Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Kabhi Safar Tou Kabhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Ose Ziada Zarorat Thi Ghar Basanay Ki
Wo Aake Mere Dar o Baam Le Gaya Mujh Se

Bhala Kahan Koi Juz us ke Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Aiwz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se...!
Farhat Abbas Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi
Choanktay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Hijr Ki Raaton K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Jaaney Kia Dar Hai K Apnay Aap say
Bhagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Nahin Lotay Gaa Phir kyu Rehguzar
Daikhtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi....!
Farhat Abbas Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dekh Lena Ke Kisi Dukh Ki Kahani To Nahi

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahi
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahi

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupani to nahi

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera
Yeh ujarna hai koi nakal makani to nahi

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin...!
Farhat Abbas Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Na Walwalay Wo Rahay

Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin Sadaa Suhaana Raha

Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi Shayarana Raha

Khuda Bhi Maan Liya, Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna Ghayebana Raha

Likha Howa Tha Mera Maazi Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Hayel Wo Aashyana Raha

Paroon Ke Dhair Lagay Hain Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi Ka Aashyana Raha

Kaheen Kaheen Koi Raahat, Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar Wohi Puraana Raha

Qateel Tark-e-Maraasim Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath Dostaana Raha...!
Qateel shifai

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Jism Ke Jazeeray Mein

Jism Ke Jazeeray Mein, Ye Jo Dil Ki Vaadi Hai
Is Pe Raaj Hai Jis Ka, TU Wo Shehzadi Hai

Apnay Dar Pe Sajdon Ki Raah Kia Dikha Di Hai
TU Ne Mere Maathay Per Zindagi Sajaa Di Hai

Tujh Ko Bhoolna Chaahon, Aur Shikast Khaa Jaon
Kitni Be-Waqar Apni Quwwat-e-Iraadi Hai

Justuju Ke Sehraa Mein Ab Kahan Koi Aanchal ?
Mein Ne Apni Chhaon Bhi Dhoop Mein Ganwa Di Hai

Yaad Kar Ay Taaj Kabhi Tu Bhi Os Mohabbat Ko
Jis Ne Tere Marmar Ko Chaandni Pila Di Hai

Mera Saath Kia Dega Shaikh Barsar-e-Mehfil ?
Wo TOu Chhup Ke Bichara Jhoomnay Ka Aadi Hai

Dost Sab Qateel Apnay Tul Gaye Raqaabat Per
Mein Ne Koi Dil Ki Baat Jub Unhain Suna Di Hai...!
Qateel shifai

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Bohat Din Ho Gaye

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kr Lia Us Ne
Hamaray Baad B Akhir Guzara Kr Lia Us Ne

Hmara Zikr To Us K Labon Par aa Nahin Sakta
Hamen Ehsas Hy Hum Se Kinara Kr Lia Us Ne

Wo Basti Ghair Ki Basti Wo Koocha Ghair Ka Koocha
Suna Hy Ishq B Ab To Dobara Kr Lia Us Ne

Suna Hai Ghair Ki Bahon Ko Wo Apna Ghar Samajhta Hai
Lagta Hai Mera Ye Dukh Gawara Kr Lia Us Ne

Bhula Kr Pyar Ki Qasmen Wo Waday Torh Kr Wasi
Kisi Ko Zindagi Se b Pyara Kr Lia Us Ne...!
Wasi Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Kuch Nahi Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandiron Ke Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Aadha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

un se Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi jaan
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta...!
Wasi Shah

· 1 Like · May 07, 2012 at 13:05
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Tumhe Kuch Farq Nahi Padta

Tumhe Kuch Farq Nahi Padta
Mere Rooth Jaane Se
Ya Mere Durr Jaane Se
Haan Yeh Jaan Liya Meine
K Meri Mohabbat Ka
Zarra Ehsaas Nahi Tumko
Mere Ashk Bahane Se
Yunhi Jee Jalane Se
Tumhe Kuch Farq Nahi Padta
Ke Mujh Se Guftagoo Ke Tum
Nahi Rahe Tum Shouqeen
Meri Yaadoun Me Kho ke Tum
Nahi Rahe Kabhi Ghamgeen
Haan Isliye Janaa
Kiya Hai Yeh Faisla Meine.....
Tum Se Durr Jaane ka.....
Ke Mere Durr Jaane Se
Tumhe Kuch Farq Nahi Padta...!

· 1 Like · May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Aik Shaks Paas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe

Aik Shaks Paas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe


Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe


Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe


Kya Umedain Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe...!!!

· 1 Like · May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
 
Alfaaz ki Haqiqat
Posted by Fahad Yousuf
Posted on : Oct 01, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS