Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai

Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai
TU Abhi Tak Dil-e-Veeran Mein Hai

Shor Barpa Hai Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijr Bayabaan Mein Hai

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai
Koi Zinda Dil Be Jaan Mein Hai

Aaj Bhi Tere Badan Ki Khushbu
Tere bhejhay Howay Guldaan Mein Hai

Zindagi Bhi Hai Meri Aankhon Mein
Mout Bhee Deeda-e-Hairaan Mein Hai

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ik Qaidi Abhi Zindaan Mein Hai...!

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Ho Gay Juda Hum Es Tarah

Ho gay juda hum es tarah, imkan tu na tha
Ye dil kabhi bhi es tarah, weraan tu na tha

Jesay howa hai ab k wo halaat say mairay
Pehlay kabhi wo es tarah, anjaan tu na tha

Wo shehr se gia hai tu, ronaq bhi lay gia
ye shehr es tarah kabhi, sunsaan tu na tha

Ek Pyar ki jageer ka, maalik tha mein kabhi
Pehlay se yonhi be sar-o-samaan tu na tha

Mohsin hum ne Ishq mein,paya naffa bahut
Es kaarobaar mein koi, nuqsan tu na tha...!
Mohsin Naqvi

· 1 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Bahar Rut Me Ujar Rasty

Bahar Rut me ujar Rasty,
Takka kro gy to Ro paro gy'

Kisi se milny ko jab bhi Mohsin,
Sajja karo gy to Ro parro gy'.

Tumhare wadon ne yar muj ko,
Tabah kiya hy kuch is trha se'

K zindgi me jo phir kisi se,
Dagha karo gy to Ro parro gy'

Main janta hon meri muhabbt,
Ujaar dy gi tumhe bhi aise'

K chaand raton me ab kisi se,
Mila kro gy to Ro parro gy'

Barasti barish me yad rakhna,
Tumhe satayein gi meri ankhen'

Kisi Walii k mazar par jab
Dua karo gy to Ro parro gy...!
Mohsin Naqvi

· 2 Like · May 09, 2012 at 17:05
Category: ghazal Tags: Barish
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah

Mein uske Dil Mein Chhupi Khowish Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be Rafu Ki Tarah

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein usay Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !
Mein Raigan Hee Sahi, Shaakh-e-Be Namu Ki Tarah

Gham-e-Jahan Tha K Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aarzo Ki Tarah...!
Mohsin Naqvi

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khatay Hain
Wo Adalat Mein Gunahgar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Baray Khuddaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Parray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shahkar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain...!
Mohsin Naqvi

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal Tags: Haqiqat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Aaj Gum Sum Hai Jo

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi

Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi

Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazanay Dekhay,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi

Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi

Hum Anaa Mast, Tah-e-Dast Bohat Hain MOHSIN,
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi...!
Mohsin Naqvi

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Nazar Ka Husn Bhi

Nazar Ka Husn Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,

Mizaaj-e-Azmat-e-Adam Ki Baat Hai Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,

Guzar Raha Tha Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Morr Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,

Na Jaane Kiyoon Teri Aankhen Khamosh Thien Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghma Fighan Se Kam To Na Tha,

Rah-e-Junoon Kay Nasheb-o-Faraaz Mein Mohsin
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha...!
Mohsin Naqvi

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Faqt Pehluu Badalny Sy

Faqt Pehluu Badalny Sy
Rafaqat Kam Nhi Hoti

Mgr Phir Bhi Na Milne Ki
Aziyat Kam Nho Hoti

Jahan Koi Bichar Jaye
Wahin Per Uski Manzil Hy

Kisi k Saath Chalny Sy
Musafat Kam Nhi Hoti

Humare Dushmano Me
Chahne Wale Bhi Shamil Hyn

So Hum Jis Haal Main Bhi Hon
Mohabbat Kam Nahi Hoti...!

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Husan O Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay

Husan o Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhanay Nahi Rahay

Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Bad
Lagta Hai Os kay Paas Bahanay Nahi Rahay

Larzish Hai Hath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishanay Nahi Rahay

Uthti Nahi Hain Shoq o Tajassus Ke Ba Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay

Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay...!
Farhat Abbas Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Whenever it try to study...
Posted by kamran ullah khan
Posted on : Jul 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS