Poetry / Love

Ghazal Noor

Kaash Mujy Yeh Mukmal Jahan Mil Jaata

Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata
Manzil tak saath dene k liye koi humrahi mil jaata
Mere gamo ko apna kehne wala mil jaata
Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata

Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata
Andhera door karne k liye chiraag miljata
Hr farmaish puri karne k liye bhagwaan mil jata
Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata

Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata
Faasle mitaney k liye waqt mil jaata
Uski ek jhalak paaney k liye unka ek ikraar mil jaata
Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata

Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata
Duniya se janey se pehle unka pyaar mil jaata
Iss duniya main wapis aane ka ek bahaana mil jaata
Kaash mujy yeh mukmal jahan mil jaata

· 1 Like · Nov 02, 2016 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Mujhe Aaj Bhi Uss Raat Ka Intzaar Hai

Mujhe aaj bhi uss raat ka intzaar hai,
Jisme maine ussey chaand main dekha tha,
Mujhe aaj bhi unn sapno ka intzaar hai
Jinme unsey mila tha,
Mujhe aaj bhi unn palo ka intzaar hai,
Jinme unke saath tha,
Mujhe aaj bhi unka intzaar hai,

Mujhe intzaar hai har uss baat ka,
Jo maine unke saath ki hai,
Mujhe aaj bhi intzaar hai unn aakhon ka,
Jo mujy har pal dekhti hai,
Mujhe aaj bhi intzaar hai haaton ka,
Jo mere haaton main hai,
Mujhe aaj bhi unka intzaar hai,

· 1 Like · Nov 02, 2016 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

H.u.rehman

Pyaar Kamzor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta

Pyaar kamZor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta

Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega

· 1 Like · Nov 01, 2016 at 14:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..

Ankhon Se Meri Iss Liye Lali Nahi Jati..
Yadoon Se Koi Raat Jo Khali Nahi Jati..

Ab Umar' Na Mosam' Na Woh Rasty Ke wo Plte..
Iss Dil Ki Magar Kham Khiyali Nahe Jati..

Aya Koi Aaker Ya Tere Dard Sambhaley..
Hum Sai To Yeh Jageer Sambhali Nahi Jati..

Malum Humay Bhe Haan Bohat Se Tery Qisay..
Har Baat Teri Hum Sai Uchali Nahe Jati..

Humrah Tere Phool Khilati Thii' Jo Dil Mein..
Abb Sham Woh Dard Se Khali Nahe Jati..

Hum Jaan Sai Jayan Ge Tabhi Baat Banay Gi..
Tum Se Tou Koi Rah Nikali Nahi Jati..

· 1 Like · Oct 30, 2016 at 09:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Or Tum Ho

Meri zindagi main bs ik kitaab hai
ik chirag hai
ik khawab hai
Or Tum Ho.....!

· 1 Like · Oct 27, 2016 at 22:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Muhabbat Jin Se Hoti Hai

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi

Koi khadsha, koi shak, koi andesha

Buhat bechaen rakhta hai

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai



Kahin ye visal ke lamhe

Badal jayain na furqat mai

Kahin ye qurb ki ghariyan

Judai main na dhal jayain

Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de

Kahin aisa na ho k

Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha

Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de

Kahin aisa na ho k

Wo meharbaan ankhain badal jayain

Kahin aisa na ho k

Ye garamjoshi sard par jaye

Tapaak-e-jaan se milne ki rawish

Yakh basta ho jaye

Ada-e-Dilbarana berukhi ka roop dhaaray

Aur dil ka dard ban jaye

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi

Agar nazrain churaye tou dil pe choot lagti hai

Ansooun ka mina barasta hai

Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai

Phone ki ghanti ka wo notice na le

Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye

Dharak uthta hai dil

Kya janiye kya ho gaya us ko

Tawajja mai kami kyun agai…?

Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?

Jo apna is qadar apna tha

Akhir kyun paraya hai..?

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

· 1 Like · Oct 25, 2016 at 17:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kaho Phir Kiya Kia Jaye?

Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Mujhe Tum Achi Lagti Ho
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Tumhari Jagmagati, Muskurati,
Geet Gati, Dil Ruba Aankhain
Boht Gehri Badi Katil Nihayat
Khushnuma Aankhain
Mere Dil Se Meri Be-tabiyon Se
Khelti Aankhain
Khamoshi Ki Zuban Me
Mujh Se Kiya Kuch Bolti Aankhain
Bazahir Doston Me Khil-Khilati
Chor Nazron Se Mujhe Muskurati
Aawaz Deti Dhondti Aankhain
Wo Meri Rouh K Rukhsar Ko
Ek Faasle Chumti Aankhain
Ye Sb Batain Batati Hay
Main Tum Ko Acha Lagta Hon
Wo Mere Zabt Kho Denay
Pe Pemaish Bhari Nazrain
Adaa-E-Be-Niazi Ka Wo Ek
Naa-Kaam Sa Manzar
Wo Ek Kamzor Si Be-ittifaqui,
Be-rukhi K Sir Pe Ek
Mohoom Si Kawish
Mujhe Han Mujhe
Yun He Nazar Andaz
Karne Ki Wo Ek
Dil-Chusp Si Koshis
Sar-E-Mehfil Tumhara Raaz
Khul Jane K Dar Se
Be-irada Ghair Ehem Logon Se
Rasm-E-Guftogu Karna
Ye Sb Batain Btati Hay
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Mere Be-sakhta Fiqray
Mere Lehjay Ki Hr Shokhi
Mera Hr Waqt Hr Ek Simt
Tum Ko Dhondtay Rehna
Nazar Partay He Tum Pr
Zor Se Dil Ka Dharak Uthna
Ye Sb Batain Batati Hain
Mujhe Tum Achi Lagti Ho
Tumhain Main Acha Lagta Hon
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Hamaray Darmiyan Rasmon, Riwajon Ka
Samaji Martabe Ka Umr Ka Or Khandanon Ka
Boht Gehra Khalaa Hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay Pur Kiya Jaye?
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?
Kaho Phir Kiya Kia Jaye?

· 1 Like · Oct 24, 2016 at 22:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue

Har Ek Harf-E-Aarzu Ko Dastan Kiye Hue
Zamana Ho Gaya Hai Un Ko Mehmaan Kiye Hue

Surur-E-Aish Talkhi-E-Hayat Ne Bhula Diya
Dil-E-Hazin Hai Bekasi Ko Hijr-E-Jan Kiye Hue

Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue Vo Ayenge
Vo Ayenge Kali Kali Ko Gulistan Kiye Hue

Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Un Se Mang Loon
Sukun-E-Dil Ki Rahaton Ko Bekaran Kiye Hue

Vo Ayenge To Ayenge Junun-E-Shauq Ubhaarne
Vo Jayenge To Jayenge Tabahiyan Kiye Hue

Main Un Ki Bhi Nigah Se Chhupa Ke Un Ko Dekh Loon
K Un Se Bhi Hai Aj Rashk Bad-Guman Kiye Hue

· 1 Like · Oct 17, 2016 at 19:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kahte Hain
Jane Kya Daur Hai Kya Log Hain Kya Kahte Hain

Kya Qayamat Hai Ke Jin Ke Liye Ruk Ruk Ke Chale
Ab Vahi Log Hamain Aabalapa Kahte Hain

Koi Batalao Ke Ik Umr Ka Bichra Mehboob
Ittefaqan Kahin Mil Jaye To Kya Kahte Hain

Ye Bhi Andaz-E-Sukhan Hai Ke Jafa Ko Teri
Ghamza-O-Ishva-O-Andaz-O-Ada Kahte Hain

Jab Talak Dur Hai Tu Teri Parastish Kar Lain
Ham Jise Chu Na Sakain Us Ko Khuda Kahte Hain

Kya Tajjub Hai Ke Ham Ahl-E-Tamanna Ko 'Faraz'
Wo Jo Maharum-E-Tamanna Hain Bura Kahte Hain

· 1 Like · Oct 16, 2016 at 09:10
Category: love
 
Rafta Rafta Song - Jay Kahlon
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Dec 27, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS