Poetry / Sad

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhanay Wala

Dost ban kar bhi nahi sath nibhanay wala
Wohi andaz hay zalim ka zamanay wala

Ab usay logg samjhtay hay giraftar mera
Sakhat nadim hay mujhay damm may lanay wala

Subha e dam chore gaya nighat e gull ki sorat
Raat ko guncha-e-dill mey simat anay wala

Kia kahain kitnay marasam thay hamaray us say
Wo jo ik shaks hay moh phair kay janay wala

Teray hotay huway a jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi anay wala

Muntazir kiss ki hoon tooti hoi dehliz par mein
Kon aye ga yahan , kon hay anay wala

Kia khabar thi jo meri jaan me ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-dar bhi lanay wala

Maine dekha hay baharoon mein chaman ko jaltay
Hay koi khuwab ki tabeer batanay wala

Tum takluf ko bhi ikhlas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milanay wala...!

· 1 Like · Nov 16, 2017 at 22:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ek Hunar Hai Jo Kar Gayaa Huun Main

ek hunar hai jo kar gayaa huuN maiN
sab ke dil se utar gayaa huuN maiN

kaise apnii haNsii ko zabt karuuN
sun rahaa huuN ke ghar gayaa huuN maiN

kya batao ke mar nahi paata
jitay ji jab se mar gayaa huuN maiN

ab hai bus apna samna darpesh
har kisii se guzar gayaa huuN maiN

ajab ilzaam huuN zamaane kaa
ke yahaaN sab ke sar gayaa huuN maiN

kabhii Khud tak pahunch nahiiN paayaa
jab ke vahan umr bhar gayaa huuN maiN

tum se jaanaaN milaa huuN jis din say
Khud se darr gayaa huuN maiN

kuu e jaanaaN meN sog barpaa hai
ke achaanak, sudhar gayaa huuN maiN...!

· 1 Like · Nov 16, 2017 at 16:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aur Phir Tuut Ja

Aur phir tuut ja?
Khiloney
muskara
Kisi se dil laga
Aur phir tuut jaa

Khushi dhunde ga tu
Mileen ge lakh gham
Tujhay thukrayeen ge
Yeh pathar k sanam

Yeh dhokah tu bhi kha
Kisi ko aazmaa
Aur phir tuut jaa

Mile gi aik din
Mohabbat ki saza
Urye ga rang bhi
Jale ga dil tera

Yaqeen kar pyaar ka
Yeh sadma bhi utha
Aur phir tuut jaa...!

· 2 Like · Nov 15, 2017 at 15:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shayad Main Zindagi Ki Sehar Leke Aa Gaya

Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,

Ta umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,

Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,

Fakhir sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya...!

· 1 Like · Nov 15, 2017 at 09:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sawan Aya Tum Naheen Aye

Sawan aya tum naheen aye
Reh gaye hum to aas lagaye

Pichali baharon main
tum se mile the
Jin pairron k niche
Hath rakhe khud bikhraye
Gum sum akhiyaan mitey

Un pairron par
jhuk aye hain
Phir patjhar k saaye
Sawan aya tum naheen aye

Theen yehi wadiyaan
The yehi parbat
Tha yehi pyaar ka mousam

Shakhon main the
phool suhane
Pholon par thi shabnam
In ko to hum bhool chuke hain
Tum ko bhool na paye

Sawan aya tum naheen aye
Reh gaye hum to aas lagaye...!

· 1 Like · Nov 15, 2017 at 03:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kaho, Woh Dasht Kaisa Tha?

Kaho,
woh dasht kaisa tha?
Jidhar sub kuch luta aaye
Jidhar aankhain ganwa aaye
Kaha,
sailab jaisa tha,
bohot chaha keh bach niklein magar sub kuch baha aaye
Kaho,
woh hijer kaisa tha?
Kabhi choo ker usay dekha
To tum nay kia bhala paya
Kaha,
bus aag Jaisa tha,
usay choo ker to apni rooh ye tann mann jala aaye
Kaho,
woh wasl kaisa tha
Tumhain jab chuu liya us nay
To kya ehsas jaga tha?
Kaha,
ik raastay jaisa,
jidhar say bus guzarna tha, makan lekin bana aaye
Kaho,
woh chand kaisa tha?
Falak say jo uttar aaya!
Tumhari aankh main basnay
Kaha,
woh khawab jaisa tha,
nahi taabeer us ki, usay ik shab sula aaye
Kaho,
woh ishq kaisa tha?
Bina parkhay kia jo tum nay
Kaha,
titlii k rang jaisa,
bohat kachaa anokha sa, jabhi us ko bhula aaye
Kaho,
woh naam kaisa tha?
Jisay chanchal
Hawaon per likha tum nay
Kaha,
bus mosmoon jaisa,
na janay kis tarha kis pal kisi ro main mita aaye
Suno,
khawahishon ki lehron per sambhalna kion hua mushkil?
Bataya ,
paanion per khawab ki rakhi bena jaisay
Bhala tum rooh ki in kirchiyon main dhoondtay kia ho?
Kaha,
yeh itni roshan hain keh sooraj ha diya jaisay
Suno aankhon hi aankhon ka bayan kesay laga tum ko?
Laga,
phoolon say sargoshi si kerti ha saba jaisay...!

· 1 Like · Nov 14, 2017 at 15:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Main Bhool Jaon To

Suno!
Main Bhool Jaon to
Agar Main Rooth Jaon to
Kabi Wapis Na Aaon to
Bhula Pao gay Sab Kuch kia
Younhi Hanste Raho gay Kia
Younhi Sajtay Raho gay Kia
Yehi Batein Hein Bas Us Ki
Yehi Yadein Hein Bas Us Ki
Muje Maloom Hai itna
Muje Wo Piyar Krta tha
Muje Khonay Se Drta tha...!

· 1 Like · Nov 13, 2017 at 07:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mat Toor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai

Mat Toor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,

Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse es Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,

Main Kaisay Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,

Mera Taluk Jura Hai Kuch es Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai...!

· 1 Like · Nov 09, 2017 at 14:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Do Pal K Haseen Khwaab

Do pal k haseen khwaab,
Do dil k fasane,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Saanson ki mehak unki,
Mohabbat se kahi hr baat,
Mashook bari zalim thi,
Bari qaatil hai unki yaad,
Bhoole bichare woh waade,
Kache dhagon si woh kasmein,
Do pal ke the saare,
Na Hue kabhi woh apne,
Yaad aate hain ab bhi,
Woh guzre zamane,
Do pal k haseen khwab,
Do dil k fasaane....!

· 1 Like · Nov 08, 2017 at 12:11
Category: sad
 
Tandoor Wala
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : Sep 27, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS