Poetry / Love

Mujhay Fursat He Fursat Hai

Mujhay fursat he fursat hai
sanwaria juld uthna hai
na shub ko dair say sona
kaheen bahar nahi jaana
kisi say bhi nahi milna
na koi fiqr laahaq hai
na koi yaad baaqi hai
magar yeh aakhri misraa
zara saa jhoot lagta hai!!

· 1 Like · Dec 04, 2016 at 13:12
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Tou Bus Aik Hee Dukh Pochtay Ho

Tum tou bus aik hee dukh pochtay ho
konse dukh ki karain baat zara yeh to bata
mousamoun, sard hawon ki masehaye ka dukh
raah ki dhool main bikhri hui benaie ka dukh
sung k shehar main khud dukh say shanasayi ka dukh
ya kisi bheegti barsaat main tanhaayi ka dukh
konse dukh ki karain baat k dil ka darya
itni tughyaani ki zad par hay k kuch yaad nahin
kub humain bhool gaya koan say harjayi ka dukh
tum tou bus aik hee dukh pochtay ho!!

· 2 Like · Dec 04, 2016 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Tou Bus Aik Hee Dukh Pochtay Ho

Tum tou bus aik hee dukh pochtay ho
konse dukh ki karain baat zara yeh to bata
mousamoun, sard hawon ki masehaye ka dukh
raah ki dhool main bikhri hui benaie ka dukh
sung k shehar main khud dukh say shanasayi ka dukh
ya kisi bheegti barsaat main tanhaayi ka dukh
konse dukh ki karain baat k dil ka darya
itni tughyaani ki zad par hay k kuch yaad nahin
kub humain bhool gaya koan say harjayi ka dukh
tum tou bus aik hee dukh pochtay ho!!

· 1 Like · Dec 03, 2016 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Aksar Teri Yaad

aksar teri yaad
yun dil ke darichay mein
utar ati hai
jaisay chupkay se koi kali
tatakh jaye
saray aalam mien khushbu
mehk jaye
kitna anmol hai
teri yaadoon ka hajoom
gungunatay hoye lamhay
raqs kartay hoye jazbay
sans leti hoi fiza
kiya kahoon ke toh
mere shikasta dil ki baatein samjhta nahi
koi charagh e wada roshan karta nahi
gar jaltay lafzoon ki roshni
lab kusha hojaye
sakoot e jaaN toot jaye
khudfaraibi ka ye aalam hai
teri yaad ke aainay se
dil mahv e sukhn hai
aur meri nus nus mein
khamoshi ki chubhan hai

· 1 Like · Dec 03, 2016 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Mohammad Asif

Kisee Ne Wada Kiya Hai Aane Ka

kisee ne wada kiya hai aane ka
husn dekho Gariib Khane ka

ruuh ko aaiinaa dikhatay hain
dar-o-divaar muskurate hain

aaj ghar ghar banaa hai pehali baar
dil men hai Khush saliiqagii bedaar

jama samaan hai aish o ishrat ka
Khauf dil men fareb-e-qismet ka

soz e qalb e kalim aankon men
ashk e umide bim aankhon men

chashm bar raah-e-shauq ke maare
chaand ke intazaar men taare

· 1 Like · Dec 02, 2016 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhii Raas Na Aa Sake

ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
kay Ghunche khil to sake khil ke muskuraa na sake

merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii men rahi raushanii ko paa na sake

rahein Khulus-e-muhabat ki hadsat jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake

karenge mar ke baqa-e-dawaam kya hasil
jo zinda rah ke muqam-e-hayat pa na sake

naya zamaana banane chale the diwaane
nai zamin, naya asaman bana na sake

· 1 Like · Dec 02, 2016 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Naqsh E Khayal Dil Se Mitaya Nahi Hanoz

naqsh-e-Khayal dil se miTaya nahi hanoz
bedard main ne tujhko bhulaya nahi hanoz

wo sar jo teri rahguzar men tha sajdaraiz
main ne kisee qadam pe jhukaya nahi hanoz

maharab-e-jaan men tuu ne jalaya tha Khud jise
sine ka wo chirag bujhaya nahin hanoz

behosh hoke jald tujhe hosh a gaya
main badnaseeb hosh men aya nahi hanoz

mr kar bhi ayegi ye sada qabr-e-"Josh" se
bedard main ne tujhako bhulaya nahi hanoz

· 1 Like · Dec 01, 2016 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kisee Ne Wada Kiya Hai Aane Ka

kisee ne wada kiya hai aane ka
husn dekho Gariib Khane ka

ruuh ko aaiinaa dikhatay hain
dar-o-divaar muskurate hain

aaj ghar ghar banaa hai pehali baar
dil men hai Khush saliiqagii bedaar

jama samaan hai aish o ishrat ka
Khauf dil men fareb-e-qismet ka

soz e qalb e kalim aankon men
ashk e umide bim aankhon men

chashm bar raah-e-shauq ke maare
chaand ke intazaar men taare

· 2 Like · Nov 30, 2016 at 19:11
Category: love
 
Poetry / Love

Subh Ta Shaam Sochta Huun Main

subh ta shaam sochta huun main
sau tere naam sochta huun main

ye jo ek taza aag bharkii hai
is kaa anjaam sochta huun main

saamne hai qalam bhi kaghaz bhi
aur paigham sochta huun main

tujh se is dil kaa jo taalluq hai
us kaa kuch naam sochta huun main

aik shaam-e-firaaq Dhal bhii gayii
phir bhii har shaam sochta huun main

kyaa sabab hai Gham-e-zamaana kaa!
laa zara jaam sochta huun main

ab koi fikr hi nahi Baqi
bas tera naam sochta huun main

· 1 Like · Nov 30, 2016 at 13:11
Category: love
 
Gajendra Verma's 'Saajna Re'
Posted by Hindi Music Videos
Posted on : Dec 13, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS