Love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Khushbu Ka Pataa Karti Hai
TERI KHUSHBU KA PATAA KARTI HAI
MUJH PAY EHSAAN HAWA KARTI HAI
SHAB KI TANHAI MEI AB TO AKSAR
GUFTAGU TUJH SAY RAHA KARTI HAI
DIL KO US RAAH PAY CHALNA HEE NAHI
JO MUJHAY TUJH SAY JUDA KARTI HAI
ZINDAGI MERI THEE LEKIN AB TO
TERAY KEHNAY MEI RAHA KARTI HAI
US NAY DEKHA HE NAHI WARNA YEH AANKH,
DIL KA EHWAAL KAHA KARTI HAI
SHAAM PARTAY HI KISI SHAKHS KI YAAD
KOOCHA E JAAN MEI SADAA KARTI HAI
MUJH PAY EHSAAN HAWA KARTI HAI
SHAB KI TANHAI MEI AB TO AKSAR
GUFTAGU TUJH SAY RAHA KARTI HAI
DIL KO US RAAH PAY CHALNA HEE NAHI
JO MUJHAY TUJH SAY JUDA KARTI HAI
ZINDAGI MERI THEE LEKIN AB TO
TERAY KEHNAY MEI RAHA KARTI HAI
US NAY DEKHA HE NAHI WARNA YEH AANKH,
DIL KA EHWAAL KAHA KARTI HAI
SHAAM PARTAY HI KISI SHAKHS KI YAAD
KOOCHA E JAAN MEI SADAA KARTI HAI
·
1 Like ·
May 19, 2017 at 16:05
Category: love
Poetry / Love
Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Kabhi Socha Hay
Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Janoon, Ishq Ya
Wo Rishta Jo
Aasmaan Ka Zameen Say Hay
Barish Ka Sehra Say Hay
Haqiqat Ka Khowabon Say Hay
Din Ka Raat Say Hay
Yeh Kabhi Ak Dosray Say
Mil Nahi Paatay
Lakin Ak Dosray Kay Bagair Adhoray Bhi Hain
Shayed Aisa Hi Kuch Rishta
Mera Or Tumhara Bhi Hay
Humaray Rishtay Ka Naam Kia Hay
Mohabbat, Zarorat, Khowahish, Janoon, Ishq Ya
Wo Rishta Jo
Aasmaan Ka Zameen Say Hay
Barish Ka Sehra Say Hay
Haqiqat Ka Khowabon Say Hay
Din Ka Raat Say Hay
Yeh Kabhi Ak Dosray Say
Mil Nahi Paatay
Lakin Ak Dosray Kay Bagair Adhoray Bhi Hain
Shayed Aisa Hi Kuch Rishta
Mera Or Tumhara Bhi Hay
·
2 Like ·
May 16, 2017 at 13:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bahut C Besabab Baatain
Bahut c Besabab Baatain
Faqt Tamheed Hoti Hain
Jo Aksar Tumse Kehta Hun
Suno
Aur Kaise Ho ?
Suno
Sardi Bahut Hai Nan?
Naya Mosam To Acha Hai
Chalo Acha ! Main Chalta Hun
"Dubara Phir Milen Gay
Ye Saari Besabab Batain
Faqat Tamheed Hoti Hain
Aur es Tamheed Main Jana
Guzzar Jaate Hain Sab
Lamhe
Guzar Jaate Hain Jab
Lamhe
To Phir Main Sochta Hun
K
Zara C Baat Hi To Hai
Tumhain Jaldi Se Keh Dun Ga
Mujhe Tumse Mohabbat Hai!!
Faqt Tamheed Hoti Hain
Jo Aksar Tumse Kehta Hun
Suno
Aur Kaise Ho ?
Suno
Sardi Bahut Hai Nan?
Naya Mosam To Acha Hai
Chalo Acha ! Main Chalta Hun
"Dubara Phir Milen Gay
Ye Saari Besabab Batain
Faqat Tamheed Hoti Hain
Aur es Tamheed Main Jana
Guzzar Jaate Hain Sab
Lamhe
Guzar Jaate Hain Jab
Lamhe
To Phir Main Sochta Hun
K
Zara C Baat Hi To Hai
Tumhain Jaldi Se Keh Dun Ga
Mujhe Tumse Mohabbat Hai!!
·
2 Like ·
May 15, 2017 at 17:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlaay Khatta K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai es Tarah Se MOHSIN
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain!
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlaay Khatta K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai es Tarah Se MOHSIN
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain!
·
2 Like ·
May 12, 2017 at 22:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Her Subha Ka Pehla Ujala Tairay Naam
Surkh Gulaab K Saare Mausam Tairay Naam
Her Subha Ka Pehla Ujala Tairay Naam
Teri Yaad Ka Behta Darya Mere Liye
Behti Jheel Main Phool Kanwal Ka Tairay Naam
Jitne Khowaab Allah Ne Mere Naam Likhe
Un Khowaboon Ka Raisha Raisha Tairay Naam
Tere Bina Jo Umer Beeti Beet Gayi
Ab Us Umer Ka Baaqi Hissa Tairay Naam
Her Subha Ka Pehla Ujala Tairay Naam
Teri Yaad Ka Behta Darya Mere Liye
Behti Jheel Main Phool Kanwal Ka Tairay Naam
Jitne Khowaab Allah Ne Mere Naam Likhe
Un Khowaboon Ka Raisha Raisha Tairay Naam
Tere Bina Jo Umer Beeti Beet Gayi
Ab Us Umer Ka Baaqi Hissa Tairay Naam
·
1 Like ·
May 12, 2017 at 14:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Agar Koi Talash Karo To Mil Hi Jaye Ga
Agar koi talash karo to mil hi jaye ga
Magar kon hamari tarha tum ko chahy ga
Tumhein zaroor koi chahtoon say dekhay ga
Magar woh ankhein hamari kahan say laye ga
Tumharay sath yeh mosam gulabon jaisa hai
Tumharay bade yeh mosam bohat rulaye ga
Magar kon hamari tarha tum ko chahy ga
Tumhein zaroor koi chahtoon say dekhay ga
Magar woh ankhein hamari kahan say laye ga
Tumharay sath yeh mosam gulabon jaisa hai
Tumharay bade yeh mosam bohat rulaye ga
·
1 Like ·
May 12, 2017 at 02:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kuch Bhi To Nahi Hay
Maine Hmesha yhi chaha
K tumhen aisa tohfa paish krun
Jo sary jug se nirala ho
Jis men taron ki chamak
Gulabon ki mehak
Or jazbon ki dhanak shamil ho
Mgr Hmesha ki tarha ab bhi
Ae Achy Dost tumhary liye
Mere dareeda daman men
Dua k liye uthti
do Khali hathelion k siwa
kuch
bhi to
nahi
hay
K tumhen aisa tohfa paish krun
Jo sary jug se nirala ho
Jis men taron ki chamak
Gulabon ki mehak
Or jazbon ki dhanak shamil ho
Mgr Hmesha ki tarha ab bhi
Ae Achy Dost tumhary liye
Mere dareeda daman men
Dua k liye uthti
do Khali hathelion k siwa
kuch
bhi to
nahi
hay
·
1 Like ·
May 10, 2017 at 14:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Aiyna Tha, Woh Maira Khayal Rakhti Thi
Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi
Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,
Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi
Woh mairay dard ko chunti thi apni pooron say
Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi
Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi
Duain us ki balaoon ko rook laiti thin
Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi
Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi
Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi
Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin
Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi
Main toot-ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi
Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,
Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi
Woh mairay dard ko chunti thi apni pooron say
Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi
Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi
Duain us ki balaoon ko rook laiti thin
Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi
Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi
Usay nadamatain mairi kahan gawara thin
Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi
Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin
Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi
·
1 Like ·
May 08, 2017 at 05:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chand Hamari Pusht Say Ho Kar
Kitni Dair
Imiltas Kay Pair Kay Nechay
Beth Kay Ham Nay Bateen Kein
Kuch Yaad Nahi
Bas Itna Andaza Hai
Chand Hamari PushT Say Ho Kar
Aankhon Tak Aa Pohcha
Imiltas Kay Pair Kay Nechay
Beth Kay Ham Nay Bateen Kein
Kuch Yaad Nahi
Bas Itna Andaza Hai
Chand Hamari PushT Say Ho Kar
Aankhon Tak Aa Pohcha
·
1 Like ·
May 07, 2017 at 23:05
Category: love
Sponored Video