Love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ana Ki Baat Hay Warna Mohabbat Ab Bhi Baki Hay
Ana Ki Baat Hay Warna Mohabbat Ab Bhi Baki Hay
Usay Meri Mujhay Us Ki Zarorat Ab Bhi Baki Hay
Koii Mushkil Ager Darpesh ho Lout Aana Tum
Tumharay Wastay DIL Main Aqeedat Ab Bhi Baki Hay
Bala Ki Sard Mehri Hay Meri Har Baat Main Lakin
Meray Seenay Main Chahat Ki Hararat Ab Bhi Baki Hay

·
1 Like ·
Feb 17, 2017 at 03:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jab Sar e Shaam Us Nay Zulfon Ko Sanwara Ho Ga
Jab Sar -e- Shaam Us Nay Zulfon Ko Sanwara Ho Ga
Haath Main Kangan Aankh Main Kajal Awara Ho Ga
Us Kay Jooray Main Laga Wo Sufaid Gulaab
Raat Ko Sotay Main Kise Nay Tu Utara Ho Ga
Aalam -e- Tanhaii Main Shab Bhar Karwatain Lay Kar
Koii Tu Ho Ga Jisay Us Nay Puraka Ho Ga
Haye ! Wo Neend Main Doobi Hoi Makhmoor Aankhain
Jis Nay Dekha Wo Dil Wahi Pay Haara Ho Ga
Us Kay Be Taab Laraztay Hoe Honton Pay
Humay Yaqeen Hay Machalta Howa Naam Humara Ho Ga

Feb 16, 2017 at 19:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Khushboo Jaise Log Mile Afsanay Mein
Khushboo jaise log mile afsanay mein
Ek Purana Khat khola anjane mein
Shaam ke saaye balishon se naapay hain
Chand ne kitni der laga di aane mein
Dil par dastak dene ye kaun aaya hai
Kiski aahat sunta hoon veerane mein
Jaane kiska zikr hai is afsaanay mein
Dard maze leta hai jo dohranay mein
Ek Purana Khat khola anjane mein
Shaam ke saaye balishon se naapay hain
Chand ne kitni der laga di aane mein
Dil par dastak dene ye kaun aaya hai
Kiski aahat sunta hoon veerane mein
Jaane kiska zikr hai is afsaanay mein
Dard maze leta hai jo dohranay mein
·
1 Like ·
Feb 16, 2017 at 10:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bakht Se Koi Shikaayat Hai Na Aflak Se Hai
baKht se koi shikaayat hai na aflak se hai
yahii kyaa kam hai ke nisbat mujhe is Khaaq se hai
Khwaab meN bhi tujhe bholoun tau rawaa rakh mujhse
vo rawaiya jo hawaa ka Khas-o-Khashaak se hai
bazm-e-anjum meN qabaa Khaaq kii pahnii maine
aur merii saarii fazilat isii poshak se hai
itnii raushan hai terii subH ke dil kahtaa hai
ye ujaala to kisi deeda-e-namnaak se hai
haath to kaat diye kuzagarooN ke hamne
moajezay kii wahii ummid magar chaak se hai

Feb 15, 2017 at 16:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Badan Ke Donon Kinaaron Se Jal Rahaa Huun Main
badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujh hi pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaama zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tairay saath chal rahaa huuN maiN
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukarta hai
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

Feb 15, 2017 at 10:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kaanch Ki Surkh Chorrie
Kaanch Ki Surkh Chorrie
Meray Haath Main
Aaj Aisay Khanaknay Lagi
Jesay Kal Raat, Shabnam Say Likhi Hoi
Teray Haath Ki Shokhiyon Ko
Hawaon Nay Sur Day Diya Ho
Meray Haath Main
Aaj Aisay Khanaknay Lagi
Jesay Kal Raat, Shabnam Say Likhi Hoi
Teray Haath Ki Shokhiyon Ko
Hawaon Nay Sur Day Diya Ho
·
1 Like ·
Feb 11, 2017 at 15:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kahin Dil Chorr Aaye Ho
Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho
Na Hanstay Ho, Na Sanwartay Ho
Na Koii Baat Kartay Ho
Bhari Mehfil Main Bhi Aksar
Humaysha Khoye Rehtay Ho
Udaasi Aankhon Main Lay Kar
Har Ak Chehray Ko Taktay Rehtay Ho
Koii Jab Yaad Aata Hay
Tu Thandi Aahain Bhartay Ho
Tu Khul Kar Kyun Nahi Kehtay
Kise Say Pyaar Kartay Ho
Kahin Dil Chorr Aaye Ho
Na Hanstay Ho, Na Sanwartay Ho
Na Koii Baat Kartay Ho
Bhari Mehfil Main Bhi Aksar
Humaysha Khoye Rehtay Ho
Udaasi Aankhon Main Lay Kar
Har Ak Chehray Ko Taktay Rehtay Ho
Koii Jab Yaad Aata Hay
Tu Thandi Aahain Bhartay Ho
Tu Khul Kar Kyun Nahi Kehtay
Kise Say Pyaar Kartay Ho
Kahin Dil Chorr Aaye Ho
·
2 Like ·
Feb 11, 2017 at 05:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ager Meray Bass Main Ho
Ager Meray Bass Main Ho
Tu !!!!!
Teri Nazron Say
Saray Jalway Chura Loon
Phir Khali Negahon Main
Apnay Aks Kay Rang Bhar Doon
Phir Jantay Ho Kia Hoga
Teray Dil Kay Har Aainay Main
Meri Tasweer
Ho Gi ! ! ! ! ! ! ! !
Tu !!!!!
Teri Nazron Say
Saray Jalway Chura Loon
Phir Khali Negahon Main
Apnay Aks Kay Rang Bhar Doon
Phir Jantay Ho Kia Hoga
Teray Dil Kay Har Aainay Main
Meri Tasweer
Ho Gi ! ! ! ! ! ! ! !
·
1 Like ·
Feb 10, 2017 at 20:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai

Feb 10, 2017 at 14:02
Category: love
Sponored Video