Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Jaag Jati Hay

Suno ay chand c larki
Abhi tum keh rahi thi na
Tumhain mujh se mohabbat ho nahi sakti
Chalo maana k yeh such hai
Magar aye chand c larki
Mujah itna batao tum
K jab mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain
To phir kiyu muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar
Hawa ko raaz deti ho
Mujah awaaz deti ho
Suno aye chand c lerki
Tumhare saamne koi mera jab naam leta hai
To phir kiyu chonk jaati ho
Chalo maana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti
Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti
Wahan nafrat k hone ka koi imkaan nahi hota
Mera dawa hai chahat main
Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar yeh dekha hai
Agar kuch waqt kat jaye
Samay ki dhool chhat jaye
Tou wehshat bhaag jati hai
Mohabbat jaag jati hay....

· 1 Like · Jun 05, 2017 at 06:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kal Raat Bazam Mein Jo Milla Gulbadan Saa Tha

Kal Raat Bazam Mein jo Milla Gulbadan Saa Tha
Khushboo Say Uss kay Lafaz Thay Chehra Chaman Sa Tha

Daikha Ussay Tu Bol Parray Uss Kay Khad o Khaal
Poocha Ussay Tu Chup sa raha, Kam Sukhan Sa tha

Tanhaiyoon Ki Ruut Mein Bhi Lagta Tha Mutmaeen
WOh Shakhas Apni Zaat Mein Ik Anjuman Sa Tha

Socha Usay To Mein Kai Rangon mein Kho Gaya
Aalam Tamaam Uss Kay Haseen Payrahan Saa Tha

Jo Shaakh Shaakh Thee woh Ussi Kay Laboon See Thi
Jo Phool Khil Gaya Tha Woh Ussi Kay Dehan Saa Tha

Woh Sadgi Pehan Kay Bhi Dil Mein Utar Gaya
Uss Ke Har Ik Ada Mein Ajab Bholpan Saa Tha

Asaan Samajh Rahay Thai Ussay Shehar e Jaan Kay Loug
Mushkil Tha es Qadar Kay Mairay Apnay Fun Sa Tha

Woh Guftagoo Thi Uss Ke, Ussi Kay Liay Hee Thi!
Kehnay Ko Youn Tu Mein Bhi Shareek e Sukhan saa Tha

Taray Thay Chandini mein Keh Tuhmat Kay Daagh Thay
Mohsin Kal Asmaan Bhi Mairay Kafan Sa Tha

· 1 Like · Jun 04, 2017 at 03:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aankhon Ne Kaise Khwab Tarashe Hain In Dino

Aankhon ne kaise khwab tarashe hain in dino
Dil per ajeeb rang utarte hain in dino

Rakh apne paas apne mah o meher ay falak
Hum khud kisi ki aankh ke taray hain in dino

Dast-e-seher ne maang nikali hai baar han
Aur shab ne aake baal sanware hain in dino

es ishq ne hame hi nahi moutadil kiya
Us ki bhi khush mizaji ke charche hain in dino

Ik khushgawar neend pe haq ban gaya mera
Wo rat jage es aankh ne kaate hain in dino

Wo qehat-e-husn hai ke sabhi khush jamal log
Lagta hai Qo qaaf pe rehte hain in dino

· 1 Like · Jun 03, 2017 at 14:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar

Zindagi Ka Safar Hai Yeh Kaisa Safar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi

Hai Yeh Kaisi Dagar Chalte Hai Sab Magar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi

Zindagi Jo Bahut Pyaar Humne Diya
Maut Se Bhi Mohabbat Nibhaye ge Hum

Roote Roote Zamane Mein Aaye Magar
Hanste Hanste Zamane Se Jaain ge Hum

Jaain ge Par Kidhar Hai Kise Yeh Khabar
Koi Samjhe Nahi Koi Jaana Nahi

Aise Jeevan Bhi Hai Jo Jiye Hee Nahi
Jinko Jeene Se Pehle Hee Maut Aagayi

Phool Aise Bhi Hai Jo Khile Hee Nahi
Jinko Khilne Se Pehle Fiza Kha gai

Hai Pareshan Nazar Thak Gaye CharAgar
Koi Samjha Nahi Koi Jaana Nahi!

· 1 Like · May 31, 2017 at 06:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazishain Bhi Yaad Karna

Mohabbatein Jab Yaad Karna To Sazishain Bhi Yaad Karna
Jo Mere Hisse Me Aaye Hai Wo Azeytain Bhi Yaad Karna

bichaye Rakhun gi Main Subah Tak TuMhare Rasto Me Apni Aankhein
Magar Kahin Sabar Toot Jaye To Baarishein Bhi Yaad Karna

Jo Sardiyon ka Udaas MausaM Me Dhadkanein Barf Hogayi Hai
Jab Ye Ho Jaye Banjar To Bin MausaM Inka Barasna Bhi Yaad Karna

TuM Apni Majbooriyon Ke Kisse Zaroor Likhna Wazahatoon Se
Jo Meri Aankhon Mein Jal Bujhi Hia Wo Khwahishein Bhi Yaad Karna...

· 1 Like · May 31, 2017 at 00:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Sarhad Se Jo Niklon To Bikhar Jata Hun

Sham Ko Yaadon K Aangan Mein Utar Jata Hun,
Aur es Bazam Se Phir Waqt-E-Sehr Jata Hun.

Mujh Ko Maqsood Hai Her Haal Mein Rahat Teri,
Bojh Hun Gar To Tery Dilse Utar Jata Hun.

Main To Qaim Hun Faqt Teri Kashish K Baais,
Teri Sarhad Se Jo Niklon To Bikhar Jata Hun.

Gumbad-E-Zaat Se Jo Sada Aati Hai,
Shab Ki Tanhai Mein Sunta Hun To Darr Jata Hun.

Main To Qaim Hun Abhi Ahd-E-Wafa Per Apne,
Gar Tujhe Raas Nahi Hai To Mukar Jata Hun..

· 2 Like · May 30, 2017 at 17:05
Category: love
 
Poetry / Love

Pichlay Mausam Ki Yaad Baaqi Hai

aaj barson kay baad dekha hai

ab bhi aankhon ka rang gehra hai

aur mathay ki sanwali si lakeer

dil main kitnay diye jalati hai

teri qaamat kay saaye ki khushboo

guftgo main bahaar ka mausam

be sabab aitbaar ka mausam

kyun mujhay saaray dhang yaad rahay

kitni hairaan ho gayi khud per

main tujhay aaj tak nahiin bhooli

pichlay mausam ki yaad baaqi hai

· 1 Like · May 29, 2017 at 16:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mein Nay Kuch Aor Suna Dair Talak

Dil main phir dard howa dair talak

Na mili es ko dawa dair talak

Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi

Phool khamosh raha dair talak

Tum nay to sirf suna hee ho ga

Mein nay jo dard saha dair talak

Shab ko phir mein nay sulagta paya

Mun ka khamosh diya dair talak

Uss nay kuch aur kaha tha shayed

Mein nay kuch aor suna dair talak

Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?

Mein nay tab hans k kaha dair talak

Janay wala nahi ek pal bhi ruka

Aks aankhoon main raha dair talak

Maslahat reh gaee hontoon pay Batool

Rooh main shor macha dair talak

· 1 Like · May 29, 2017 at 10:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Janay Wo Mangnay Jata Hai Duaaon Mai Kisa

Mom ki tarah pighaltay hue dekha us ko
Rut jo badli tu badaltay hue dekha us ko

wo jo kanton ko bhi narmi se chhua kerta tha
Hum ne pholon ko masaltay hue dekha us ko


Janay kis gham ko chupanay ki tamana hai usay
Aj har baat pe hanstay hue dekha us ko

Janay wo mangnay jata hai duaaon mai kisay
Hath uthatay hi sisaktay hue dekha uss ko

· 1 Like · May 29, 2017 at 04:05
Category: love
 
Jummay k din gusal ki fazilat.
Posted by Abdul Ghaffar
Posted on : Aug 29, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS