Poetry / Love

Ijunoon

Khubsoorat Hain Woh Lub

Khubsoorat Hain Woh Lub
Jo Pyari Batein Kartey Hain

Khubsoorat Hai Woh Muskurahat
Jo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja De

Khubsoorat Hai Woh Dil
Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhey
Jo Kisi Ke Dard Mein Tarpey

Khubsoorat Hain Woh Jazbat
Jo Kisi Ka ...Ehsaas Karein

Khubsoorat Hai Woh Ehsaas
Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa Baney

Khubsoorat Hain Woh Batein
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhaein

Khubsoorat Hain Woh Aankhein
Jin Mein Pakezgi Ho
Sharam o Haya Ho

Khubsoorat Hain Woh Aansoo
Jo Kisi Ke Dard Ko Mehsoos Kerke Beh Jae

Khubsoorat Hain Woh Hath
Jo Kisi Ko Mushkil Waqt Mein Thaam Lain

Khubsoorat Hain Woh Qadam
Jo Kisi Ki Madad Ke Liye Aagey Badhein !!!!!

Khubsoorat Hai Woh Soch
Jo Kisi Ke Liye Acha Sochey

Khubsoorat Hai Woh Insan
Jis Ko KHUDA Ne Ye
Khubsoorati Ataa Ki

· 2 Like · Apr 04, 2016 at 07:04
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kaho Pura Karogay Tum

Sadyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karogay Tum,
Bhool Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karo Gay Tum,
Nahi Kuh Aur Tamana Ab,
K Bas Mere Ho Jao Tum,
Kabhi na Chor K Jao Gay,
Kaho Aisa Karo Gay Tum,
Faqt Ik Lafz Sun'ne Ko,
Kahin Barso Tarsa Hun,
Mujhe Apna Bana Lo Tum,
Kaho Aisa Karo Gay Tum....!!!,

· 1 Like · Mar 24, 2016 at 14:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhe Muhabbat Si Ho Gayi Hai

Kathin Andheron Ki RahGuzar Pe Chirag-e-Subah Jala Jala K,
Qasam Se Aankhein Bhi Thak Gayi Hain Tumaray Aansu Chupa Chupa K,

Kya Khabar Thi K Ek Chehray Se KItnay Chehray Kasheed Hongay,
Main Thak Gaya Hoon Tumaray Chehron Ko Ainon Mein Saja Saja K,

Hum Itnay Sada Mizaj Kab Thay Magar Sarabon Ki RahGuzar Pe,
Fareeb Deta Raha Zamana Tumari Surat Dikha Dikha K,

Ajab Tanasub Se Zehan-o-Dil Mein Khayal Taqseem Ho Rahay Hain,
Mujhe Muhabbat Si Ho Gayi Hai Tumein Muhabbat Sikha Sikha K.....!!!,

· 1 Like · Mar 23, 2016 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Love

Ek Faqat Teri Kami Rahti Hay

Aankh jab tuj pe jami rahti hay

Waqt ki nabz thami rahti hay

Yun to har cheez muyasir hay mujhye

Ek faqat teri kami rahti hay

Chara jab khushk hay sahra ki tara

Kiyun phir aankhoon main nami rahti hay

Dhundhti kis ko hain nazreen "Saba Nusrat"

Kuch to hay jis ki kami rahti hay

· 1 Like · Mar 22, 2016 at 20:03
Category: love
 
Poetry / Love

Chalo Yeh Maan Liya Ke Aankh Meri Namm Nahi

Chalo Yeh Maan Liya Ke Aankh Meri Namm Nahi
Gumaan Naa Kar Ke Mere Dil Me Koi Gham Nahi

Ussi Ko Khouf Hai Ki Manzilein Kathin Hai Bohut
Wafaa Ki Rah Pe Mera Jo Humqadam Bhi Nahi

Tumhe Guroor Hai Apni Sitamgiri Pe Agar
Aaye Dost Hounsla Jeene Ka Mujh Me Bhi Kamm Nahi

Suroor-E-Dil Bhi Wahi Hai Aziz-E-Jaan Bhi Wahi Hai
ke Darr-E-Zeesat Pe Ek Naam Jo Raqm Bhi Nahi

Ilm Jo Haq Ka Uthaya Hua Hai Mein Ne Abhi
Bahaal Saans Hai, Bazoo Mere Qalam Bhi Nahi

Hazar Gham Hain Magar Phir Jo Salamat Hoon
Toh Kis Tarah Se Keh Doun Tera Karam Bhi Nahi ,

· 1 Like · Mar 22, 2016 at 14:03
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Aina Hoon Main

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aao ge Jo Aankh Mila Ker Dekho

Mere Gham Mai Meri Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaao ge Mera Dard Utha Ker Dekho

Youn Tou Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raah Se Jaaker Dekho

Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho

Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi De doon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho

Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

· 1 Like · Mar 22, 2016 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Love

Aise Tujhe Chahoon

Chale thandhi hawa thum thum

Aise tujhe chahoon phool ko jaise shabnam

Main ne apna banaya tuj ko

Daga dena na saiyaan muj ko

Mere sene main tere hi liye

Jalte hain wafaoon k deye

Rakhna hay tuj ko

Meri wafaoon ka bharam

Tujhe chahoon gi main har dam

Le le siyaan muj se

Piyar nibhane ki kasam

Asi khai hain tu ne kasmeen

Raha dil bhi na mere bas main

Tere dil ki kahani ban ke

Main to ayi houn rani ban ke

Tere sang nache meri jawani chham chham

Hoon ge ab na juda kabhi ham

Zindagi muskarati hay jahan

Mujhye le chal ura k tu wahan

Ane wali hay woh bhi manzel

Jahan nache ga tera mera dil

Piche na hatana aage barhaya jo qadam

Meri chahat na ho gi kam

Aise tujhe chahon

Phool ko jaise shabnam, ,

· 1 Like · Mar 22, 2016 at 01:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Yaadon Ki Mehak Sath Liye Aksar Hum

teri yaadion ki mehak saath liye aksar hum
dour khawabon kay jazeery mein utar jatay hain
" kiyon keh hum tum " !
sirf khawabon he mein mil saktay hain
mein nay socha hai keh
iss baar tumahray hamrah iss jagah utroon gi
aur woh baat jo mein keh nahi payi tum say
samnay tum ko baitha kar bari himmat kar kay
tum say keh duun gi
tum say keh duun gi keh tum sirf mairay ho
tum jo chaho
mairay yak tarfa muhabbat ko sahara day dou
zindagi you juta tou bohat kam hai muhabbat kay liye
jitna bhi pyar day sako sara day dou
apni duniya tou sada pyar say khaali he rahi
tum meri doobti kashti ko sahara day dou
kuch tou boulo
kuch tou boulo meri jaan
mujahe dar hai keh sehar hotay he
tum chalay jao gay
aur hum phir say
apni duniya mein lout aieen gayien
yeh he yaden yeh he baten tou asasa hain mera
bas yeh he chand khayalat liye
teri yaadion ki mehak saath liye
aksar hum
dour khawabon kay jazeery mein utar jatay hain

· 1 Like · Mar 21, 2016 at 19:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Barson K Baad Daikha Ek Shakhs Dil Ruba Sa

barsoo kay baad dekha ik shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahi hai par naam tha bhula sa

abrow khche khche say ankhain jhuki jhuki si
baten ruki ruki si , lehja thaka thaka sa

alfaaz thay keh jugno , aawaz kay safar mein
ban jaye jungalon mein jis tarah rasta sa

khawabon mein khawab iss kay yaadion mein yaad iss ki
neendon mein ghul gaya ho jaisay keh ratjaga sa

pehlay bhi log aaye kitney he zindagi mein
woh har tarah say lekin auron say tha juda sa

agli mohabbaton nay woh na muradiyan dein
taaza rafaaqaton say dil tha dara dara sa

kuch yeh keh muddaton say hum bhi nahi thay roye
kuch zeher mein bhuja tha ahbaab ka dilaasa

phir yun howa kay sawan aankhon mein aa basey thay
phir yun howa keh jaisay dil bhi tha aabla sa

ab sach kahin tou yaroo hum ko khabar nahi thi
ban jaye ga qiyamat ik waqea zara sa

tevare thay bay rukhi kay andaaz dosti
kay woh ajnabi tha lekin lagat tha aashna

sa hum dasht thay keh darya hum zeher thay keh amrat
na-haq tha zeam hum ko jab woh nahi tha piyasa

hum nay bhi uss ko dekha kal shaam itafaqan
apna bhi haal hai ab logon faraz ka sa

· 1 Like · Mar 20, 2016 at 18:03
Category: love
 
Poetry / Love

Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai

Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai

Tum Hans K Milo Pholon Ki Tarha

Din Rat Katein Khawabon Ki Tarha

Aawara Hawa Lehra K Chalay

Lehra K Chalay Jub Sham Dhalay

Ek Pehar Dhalay Tum Hans K Milo

Bus Etni Mohabat Kaafi Hai

Tum Sath Raho Sanson Mein Raho

Tum Pas Raho Banhon Mein Raho

Tum Dil Mein Raho Dharrkan Ki Tarha

Bus Etni Mohabat Kaafi Hai... .

· 1 Like · Mar 18, 2016 at 15:03
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS