Poetry / Love

Tu Mere Sath Chal Na Payegi

Tu Mere Sath Chal Na Payegi
Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai
Apni MasooM TaMannaon Ko Rehbar Na Bana
Khwab Phir Khwab Hai Labon Ki Haqeeqat Kya Hai
Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Ayegi

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi
Apni MehruMi-E-QisMat Se Pareshan Hoon Main
Bebasi Ashq-E-NadaMat Ke Siwa Kya Degi
Waqt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi

· 1 Like · Nov 23, 2016 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Love

Aarazuu Hai Vafaa Kare Koi

aarazuu hai vafaa kare koi
ji na chahe to kya kare koi

gar marz ho dava kare koi
marne wale ka kya kare koi

koste hain jale hue kya kya
apne haq men dua kare koi

un se sab apani apani kahte hain
mera matalab ada kare koi

tum sarapa ho suurat-e-tasviir
tum se phir baat kyaa kare koi

jis men laakhon baras ki huuren hon
aisi jannat ko kya kare koi

· 2 Like · Nov 22, 2016 at 22:11
Category: love
 
Poetry / Love

Wo Baten Teri Wo Fasane Tere

wo baten teri wo fasane tere
shaguftaa shaguftaa bahane tere

bas ek zaKhm nazara hisa mera
baharen teri ashiyanay tere

bas ek daaG-e-sajdaa merii qayenat
jabien teri astane tere

zameer-e-sadaf men kiran ka muqaam
anokhe anokhe Thikane tere

faqiron ka jamghaT ghaDi do ghaDi
sharabain teri baada Khane tere

bahaar o KhizaaN kam nigaahon ke vaham
bure yaa bhale sab zamaane tere

Adaam bhii hai teraa hikaayat kadaah
kahaaN tak gaye hain fasaane tere

· 1 Like · Nov 22, 2016 at 05:11
Category: love
 
Poetry / Love

Saagar Se Lab Lagaa Ke Bahut Khush Hai Zindagii

saaGar se lab lagaa ke bahut Khush hai zindagii
sehan-e-chaman men aake bahut Khush hai zindagii

aa jaao aur bhii zaraa nazadiik jaan-e-man
tum ko qariib paake bahut Khush hai zindagii

hotaa ko_ii mahal bhii to kyaa puuchhate ho phir
be vajah muskuraa ke bahut Khush hai zindagii

sahil pe bhi to itani shagufata ravish na thi
tufan ke bich ake bohat Khush hai zindagi

viran dil hai aur Adam zindagi ka raqs
jangal men ghar banake bohat Khush hai zindagi



· 1 Like · Nov 21, 2016 at 18:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo

hans ke bola karo bulaya karo
ap ka ghar hai aya jaya karo

muskurahaT hai husn kaa zevar
rup baDhata hai muskuraya karo

had se badh kar hasin lagte ho
jhuThi qasmen zarur khaya karo

hukm karna bhi ek saKhaavat hai
ham ko Khidmat koi bataya karo

baat karna bhi badshahat hai
bat karna na bhool jaya karo

duniya ki dilkashi na ghatay
nit naye pairahan men aya karo

kitne saada mizaaj ho tum 'Adam'
us gali main bohut na jaya karo

· 1 Like · Nov 21, 2016 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hans Ke Bola Karo Bulaya Karo

hans ke bola karo bulaya karo
ap ka ghar hai aya jaya karo

muskurahaT hai husn kaa zevar
rup baDhata hai muskuraya karo

had se badh kar hasin lagte ho
jhuThi qasmen zarur khaya karo

hukm karna bhi ek saKhaavat hai
ham ko Khidmat koi bataya karo

baat karna bhi badshahat hai
bat karna na bhool jaya karo

duniya ki dilkashi na ghatay
nit naye pairahan men aya karo

kitne saada mizaaj ho tum 'Adam'
us gali main bohut na jaya karo

· 1 Like · Nov 20, 2016 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote

aap agar ham ko mil gaye hote
bagh men phol khil gaye hote

aap ne yuN hi ghuur kar dekhaa
honTh to yuN bhii siil gaye hote

kaash ham aap is tarah milte
jaise do vaqt mil gaye hote

ham ko ahal-e-Khirad mile hi nahin
varna kuchh munafe mil gaye hote

us kii aaNkhen hi kaj nazar thin "Adam"
dil ke parde to hil gaye hote


· 1 Like · Nov 20, 2016 at 06:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Apni Rusvai Tere Naam Ka Charcha Dekhun

apni rusvai tere naam ka charcha dekhuN
ek zara sher kahuN aur main kya kya dekhuN

nind aa jaye to kya mehafelain barpa dekhuN
aaNkh khul jaye to tanhai ka sahara dekhuN

shaam bhi ho gai dhundhla gai aNkhen bhi meri
bhulane vale main kab tak tera rasta dekhuN

sab ziden us ki main puri karuN har baat sunuN
ek bache ki tarah se usay haNsta dekhuN

mujh pe cha jaye vo barasaat ki Khushbu kii tarah
ang ang apna usi rut men mahakta dekhuN

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji men ata hai koi aur bhi tujh sa dekhuN

main ne jis lamhe ko puja hai usay bas ek baar
Khvab ban kar teri aaNkhon men utarta dekhuN

tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuN

· 1 Like · Nov 19, 2016 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suu E Maikadaa Na Jaate To Kuchh Aur Baat Hotii

suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigah se pilatay to kuchh aur baat hoti

go hava-e-gulisitaN ne mere dil kii laaj rakh li
wo naqab Khud uThate to kuchh aur baat hoti

ye baja ke kali ne khil kar kiya gulasitaaN muattar
magar aap muskurate to kuch aur baat hoti

ye khule khule se gesuu, inhen laakh tu saNware
mere haath se saNwartay to kuchh aur baat hoti

go haram ke raaste se vo pahuNch gaye Khudaa tak
teri raahaguzar se jate to kuch aur baat hoti

· 1 Like · Nov 17, 2016 at 10:11
Category: love
 
Students Surprise a Hhomeless Guy
Posted by Interesting Videos
Posted on : Jan 22, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS