Hua Paimaan-e-Wafa
Mar Rahenge Gar Ab Yaad Aaya

Phir Loog Nazar Se Guzre
Phir Koi Sheher-e-Tarab Yaad Aaya

Haal-e-Dil Hum Bhi Sunate Laikin
Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya

Baith Kar Saaya-e-Gul Main Nasir
Hum Bohat Roye Wo Jab Yaad Aaya...!

· 1 Like · Oct 27, 2017 at 07:10
Category: sad
 
10 cheezen
Posted by afza altaf
Posted on : Aug 03, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS