Love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Subho Shaam Sunta Hoon
Main Subho Shaam Sunta Hoon
Zameen Per
Jis Qadar Achi Zubanain
Boli Jati Hain
Main Un Say Hurf Chunta Hoon
Or
Tumhara Naam Likhta Hoon,
Zameen Per
Jis Qadar Achi Zubanain
Boli Jati Hain
Main Un Say Hurf Chunta Hoon
Or
Tumhara Naam Likhta Hoon,
·
1 Like ·
May 06, 2017 at 00:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Yaad K Sehra Se
Meri yaad k sehra se
niklna itna asaan bhi nahe hai
Tu thak haar
k jahan bhi girey ga
tujhe meri hi
wafa yaad aye gi
niklna itna asaan bhi nahe hai
Tu thak haar
k jahan bhi girey ga
tujhe meri hi
wafa yaad aye gi
·
1 Like ·
May 05, 2017 at 03:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mutaalba Hamara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi
Mutaalba Hamara Un Say Kuch Bhi Ziada Nahi
Marta Tu Hay Hum Pay Wo Or Kabhi Jatata Nahi
Hum Nay Kab Chaha Jee Jaan Say Chahay Humay Bhi
Per Wo Tu Itna Zalim Hay Dekh Kay Bhi Muskurata Nahi
Karta Tu Hay Roshiniyon Ki Barish Ka Waada Aksar
Fil Haal Tu Andheray Main Haath Bhi Barhata Nahi
Ay DIL Tu Hi Yaqeen Dila Us Kay Ahad -e- Wafa Ka
Jo Hay Sang Zamanay Kay Or Hum Say Nazar Bhi Milata Nahi

May 03, 2017 at 22:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Kabhi Barastay Ho Kabhi Ak Boond Ko Tarsatay Ho
Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Teray Hain
Pal Main Izhaar -e- Mohabbat Say Mukar Jatay Ho
Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarah Miltay Ho
Or Duaon Main Mera Naam Liye Jatay Ho
Dayaar -e- Ghair Main Mujh Ko Talash Kartay Ho
Milon Tu Pass Say Chup Chaap Guzar Jatay Ho
Laakh Mousam Ki Tarah Rang Badaltay Raho
Aaj Bhi Toot Kay Shiddat Say Humay Chahatay Ho

May 03, 2017 at 15:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Rooh K Ander Utar Kar Aaina Daita Hai Koun
khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kaun
hath main barish k mausam ka pata daita hai koun
meri aankhain band hain aur dhyan k rastay khule
rooh k ander utar kar aaina daita hai koun
tum mujhe ye kon se waqton main aa kar mill gaye
umr k es morh par kise ko sada daita hai koun
koun hai jiss k liye ikk umr se be chain hoon
umr bhar ki be kali pal mai barha daita hai koun
koun hai jo raat bhar aawaz daita hai mujhey
aur din bhar apni khamoshi suna daita hai koun
koun hai jo khowab rakkh daita hai sooni aankh mai
nind mai bhi jagtey manzar dikha daita hai koun
koun hai jis key liye nazmain kahey jaati ho tum
es zamane mai kisi ko youn dua deta hai koun

May 03, 2017 at 00:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kitabon Kay Panno Ko Palat Kay Sochti Hoon
Kitabon Kay Panno Ko Palat Kay Sochti Hoon
Yon Palat Jaye Meri Zindagi Tu Kia Baat Hay
Khowabon Main Roz Miltay Hain Jo
Haqiqat Main Mil Jaye Tu Kia Baat Hay
Kuch Matlab Kay Liye Dhoondti Hay Mujh Ko
Bin Matlab Jo Aa Jaye Tu Kia Baat Hay
Qatal Kar Kay Tu Sab Lay Jay Ge DIL Mera
Koii Baaton Say Lay Jaye Tu Kia Baat Hay
Jo Sharifon Ki Sharafat Main Baat Na Ho
Ak Sharabi Keh Jaye Tu Kia Baat Hay
Apnay Rehnay Tak Tu Khushi Don Sab Ko
Ager Kesi Ko Meri Mout Pay Khushi Mil Jaye Tu Kia Baat Hay

May 02, 2017 at 17:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kuch Door Hamaray Sath Chalo
kuch door hamaray sath chalo
ham dil ki kahani keh dain ge
samjhay naan jisay tum ankhon say
wo baat zubani keh dain gay
phoolon say jab honton par
ik shokh tabasum bikhray ga
dheeray say tumharay kaanon main
ik baat purani kah dain gay
izhar e wafa tum kia jano
iqrar e wafa tum kia jano
ham zikar karain gay ghairon ka
or apni kahani keh dain gay
ham dil ki kahani keh dain ge
samjhay naan jisay tum ankhon say
wo baat zubani keh dain gay
phoolon say jab honton par
ik shokh tabasum bikhray ga
dheeray say tumharay kaanon main
ik baat purani kah dain gay
izhar e wafa tum kia jano
iqrar e wafa tum kia jano
ham zikar karain gay ghairon ka
or apni kahani keh dain gay
·
1 Like ·
May 02, 2017 at 04:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kaala Baadal
Ye Raat Bhi Beet Chuki Hay
Suba Ka Taara Ubhar Raha Hay
Mager Ufaq Pay Wo Kaala Baadal
Gai Hoi Shaam Say Abhi Tak
Na Janay Kia Baat pochta Hay
Jaha Ruka Tha Wahi Khara Hay
Suba Ka Taara Ubhar Raha Hay
Mager Ufaq Pay Wo Kaala Baadal
Gai Hoi Shaam Say Abhi Tak
Na Janay Kia Baat pochta Hay
Jaha Ruka Tha Wahi Khara Hay
·
1 Like ·
May 01, 2017 at 03:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Hoti Hai Kya Mohabbat Kar K Dekh Laina
Kabhi chaho gay to chahat se bulain gy tumhein
dard-e-dill hota hai kya ye dikhain gay tumhein
mohabbat hoti hai kya mohabbat kar k dekh laina
phir mere pass aana kuch or bataain gy tumhien
kabhi na aain ankh mein aanso to aisa karna
ek shaam mere pass aana bohat rulain gay tumhein
har pal raho gay bechain mohabbat mein
khayal ban kar pal pal satain gay tumhein
pochtay ho jo zinda rahne ka sabab
chalo kisi roz zindagi se milwain gay tumhein

Apr 30, 2017 at 12:04
Category: love
Sponored Video