Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Na Jane Shakhs Tha Kaisa

na jane shakhs tha kaisa
Meri ankhon pe merta tha
Meri baton pe hansta tha
Najaney shakhs tha kaisa
Muje khoney se darta tha
Muje jab be wo milta tha
Yahe hr baar kehta tha

Suno

Agar mein bhol jaon to
Agar mein rooth jaon tho
Kabi Wapis na aon to
Bhula pao gy ye sab kuch
Yonhi hansty rho gy kia
Yehi batein hen bas us ki
Yehi yadein han bas us ki
Muje Bas pata hai itna
Muje wo pyar kerta tha

Muje khone se darta tha

· 1 Like · Dec 28, 2016 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai
Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi minha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan

kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhalay
kbhi sirf rang-e-bahaar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa

kbhi dastaras k qareeb qareeb

kbhi door … paas … kahin nahi

ye jo ukhra ukhra sa shaks hai

ye jo bikhra bikhra sa shaks hai

· 1 Like · Dec 26, 2016 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Aankhain Khuli Rahain Gi Toh Manzar Bhi Ayeenge

Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayeenge
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayeenge

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayeenge

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chairh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayeenge

Khud ko chhupa na sheesha garoon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayeenge

Ay shehr yaar dasht say fursat nahi magar
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayeenge

Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sar sar bhi ayeenge

· 1 Like · Dec 25, 2016 at 14:12
Category: love
 
Poetry / Love

Kabi Tu Moheet E Hawaas Tha, So Nahe Raha

KABI TU MOHEET-E-HAWAAS THA, SO NAHE RAHA
MEIN TERY BEGHAER UDAAS THA, SO NAHE RAHA

MERI WUSATON KI HAWAS KA KHANA KHARAB HO
MERA GAON SHEHR K PAS THA, SO NAHE RAHA

TERI DASTARAS MEIN THEN BAKHSHESHAIN, SO NAHE RAHA
MRY LAB PE HARF-E-PAAS THA, SO NAHE RAHA

MRA AKS MUJH SAY ULAJH PARA TO GIRA KHULI
KABI MEIN BHI CHEHRA SHANAS THA, SO NAHE RAHA

MRY BAT NOHA BA LAB HAWAYEN KAHA KAREN
WOH JO IK DAREEDA LIBAAS THA, SO NAHE RAHA

MEIN SHIKASTA DIL HUN SAF-E-ADDO KI SHIKAST PER
WOH JO LUTF-E-KHOF O HIRAS THA, SO NAHE RAHA

· 1 Like · Dec 25, 2016 at 06:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Suna Hai Teray Shaher May Nazool E Wafa Ka Mousam Hota Hay

suna hai teray shaher may nazool-e-wafa ka mousam hota hay
muhabat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai

suna hai wahan diloon ka milan hota hai
rohoon ka visal aur hijar ka inkar hota hai

wahan zulf bikhray tu raat ka aalam
jo simtay tu savera hota hai

suna hai ashk jab koi bahaye tu
wahan sawan ka mousam hota hai

taara jab bhi tootay kaheen asmaan may
nazuk hatoon may kashkool-e-dua hota hai

suna hai wahan kalaam karti hain Mohabbatein
nafratoon ka qatal-e-aam hota hai

suna hai wo bhi makeen hai teri basti ka
jo sadiyun se rooh-e-jaan hamari hota hai

usko salam-e-muhabat kehna
jiski ankh may ashk meray naam ka hota hai

wo bhi shayed mehsoos karta ho
dard jo firaaq may yahan hota hai

uski muskaan ka bhi aalm kuch biyaan ho
kia ab bhi usay dekh kar chandni ka guman hota hai

suna hai ab bhi wo nazar jhuka kar milta hai
kaheen ankh may uski piyar ka rang hota hai

chalo us basti ki janib chaltey hain Qais
jahan rang-e-qos qazah, aur raqs ishq may hota hai

· 1 Like · Dec 24, 2016 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Ghamoun Ko Aangan Mein Abaad Nhi Krna

tum ghamoun ko aangan mein abaad nhi krna
khushioun se bhara aangan barbaad nhi krna

punchi to hawaoun mein azaad hi urta hai
pinjray ke band punchie azaad nhi krna

beakar umeedoun per beakar se wadoun per
tum zindagi youn apni barbaad nhi krna

jab bichar jay koi ye loat kay na aay
tab tootay huway dil ko na shaad nhi krna

duniya ka chalan hai ye dill tor ke hanstie hai
is duniya ke aagay tum feryaad nhi krna

· 1 Like · Dec 23, 2016 at 14:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Us Ka Apna Hi Karishma Hai Fasoon Hai Yun Hai

us ka apna hi karishma hai fasoon hai yun hai
yun to kehne ko sabhi kehtay hain yun hai yun hai

jaisay koi darr e dil per ho stadah kab se,
aik saya na daroon hai na baaroon hai yun hai

tum ne dekhi hi nahin ab ke gulsitan may bahhar
ab to her khaar pe ik qatra e khoon hai yun hai

tum mohabbat main kahan sood o zyaan le aaye
ishq ka naam khiirad hai na junoon hai yun hai

ab tum aaye ho meri jaan tamasha karne
ab to darya main talatum na sukoon hai yun hai

naseha tujh ko khaber kya k mohabbat kya hai
roz aa jata hai samjhata hai yun hai yun hai

shairy tazah zamanoon ki hai maimaar FARAZ!
ye bhi ik silsilay e kun fa yakoon hai yun hai

· 1 Like · Dec 23, 2016 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ghazal Noor

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

Tu Bare Pyaar Say, Chao Say , Baray Maan Kay Sath

Apni Nazuk Se Kalaee Main Charhati Mujh Ko

Or Baytabi Say Fursat Kay Khizaan Lamhoon Main

Tu Kisee Soch Main Doobi Jo Ghumati Mujh Ko

Teray Hath Ki Khushboo Say Mahak Sa Jata

Jab Kabhi Mood Main Aakar Mujhay Choma Karti

Teray Hontoon Ke Hiddat Say Dehak Sa Jata

Raat Ko Jab Bhi Tu Nindon Kay Safer Per Jati

Marmareen Haath Ka Ak Takya Banaya Karti

Main Teray Kaan Say Lag Kar Kaii Baatein Karta

Teri Zulfoon Ko Teray Galon Ko Choma Karta

Jab Bhi Tu Band Quba Kholnay Lagte Jana

Apni Aankhoon Ko Teray Husan Say Khaira Karta

Mujh Ko Bay Taab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha

Main Tere Rooh Kay Gulshan Main Mehakta Rahta

Main Teray Jism Kay Aangan Main Khanakta Rahta

Kuch Nahi Tu Yahi Bay Naam Sa Bandhan Hota

Kash Main Teray Haseen Hath Ka Kangan Hota

· 1 Like · Dec 22, 2016 at 13:12
Category: love
 
Poetry / Love

Dhoop Ho Ya Chhaon Tum Sath

Dhoop Ho Ya Chhaon TUM Sath
Nibhaya Krna,
Mere Chehre
Pe Sda Palkoon Ka Saya Krna


Rah Dekhun Gee Tumhari Yunhi Mehfil Mein,
Tum Kbhi Jaldi,
Kbhi Dair Se
Aaya Krna


Daant Lena Sar-e-Mehfil Chalo Koi Baat Nhi,
Phr Akele Mein
Galy Lag K Mnaya Krna


Jaan Lun gee Main Khushbu Se Tmhari Tum Ko,
TUM Peechay Se
Meri Aankhon Ko
Chupaya Krna


Jagna Chahoon
To Pehron Yuhi
Batein Krna,
Neend Aa Jaye
To Pehlu Mein
Sulaya Krna

· 1 Like · Dec 22, 2016 at 00:12
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS