Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Tanha Hai Meri Zaat Kaheen Se Ajao

Tanha hai meri zaat kaheen se ajao,
Sun lo meri baat kaheen se ajao,
Dushman bazi jeet raha hai chupke se,
Hone ko hai maat kaheen se ajao,
Kachi entain our imarat garey ki,
Our us per barsat kaheen se ajao,
Dil ki basti per hai khof andheron ka,
Ho jaey na raat kaheen se ajao,
Kachi umer us per khowab mohabat ke,
Kiya kiya hain jazbat kaheen se ajao,
Ankhen rasta dekh rahi hain mudat se,
gardish main hain halaat kaheen se ajao,
Mosam mosam log badaltey hain khowahish,
Dil per hain sadmaat kaheen se ajao'.

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Main Ne Es Tor Se Tujhey Chaha Aksar

main ne es tor se tujhey chaha aksar
jaisey mehtab ko be ant samandar chahey
jaisey sooraj ki kiran seep k dil main utrey
jaisey khoshbo ko hawa rang se hat kar chahay
jaisey pathar k kalejay se kiran photti hay
jaisey ghunchay khiley mousam se hina mangtey hain
jaisey khowabon main khayalon ki kaman totti hay
jaisey barish ki doa aabla pa mangtey hain
mera har khoab merey sach ki gawahi de ga
wosat_e_deed ne tujh se teri khahish ki hay
meri soochoon main kabhi dekh sarapa apna
main ne dunya se alag teri parastish ki hay...!
Mohsina Naqvi

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Bicharty Waqat Se Ab Tak

Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, Ke Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar Mohsin
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai...!
Mohsin

· 2 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Chalo Mohsin Mohabat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hein

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hein,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hein,

hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hein,

mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hein...!

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Hum Nahin Kehte Hamari

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,

Ishq woh bala hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,

Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chaand ko dhiyan mein laaon tera chehra ho jaye,

Har dorahay pe nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shakhs ka socha, ho jaye,

Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,

Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,

Husn ki ankh woh tashee talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye...!
Amjad Islam Amjad

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Usay Mera Ya Mujhe Uska Karde

Bahut Dukh Sahay He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde

Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kam Karde

Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Usay Utna Kareeb Karde

Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde...!

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho

Jo Khushi Tumharay Kareeb Ho
Wo Sada Tumhain Naseeb Ho

Tujhe Wo Khulos Milay Ke Jo
Teri Zindagi Pe Muheet Ho

Jo Mayaar Tujhko Pasand Ho
Jo Tumhare Dil Ki Umang Ho

Teri Zindagi Jo Talab Kare
Teray Hamsafar Ka Wo Rang Ho

Jo Khayaal Dil Main Aseer Ho
Or Dua Main Bhi Taseer Ho

Teray Haath Uthtay Hi Khuda Karay
Teray Saamne Tabeer Ho

Tujhe Wo Jahan Milay Jidhar
Ghamon Ka Koi Guzar Na Ho

Jidhar Rooshni Ho Khuloos Ki
Or Nafratoon Ko Khabar Na Ho...!

· 2 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dil Ko Magar Pehla Sa Qarar Bhi Nahi

Koi gham, Koi Hijr-e-Aabshaar bhi nahi
Dil ko magar pehla sa qarar bhi nahi

Haatho se apnay hi ghont dia gla mohabbat ka
Bharay shehar mai hum sa koi Nadaar bhi nahi

Badal gya bichar kar, yun khad-o-haal tera
Chehray par ab tere wo Gull-Azaar bhi nahi

Kaha tha tum ne ke bhula de ge ab uss ko
Ay dil-e-nadan tujh sa Ghadaar bhi nahi

Na nikaal mujhe apnay dil se Mulazimo ki tarha
Mere pass to aur koi Rozgaar bhi nahi

Hasnain Barsoo ke baad mila to yu laga mujh ko
Darmyan hamaray ab Ana ki deewar bhi nahi...!

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Zara Udas Hun Lekin

Zara Udas hun Lekin Zara Masroor bhi hun
Tumhare paas hun shayad, shayad Door bhi hun

Yun Pathirelay Raston Pe Chalna Shoq nehi Mera
Kuch Muamla Chahat ka he Kuch Majboor bhi hun

Mohabbat Ho Gai Tum se, Bus itni Khatta he Meri
Maana k Mujrim hun magar Be qasoor bhi hun...!

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
when i say i miss school
Posted by samra mushtaq
Posted on : May 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS