Poetry / Sad

Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aisay Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
es Zindagi Ka Kya Hoga,
Ke Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi....!

· 1 Like · Nov 08, 2017 at 06:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna Hoga Bohat Tum Ne

suna hoga bohat tum ne ….

kahiN aankhoN ki rim jhim ka

kahin palkoN ki shabnam ka…

parha hoga bohat tumne ….

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka…

magar tum ne kabhi humdam …

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??…!!

mujhe teri judaai ne …

yehi mairaaj bakhshi hai…

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo bhi bunta hooN …

woh saray tawaf kartay hain

mere sang es judaai main …

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain …

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta …

mere alfaz ki siski…

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil …

usi taseer ke aansoo…

kabhi daikho mere humdam…

meri tehreer ke aansoo..!!!

· 1 Like · Nov 08, 2017 at 00:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Guzarta Hoon Mein Jab Bhi Tere Sheher Ki Galiyon Se

Guzarta hoon mein jab bhi tere sheher ki galiyon se,
Beeti sadayen raqs karti hain tere ashiyanay se,

Karta hon yaad mein tujhe jab bhi,
Ik aah si uthti hai mere seeney mein,

Puchte hain log mujhse be basi ka sabab,
Kehta hon ke dil lagaya tha ek pathar se,

Mar kar bhi na bhula paaon ga mein woh lamhe,
Khelta tha mein jab bhi teri naachti zulfon se,

Rehta hai ik bacha sa mere wajood mein Husnain,
Bahelta hai jo teri yaadon ke khilone se...!

· 1 Like · Nov 06, 2017 at 08:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, Ke Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai...!

· 1 Like · Nov 05, 2017 at 08:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suno Tum Ne Kaha Tha Na

suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazba-e-muhabat say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai saloon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntazir ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki moujon ne
bari halchal machai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hamaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairron ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sunnay ki
mere kamray ki be tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum...!

· 1 Like · Nov 04, 2017 at 19:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Usko Fursat Hi Nahi

Usko fursat hi nahi
waqt nikalay Mohsin
Aisy hoty hain bhala
Chahny waly Mohsin

Yaad k dasht me phirta hon
Main nangy paon
Dekh to aa k kabi
Paon k chhaly Mohsin

Kho gai subho ki umeed
or ab lgta hai
Hum nahi hon gay
K jb hon gy ujaly Mohsin

Wo jo ik shakhs
Mtaa-e-dil-o-jan tha
Na raha
Ab bhala kon mery
Dard sambhaly Mohsin...!

· 1 Like · Nov 04, 2017 at 13:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko

Dil Jo Hai Aag Laga Doon Os Ko,
Aur Phir Khud Hee Hawa Doon Os Ko,

Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?

Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko

Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,

Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,

Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
Kyun Na Mein John Mita Doon Os Ko ?

· 1 Like · Nov 04, 2017 at 07:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Khwab Ki Tarah Bikhar Jane Ko Ji Chahta Hai

khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai

ghar ki wehshat se larazta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai

dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai

kabhi mil jaye to raste ki thakan jag parray
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai

wahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai...!

· 1 Like · Nov 04, 2017 at 01:11
Category: sad
 
Poetry / Sad

Us Ki Nazar Ne Yoon Kiya Gard E Malal E Jaan Ko Saaf

Kya kya hamare khawb thay, jane kahan pe kho gaye,
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye,

Jane woh kyon thay, Kaun thay? aaye thay kis liye yahan,
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik dhoo gaye,

Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf,
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye,

Katne se aur barhti hai uthey huye saroo ki faseel,
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye,

Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha,
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye,

Ankhon mein bhar ke rat jagay, Raston ko de ke duriyan,
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye...!

· 1 Like · Nov 02, 2017 at 04:11
Category: sad
 
Bed in a Hammock
Posted by Abdul Rahman
Posted on : Oct 17, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS