Sad
Poetry / Sad
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhon Mein,
Beetay Din Yaad Dilatey Ho
Mastana Hawa Kay Jhonkon Se,
Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakrnay Ki Dhun Mein,
Do Ajnabi Hathoon Ka Milna.
Aankhon Me Dhunwa Cha Jana,
Sansoon Mein Sitarey Se Khilna
Raasty Me Tumhara Mur Mur Kar
Takna Wo Mujhe Jatey Jatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana,
Chilman Kay Qareeb Aatey Aatey
Nazroon Ka Taras Kar Reh Jaana,
Ek Aur Jhalak Paatey Paatey
Baalon Ko Sukhanay Ki Khatir,
Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi
Kuch Sharmana, Kuch Bal Khana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon,
Aur Khud Parh Kar Ro Leti Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Me,
Jazbaat Ki Kashti Kehti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch To Kaho,
Mein Tum Ko Sadayen Deti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Me,
Beetay Dinn Yaad Dilatey ho...!
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhon Mein,
Beetay Din Yaad Dilatey Ho
Mastana Hawa Kay Jhonkon Se,
Har Baar Woh Pardey Ka Hilna
Pardey Ko Pakrnay Ki Dhun Mein,
Do Ajnabi Hathoon Ka Milna.
Aankhon Me Dhunwa Cha Jana,
Sansoon Mein Sitarey Se Khilna
Raasty Me Tumhara Mur Mur Kar
Takna Wo Mujhe Jatey Jatey
Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana,
Chilman Kay Qareeb Aatey Aatey
Nazroon Ka Taras Kar Reh Jaana,
Ek Aur Jhalak Paatey Paatey
Baalon Ko Sukhanay Ki Khatir,
Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana
Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi
Kuch Sharmana, Kuch Bal Khana
Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon,
Aur Khud Parh Kar Ro Leti Hoon
Halaat Kay Taptey Toufaan Me,
Jazbaat Ki Kashti Kehti Hoon
Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch To Kaho,
Mein Tum Ko Sadayen Deti Hoon
Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon,
Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho
Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Me,
Beetay Dinn Yaad Dilatey ho...!
·
1 Like ·
Nov 28, 2017 at 19:11
Category: sad
Poetry / Sad
Agar Guftagu Ka Aghaaz Mein Karta
Agar guftagu ka aghaaz mein karta
Jhirakti bigarti magar maan jaati
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhti magar maan jaati
Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhatakti magar maan jaati
meri shokh batoon par khamosh rehti
Dopatta kutarti magar maan jaati
Woh ghussay mey jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati
Jo kehta keh raahon pe chaliye sambhal kar
Uchhalti matakti magar maan jaati...!
Jhirakti bigarti magar maan jaati
Jo mein barh kar us kay qadam rok leta
Woh paaon patakhti magar maan jaati
Agar chaand kaliyaan usay paish karta
Woh daman jhatakti magar maan jaati
meri shokh batoon par khamosh rehti
Dopatta kutarti magar maan jaati
Woh ghussay mey jo mujh say naraaz hoti
Bikharti tarapti magar maan jaati
Mein kehta keh parhnay ka choro bahana
Woh safhay palatti magar maan jaati
Jo kehta keh raahon pe chaliye sambhal kar
Uchhalti matakti magar maan jaati...!
·
1 Like ·
Nov 28, 2017 at 13:11
Category: sad
Poetry / Sad
Naraz Nahi Hain Hum Janaa
Naraz Nahi Hain Hum Janaa,
Bas Thori Si Shikayat Hai,
Yeh Bhi es Liye Hai Ke,
Humko Baypanah Muhabbat Hai,
Pyaar Mein Rothna Manana To,
Pyaar Ki Ek Riwayat Hai,
Dil Milay Hun Jis Jaga Phir,
Wahan Kahan Ki Adawat Hai,
Tairi Be Rukhi Pe Hai,
Humko Soji Yeh Shararat Hai,
Naraz Nahi Hain Hum Janaa,
Bas Thori Si Shikayat Hai...!
Bas Thori Si Shikayat Hai,
Yeh Bhi es Liye Hai Ke,
Humko Baypanah Muhabbat Hai,
Pyaar Mein Rothna Manana To,
Pyaar Ki Ek Riwayat Hai,
Dil Milay Hun Jis Jaga Phir,
Wahan Kahan Ki Adawat Hai,
Tairi Be Rukhi Pe Hai,
Humko Soji Yeh Shararat Hai,
Naraz Nahi Hain Hum Janaa,
Bas Thori Si Shikayat Hai...!
·
1 Like ·
Nov 28, 2017 at 00:11
Category: sad
Poetry / Sad
Bheegi Ruto Main Aksar
Bheegi ruto main aksar
Palkon pey ashko key chiragh saja ker
Ajj bheee
Najaney kiyu ???
Tujhey ankhain talash kerti hai
Tairee yadain udaas kerti hai
Tanhai key dasht-e-weeran main
Chahat daman main sametey
Wisaal key purnoor lamho mai
Kissi Milan ki aas ley ker
Tujhey hasratain talash kerti hai
Tairee yadain udass kerti hai...!
Palkon pey ashko key chiragh saja ker
Ajj bheee
Najaney kiyu ???
Tujhey ankhain talash kerti hai
Tairee yadain udaas kerti hai
Tanhai key dasht-e-weeran main
Chahat daman main sametey
Wisaal key purnoor lamho mai
Kissi Milan ki aas ley ker
Tujhey hasratain talash kerti hai
Tairee yadain udass kerti hai...!
·
1 Like ·
Nov 27, 2017 at 10:11
Category: sad
Poetry / Sad
Chalo Aisa Karen Jana
chalo aisa karen jana
Tumhe yeh dard likhna hai
tumhara
bhool jana bhi
tumhara yaad aana hai
chalo aisa karen jana
bhulane ki kasam ko ab
naya ak naam de len hum
muje shikwa n ho koi
tumhe bhi ranj n hoga
badaltay waqt aur halaat ko ilzam de len hum
zehar ki ak puria tum
bache khwabon ko de dena
zehar ki ak puria main
bache khwabon ko de dunga
tu shayd bhool jain hum
tu shayd bhool jain hum....!
Tumhe yeh dard likhna hai
tumhara
bhool jana bhi
tumhara yaad aana hai
chalo aisa karen jana
bhulane ki kasam ko ab
naya ak naam de len hum
muje shikwa n ho koi
tumhe bhi ranj n hoga
badaltay waqt aur halaat ko ilzam de len hum
zehar ki ak puria tum
bache khwabon ko de dena
zehar ki ak puria main
bache khwabon ko de dunga
tu shayd bhool jain hum
tu shayd bhool jain hum....!
·
1 Like ·
Nov 26, 2017 at 21:11
Category: sad
Poetry / Sad
Kitab E Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi Waraq Saada Nahi Hota
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,
Usay Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke kinaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,
Hawa Ko Chouna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chouti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,
Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakja Nahi Hota,
Tapish es Dilki Aa Pohanchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,
Mujhe es Haal Tak Pohncha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota...!
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,
Usay Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke kinaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,
Hawa Ko Chouna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chouti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,
Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakja Nahi Hota,
Tapish es Dilki Aa Pohanchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,
Mujhe es Haal Tak Pohncha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota...!
·
1 Like ·
Nov 26, 2017 at 14:11
Category: sad
Poetry / Sad
Ae Chand Tum Kyun Tanha Ho ?
Ae chand tum kyun tanha ho ?
asman ki aagosh mein to itne sitare
bikhre parre hain
lakin phir bhi
ae chand tum kun tanha ho
yahan to har koi kisi ka sathi hai
per
tumhara sathi kon hai
kya ye aasman
kya ye tareek raat
kya ye badal
kya ye khamoshiyan
ya phir
Tanha log?
asman ki aagosh mein to itne sitare
bikhre parre hain
lakin phir bhi
ae chand tum kun tanha ho
yahan to har koi kisi ka sathi hai
per
tumhara sathi kon hai
kya ye aasman
kya ye tareek raat
kya ye badal
kya ye khamoshiyan
ya phir
Tanha log?
·
1 Like ·
Nov 26, 2017 at 08:11
Category: sad
Poetry / Sad
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab per
kuch harf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
bay naam musafat main
likhnay ki mohabbat main
perhnay ki zaroorat main
bay sood riyazat thi
bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi thay dekhay
in jaagti aankhon ne
sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay panay ki
dil k kissi goshay main
khawahish to bachaa li thi
laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi
is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai
ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhan aarai
na lafaz meray niklay
na harf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jaisa tujhay chaha tha....!
jaisa tujhay socha tha
jitna tujhay chaha tha
socha tha teray lab per
kuch harf duaoon k
kuch phool wafaoon k
mehkain gay meri khatir
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
mehsoos yeh hota hai
dukh jheelay thay jo ab tak
bay naam musafat main
likhnay ki mohabbat main
perhnay ki zaroorat main
bay sood riyazat thi
bay faiz ibadat thi
jo khawab bhi thay dekhay
in jaagti aankhon ne
sab khaam khayali thi
phir bhi tujhay panay ki
dil k kissi goshay main
khawahish to bachaa li thi
laikin tujhay pa ker bhi
aur khud ko gawa ker bhi
is habs k mausam ki khirki se hawa aai
na phool se khushboo ki koi bhi sada aai
ab neend hai aankhon main
na dil main woh pehli si taza sukhan aarai
na lafaz meray niklay
na harf o mani ki danish meray kaam aai
nadeeda rafaqat main
jitni bhi aziyyat thi
sab meray hi naam aai
kuch bhi to nahi waisa
jaisa tujhay socha tha
jaisa tujhay chaha tha....!
·
1 Like ·
Nov 25, 2017 at 10:11
Category: sad
Poetry / Sad
Chahat Ki Mehfil Main Bulaya Hai Kisi Ne
Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya es tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun khail k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil es tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
es tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne...!
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya es tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun khail k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil es tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
es tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne...!
·
0 Like ·
Nov 24, 2017 at 20:11
Category: sad
Sponored Video