Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Khushbuu Kii Tarah Aayaa Vo Tez Havaon Men

Khushbuu kii tarah aayaa vo tez havaon men
maaNga thaa jise ham ne din raat duaaon men

tum chhat par nahiin aaye main ghar se nahiin niklaa
ye chaaNd bahut laTka savan ki ghaTaon men

is shahar men ik laDki bilkul hai Gazal jaisii
phuulon kii badan vaalii Khushbuu sii adaaon men

duniyaa kii tarah vo bhii haNste hain muhabbat par
Duube huye rahate the jo log vafaaon men

· 1 Like · Nov 14, 2016 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Fakhar To Hasil Hy K Bure Hain K Bhaly Hain

Ye fakhar to hasil hy k bure hain k bhaly hain
do chaar qadam ham bhi tere sath chaly hain

jalna to khair chiraghoon ka muqaddar hy azal sey
ye dill k kanwal hain k bujhe hain na jaly hain

thay kitny sitary k sar e shaam hi dobay
hangama-e-seher kitny hi khursheed dhaly hain

jo jhelen gay hans k karri dhoop k tewar
taroon ki khunak chaaon main wo log jaly hain

aik shama bujhai to kai or jala lin
ham gardish e doran sey bari chaal chalay hain

· 1 Like · Nov 12, 2016 at 03:11
Category: love
 
Poetry / Love

Meri Jaan Sochti Hon Main

Meri jaan sochti hon main
Agar tum mil na paye tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi

meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi
Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi

Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi
Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi

Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi
Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi

meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi

· 1 Like · Nov 08, 2016 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Asar Dil Per Karay Shikwa

Asar dil per karay shikwa
shikayat ho to aisi ho
Galay lag kar koi roye
Nadamat ho to aisi ho
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein
Aziat ho to aisi ho
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapkay
talluq ho to aisa ho
MUHABAT ho to aisi ho

· 1 Like · Nov 08, 2016 at 05:11
Category: love
 
Poetry / Love

Uski Hansi Achi Lagi Muskurana Acha Laga

Uski hansi achi lagi muskurana acha laga
zulf bhegi achi lagi khidki pe aana acha laga

ik to husn e be panah us pe qatil ada,
zulf rukh pe achi lagi ungli per ghumana acha laga

kuch is tarha mukhatib huwa k jaltarang bajnay lagay
guftagu achi lagi andaz shairana acha laga

ru baru hote hi us k mashoor sa kuch ho gaya
uski jadugari achi lagi andaz shairana acha laga

dobta jata tha uski aankhon main kahin,
apni bekhudi achi lagi us ka dil main utarna acha laga

mehfil main chup chup k us hi ko dekha kiye
apni chori achi lagi us pe pakdae jana acha laga

baghban ki kya kahin usko to humse bair hai
balon main un k kali achi lagi humko churana acha laga

baad mudat k jo un ko dekha rah main
palkon ki nami achi lagi na mounh phair jana acha laga

· 1 Like · Nov 07, 2016 at 12:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mujhe Us Ne Kabhi Dhoka Nahin Diya

Mujhe us ne kabhi dhoka nahin diya
per kuch kehne ka kabhi mouqa nahin diya

Jagti aankhon se bunn raha tha khwab
sapnon ne us k sone ka kabhi mouqa nahin diya

udta phiron main bhi khulay aasman main
sayyad ne rehai ka kabhi mouqa nahin diya

wada shikan hai wo kuch be wafa bhi hai
aisay kisi khayal se dil kabhi chota nahin kiya

mashq e sitam main yun to usko kamal tha
hamse gila ho us ko kabhi mouqa nahin diya

aashiq to ik jahan tha uska magr ASAD
sani nahin hamara kabhi daawa nahin kiya

· 1 Like · Nov 07, 2016 at 05:11
Category: love
 
Poetry / Love

"pyar Se Pyar Karo"

"PYAR SE PYAR KARO"

pyar se pyar karo pyar ko ruswa na karo,
meri to aadat hai tum khud ko afsurda na karo,

meri bahon main chalay aao dartay kyun ho,
gehrai hai bohat dil main yun jhanka na karo,

main to aashiq e dedar hoon koi rahzan to nahin,
betho mere pass yun mujhse parda na karo,

kon chalta hai tamam umr hi sath,
laikin waqt se pehlay to khud se juda na karo,

badalon ki bhi tum ko nazr lag sakti hai,
tang qaba ho to barish main nahaya na karo,

bijliyan girti hain kitne sadah dilon per,
aisay be pardah sehan main aya na karo,

tum kya jano ye dil ki lagi kya hoti hai,
kisi maasoom ke dil se yun khaila na karo,

dekho nazuk hai tumhari ungliyan bohat,
in se pholon ko yun masla na karo,

shaam dhalay wo pirota hai gham apne,
Tabassum her roz ussey yun mila na karo

· 1 Like · Nov 06, 2016 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Sabeel E Dard Tham Jaye,kharosh E Dil Thehar Jaye

Sabeel-e-Dard Tham Jaye,Kharosh-e-Dil Thehar Jaye
Zara See Dair Ko Hangama-e-Mahfil Thehar Jaye

Shab-e-Maqtal Ka Sanata Gawahi De Na De Apni
Lahou Ki Mouj May Aks-e-Rukh-e-Qatil Thehar Jaye

Tabiat Toot Kar Chahye Talatum Ashiana Hona
Mager Tashna Labi Ki Zid Ser - e - Sahil Thehar Jaye

Muheet-e-Roz o Shab Say Aaj Tak Hum Per Nahi Utra
Woh Ek Lamha k Apni Umer Ka Hasil Thehar Jaye

Kahin To Saans Lay Thak Kar Hajoom-e-Abla Paye
Kabhi To Halqa-e-Gard-e-Safer , Manzil Thehar Jaye

Koie Hurf-e-Malamat Hoo Kar Zanjeer-e-Dua Chankaye
Kisi Awaz Per To Be Sada Sayel Thehar Jaye

Kahan K Qais Thay Hum Bhi Mager Itna Ghanimat Hai
K Dasht-e-Khawab May Akser Tera Mahmal Thehar Jaye

Bichar Kar Bhi Woh Chehra Aankh Say Hatta Nahi MOHSIN
K Jaisay Jheel Main Aks-e-Meh-e-Kamil Thehar Jaye

· 1 Like · Nov 03, 2016 at 06:11
Category: love
 
Poetry / Love

Husn Ko Chaand Javaanee Ko Kanwal Kehte Hain

husn ko chaaNd javaanee ko kanwal kehte hain
unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte hain

uf! vo marmar se tarasha hua shafaaf badan
dekhne vaale usay taaj mahal kehte hain

pad gayee paaon mein taqdeer kee zanjeer to kya
ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte hain

mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
jo sadi vasl meiN guzre usay pal kehte hain

· 1 Like · Nov 02, 2016 at 19:11
Category: love
 
Azaan
Posted by madiha sultan
Posted on : Jun 09, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS