Poetry / Love

Voh Chanchal Albeli Larki Meri Nazmen Yuun Parhti Hai

voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai
jaise un nzmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,
(yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!)
jaise us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN
saari ghataiN us kii haiN
har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us ke saaye
saare mehmal us ke haiN
har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehre haiN us k chehre
saare aanchal us ke haiN
jaise us ko ilm nahiiN hai us laRki ke saare kaam
saare naam usii ke haiN
her khiRki hai us kii khiRki, saare baam usii ke haiN
us laRki ke naam se jo kuChh maiN ne apne naam likha hai
us se hi mansoob hua hai
(shaayad mera veham ho lekin maiN ne yeh mehsoos kia hai)
jab maiN nazm sunata huuN voh aankh churaane lagti hai
mujh se nazareN mil jaayeN to voh sharmane lagti hai
kuch lamhe voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai
lekin thoRi der meN phir se pathar kii ho jaati hai
jaise meri nazm kii laRki ho

· 1 Like · Dec 20, 2016 at 19:12
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Jo Raig E Dasht E Firaq Hai Yeh Ruke Agar

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai yeh ruke agar
yeh ruke agar to nishaaN mile,
yeh nishaaN mile
k jo faslooN kii saleeb hai
yeh gaarii hui hai kahaaN kahaaN
mere asmaN se kidhar gayii tere iltefaat ki kehkashaaN

mire be_Khabar, mire be nishaaN
yeh ruke agar to pata chale
maiN thaa kis nagar tuu rahaa kahaaN
k zamaan o makaaN ki yeh wusataiN
tujhe dekhne ko taras gayein
voh mere nasiib ki baarisheN
kisi aur Chhat pe baras gayein

mere chaar suu hai ghubaar-e-jaaN,
voh fishaar-e-jaaN,
k Khabar nahiiN mere haath ko mire haath kii
mere Khwaab se tere baam tak
tare rehguzar ka to zikr kya
nahiiN zaufishaN tere naam tak
haiN dhuaaN dhuaaN mire ustKhwaaN
mere aansuuoN meN bhuje hue mire ustKhwaaN
mire naqsh gar mire naqsh-e-jaaN

isii raig-e-dasht-e-firaaq meN rahe muntazir
tere muntazir!!!
mere Khawab jin ke fishaar meN
rahi mere haal se beKhabar teri rehguzar
tare rehguzar ke jo naqsh haiN mire haath par
magar is balaa ki hai tiirgi
k Khabar nahiiN mere haath ko mere haath ki
voh jo chashm-e-shobadaa saaz thii, woh uThe agar
mere ustKhwaaN meN ho roushni
ussi ek lamha-e-diid meN teri rehguzar!!
meri teera jaaN meN chamak uThe
mere Khawab se tairay baam tak,
sabhii manazroN meN damak uThhe
usii ek pal meN ho jaavidaaN
meri arzoo k hai bekaraaN
meri zindagi k hai muKhtasar

yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai, yeh ruke agar
yeh ruke agar

· 1 Like · Dec 20, 2016 at 13:12
Category: love
 
Poetry / Love

Yaad Ata Hai Dard Ka Aik Aik Lamha

yaad ata hai dard ka aik aik lamha
koi muskraie tu ashk ankh se utar ata hai

waqt e judaie uski ankh bhi pur num thi
saat pardon may jazbaat chupana usay ata hai

khud pather ki moorat banna betha raha sadaa
moom ki manind mujhe pighlana usay ata hai

pehlay taamer may raha wo meri lamha lamha
phir muskara kar mitana bhi usay ata hai

nighaoon se kaie baar sawal karta per
khud se jawab sooch laina khoob usay ata hai

palkoon pe betha kar pojte rehna
nazroon se giraana bhi usay ata hai

mai samjha jeet gayea piyar uska
maat dena khoob usay ata hai

Qais baat karna tu sanbhal kar karna
dil tornay ka har tareeqa usay ata hai

· 1 Like · Dec 17, 2016 at 12:12
Category: love
 
Poetry / Love

Usay Kehna!

Usay kehna!
ab abhi din nikalta hai
surmaie sham dhalti hai
rat ki tareeki may
taare bhi chamakte hain,

Usay kehna!
sub gardish-e-mah-o-saal wohi hain
bus aik tum nahi ho
jab chalti hai thandi purwa
jab chatakhti hain kaliyaan chaman may
jab yadoon ke gehray sagar may
koi pata girta hai kisi shakh se
tum yad ati ho bohat

Usay kehna!
rim jhim barasti bondain
bohat shoor machati hain
asmaan pe phelay rang-e-qos-e-qazah
teri ankh ke sub rang chura kar
mujhe bohat rulate hain

Usay kehna!
ay jaane wafa
sub manzar wohi hain
bus
aik tum nahi ho
bus aik tum nahi ho

· 1 Like · Dec 16, 2016 at 13:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muhabaton Ka Zawal Likhna

muhabaton ka zawal likhna
jab bhi meri dastan likhna

wafaon ka bohut qehat pada hai
jafaon ka charcha sar-e-aam likhna

wo shahayed majboriyun ka qaidi ho
chalo usko na sazawar likhna

uski nigahain sarapa-e-sawal tehrein
per ye bhi tey hai na koi jawab likhna

aye meray MOULA kab ye kaha tha
na uska aur mera visal likhna

· 1 Like · Dec 16, 2016 at 05:12
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat Mat Samjh Laina

MOHABBAT mat SAMJH Laina

Kisi k Sath Chalne OR Dukh Sukh Ki Sharakat KO
Mohabbat mat Samjh Laina
Mohabbat ka Libada Paniyon k Rung Jaisa Hai
Mohabbat saat Parindoon main Nihaan ho kr Ayaan Hai
Ye Hakeekat Hai
Aur Es ki Khushboun Ko
Hum Dhanak main Dhond Sakte

Magar Ye bhi Hakeekat Hai
K Es ko Jis ne Paya Hai
Wo Apna Ap KHO Betha
Ye Mil kr bhi Nahi Milti

Kisi k Sath Chalne or Dukh Sukh Ki Shrakat ko
Mohabbat mat Samjh Laina
K JIS KO CHOO LIYA JAYE
KHUDA WO HO NAHI SAKTA
MOHABBAT AISA NaSHTAR HAI
FANA JO HO NAHI SAKTA


· 1 Like · Dec 13, 2016 at 22:12
Category: love
 
Poetry / Love

Is Mousam E Gul Main Kia Batlain

is mousam e Gul main kia batlain
ke hum say dil figaron ko bari takleef deta hai
Tera Yun Rothna Humdum !!

kahan tak theek hai ?
abhi to ishq pe apnay
bas ik bahaar guzri hai
abhi say rooth jana yun tera
kia maani rakhta hai ?

abhi to kitaab e zeest ke
bohat awraaq khaali hain
inhein rangon say bharna hai
yeh saari khuwahishein dil ki
khudara jaan bhe jao !!

chalo ab maan bhee jaao !!

· 1 Like · Dec 12, 2016 at 19:12
Category: love
 
Poetry / Love

Jisay Tum Zindagi Jano

jisay tum zindagi jano
tumein wo roog kehta ho
ke jis ne khud he chahat se tumhara hath thama ho
wo apnay dil k derwazay
tumhi per band ker de toh
mohabbat mar bhi sakti hai
tumein sangsar karnay ko jo sang bantay logon mein
saba ko roknay ko kufl dale dareechon mein
kar ke band ghar ke
tumhari sans per pehray lagaye tu
mohabbat mar bhi sakti hai
ye kis ne keh diya tum se
mohabbat mar nahi sakti
ke jab koi tumein jaan say guzar janay ko kehta ho
adhi rah mein khud he muR janay ko kehta ho
wo apni bay wafai ka khud he aitraf ker lay to
mohabbat mar bhi sakti hai
MOHABBAT MAR BHI SAKTI HAI

· 1 Like · Dec 11, 2016 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat Mar Nahi Sakti

Mohabbat mar nahi sakti
sitare toot bhi jayein
sumander sookh bhi jayin
zameen ki kookh ke sab Astaray
rooth bhi jayein saba,
gul aur baharoon se kinara kar nahi sakti
mohabbat mar nahi sakti

zamana beet jaye ga
zamanay beet jate hain
Fana ki wadion main ,rooz mere geet jate hain
diloon ki kheetioon ko zeher de kar barha daite hay
zalimoon k lashkar jeet jate hain magar
nafrat ki tund o taiz zalim andhiyoon main bhi
fiza main ik nanhi preet koel
dar nahin sakti
MOHABBAT MAR NAHI SAKTI

· 1 Like · Dec 10, 2016 at 20:12
Category: love
 
Taqseem Ho Gai Hun Khairaat Ki Tarha
Posted by farhan bilal
Posted on : Jun 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS