Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dil Dharaknay Ka Sabab Yaad Aaya

Dil Dharaknay Ka Sabab Yaad Aaya
Wo Teri Yaad Thi Yaad Aaya

Aaj Mushkil Tha Sambhalna Ay Dost
Tu Musibat Main Ajab Yaad Aaya

Haal -e- Dil Ham Bhi Sunatay Lakin
Jab Wo Rukhsat Howa Tab Yaad Aaya

Beth Kar Saya -e- Gul Main Nasir
Ham Bohat Roye Wo Yaad Aaya

· 1 Like · Feb 25, 2017 at 16:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai

Meri Soch Musafir Mera QalaM Rahgir Hai
Mera Andaz-E-Bayan Mera ZoQ-E-Aagahi Ki Tafseer Hai

Khaak Hoon Manzil Bhi Meri Khak Magar Sach Hai
Duniya Kuch Nahi FaQat Mere Khwabon Ki Tafseer Hai

Main Rond Gaya Hota Kab Se Dar-E-Wahshat
Meri Wafa Magar Mere Paon Ki Zanjeer Hai

Mere Andaz-E-Bayan Se Nala youn Na Hona Ke
Mera Sach Hi Mera MujasaM Meri Tasveer Hai

Bhatakti Chahat Par Pehre Bithana Kab Aasan Hua
Ye Chahat Ye Ulfat To Zindagi Ka Safar Hai

Mere Warison Mein Wirasat Ka Zikr Hai Asfer
Kya Bataun? Chahat Poonji Chahat Hi Jagir Hai

· 1 Like · Feb 23, 2017 at 15:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tujay Orhoun Ya Tera Libaas Ho Jaoon

TUJAY ORHOUN YA TERA LIBAAS HO JAOON
TERI RAGON ME DHAL KAR EK AHSAS HO JAOON

EK RAAT JO MILAY MUJAY TERI ZAAT SE
TU SAMANDAR BANAY, MAIN PYAS HO JAOON

TERE WAJOOD SE HE HAI MERE CHEHRAY PE RONAQ
TERA CHEHRA NA DEKHOON TO UDAAS HO JAOON

FAQAT ITNI C KHAISH HAI TERI ZINDAGI ME SHAMIL HOON
PHIR BHALLAY QISSA BANOON YA QAYAS HO JAOON

TERE LAB TERE HATH MERA HAR NAQSH AMAR KAR LAIN
TU MUJAY BHOOL NA PAYE ME ITNA KHAS HO JAOON

· 1 Like · Feb 23, 2017 at 04:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ak Arzoo Hay Puri Parwar Digaar Karay

Ak Arzoo Hay Puri Parwar Digaar Karay
Main Deir Say Jao Wo Mera Intazar Karay

Apnay Haathon Say Sanwaroon Zulfain Us Ki
Wo Sharma Kay Mohabbat Ka Iqraar Karay

Ho Shab -e- Wasl Aisi Yaarab
K Bheegi Zulfon Say Mujhay Be Dar Karay

Jab Usay Chorr Kay Jana Chahon Wasi
Wo Rokay Or Ak Raat Ka Israar Karay

Main Kise Or Ki Ho Nahi Sakti
Ye Wada -e- Wafa Baar Baar Karay

· 1 Like · Feb 22, 2017 at 18:02
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shaamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katti hain raten us ki

door reh kar bhi sada rahti hai
mujh ko thamay hue bahain us ki

· 1 Like · Feb 20, 2017 at 13:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meray Muqablay Mein Dil Kisi Pe Haar K Daikh

Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh

Tujhay nahin hai meri shidatoon ka andaaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k daikh

Tu aa k mera sabhi kuchh he chheen k le ja
Mohabbaton ka mera Qarz yun utaar k daikh

Boht hi pyaar se daikhay ga Aina tujhko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k daikh

Bisaat-e-Dil pe ajab hai Shikast-e-Zaat ka Lutf
Jahan pe JEET attal ho, wo CHAAL HAAR k daik

· 1 Like · Feb 19, 2017 at 16:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sre-e-raah miley

Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon

Yeh jo gardisheain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain

Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon

Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon

Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon

Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon

Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley

· 1 Like · Feb 19, 2017 at 09:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Naya Hai Shehr, Naye Asray Talaash Karun

Naya hai shehr, naye asray talaash karun
Tu kho gaya hay, kahan ab tujhay talash karun

Tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mai utar
Teray liye main kahan aainay talaash karun

Ghazal kahun, kabhi saada se khat likhun us ko
Udaas dil ke liye mashghalay talaash karun

Meray wajood se shayad milay suraakh uska
Mai khud ko bhi teray waastay talaash karun

Mai chup rahun, kbi be wajha hans parron Mohsin
Usay ganwa ke ajab hauslay talaash karun

· 1 Like · Feb 18, 2017 at 09:02
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Aankh Bhi Ye Khuab Bhi Ye Raat Bhi Uski

ye aankh bhi ye khuab bhi ye raat bhi uski
har baat pe yaad aati hai har baat bhi uski

jugno se chamaktay hain usi yaad ke dam se
aankhon men liey phirtay hain soghaat bhi uski

har sholay ke peechay hai usi aag ki sorat
har baat ke parday men hekiyaat bhi uski

lafzon men sajatay hain usi husn ki khusbo
aankhon men chupatay hain shekiyaat bhi uski

kya kijiey achi hamen lagti hai hamesha
dewaangi e dil men har baat bhi uski

jis shakhs ne manzar ko naey phool diye thay
hain dour e khizan par anayaat bhi uski

aata hai nazar majma e ahbaab men Adil
lakhon men akali hai mgr zaat bhi uski

· 1 Like · Feb 17, 2017 at 10:02
Category: love
 
Ishq e Mamnoo
Posted by iJunoon
Posted on : Mar 25, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS