Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Ab Ke Saal Poonam Mein
Ab Ke Saal Poonam Mein Jab Tu Aayegi Milne,
Ham Ne Soch Rakha Hai Raat Yoon Guzaarenge
Dhadkanen Bicha Denge Shokh Taire Qadmon Par
Ham Nigaahon Se Teri Aarti Utaren ge
Tu Ke Aaj Qatil Hai, Phir Bhe Rahat-E-Dil Hai
Zeher Ki Nadi Hai Tu, Phir Bhe Qeemti Hai Tu
Pest Hoslay Walay Tera Sath Kya De gein
Zindagi Idher Aa Ja Hum Tujhe Guzarein Gein
Aahani Kalejay Ko Zakhm Ke Zarorat Hai
Ungliyon Se Jo Tapkay Os Lahoo Ki Hajat Hai
Aap Zulf-E-Janan Ke Kham Sanwariye Sahab
Zindagi Ki Zulfon Ko Aap Kya Sanwarain Gai
Koi Sath Mein Apne, Aye Ya Nahi Aye
Jo Mile Ga Rastay Mein Hum Osay Pukarain Gein...!!!

·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Aaney Wali Ruton Ke Anchal Mein
Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saaat saeed kya ho gi
Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi
Jab ke baadal ki oat lazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi
Zard mausam ki khushk tehni se
Koanplon ki umeed kya hogi
Chaand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naveed kya hogi
Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi...!
Koi saaat saeed kya ho gi
Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi
Jab ke baadal ki oat lazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi
Zard mausam ki khushk tehni se
Koanplon ki umeed kya hogi
Chaand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naveed kya hogi
Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi...!
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe Sazish Me
Waqt ke sath anaasar bhi rahe sazish me,
Jal gaye pair kabhi dhoop kabhi barish me,
Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla,
Hum ne nahaq hi ganwaya usey aarayesh me,
Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,
Jab talak hu mein tere qurb ki asayish me,
Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh me,
Us ki ankhen bhi meri tarah se girvi kahin aur,
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish me...!
Parveen Shakir
Jal gaye pair kabhi dhoop kabhi barish me,
Woh tou ik saada-o-kam shauq ka talib nikla,
Hum ne nahaq hi ganwaya usey aarayesh me,
Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi,
Jab talak hu mein tere qurb ki asayish me,
Aik dunya ka qaseeda tha agarche mere naam,
Lutf aata tha kisi shakhs ki fehmayesh me,
Us ki ankhen bhi meri tarah se girvi kahin aur,
Khawb ka qarz barh jata hai ik khawish me...!
Parveen Shakir
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Tags: Barish
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Dard Phir Jaaga
Dard phir jaaga,purana zakhm phir taaza hua
fasl-e-gul kitnay qareeb aaii hai,andaza hua
Subha yuun nikli,sanwar kay jis terha koi dulhan
shabnam awaiza hui,rang-e-shafaq ghaza hua
Haath meray bhool bethay dastaken dainay ka fun
band mujh par jab say us kay ghar ka darwaza hua
Rail ki seeti men kesay hijr ki tamheed thi
us ko rukhsat kar kay ghar loatay to andaza hua...!

2 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Tags: Bhool
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein
Ajab Makaan Hai Ke Jis Mein Makeen Nahee Aata
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata
Maza Hee Shair Sunanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qasida Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata
FIshaar Jaan Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata
Bharam Hai Mehr-o-Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabeen Nahee Aata...!
Parveen Shakir
Hudood-e-Sheher Mein Kia Dil Kaheen Nahee Aata
Mein Jis Ke Ishq Mein Ghar Baar Chorr Baithi Thi
Yehi Wo Shaks Hai Mujhko Yaqeen Nahee Aata
Maza Hee Shair Sunanay Ka Kuch Nahi Jub Tak
Qasida Go Yun Mein Wo Nukta Cheen Nahee Aata
FIshaar Jaan Ke Bohat Hain Agar Nazar Aayein
Har Ik Zalzala Zair-e-Zameen Nahee Aaata
Bharam Hai Mehr-o-Maa-o-Najam Ka Bhi Bas Jab Tak
Muqaabil In Ke Wo Roshan Jabeen Nahee Aata...!
Parveen Shakir
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Chaara Saazon Ki Aziyat
Chaara Saazon Ki Aziyat Nahi Dekhi Jaati
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati
Dene Waalay Ki Mashiyat Pe Hai Sab Kuch
Mangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati
Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewano Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati
Kon Utra Hai Ye Aafaaq Ki Pehnai Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati....!
Parveen Shakir
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati
Dene Waalay Ki Mashiyat Pe Hai Sab Kuch
Mangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati
Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewano Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati
Kon Utra Hai Ye Aafaaq Ki Pehnai Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati....!
Parveen Shakir
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Qismat Se Bhi Kuch Siwaa
Qismat Se Bhi Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai
Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai
Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?
Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai
Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai
Wo Pal Ke Sulag Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai...!
Parveen Shakir
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai
Dekhi Hai Meri Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai
Ab Tou Mujhe Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?
Wo Chaahay Tou Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai
Os Ronaq-e-Bazm Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai
Wo Pal Ke Sulag Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai...!
Parveen Shakir
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Abhi Es Traf Na Nigah Kr
Abhi es traf na Nigah kr,
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utaar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasman ki Numaish me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun...!
Main Ghazal ki Palken sanwar lun ,,
Mera lafz lafz ho Aaina,
Tjhe Aainy me utaar lun ,,
Main tmam Din ka thka hua,
Tu tmam shab ka jga hua ,,
Zara thehr ja isi Mor pr,
Tery sath Shaam guzaar lun ,,
Agar Aasman ki Numaish me,
Mjhe b Izn-e-Qayam ho ,,
To Main motiyon ki dukaan se,
Teri baliyan, Tery haar lun ,,
Kai Ajnabi teri Raah k,
Mery paas se yun Guzar gye ,,
Jinhe dekh kr ye tarap hui,
Tera Naam le kr Pukaar lun...!
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Aawaaz De Rahi Hai
Aawaaz de rahi hai ye kis ki nazar mujhe?
Shayed mile kinara wahin doob kar mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gaii
Khone ke bad mil gaii apni khabar mujhe
Har har qadam pe saath hoon saya hoon main tera
Ay bewafa dikha to zara bhool kar mujhe
Dunya ko bhool kar teri dunya main aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe?
Dunya ka har nazara nigahon se cheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekh kar mujhe...!
Shayed mile kinara wahin doob kar mujhe
Chaha Tujhe to khud se Mohabbat si ho gaii
Khone ke bad mil gaii apni khabar mujhe
Har har qadam pe saath hoon saya hoon main tera
Ay bewafa dikha to zara bhool kar mujhe
Dunya ko bhool kar teri dunya main aa gaya
Le jaa raha hai kaun idhar se udhar mujhe?
Dunya ka har nazara nigahon se cheen le
Kuch dekhna nahi hai tujhe dekh kar mujhe...!
·
1 Like ·
May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
Tags: Bhool Mohabbat
Sponored Video