Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Samajh Mein Nhi Aata Falsafa Mohabbat Ka

Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka
Kisi say hal na hua masla Mohabbat ka

Woh jis kay hijr mein rona, usey dua deyna
Samajh mein nhi aata falsafa Mohabbat ka

Na janey kitni hi ankhein chalak jati hain
kisi bazam mein ho ager tazkara Mohabbat ka

Tammam umer tum khushi ko tarsoo ge
Na azmana kabhi hosla Mohabbat ka

· 1 Like · May 28, 2017 at 22:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Woh Baten Aur Baten Hain

Khuda janay tumahray zehen mein kya hai
mairay baray mein tum kya sochti ho keh nahi sakta
magar mein es liye milnay say katrata hon tum say
kay woh baten jo hum likhte hain aap ne khat mein chahat say

woh baten aur baten hain
woh baten aisi baten hain kay bas baten he baten hain
haqeeqat mukhtalif hai aisi baton say
haqeeqat munkashif hoti nahi alfaaz likhnay say

zabani guftagu say bahami izhaar o arz hal karnay say
bohat si aisi baten hain
jinhein sunay ko kaanoo ki nahi aankhon ki haajat hai
agar tum mujh say milnay par bohat israar karti ho

tou phir aik shart hai
aik lafz bhi kehna na honton say
faqt aankhon say ankhain guftagu karti rahein

in aankhon ki sadayen khud bakhud bharti rahengi
agar milna zaroori hai
tou chhoti si meri yeh shart
apnay zehen mein rakhna

· 1 Like · May 27, 2017 at 22:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Chalo Tanha Chalna Theek Nahi

Koi abr uray kisi qalzam se
aur barsay merey viranay pr
koi jalta ho
merey dair se wapis aanay pr
koi bethay merey pehloo main
koi haath dharay merey shaanay pr
koi dabay dabay lehjay main kahay
tum ne ab tak baray dard sahay
chalo tanha chalna theek nahi
chalo sath tumharay chaltay hain

· 1 Like · May 27, 2017 at 16:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Chaahat Teri Ulfat Teri Yaad Bhulanay Ki

TERI CHAAHAT TERI ULFAT TERI YAAD BHULANAY KI

DIL NAY BAYHAD KOSHISH KI HAI TERAY NAQSH MITANAY KI

IK MUDDAT SAY ROOTH GAYA HAI MUJH SAY MERA DILBAR LOGO

OR MERI BAYKAAR HO GAEE HAI HER TADBEER MANANAY KI

APNAY TAJ KO BAHIR RAKH KAR QADAM RAKHO MAYKHANAY MEI

SAARAY LOG BARAABAR HAIN YAHAN,YEH RASM HAI MAYKHANAY KI

PHIR TERI TAKHLEEQ BHI JOBAN PAR AA JAEY GI

ABHI TALAK HAI TUM KO ZAROORAT DIL PAR CHOT KHANAY KI

APNAY PARWANO MEI MERA NAAM BHI SHAMIL KAR LENA

IK FARYAD SUNO SHAMA APNAY ES PARWANAY KI

MEIN ES JHOOTI BAAT PAY APNAY DIL KO RAAZI KAR LOON GA

IK FARZI TAAREEKH BATA DO MERAY GHAR MEI AANAY KI

KESAY ES NAY MERAY JISM MEI APNAY DAIRAY DAAL DIAY

SARDI MEI BHI NHI ZAROORAT PAL BHAR AAG JALANAY KI

· 1 Like · May 27, 2017 at 10:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Us Nay Kaha Mujh Say Tumhen Kitna Pyar Hai

US NAY KAHA MUJH SAY TUMHEN KITNA PYAR HAI

MEIN NAY KAHA SITARON KA BHI KOI SHUMAAR HAI

US NAY KAHA KON TUMHEN HAI BOHAT AZEEZ

MEIN NAY KAHA DIL PAY JISAY IKHTIYAR HAI

US NAY KAHA KON SA TOHFA HAI MANPASAND

MEIN NAY KAHA WO SHAM JO AB TAK UDHAAR HAI

US NAY KAHA KHIZAAN MEI MULAQAT KA JAWAZ

MEIN NAY KAHA QURB KA MATLAB BAHAAR HAI

US NAY KAHA SAINKRON GHAM ZINDAGI MEI HAIN

MEIN NAY KAHA KEH GHAM NHI JAB GHAMGUSAAR HAI

US NAY KAHA SATH KAB TAK NIBHAO GAY

MEIN NAY KAHA JITNI YEH SAANSON KI TAAR HAI

US NAY KAHA MUJH KO YAQEEN AAEY KIS TARAH

MEIN NAY KAHA KE NAAM MERA AITBAAR HAI

· 1 Like · May 26, 2017 at 09:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Bat Phulon Ki Suna Karte The

bat phulon ki suna karte the
ham kabhi sher kaha karte the

mashalen leke tumhare gam ki
ham andheron mein chala karte the

ab kahan aisi tabiyat wale
chot kha kar jo dua karte the

tark-e-ehsas-e-muhabbat mushkil
han magar ahl-e-wafa karte the

bikhri bikhri zulfon wale
qafile rok liya karte the

aj gulshan mein shaguf-e-sagar
shikwe baad-e-saba se karte the

· 1 Like · May 24, 2017 at 17:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Waqt Mila To Sochenge

KYU TU ACHA LAGTA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE
TUJH MEI KIA KIA DEKHA HAI WAQT MILA TO SOCHENGE

SARA SHEHER SHANASAI KA DAWEDAR TO HAI LEKIN
KON HAMARA APNA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE

HUM NE USKO LIKHA THA, KUCH MILNE KI TADBEER KARO
US NE LIKH KER BHEJA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE

MOSAM KHUSHBU BAAD-E-SABA CHAND SHAFAQ AUR TARON MEI
KON TUMHARE JAISA HAI ,WAQT MILA TO SOCHENGE

YA TO APNE DIL KI MANO, YA PHIR DUNIA WALON KI
MASHWARA USKA ACHA HAI WAQT,WAQT MILA TO SOCHENGE

· -1 Like · May 23, 2017 at 17:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Jaan Tum Se Itna Pyar Koun Kerta Hay

Meri jaan tum se itna pyar koun kerta hay
Marz dene lage taskeen tou chara koun kerta hay

kayi gumnaam khushian phootti hain raat bher dil mein
Na jane khwab mein aa ker ishara koun kerta hay

Kabhi socha nahin tum ne k tum ko aik muddat se
Samay ki oot mein chup ker pukara koun kerta hay

Abhi tou mil k chalte hain samander ki musafat ko
Phir us k baad dekhain gaye kinara koun kerta hay

Ghatayen koun lata hay meri ankhon k mousam mein
Phir us k baad barish ka nazara koun kerta hay

· 1 Like · May 23, 2017 at 11:05
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhain Bhi Ishq Karny K Hunar Aanay Lagay Hain

Tumhain bhi ishq karny k hunar aanay lagay hain
to kya ab khwab din main bhi nazr aanay lagay hain?

na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
ye kaisay ab k pairron per samr aanay lagay hain

tmhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
udhr dekho musafir lout kar aanay lagay hain

bisat e asmaN se ab meri janib sitary
saf e sayyara gaa ko tod kr aanay lagay hain

bayabaaN paoN se lipty huway hain gard ho kr
hamain dar paish ye kaisay safr aanay lagay hain


abhi to koi aabadi ki sorat bhi nahin hai
abhi se bastiyoun main nauha gr aanay lagay hain

abhi to milny ki saaat Saleem aai nahin hai
abhi se dil main kaisay kaisay Darr aanay lagay hain

· 1 Like · May 20, 2017 at 18:05
Category: love
 
Balon K liye Mufeed Nuskhay
Posted by rumana shahzad
Posted on : Dec 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS