Love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bari Tarap Ha Mere Iltijaa K Parde Main
Bari Tarap Ha Mere Iltijaa K Parde Main
Main Us Ko Maang Raha Hoon Dua K Parde Main
Use Bhi Dar Ha K Ye Raaz Khul Na Jae Kahin
Likhta Ha Naam Mera Wo Hina K Parde Main
Main Us K Kochey Se Guzra To Mahsoos Howa
Mughe Pukara Ha Os Ne Hawa K Parde Main
Ajab Tarz_E_Maseehai Dikhlai Us Ne
Hayaat Mari Badal Dali Dowa K Parde Main
Is Tarah Chahre Ko Zulf Main Chupaya Os Ne
K Jase Chand Chopa Ho Ghata K Parde Main

·
1 Like ·
Aug 17, 2016 at 15:08
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Mehfil main jo milna nigahen jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai
Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai
Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere rubaru kehna mujhe tum se Mohabbat hai ..!

Aug 15, 2016 at 09:08
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kangan Bailay Ka
us ny merey haath mein bandha
ujla kangan bealey ka
pehley pyar sy thaami kla`ii
bad us ky holey holey pehnaya
gehna pholoN ka
phir jhuk kr haath ko chom lya!
phool to akhir phool he thy
murjha he gaye
lekin meri raateN in ki khushbo sy ab tak roshan hein
baaNhoN pr wo lams abhi tak taza hy
(shakh Xanober pr ek chand damakta hy)
phool ka kangan
pyar ka bandhan
ab tak meri yaad ky hath sy lipta hova hy

Aug 05, 2016 at 19:08
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Yeh Tay Hua Tha
Main Roz Tujhse... Tu Roz Mujse Mila Karey ga
Yeh Tay hua tha !!
Na Koi rasta na koi Morr Hum ko Juda Karey ga
Yeh Tay Hua tha !!
Zameen ka koi Bashar na apni Rafaqaton ko Mita sakega
Juda bhi hum ko koi karey ga to Woh Khuda Karey ga
Yeh Tay Hua tha !!
Gar kabhi Kisi baat per Jhagar Parey to Sulah ki khatir
Zara sa Main aur Zara sa Tu bhi Jhuka Karey ga

2 Like ·
Aug 04, 2016 at 11:08
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabbat Jin Se Hoti
Muhabbat jin se hoti
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechain rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai

Kahin ye visal ke lamhe
Badal jayain na furqat mai
Kahin ye qurb ki ghairiyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayain
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare
Aur dil ka dard ban jaye

Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe aag lagti hai
Ansoo’n ka mena barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janea kya ho gaya us ko
Tawajja mai kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?

Jul 29, 2016 at 23:07
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jahan Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jazbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Ik Nai Aas Laganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Dooje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Labon peh honton k taly hon
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Dooje ki Baanhain Hon
Jahan Lab Pe Sard c Aahain Hon
Jahan pyar Ki kuch Panahen Hon
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.....!
Jahan Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jazbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Ik Nai Aas Laganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Dooje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Labon peh honton k taly hon
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Dooje ki Baanhain Hon
Jahan Lab Pe Sard c Aahain Hon
Jahan pyar Ki kuch Panahen Hon
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.....!
·
1 Like ·
Jul 28, 2016 at 19:07
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Talash Main Hon Kese Or Ki
Main Talash Main Hon Kisi Or Ki, Mujhay Dhundhta Koii Or Hay
Main Saawal Hoon Kese Or Ka, Mera Maslah Koii Or Hay
Kabhi Chaand Chehron Ki Bheer Say Jo Nikal Kay Aaya Tu Yeh Khula
Wo Jo Asal Tha Usay Kho Dia, Jesay Pa Liya Koii Or Hay
Kati Umer Isi Chah Main, Usay Dekhtay Kese Rah Main
Mager Ak Zamanay Kay Baad Jo Howa Aashana Koii Or Hay
Faqat Ak Pal Kay Faraq Main, Kaii Khowab Kirchiyan Ho Gaye
Jo Palat Kay Aaye Tu Yon Laga Yaha Silsala Koii Or Hay
Wahi Log Hain, Wahi Naam Hain , Wahi Ghar, Wahi Dar o Baam Hain
Mager Ab Dareechon Ki Oott Say Hamay Jhankta Koii Or Hay
Kese Aanay Walay Safer Ki Jab Karo Ibtada Tu Yeh Sochna
Main Akaila Is Main Shareek Hoon , Ya Meray Siwa Koii Or Hay
Usay Mil Kay Aaye Tu Shaam Ko Mujhay Aainay Nay Kaha Suno
Wo Jo Subha -e- Damm Tha HASAN RAZA Wo Tum Hi Ho Ya Koii Or Hay

Jul 25, 2016 at 05:07

Jul 24, 2016 at 22:07
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chand Se Ab Bhi Mulaqat To Hoti Hogi
CHAND SE AB BHI MULAQAT TO HOTI HOGI
MERE BARAY MEI KOI BAAT TO HOTI HOGI
MERE BARAY MEI KOI POOCHTA HOGA TUJH SE
WOH KAHAN HAI TU JISE CHAND KAHA KERTI THE
JO TERI ZULF KI TAREEF KIA KERTA THA
TU JISE KHUWAB KA MEHMAN KAHA KERTI THE
IN SAWALON PE TUJHE MAAT TO HOTI HOGI
MERE BARAY MEI KOI BAAT TO HOTI HOGI
AAINA DEKHTI HOGI KABHI TANHAI MEI
KOI AFSANA TUJHE YAAD TO AATA HOGA
TERI AANKHON KI JO TAREEF KIA KERTA THA
EK DEEWANA TUJHE YAAD TO AATA HOGA
TERE DAMAN MEI B BARSAT TO HOTI HOGI
MERE BARAY MEI KOI BAAT TO HOTI HOGI
AB B DARWAZE PE DASTAK KOI DETA HOGA
AB B AAHAT TERE AANGAN MEI UBHARTI HOGI
AB B JHONKA KOI NAGHMA SA SUNATA HOGA
AB B SHAANAY PE TERI ZULF BIKHARTI HOGI
ZINDAGI WAQIF-E-HALAAT TO HOTI HOGI
MERE BARAY MEI KOI BAAT TO HOTI HOGI!!!!

Jul 24, 2016 at 06:07
Category: love
Sponored Video