Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Yun He Umeed Dilatay Hain Zamanay Walay

YUN HE UMEED DILATAY HAIN ZAMANAY WALAY
KAB PALATTAY HAIN BHALA CHOAR JANE WALAY
TU KABHI DAIKH SEHRA MEIN JHULASTAY DARAKHT
KAISE JALTE HAIN WAFAOON KO NIBHANAY WALAY
IN SAY AATI HAI TUMHARAY LAMS KI KHUSHBU
KHAT NIKALAY BETHA HOON TUMHARAY PURANAY WALAY
KUCH TO AANKHON SAY BHI BAYAAN HOTAY HAIN
MUNH SAY HOTAY NHI SUB RAAZ BATANAY WALAY
AAJ NA KOI SITARA HAI NA HAI JUGNU KOI
RAABTAY TOOT GAEY UN SAY MILANAY WALAY

· 1 Like · Apr 20, 2017 at 08:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Yun He Umeed Dilatay Hain Zamanay Walay

YUN HE UMEED DILATAY HAIN ZAMANAY WALAY
KAB PALATTAY HAIN BHALA CHOAR JANE WALAY
TU KABHI DAIKH SEHRA MEIN JHULASTAY DARAKHT
KAISE JALTE HAIN WAFAOON KO NIBHANAY WALAY
IN SAY AATI HAI TUMHARAY LAMS KI KHUSHBU
KHAT NIKALAY BETHA HOON TUMHARAY PURANAY WALAY
KUCH TO AANKHON SAY BHI BAYAAN HOTAY HAIN
MUNH SAY HOTAY NHI SUB RAAZ BATANAY WALAY
AAJ NA KOI SITARA HAI NA HAI JUGNU KOI
RAABTAY TOOT GAEY UN SAY MILANAY WALAY

· 1 Like · Apr 19, 2017 at 17:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujahy Fursat Hi Fursat Hai

MUJAHY fursat hi fursat hai
sawery jald uthna hay
na shub ko dair say sona
kahin bahir nahin jana
kisi say bhi nahin milna
na koi fikr baki hai
na koi yad baki hai
magar yah akhri misra!
zara jhoota sa lagta ha

· 1 Like · Apr 18, 2017 at 18:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhay Tum Say Buhat Pehlay

Mujhay Tum say buhat pehLay

ik Zarori Baat kahni thi

MaGar!

Waqt ka yeh KafiLa

Taizi say youn Guzra

key main kuch bhi na Keh Paya

Aur hamaray Beech ki Baat

wo bhi to MukamaL ho Na paayi

phir aik diN AchaanaK

JaB mujh ko yaaD Aaya

Mujhay Tum say buhat PehLay

aiK zarori Baat karni thi

aur wo yeh key JaB

Andaishay DarataY hooN

TumhaY weham satatay hooN

to mare Dost

Tum ageY Barh KeY

mareY senay pe sar rakh key

Apney diL ki har Baat Keh DeNa

main saray Dukh sun LoNGa

UnhaiN apneY hontoN se ChuuN LoNGa!

· 1 Like · Apr 18, 2017 at 07:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Parhi Hay Chupp Kay Kuch Namazain Usay Paanay Kay Liye

Rakhay KHUDA Nay Do Raastay Mujay Aazmanay Kay Liye

Wo Chorr Day Mujhay

Ya Main Chorr Don Usay Zamanay Kay Liye

Kaisay Maang Lon RAB Say

Usay Bhool Janay Ki Dua

Haath Uthaye Nahi Hain Dua Main

Usay Bhool Janay Kay Liye

Nahi Ki Zindagi Main

Main Nay

Koii Bhi Naiki

Per Parhi Hay Chupp Kay Kuch Namazain

Usay Paanay Kay Liye

· 2 Like · Apr 17, 2017 at 16:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aaj Aisa Kertay Hain

Aaj Aisa kertay hain

Guftago ke lamhon main
dekh hi nahi patay
hum tumhare chehray ko
tum hamari ankhon ko
aaj aisa kartay hain
chashm-o-lub ko parhte hain
baat choar dete hain…
janay kia lamha ho ga
jab yeah hath hathoon se
agar kabhi juda ho ga
aaj aisa karte hain
zabt-e-jaan parkhte hain
hath choar detay hain…
kash koi samjha dey
log kis tarha dil ki
manzilein alag kar ke
saath choar dete hain
aaj aisa karte hain
be-sabab bikharte hain
zaat toor dete hain…

· 1 Like · Apr 16, 2017 at 08:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Koi To Hota

Udas dil ki udas batain
samjhnay wala koi to hota
K jis ki baton se dil sambhalta
k jis ki sangat me dil behalta
Jis ki hlki si ik jhalak bhi
hmare dukh ko smait leti
Falak se khushiyan undail deti
YA
uski nazuk si muskurahat
Hmare dil ki sabhi thakawat ko door krti
Ya phir chamkti wo aankhain uski
Hmari hasti ka raaz hotin
Hmare dukh ki ktab hoti
Jo humko chahta, hum ko parhta
Guzarte lamhon ki sakhtiyon me
Koi to nazuk mizaj hota

KOI TO HOTA

· 4 Like · Apr 15, 2017 at 06:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teray Haath Ka Likha Hua Khat Kaya Mila

AAJ BARSON BAAD KAMRA SAAF KARNAY KI MUJHAY FURSAT MILI,
APNI ALMARI SAY TERAY HAATH KA LIKHA HUA KHAT KAYA MILA,
TU MIL GAYA,
MUNDMIL HOTAY HUAY IK ZAKHM KA MUNH KHUL GAYA,
GUL KHIL GAYA,
AANSUON K SATH JANAY KITNAY DARYA BEEH
SARA MANZAR DHUL GAYA

· 2 Like · Apr 12, 2017 at 11:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tairay Khushboo Mein Basay Khat Main Jalata Kaise

Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise
Pyar mein doobay hue khat main jalata kaise
Tairay hathon k likhay khat main jalata kaise


Jin ko dunia ki nigahon se chupaye rakha
Jin ko ek umar kalaijay se lagay rakha
Deen jin ko jinhein Imaan banay rakha
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Jin ka har lafz mujhy yaad paani ki tarha
Yaad they mujh ko jo paigham-e-Zubaani ki tarha
Mujh ko pyaray they jo anmol nishani ki tarha
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Tu ne dunia ki nigahon se jo bach kar likhay
Saal ha saal mere naam barabar likhay
Kabhi din mein to kabhi raat ko uth kar likhay
Tairay khushboo mein basay khat main jalata kaise


Pyar mein doobay hue khat main jalata kaise
Tairay hathon k likhay khat main jalata kaise
Tairay Khat aaj main ganga mein baha aaya hun
Aag behtay hue paani mein laga aaya hun

· 1 Like · Apr 10, 2017 at 15:04
Category: love
 
Improve Your Memory
Posted by sadaf butt
Posted on : Oct 29, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS